1.
Na Khoobyaan meri hein naa mera koi Kamal hei..
Daitaa Wohi Kareem Wohi Jal-e-Jalal hei,
Kuch apnay dam par loon to chinanay ka dar b ho..
Us k diyee ko cheen ley koi, kis ki yeh majal hei...
2.
mana ke diya gum jo kismat ne wo thoda nahin!
maine bhi muskura ke ladna choda nahin.
3.
bas itni si ilteja hai meri
pyar ko zindagi ka maqsad na banana
manjilen aur bhi hai yahan
umra bhar ke gham ko yun gale na lagana.
4.
karib rahne ki chah to hamein bhi thi,
par na jane kyon faasle hi darmiyan aaye,
marz ki dava to le lete hum bhi,
par na jaane kyon jakhm nazar hi nahin aaye.
5.
"Kon Takoun Main Raha, Kon Sar-e-Rah Guzaar";
"Shehr Kay Saaray Charaghon Ko Hawa Jaanti Hay."
(Who was resting on shelves and who was out lighting the Streets;
The Winds recognize every flame in the City.)
6.
Hum bhi dariya hai hum apna hunar jaante hai,
Jis taraf bhi chal parege raasta ho jaayega
7.
bheege huve paroN se hi parwaaz kar ke dekh
anjaam us ke haath hai aaghaaz kar ke dekh !!!
8.
Aise Bhi Kai Panne Ithihaas Ki Kitaabon Me Hain,
Lamhon Ne Khataa Ki Hai, Sadiyon Ne Sazaa Payeen Hai...
9.
Shayad khushi ka daur bhi aa jaaye bahut jald..
ye gham bhi to mile hain tamanna kiye bagair...
10.
Umr ek aysi hoti hai ke jis main dil ko
her baat achi lagti hai haqiqat ke siwa.
11.
Ragon mein khoon ki garmi ka maujza hai tamam
Warna aadmi pathar se mukhtalif to na tha.
12.
Jaisi bhi hun bhali hun ke buri hun apne liye hun
Mein khud ko nahi dekhtee auron ki nazar se
13.
Mushkilen dilo ke irade aazmaeingi,
Khawabo ke parde nigaho se hatayangi.
Girkar hosla mat haarna,
Yeh thokerein hi tujhe chalna sikhayengi.
14.
Roz yeh khayaal aata hai zahan me
Kal zindagi kis raah par hogi
Har din isi soch mein guzarta hain
ab aur kitno se mulaaqat hogi
15.
raabtey had se barh jayeen tu gham miltey hain
ham ise liye har shakhs se kam miltey hain
16.
gum na karo maut ka
jo har kisi ko aati hai,
gum karna hai to khushi ka karo
jo palbhar may chali jati hai.
17.
Ajeeb cheez hai dastan-e-mohabbat;
Kaho to haqeeqat, suno to fasana!
18.
Logon ko kehte suna aksar - "Zinda rahe to phir milenge"
Magar is dil ne mehsus kiya hai - Milte rahenge to hi zinda rahenge!
19.
"Na chaho kisiko itna ki chaahat tumhari majboori ban jaye;
Kar jao dil ki duniya mein kuch aisa yaro - ki tumhari chaahat uski zaroorat ban jaye"
20.
Kab Tut Jaye,Kasam Hi To Hai
Kab Badal Jaye Nazar Hi To Hai
Tu Mere Saath Ki Aadat Mat Dal
Kab Bichad Jaye,Zindagi Hi To Hai
21.
Hujoom-e-Ghum meri fitrat badal nahin sakta
Hujoom-e-Ghum meri fitrat badal nahin sakta,
Mein kiya karoon, Merii aadat hai muskuraney ki
22.
Takdeer banane wale tune kami na ki
Ab kisko kya mila ye mukkader ki baat hai..
23.
Kabhi kisi ko mukammal jahaaN nahi milta
KahinN zamiN..to kahiN aasma nahin milta
24.
NA KAR PYAAR JISE TU PURA NA KAR SAKE,
NA KAR VOH VAADA JISE TU NIBHA NA SAKE,
PYAAR KISIKA PURA NAHI HOTA,
PYAAR KA TOH PEHLA SHABDH HI ADHURA HAI...
25.
Zaroori to nahi ki koi gam bhi ho shaamil,
haan yoon bhi aksar nikal aate hai aasoon
26.
Aadmi ke khwaaisho ki koi intehaa nahi...
Do gaz zameeN bhi chahiye, do gaz kafan ke baad..
27.
humko mita sake ye zamane mein dam nahi
hamse zamana khud hai zamane se hum nahi
29.
Duniya men bewafaon ki kami nahin hai. Ab Suraj ko hi dekh lo -
Aata hai Usha ke saath, Rehta hai Kiran ke saath aur jata hai Sandhya ke saath.
30.
Maszidon mein jakar maine ki thi dua,
jisako bhi main chhahoon, woh mujhko mile,
jo mera farz tha woh maine kiya adaa,
ab khuda hin na chhahe to main kya karoo?
31.
chal padi hai kashtiyaan samandar door hai kinaraa
in maajoon se pooch lena kya haal hai hamara
ab hawaein kareingi roshiniyon ka faisla
jis diye main jaan hogi woh diya reh jayega
34.
apna gum le ke kahin aur na jaya jaye,
ghar main bhikhri hue cheezoon ko sajaya jaye,
ghar se masjid hai bahut door chalo yun kar len,
kisi rote hue bacche ko hansaya jaye,
35.
Apne dushman ko bhi hum paak sazza deten hain
zaban sey kuch nahi kehte nazron sey gira deten hain
36.
dil ki basti bhi ajeeb basti hai,
lootne wale ke liye tarasti hai.
37.
bechainiya samet kar sare jahan ki
jab kuchh na ban saka to mera dil bana diya.
Maktabe-ishk ka dastoor nirala dekha,
usko chhutti na mili jisne sabak yad kiya.
38.
parwane ko akkal nahin tabhi to parwana hai
chhod ke phool bahar ke shama pe marta hai.
deewano ki yeh baatein deewane jaante hai
jalne mein kya maaza hai parwane jaante hai
39.
Apni haalat ka khud ahsaas nahi hai mujhko,
maine auro se suna hai ki pareshaan hun mein.
40.
jitana maayus hai woh shaksh bichadkar mujhase,
itani shiddat se to maine use chhaha bhi na tha.
41.
Mujhe Phoolon se Nahin Kaanton Se Mohabbat hai,
Aur Kyon na Ho, Kaanto ko murjhaane ka Dar jo nahin hota...
42.
Sara hi shehar uske janazay main tha shareek
tanhayee k khoof se mer gaya jo Ek shakhs
43.
Main Bhee Kharidar Hoon Main Bhi Khareedon Gaa
Piyar Kahan Bikta Hai Pata Bata Doo ........
44.
Gaib Bura Na Maan Jo Wayaj BURA Kahen...
Aisa Bhi Koi Hai, Jise Achcha Kahe Sabhi.
45.
khudh hi sach ke khilaf karte hain
khud hi khud ko maaf karte hain
dhool jami hai chehroon par
log aine Kyon Saaf karte hain?
46.
Kinare kinare par mat chalo
kinara toot jaayega
kisi paraye ke peeche mat bhago
koi apna chhoot jayega..
47.
Zaroori to nahin ke jeene ke liye sahaare hon...
Zaroori to nahin hum jinke hain woh bhi hammare ho...
Kuch kashtiyan doob bhi jayya karti hain...
Zaroori to nahin har kashti ke liye kinaare hon.
48.
Maana ke teri nazar main kuch nahin hain hum
Maana ke teri nazar main kuch nahin hain hum..
Magar unse zara jaakar poochiye
jinhe haasil nahin hain hum!!!
49.
Jo chupaani thi wahi baat bataa di mujhko
Zindagi tu ney bahot sakht sazaa di mujhko !!!
50.
Samundar par sakoon hai isleye gehra bhi hai
Warna machalti hui nadiyon main gehrai nahin hoti...
51.
Daulate dard ko duniya se chupa ker rakhoo
ankh mein ansoo na ho aur dil mein samandar rakhoo
52.
ye zamiiN roii aasmaan ke saath
jab Ramaayan jalii Quraan ke saath
be_zubaaN shakhs likh to saktaa hai
haath bhi kaaT do zabaan ke saath
pyar ek saahil hai toofano ke liye,
pyar aaina hai armano ke liye,
pyar ek mehfil hai anjano ke liye,
pyar ek khawaish hai apne pyar ko pane ke liye,
yeh pyar ek puja hai zindagi ke liye..
is puja ko yu ruswa na kiyiye khuda ke liye!!!
53.
" AAPNE HAATHO KI LAKEERO KO KYA DEKH RAHA HAI,
NASEEB UNKE BHI HOTA HAIN JINKE HAATH NAHI HOTA."
54.
Aankhon ki chilman mein hain adaayein hazaar,
Woh insaan hi kya, jise hua na kabhi pyaar.
55.
Tere azad bande ki na yeh duniya na woh duniya,
yaha marne ki pabandi waha jineki pabandi.
56.
Kyu hame kisiki talash hoti hai,
Kyu dil ko kisi ki aas hoti hai.
Chand ko dekho who bhi to tanha hai
Fir bhi uski chandni se roshan har raat hoti hai.
57.
Soch ko badlo, sitare badal jaayenge,
Najar ko badlo, najare badal jaayenge.
Kashtiya badalne ki zururat nahi,
Dishaon ko badlo, kinare badal jaayenge.
58.
Bhujhi hui shama phir se jal sakti hai,
Tufano mein ghiri khasti kinare lag sakti hai.
Mayus na hona, Iraade Na Badal,
Yeh kismet hai kabhi bhi badal sakti hai.
59.
rok to sakte nahin..zindagani ka safar
ho sake miljaaye raah me aur koi humsafar...
60.
ya to Diwaana Hanse, Ya Tu Jise Taufiq De,
Warna Is Jahaan Me aake Muskuraata Kaun he...
61.
PUT KAPUT TO KYON DHAN SANJHE.
PUT APUT TO KYON DHAN SANJHE.
(Aulad agar akalmand hai, Layak Hai to Daulat Ikatta Karne ki kya zarurat Hai,
Aulat Agar Nalayak hai Bewakuf hai to Daulat Ikataa Karne ki kya zarurat hai.)
62.
DEKHTE HI DEKHTE SHAITAAN BAN JATE HIN LOG
IMAAN KE BAZAAR MAIN BEIMAAN BAN JATE HAIN LOG
JO SHAHAR KI HAR GALI KA JANTE HAIN HAR MAKAAN
DEKHKAR ANDHE KO KYOON ANJAAN BAN JATE HAIN LOG
KIS KADAR BADLI HUEE HAI SHAKAL HAR INSAAN KI
KAL KHUDA THE AAJ KYOON HAIIWAAN BAN JATE HAIN LOG
PYAR KE KISSE MOHABBAT KI KAHANI BHULKAR
KATILOON JAISEE MUSKAAN BAN JATE HAIN LOG
KHOON BHAI KA BAHAKAR MAA KA SAUDA KAR RAHE
PHIR MULK AUR KAUM KI PEHCHAAN BAN JATE HAIN LOG
63.
Andhera maangane aaya tha roshani ki bheek
ham apna ghar jalate na to kya karte.
64.
Dushmano kai saath mere dost bhi aazad hai,
Dekhna hai fainkta hai muzpe pahla tir kaun!
65.
Tir khaake jab dekha kamigah ki taraf,
Mere hi dosto ki kataren nazar padi.
(kamigah - tir chala ke chhooph ne ki kjagah, hiding place)
66.
Mandir mein jaake pooja kar leta hu
Masjid mein jaake namaaz pad leta hu..
Kahi insaan se Farishta na ban jaaon
Isliye thoda sa Gunaah bhi kar leta hu..
67.
Kisamat, zazbaat aor Insaan
Khuda ne bhi kaya bhul bhuliyan banai hai
jahan zazbaat hai wahan kismat nahi
jahan kismat hai waha zazbaat nahi
Teri duniya bhi teri hi tarah hai
kitani apni hokar bhi kitani parai hai
68.
chirago ki roshni me har dard ko bhul jana hai,
mil kar sitaro se naya aasman sajana hai,
yaad ghar ki aane ka yahi to ek bahana hai,
ke ek aur naya din dur ghar se bitana hai.
69.
