Wednesday

रगो में खून की गर्मी...

phir badla wafa ka dein gey bari saadgi se hum
Tum hum se rooth jaao gey aur zindagi se hum
...............

Jahan rahe ga waheen raushni lutaye ga
Chiragh ka apna koi makan nahi hota
...............

Yahan kisi ko bhi hasb e aarzu na mila
Kisi ko hum na mile aur koi humko na mila
...............

Ragon mein khoon ki garmi ka maujza hai tamam
Warna aadmi pathar se mukhtalif to na tha.
...............

Wo sar se pehle zuban kaat lya karte hain
ke khuda se na kare koi shikayat unki
...............

Sanson ke silsile ko na do zindugi ka naam
jeenay ke bawajood bhi kuch loog marr gaye
...............

Dhuaan bana ke hawa mein urra dya mujko
Mein jal raha tha kisi ne bujha dya mujhko
...............

Jaisi bhi hun bhali hun ke buri hun apne liye hun
Mein khud ko nahi dekhtee auron ki nazar se
...............

Aaghaz to hota hai anjam nahi hota
Jab meri kahani mein wo nam nahi hota
...............

Kehne ko zindugi thi bahut mukhtasar magar
kuch yun basar hui keh khuda yaad aa gaya
...............

Sanson mein bhi shamil ho lahu mein bhi rawan ho
lekin mere haathon ki lakeeron mein kahaan ho
...............

woh Shakhs meri Lash pe aaya, Na ro saka
Uss ko merey sukoon ka kitna khayaal tha
...............

Woh ashk ban ke Meri Chashm e tar mein rehta hai
Ajeeb shakhs hai Paani ke Ghur mein rehta hai
...............

Seeney se merey zeher utarney nahin detey
Zinda rahein woh log jo marney nahin detey
...............

Tum nahi to zindugi mein aur kya reh jaye ga
Door tak tanhayion ka silsila reh jaye ga
...............

Roothi hui kismet ko sawanra jaye,
Aasmaan ko zameen per utara jaye.
Shayad meri awaz per mur kar deikhen
Ekbar unhein aur pukara jaye
...............

Jaane Kis Kis ki Maut Aaaye Hai,
Aaj Rukh pe koi Naqaab nahin..
Woh Karam Ungliyon par ginte hain,
Zulm Ka Jinke Koi Hisaab nahin....
...............

Unke dekhe se jo aa jaati hai chehre pe raunak,
Unke dekhe se jo aa jaati hai chehre pe raunak,
Woh samajhte hainki bimaar ka haal accha hai.
...............

aagar bhigne ka itna shaukh hai barish mein
to dekho in ankhoo mein,
baarish to har ek ke liye barasti hai,
ye ansu sirf aapke liye baraste hain..
...............

No comments: