Wednesday

Shayari - 02

I decided to send you the cutest and sweetest gift of the world.
But the postman shouted at me saying, ? Get out of the post box.?

1.
hamne to umar gujaar di tanhai main,
sah liye sitam teri judai main.
ab to yahi fariyaad karte hain,
koi auur na tadpe teri bawafai main.

2.
is bhari duniyan main koun kissi ka hota hai,
dhokha bhi wahi deta hai jo dil ke kareeb hota hai

3.
Badla wafa ke dein gey bari Saadgi se Hum
Tum "Hum" se rooth jaao gey aur Zindagi se HUM

4.
Hum Bewafa Har Giz Na Thay
Par Hum Wafa Kar Na Sakay
Humain Mili Us Ki Saza
Jo Khata Hum Kar Na Sakay

5.
Baat chal padi wafa ki
Hon rahi thi khamian
Jisko humne apna samjha
Woh jala gaya aashian

6.
Aaur bhi gam hain zamaane,
mein mohabbat ke siwa
Yun hi koi.....bewafa nahin hota.

7.
Nikal Jate Hai Gila Shikve, Khabhi Aankhon Se Aansoo Banker,
Daga De Jata Hai Woh Bhi Kabhi Jo Saath Chaalte the Parchay Banker.

8.
Zaban cut jaye agar kabhi muh se tumhare liye gila nikle
Magar itna jarur kahunga, tumhe kya samjha tum kya nikle.

9.
Wo sar se pehle zuban kaat lya karte hain
ke khuda se na kare koi shikayat unki

10.
Sanson mein bhi shamil ho lahu mein bhi rawan ho
lekin mere haathon ki lakeeron mein kahaan ho

11.
Tum hi bewafa nikle
mera dil to tumhe aaj bhi yaad karta hai
par bewafa tu hai to itna tu bhi sun le
intezaar mera koi aur bhi karta hai

12.
Ho gayi hai mashoor bewafai kuch is kadar unki,
Zikar aaya mera mehfil main to jhuk gayi nazar unki

13.
CHEEZ BEWAFAI SE BADKAR KYA HOGI,
GUME HALAT JUDAI SE BADKAR KYA HOGI,
JISE DENI HO SAZA UMARBHAR KE LIYE,
SAZA TANHAI SE BADKAR KYA HOGI.

14.
Chalak padte hain zalim ke asoon,
Tujpe kurbaan oh marne wale,
Jaa raha hai wafa ka janaza,
Bewafa se kaho mohoon chupa le

15.
Tum mujhe bhool bhi jaao to ye haq hai tumko
Meri baat aur hai maine to mohabbat ki hai

16.
Wafa ka naam na lo yaron,
Wafa dil ko dukahati hai....
Wafa ka naam lete hi...
hume ek bewafa ki yaad Aati hai...

17.
Dhoka Diya tha Jab Tune Mujhe,
Zindgi Se Main Naraaz Tha,
Socha Ki Dil Se Tujhe Nikaal Du,
Magar Kambkhat Dil Bhi Tere Pass Tha...

18.
tere hasin badan mein jo dil bhi hasin hota,
tere mukable duniya mein koi nahi hota...
aankhe badi badi hai phir tang dil hai kaise,
hai badan to phul jaisa phir sang dil hai kaise,
komal kali jaisa jo dil bhi kahin hota,
tere mukable duniya mein koi nahi hota...
sikha shringar tune, tuze pyar kyo nahi aya,
inkar to khub karti ho ikrar kyo nahi aya,
jaisa libas hai tera kash waisa ahsaas bhi tera hota,
tere mukable duniya mein koi nahi hota...

19.
Dil agar phool na hota kanch ka tukda hota.....
Todne wale ko kahin ek zakhm to aaya hota.......

20.
Dekhne aaye the wo apni Bewafaai ka asar..
Aur kahate hain ki ittefakan mulakat ho gayi..

21.
Hum Bawafa the, Isliye Nazron se gir gaye,
Shaayad unhe Talash kisi Bewafaa ki thi..
Bewafa sanam ko marhum lagane hum gaye
marhum ki kasam marhum na mila mar-hum gaye

22.
hoon ajab kashmakish main huiee zindagi parayee
tere pass meri yaadain merey pass bewafayee

23.
" Dil ke jasbe ,choor choor hue,
mohabbat mein aisa bhi makaaam aaya,
katal karke sab wafaaon ko hamaari,
bewafaaii ka hum par ilzaamm lagaaya..."

24.
Woh be-wafa kahe mujhe jis se wafa karoon,
Main badnaseeb apne muqaddar ka kya karoon.

25.
Jo khata maine nahin ki usspe pachtaana padda..
Bewafaai tumne ki,aur mujhe sharmaana padda..

26.
Maana ki Bewafaai karna aasaan hai
par kya wafa karna itna muskil hai

27.
Bewafaai ka gila ae dil-e-nashaad na kar
Jo tujhe bhool gaya tu bhi usse yaad na kar!!!

28.
Tanhahi to tanhahi hoti hai,
apna farz zaroor ada karti hai,
pyar ki tarah bewafa nahin hoti,
zindagi bhar ke liye saath reheti hai

29.
Uss bedard haseena ke liye, zamaane ko thukra aaya...
Kambakht bewafa ab kehti hai ke, Tu khali haath kyon aaya

30.
Teri Aankhon Mein Umeed Maangi Thi
Phir Udaasi Kyu Mili?
Tere Baahon Ka sahara Chahta Tha
Phir Tanhai Kyu Mili?
Tumhare Chahat Ki Wafa Chahi Thi
Phir Bewafai Kyu Mili?
Mere Saath Jeene Ki Kasam Mangi Thi
Phir Akele Jeene Ki Sazaa Mili?

No comments: