Wednesday

Shayari - 06

1.
MEHFIL ME TERI AAYE HAI TO PIKAR HI JAYENGE,
PYAAR TUJSE KIA HAI TO DIL DEKAR HI JAYENGE.
JITEJI TUJE ROTA NA DEKH PAYENGE,
MAUT KE BAAD BHI TUJE HASTA CHHOD JAYENGE.........

2.
Dekha nahi hai koi tujhsa,
dekhne tujhe jannat se bhi laut aayange,
jab tak deedar na ho tera,
hum mar ke bhi chain na se na mar paayange..

3.
Teri baraat hogi Mera janaza hoga
4 admi tere sath honge 4 admi mere sath honge

Phool tujh per bhi honge Phool mujh per bhi honge
Tujh per dulhan ka jora hoga Mujh per kafan ki sajawat hogi

Lali tere chahre per hogi Noor mere chahre per hoga
Khubsoorat tum bhi lag rahi hogi Khubsoorat main bhi lag raha honga

" FERK SIRF ITNA HOGA "
Tum kisi ki zindagi main ja rahi hogi
Main tumhari zindagi se ja raha honga

Mera naseeb teri kismat se acha hoga
Mera gham teri khushi se acha hoga

Yakeen na aae to apni ankhoon se dekhna
Mera janaza teri baraat se acha hoga

Mere samne rukhsat jo teri baraat hogi
Us lamhe gul-e-shamay hayaat hogi

Wo bhi jan kesi aafat ki raat hogi
Pehloo main kisi k meri qaienat hogi.

4.
"JAB TAK THA ZAMI PAR"
Hazaro fulon se sajaayi gayi hain meri kabr
Ek phool ki mahak kafi thi jab tak tha zami par
Utha lete the kal jo log apne shabdo ke zor par
Utha nahi paye apne kandhe ke zor par
Zukam de jaate hein ye thande ashq mere kafan ko bhigo kar
Bade garm the ve ashq jo sukh jaate the mere dilko bhigokar
Diya jalaakar aaj jo chale jaate hein meri kabr par
kambhaqt saath rehkar to jalte the jab tak tha zami par

5.
roegi aankhen muskurane ke baad,
aayegi raat din dhal jaane ke baad,
o jaane wale zara mudke to dekh,
shayad ye zindagi na rahe tere jaane ke baad.

6.
Kabrsataan ki har kabra par, ug ayi hai hari ghaas
Kambakht murdon ke ab jake armaan jage hain

7.
" Shaam Udas thi Rat Bhi udas hogi,
Subah Kafan Se Lipti Meri Lash hogi,
e Dost ja kar keh dena us bewafa se,
k kabra me bhi uski tasveer mere sath hogi"

8.
Aapki Yaad Main Sab Kuch Bhula Baithe Hai,
Charag Khusiyon Ke Bujaye Baithe Hai,
Hum To Marenge Aapki Bahome,
Ye Maut Se Bhi Shart Laga Baithe Hai"

9.
ZAKHMO KO APNE SEE LU AGAR TUM IZAZAT DO,
AANKHON SE TERI PEE LU AGAR TUM IZAZAT DO,
MAR TO JALDI HI JAUNGA, THODA SA JEE LU AGAR TUM IZAZAT DO...........

10.
Aur ab main kya karoon tujhe sochne ki forsat hi naheen...
Dil main dar sa rehta hai ke kho na doon main tujhe kaheen...
Jahan hum mila karte the pehle kabhi jata hoon Aaj bhi waheen...
Jhoot nahi bool raha kagar boloon to mar jauu main abhi yeheen...

11.
Hui hai shaam to aankhon main bas gaya phir tu
kahan gaya hai mere shahar ke musaafir tu
bahut udaas hai ik shakhs tere jaane se
jo ho sake to chala aa usi ki khaatir tu

12.
Kayi Log honge Tere Zanaze Ke Peeche,
Par ek Mein Na hoonga Tere Zanaze Ke Peeche,
Aur mai honga Bhi Kaise Tere Zanaze Ke Peeche,
Jo Mera Zanazaa aa raha hoga Tere Zanaze Ke Peeche.