Saagar se uthi leherein kinaro se takra kar kyo laut jaati hai,
Karti hai who kinaro se bewafai ya saagar se wafa nibhati hai.
71.
Kehlata nahi shayar har likhne wala
hota nahi aashiq har dil wala
is mukaam ko pata hai
lakhon mein ek kismatwala.
72.
Jawani agar diwani na hoti to jahan mein mohabbat nahi hoti.
Ya tim timate sitarein na hote to raat itni suhani na hoti.
73.
Tut jaate hai kabhi gaherein rishtey bhi,
Gair ban jaate hai pal bhar mein apne bhi.
74.
Aaj Itni Bhi Mayassar Nahin Maikhane Me,
Jitni Ham Chod Diya karte the Paimaane Me..
75.
Girte hain sheh-sawar hi maidain-e-jung main,
Woh log kya giraingay jo ghutano ke bal chalain !!!
76.
Galat nahi ke zamane main lajawaab hain hum
Samajh sake na koi, woh kitaab hai hum
77.
Galib Bura Na Maan Jo Wayaj BURA Kahen...
Aisa Bhi Koi Hai, Jise Achcha Kahe Sabhi.
78.
Champion is not one who never fails,
but one who NEVER QUITS.....
79.
Nazakat is ki toh shishey sey bhi ziyada hey
Zameen-e-dil pey zara phoonk kar khadam rakhna ...
80.
Ab Ussey Kaun bataaey Dilon ki majboori
Mein Kiya karoon ke Naya humsafar bhi acha hai
81.
Yeh Sonchon K Hai Bal Kitna In Ki Mounjon Mein
Yeh Mat Dekho Daryaon Mein Paani Kitna Hai.......
82.
Jahan rahe ga waheen raushni lutaye ga
Chiragh ka apna koi makan nahi hota
83.
Yahan kisi ko bhi hasb e aarzu na mila
Kisi ko hum na mile aur koi humko na mila
1.
Saaman-e-Tijaarat meraa imaan nahii.n hai
saaman-e-tijaarat meraa imaan nahii.n hai
har dar pe jhuke sar ye merii shaan nahii.n hai
[tijaarat = trade]
har lafz ko siine me.n basaa lo to bane baat
taako.n me.n sajaane ko ye quraan nahii.n hai
[taak = shelf]
allaah merii rizq kii barakat na chalii jaaye
do roz se ghar me.n ko_ii mahamaan nahii.n hai
[rizq = subsistence/daily bread; barakat = abundance/good fortune]
ham ne to banaaye hai.n samandar me.n bhii raste
yuu.N ham ko miTaana ko_ii aasaan nahii.n hai
jis ko buzurgo.n kii rivaayat na rahe yaad
us shaKhs kii logo.n ko_ii pahachaan nahii.n hai
[buzurg = elder]
Recited at Red Fort mushaira, New Delhi on 23rd January, 2001
Majid DeoBandi..
2.
Saaya banke saath chalenge iske bharose mat rehna,
Apne hamesha apne rahenge iske bharose mat rehna
Saawan ka mahina aate hi Baadal to chaa jaayenge,
Har Haal me lekin Barsenge iske bharose mat rehna
Suraj ke Manind Safar par roz nikalna padta hai
Baithe Baithe Din Badlenge Iske Bharose mat rehna,
Saaya banke saath chalenge iske bharose mat rehna,
Behti Nadi mein Kache Ghade Hain,Rishte Naate Husn Wafaa
Dur Talak yeh Behte Rahenge, Iske Bharose mat rehna...
Saaya banke saath chalenge iske bharose mat rehna,
3.
Deewaron Se Milkar Rona Acha Lagta Hai,
Hum Bhi Paagal ho jayenge Aisa Lagta Hai,
Duniya Bhar ki yadein hamse Milne Aati hain,
Shaam Dhale Is sune ghar me Mela Lagta Hai,
ham bhi paagal hojayenge aisa lagta hai,
Kitne Dinon Ke Pyaase Honge Yaron Socho to,
Shabnam ka Katra Bhi Jinko Darya Lagta hai,
ham bhi paagal hojayenge aisa lagta hai,
Kisko Qaisar pathar marron, Kaun Paraaya hai
Sheesh Mahal Me Ek EK Chehra Apna lagta hai..