13.
Mere Marne Ke Baad Mere Sene Se
Dil Nikal Lena
Kahi Woh Na Jal Jaaye
Jo Mere Dil Me Rehte Hai. (True love)

14.
YEH NA THI HAMARI KISMAT,
KE VISALE YAAR HOTA,
KUCH AUR JEE BHI LETE
YUNH HI INTEZAR HOTA.

15.
Zamane ne mujko thukra diya hain
Maut ke aur kareeb la diya hain
Kabhi mud ke jo peeche dekhta hoon
Sochata hoon, duniya ne mujhe kya diya hain?

16.
pyar ki do baatein kar lo, kar lo wo waade phir se
jaane kab apni ye saansei begaani ho jaaye phir se

17.
aaja ki, tadap raha he ye dil tere hi intazaar ko !!
taras rahin ye aankhe tere hi didar ko !!
aakhri vakt he mari zindgi ka,esa na ho meri subha dobara na ho !!

18.
tere saath guzara har lamha yaad rahega ,
tere kiye har wada yaad rahega !
aa ke dekh lena bewafa jab teri gallion se mera janaja gujrega to,
kafan mere chehre se hata rahega !!

19.
*kab toot jaye kasam hi to hai*
*kab badal jaaye nazar hi to hai*
*tu mere saath ki aadat mat daal*
*kab khatam ho jaye, zindagi hi to hai...*

20.
KITNA PYAR KARTE HAI HUM UNSE
KASH UNKO BHI YE EHSAS HO JAYE;
MAGAR AISA NA HO KE VO HOSH ME AAYE,
JAB HUM GEHRI NIND ME SO JAAYE.....

21.
Kafan na dalo mere chehre pe,
Mujhe aadat hai muskurane ki,
Na dafnao meri laash ko,
Mujhe abhi bhi aas hai uske aane ki.

22.
KHUDA KI IBAADAT ME JAB BHI YE HAATH UTHAYE,
YEHI DUA MAANGI-HAR KHUSHI TUMHE MIL JAAYE........,
MERI ZINDAGI SE TUM JEEYO,
TUMHARI MAUT SE HUM MAR JAAYE.

23.
Judai ka pata hota agar pyaar se pehle,
To maut ki duva mangte hum deedar se pehle.

24.
MAUT PE BHI YAKEEN HAI, TUM PE BHI ETBAAR HAI,
DEKHEN PEHLE KAUN AATA HAI, HUME TO DONO KA INTAZAR HAI.

25.
AAKHEN KHOLU TO CHERA TUMARA HO, BAND KARU TO SAPNE TUMHARA HO,
MAR BHI JAU TO KOI GAM NAHI, AGAR KAFAN KE BADLE ACHAL TUMHARA HO.

26.
"girl"
tum ne kaha tha miloge har
kidki har darwaaze ke peeche,
har ik mere andaaz ke andaaze ke peeche
bewaffa itne nikle
aye bhi na mere janaaze ke peeche.
"boy"
tumne kaha tha milogi har
khidki har darwaaze ke peeche,
har ik mere andaaz ke andaaze ke peeche
bewaffa main nahin tum nikli mud ke bhi na dekha,
ik aur janaaza tha tumhare janaaze ke peeche.......

27.
hajjaar phool kam hai ek dulhan ko sajjaane ke liye,
ek phool bahoot hai kabr par chadhane ke liye
hajjaar khusiya kam hai ek gam ko bhulane ke liye
ek gam bahut hai jindgi bhar rulane ke liye

28.
Mere pyaar ko mazak na samazna,umr bhar saath nibhaunga,
awaz doge pyaar se to kabr se bhi uthker aaunga.

29.
Aaya tha teri panaahon mein,
tune darwaaza nahi khola
Pada hua tha raahon mein,
tune darwaaza nahi khola
Ab waqt ka hao takaaza,
zara khidki khol dekh,
quzar raha hai mera janaaza,
zara khidki khol ke dekh

30.
woh Shakhs meri Lash pe aaya, Na ro saka
Uss ko merey sukoon ka kitna khayaal tha

31.
Pyaar ke naam per ik haseen nain,
zakham dil per is kadar hai lagaye,
Jese foolon ki chaadar banakar,
Ashiq ki maiyaat per koi daale.