4.
jis din se woh Juda hamse hue..is dil ne dhadakna chod diya
hai chand ka muh utra utra Taaron ne Chamakna chod diya..
woh paas hamaare rehte thei, beroot bhi bahaar ajaati thi
ab laakh bahaarein aayen to kya, phulon ne mehakna chod diya
Taaron ne Chamakna chod diya...is dil ne dhadakna chod diya
Hamraah koi saathi bhi nahin, ab yaad koi baaki bhi nahin,
Ab Phool khilen zakhmon ke to kya, aankhon ne barasna chod diya,
Taaron ne Chamakna chod diya...is dil ne dhadakna chod diya
Hamne yeh duaa jab bhi maangi, Taqdeer badalde Ae Maalik,
Aawaaz aayee ke ab hamne, Taqdeer badalna chod diya...
hai chand ka muh utra utra Taaron ne Chamakna chod diya..
jis din se woh Juda hamse hue..is dil ne dhadakna chod diya
5.
apanaa Gam leke kahii.n aur na jaayaa jaaye
ghar me.n bikharii huii chiizo.n ko sajaayaa jaaye
jin chiraaGo.n ko havaao.n kaa koii Khauf nahii.n
un chiraaGo.n ko havaao.n se bachaayaa jaaye
baag me.n jaane ke aadaab huaa karate hai.n
kisii titalii ko na phuulo.n se u.Daayaa jaaye
Khudakushii karane kii himmat nahii.n hotii sab me.n
aur kuchh din yuu.N hii auro.n ko sataayaa jaaye
ghar se masjid hai bahut duur chalo yuu.N kar le.n
kisii rote hue bachche ko ha.Nsaaya jaaye
6.
hamane apanaa liyaa har rang zamaane vaalaa
us ko ruKhsat to kiyaa thaa mujhe maaluum na thaa
saaraa ghar le gayaa, ghar chhod ke jaane vaalaa
ik musaafir ke safar jaisii hai sab kii duniyaa
ko_ii jaldii me.n ko_ii der se jaane vaalaa
ek be-cheharaa sii ummiid hai cheharaa-cheharaa
jis taraf dekhiye aane ko hai aane vaalaa
7.
badalaa na apane aap ko jo the vahii rahe
milate rahe sabhii se magar ajanabii rahe
duniyaa na jiit paao to haaro na Khud ko tum
ThoDii bahut to zahan men naaraazagii rahe
apanii tarah sabhii ko kisii kii talaash thii
ham jisake bhii qariib rahe duur hii rahe
guzaro jo baaG se to duaa maaNgate chalo
jisamen khile hain phuul vo Daalii harii rahe
8.
dekhaa huaa saa kuchh hai to sochaa huaa saa kuchh
har vaqt mere saath hai ulajhaa huaa saa kuchh
hotaa hai yuu.N bhii raastaa khulataa nahii.n kahii.n
ja.ngal-saa phail jaataa hai khoyaa huaa saa kuchh
saahil kii gilii ret par bachcho.n ke khel-saa
har lamhaa mujh me.n banataa bikharataa huaa saa kuchh
[saahil=shore; giilii=wet; lamhaa=moment]
fursat ne aaj ghar ko sajaayaa kuchh is tarah
har shay se muskuraataa hai rotaa huaa saa kuchh
[fursat=leisure; shay=object/thing]
dhu.Ndhalii sii ek yaad kisii qabr kaa diyaa
aur mere aas-paas chamkataa huaa saa kuchh
9.
dil men na ho jurrat to muhabbat nahii.n milatii
Khairaat men itanii ba.Dii daulat nahii.n milatii
[jurrat=courage; Khairaat=charity]
kuchh log yuuN hii shahar men ham se bhii Khafaa hain
har ek se apanii bhii tabiiyat nahii.n milatii
[Khafaa=annoyed/angry]
dekhaa thaa jise main ne ko_ii aur thaa shaayad
vo kaun hai jis se terii suurat nahiin milatii
haNsate huye cheharon se hai baazaar kii ziinat
rone ko yahaaN vaise bhii fursat nahii.n milatii
[ziinat=beauty/adornment; fursat=leisure time]
10.
diivaar-o-dar se utar ke parachhaa_iyaa.N bolatii hai.n
ko_ii nahii.n bolataa jab tanahaa_iyaa.N bolatii hai.n
pardes ke raaste me.n luTate kahaa.N hai.n musaafir
har pe.D kahataa hai qissaa purvaa_iyaa.N bolatii hai.n
mausam kahaa.N maanataa hai tahaziib kii bandhisho.n ko
jismo.n se baahar nikal ke anga.Daa_iyaa.N bolatii hai.n
sun ne kii mohalat mile to aavaaz hai patajharo.n me.n
uja.Dii hu_ii bastiyo.n me.n aabaadiyaa.N bolatii hai.n
11..
dhuup me.n nikalo ghaTaao.n me.n nahaa kar dekho
zindagii kyaa hai kitaabo.n ko haTaa kar dekho
vo sitaaraa hai chamakane do yuu.N hii aa.Nkho.n me.n
kyaa zaruurii hai use jism banaakar dekho
pattharo.n me.n bhii zubaa.N hotii hai dil hote hai.n
apane ghar kii dar-o-diivaar sajaa kar dekho
faasalaa nazaro.n kaa dhokaa bhii to ho sakataa hai
vo mile yaa na mile haath ba.Daa kar dekho
12.
duniyaa jise kahate hai.n jaaduu kaa khilonaa hai
mil jaaye to miTTii hai kho jaaye to sonaa hai
achchhaa saa koii mausam tanahaa saa koii aalam
har vaqt aa ronaa to bekaar kaa ronaa hai
barasaat kaa baadal to diivaanaa hai kyaa jaane
kis raah se bachanaa hai kis chhat ko bhigonaa hai
Gam ho ki Khushii dono.n kuchh der ke saathii hai.n
phir rastaa hii rastaa hai ha.Nsanaa hai na ronaa hai
13.
garaj baras pyaasii dhartii par phir paanii de maulaa
chi.Diyo.n ko daanaa, bachcho.n ko gu.Dadhaanii de maulaa
do aur do kaa jo.D hameshaa chaar kahaa.N hotaa hai
soch samajhavaalo.n ko tho.Dii naadaanii de maulaa
phir roshan kar zahar kaa pyaalaa chamakaa naii saliibe.n
jhuuTho.n kii duniyaa me.n sach ko taabaanii de maulaa
[saliibe.n=Christian cross; taabaanii - brightness]
phir muurat se baahar aakar chaaro.n or bikhar jaa
phir ma.ndir ko koii miiraa diivaanii de maulaa
tere hote koii kisii kii jaan kaa dushman kyo.n ho
jiinevaalo.n ko marane kii aasaanii de maulaa
14.
har gha.Dii Khud se ulajhanaa hai muqaddar meraa
mai.n hii kashtii huu.N mujhii me.n hai sama.ndar meraa
kis se puuchhuuN ki kahaaN gum huuN barason se
har jagah DhuuNdhataa phirataa hai mujhe ghar meraa
ek se ho gae mausamon ke chehare saare
merii aaNkho.n se kahiin kho gayaa manzar meraa
muddate.n biit gaii Khvaab suhaanaa dekhe
jaagataa rahataa hai har nii.nd me.n bistar meraa
aaiinaa dekhake nikalaa thaa main ghar se baahar
aaj tak haath men mahafuus hai patthar meraa
15.
tanahaaiiyon kaa shikaar aadamii
har taraf har jagah beshumaar aadamii
phir bhii tanahaaiiyon kaa shikaar aadamii
subah se shaam tak bojh Dhotaa huaa
apanii hii laash kaa Khud mazaar aadamii
har taraf bhaagate dauDate raaste
har taraf aadamii kaa shikaar aadamii
roz jiitaa huaa roz marataa huaa
har nae din nayaa intazaar aadamii
zindagii kaa muqaddar safar dar safar
aaKhirii saa.Ns tak beqaraar aadamii
16.