32.
Chalak padte hain zalim ke asoon,
Tujpe kurbaan oh marne wale,
Jaa raha hai wafa ka janaza,
Bewafa se kaho mohoon chupa le

33.
Baithey Baithey Ghabraaey Hum
Jaaney Kissey Yaad Aaiey Hum
Yeh Soch ke hum ne Jaan de di
Mayyat pe meri "Woh" aaiey gaa

34.
Etna tuta hoon ki chhune se bikhar jauanga
Ab agar aur dua doge to mar jauanga.

35.
Dil ki galion mein koi gham na ho,
Hamara yeh pyaar kabhi kam na ho.

Bas yeh hai dua kit um khush raho,
Kya pata hum agar kal ho na ho.

36.
Kaun jaane kab maut ka paigam aa jaye,
Zindagi ki aakhri shaam aa jaye,
Hum to dhoondte hai waqt aisa jab,
Humari zindagi aapke kuch kaam aa jaye.

37.
GAM NA KARO MAUT KA,
JO HAR KISI KO AATI HAI..
GAM KARNA HAI TO KARO KHUSHI KA,
JO PAL BHAR MEIN CHALI JAATI HAI....

38.
GAMO KE ISS SAGAR MAIN PANI KI EK BOOND BHI KISKO DIKHAYE DEGI,
ISS SHOR BHARI DUNIA MAIN MERI EK AAH KISKO SUNAYI DEGI,
TANHA JIYA HAI TU ''AKELA'' TANHA HI JIYEGA,
KI, ISS KABRISTAN-E-JAMI MAIN EK AUUR LAASH KISKO DIKHAYE DEGI.

39.
Bewafa se kabhi pyar nahi hota,
Marneke baad kabhi intzaar nahi? hota,
Dekh kar dosti karna ae dost,
Har dost hamari tarah dildar nahi hota⠦⠦⠦⠦⠦⠦.

40.
Sabne kaha PYAAR ek dard hai,
humne kaha ye dard kabul hai.
sabne kaha is dard ke saath jee nahin paoge,
humne kaha tere Pyaar me marna bhi kabul hai

41.
Dil Ki Basti Bikhar Gayi Hoti
Ke Rooh Ke Zakhm Bhar Gaye Hote
Yeh Zindagi To Aap Ki Amaanat Hai Warna
Hum To Kab Ke Mar Gaye Hote

42.
Pyaar hi na karna tha,
toh dil lagaya kyun,
chehre se itni nafrat thi,
toh kafan hataya kyun.

43.
Yaad mein teri aahen bharte hai,
Har saans ke saath tujhe yaad karte hai.
Maut sachai hai ek roz aani hai,
Lekin teri judai mein har pal marte hai.

44.
Log kehete hai ki ladkiyan zindagi hoti hai maut nahi,
Magar who log yeh kyu bhool jaate hai
ki dhoka bhi zindagi hi deti hai maut nahi.

45.
Zakhm dene ka andaaz kuch aisa hai,
Zakhm dekar puchte ho ab haal kaisa hai.
Kisi ek se kya gila karna yaro,
Saari duniya ka mizaz ek jaisa hai.

46.
Fir aasuo ke kuch fasane nikle,
Maikhane se sharab ke peimane nikle.
Jo dil ka haal hamara samajh hi nap aye,
Kyu usko hum apna zakhm dikhane nikle.

47.
Kitne Log They Tumhare Zanaze Ke Peeche,
Ek Mein Nahin Tha Tere Zanaze Ke Peeche,
Mein Hota Bhi Kaise Tere Zanaze Ke Peeche,
Jo Mera Zanazaa Ja raha tha Tere Zanaze Ke Peeche.