hosh vaalo.n ko Khabar kyaa beKhudii kyaa chiiz hai
ishq kiije phir samajhiye zindagii kyaa chiiz hai
un se nazare.n kyaa milii raushan fizaaye.n ho ga_ii.n
aaj jaanaa pyaar kii jaaduugarii kyaa chiiz hai
Khulatii zulfo.n ne sikhaa_ii mausamo.n ko shaayarii
jhukatii aa.Nkho.n ne bataayaa maikashii kyaa chiiz hai
ham labo.n se kah na paaye un se haal-e-dil kabhii
aur vo samajhe nahii.n ye Khaamoshii kyaa chiiz hai
17.
jab kisii se koii gilaa rakhanaa
saamane apane aaiiinaa rakhanaa
yuu.N ujaalo.n se vaasta rakhanaa
shammaa ke paas hii hava rakhanaa
ghar kii taamiir chaahe jaisii ho
is me.n rone kii jagah rakhanaa
masjide.n hai.n namaaziyo.n ke liye
apane ghar me.n kahii.n Khudaa rakhanaa
milanaa jhulanaa jahaa.N zaruurii ho
milane-jhulane kaa hausalaa rakhanaa
18.
kabhii kabhii yuu.N bhii hamane apane hii ko bahalaayaa hai
jin baato.n ko Khud nahii.n samajhe auro.n ko samajhaayaa hai
hamase puuchho izzat vaalo.n kii izzat kaa haal kabhii
hamane bhii is shahar men rah kar thoDaa naam kamaayaa hai
usase bichhaDe barason biite lekin aaj na jaane kyon
aaNgan men haste bachchon ko bekaaran dhamakaayaa hai
koii milaa to haath milaayaa kahii.n gae to baate.n kii
ghar se baahar jab bhii nikale din bhar bhoj uThaayaa hai
19.
kahii.n chhat thii diivaar-o-dar the kahii.n
milaa mujhako ghar kaa pataa der se
diyaa to bahut zindagii ne mujhe
magar jo diyaa vo diyaa der se
[dar=door]
huaa na ko_ii kaam maamuul se
guzaare shab-o-roz kuchh is tarah
kabhii chaa.Nd chamakaa Galat vaqt par
kabhii ghar me.n suuraj ugaa der se
[maamuul=custom/practice; shab-o-roz=night and day]
[Galat=wrong]
kabhii ruk gaye raah me.n besabab
kabhii vaqt se pahale ghir aa_ii shab
huye ba.nd daravaaze khul khul ke sab
jahaa.N bhii gayaa mai.n gayaa der se
[besabab=without reason]
ye sab ittifaaqaat kaa khel hai
yahii hai judaa_ii yahii mel hai
mai.n mu.D mu.D ke dekhaa kiyaa duur tak
banii vo Khaamoshii sadaa der se
[ittifaaqaat=chance occurrences]
sajaa din bhii raushan hu_ii raat bhii
bhare jaam laharaa_ii barasaat bhii
rahe saath kuchh aise haalaat bhii
jo honaa thaa jaldii huaa der se
bhaTakatii rahii yuu.N hii har ba.ndagii
milii na kahii.n se ko_ii raushanii
chhupaa thaa kahii.n bhii.D me.n aadamii
huaa mujh me.n raushan Khudaa der se
21.
kuchh tabiyat hii milii thii aisii chain se jiine kii suurat na hu_ii
jis ko chaahaa use apanaa na sake jo milaa us se muhabbat na hu_ii
jis se jab tak mile dil hii se mile dil jo badalaa to fasaanaa badalaa
rasme.n duniyaa kii nibhaane ke liye hamase rishto.n kii tijaarat na hu_ii
duur se thaa vo ka_ii cheharo.n me.n paas se ko_ii bhii vaisaa na lagaa
bevafaa_ii bhii usii kaa thaa chalan phir kisii se hii shikaayat na hu_ii
vaqt ruuThaa rahaa bachche kii tarah raah me.n ko_ii khilaunaa na milaa
dostii bhii to nibhaa_ii na ga_ii dushmanii me.n bhii adaavat na hu_ii
20.