48.
kabhee na aaye mere saath chal ke,
hamesha gaye mujhko barbad karke,
meri maut pe agar woh aayein,
to keh dena ki abhee soye hain tumko yaad karke.

49.
muskurahat tumhi se milti hai,
dil ko rahat tumhi se milti hai,
ruthna mat kabhi mujhse tum,
kyouki ye dhadkan tumhi se chalti hai.

50.
Maut ke baad bhi yaad aa raha hai koi,
Mitti meri kabrase utha raha hai koi,
Ai khuda do pal ki zindagi aur de de,
Meri kabrase udaas ja raha hai koi !!!

51.
Dil Ki Basti Bikhar Gayi Hoti
Ke Rooh Ke Zakhm Bhar Gaye Hote
Yeh Zindagi To Aap Ki Amaanat Hai Warna
Hum To Kab Ke Mar Gaye Hote

52.
Pyar Mein Log Jinda Dafnaye Jatein Hein,
Pyar Mein Log Jinda Dafnaye Jatein Hein,
Kabar khood Ke Dekhon Intezaar Mein Paaye Jatte Hein.

53.
Shaam udas hai, Raat bhi udas hogi.
Subah kafa mein lipti meri laash hogi.
Ae mujhe dafnanewale jaakar unse keh dena,
Kabra par bhi unki tasvir mere saath hogi.

54.
Gham-E-Tanhai mein khushboo-e-hina kiski thi,
Saaya deewar pe mera tha sada kiski thi.

Aansoo se hi sahi bhar gaya daman mera,
Hath to meine utae the dua kiski thi..

Chodd di kiske liye tune Imran duniya,
Justuju si tujhe har waqt bata kiski thi.

55.
Zindagi tu ab aur kya dikhayegi mujhe
Ab teri sangat na raas aayegi mujhe
Na koi humraaz na koi humdum hai mera
Tu bhi jald hi chhod jayegi mujhe
Hanste hanste guzaari hai zindagi humne
Jaate jaate ab yaad uski rulayegi mujhe
Junoon-e-ishq utar hi na paaya dilse
Yaad uski qabr mein bhi aayegi mujhe
Sukun jiski talash rahi 'Imran' umr bhar
Woh sukun ab maut hi dilayegi mujhe!!

56.
Husn se jo manga tha, Ishq se jo chaha tha;
Sab mila par main usey thamey reh na saka.
Khud ko jo karna tha, Unse kiya jo wada tha;
Main hi kamzor pad gaya, Kafan odh ke so gaya!

57.
Khoon Se Likhrehi Hnu, Sahi na Samaj Lena,
Teri Judaai mai tarap rahi Hnu, Muje Murda na Samaj Lena

58.
Wo karti hai shikwa, main usey apni khata samajta hoon,
Wo karti hai bewafai, main usey ulfat samajta hoon,
Wo karti hai mohabbat, main usey qayamat samajta hoon,
Wo karti hai nafrat, main usey apni maut samajta hoon....

59.
Ho Chuki Mulakaat Abhi Salaam Baaki Hai,
Tumhare Naam Ki Do Ghoont Sharaab Baki Hai,
Tumko Mubarak Ho Khushiyoon Ka Shamyaana,
Mere Naseeb Me Abhi Do Gaz Zameen Baki Hai,

60
Shayad unko ye maloom hi nahin ki,
ham iss shahar se jaane waale hain,
Yaad karke bulaayenge baar baar,
par ham laut ke naa aane waale hain..

61.
ab aor kaya kaya dekhana baki hai
tere bin, bas ab is ek jaan ka jana baki hai

62.
Sanson ke silsile ko na do zindugi ka naam
jeenay ke bawajood bhi kuch loog marr gaye

63.
Dil diya aitbar ki had thi Jaan de di yeh mere pyar ki had thi
Mar kar bhi aankhen khuli rah gayi
Aur kuch nahi yeh tere intezar ki had thi

64.
Mere khuda mujhe thodi si zindagi dede
Udaas mere janaaze se jaa raha hai koi