masjidon-mandiron kii duniyaa me.n
mujhako pahachaanate kahaaN hain log
roz main chaaNd ban ke aataa huuN
din men suuraj saa jagamagaataa huuN
khan-khanaataa huuN maaN ke gahano.n me.n
ha.Nsataa rahataa huu.N chhup ke bahano.n me.n
[maa.N=mother; gahanaa=jewellery]
mai.n hii mazaduur ke pasiine me.n
mai.n hii barasaat ke mahiine me.n
[mazaduur=labourer; pasiinaa=sweat; mahiinaa=month]
merii tasviir aa.Nkh kaa aa.Nsuu
merii tahariir jism kaa jaduu
[tahariir=handwriting]
masjido.n-mandiro.n kii duniyaa me.n
mujhako pahachaanate nahii.n jab log
mai.n zamiino.n ko be-ziyaa karake
aasamaano.n me.n lauT jaataa huu.N
[be-ziyaa=without light]
mai.n Khudaa ban ke qahar Dhaataa huu.N
[qahar=rage/anger; qahar Dhaanaa=wreak havoc/destroy]
21
muu.Nh kii baate.n sune har ko_ii, dil kaa dard na jaane kaun
aavaazo.n ke baazaaro.n me.n Khaamoshii pahachaane kaun
sadiyo.n sadiyo.n vahii tamaashaa rastaa rastaa lambii khoy
lekin jab ham mil jaate hai.n, kho jaataa hai jaane kaun
vo meraa aa_iinaa hai mai.n us kii parachhaa_ii huu.N
mere hii ghar me.n rahataa hai, mujh jaisaa hii jaane kaun
kirat kirat halkaa saa suuraj, palal palak khulatii nii.nde.n
yuu.N hii dilpighal rahaa hai, zarraa-zarraa jaane kaun
22
masjid jaaye maulavii, koyal gaaye giit
sab kii puujaa ek sii, alag alag har riit
masjid jaaye maulavii, koyal gaaye giit
puujaa ghar me.n muurtii, miiraa ke sang shyaam
jitanii jisakii chaakarii, utane usake daam
siitaa-raava.Nn, raam kaa, kare.n vibhaajan log
ek hii tan me.n dekhiye, tiino.n kaa sa.njog
miTTii se maaTii mile, kho ke sabhii nishaa.N
kis me.n kitanaa kaun hai, kaise ho pahachaan
23.
achchhii suurat vaale saare patthar-dil ho mumkin hai
tanhaa tanhaa ham ro le.nge mahafil mahafil gaaye.nge
jab tak aa.Nsuu paas rahe.nge tab tak giit sunaaye.nge
tum jo socho vo tum jaano ham to apanii kahate hai.n
der na karanaa ghar jaane me.n varanaa ghar kho jaaye.nge
bachcho.n ke chhoTe haatho.n ko chaa.Nd sitaare chhuune do
chaar kitaabe.n pa.Dh kar vo bhii ham jaise ho jaaye.nge
kin raaho.n se duur hai ma.nzil kaun saa rastaa aasaa.N hai
ham jab thak kar ruk jaaye.nge auro.n ko samajhaaye.nge
achchhii suurat vaale saare patthar-dil ho mumkin hai
ham to us din raa_e de.nge jis din dhokaa khaaye.nge
24.
safar me.n dhuup to hogii jo chal sako to chalo
sabhii hai.n bhii.D me.n tum bhii nikal sako to chalo
idhar udhar ka_ii ma.nzil hai.n chal sako to chalo
bane banaaye hai.n saa.Nche jo Dhal sako to chalo
kisii ke vaasate raahe.n kahaa.N badalatii hai.n
tum apane aap ko Khud hii badal sako to chalo
yahaa.N kisii ko koii raastaa nahii.n detaa
mujhe giraake agar tum sambhal sako to chalo
yahii hai zindagii kuchh Khvaab chand ummiide.n
inhii.n khilauno.n se tum bhii bahal sako to chalo
har ik safar ko hai mahafuus raasto.n kii talaash
hifaazato.n kii rivaayat badal sako to chalo
kahii.n nahii.n ko_ii suuraj, dhuaa.N dhuaa.N hai fizaa
Khud apane aap se baahar nikal sako to chalo
25.
teraa hijr meraa nasiib hai teraa Gam hii merii hayaat hai
mujhe terii duurii kaa Gam ho kyo.n tuu kahii.n bhii ho mere saath hai
mere vaaste tere naam par koii harf aaye nahii.n nahii.n
mujhe Khauf-e-duniyaa nahii.n magar mere ruu-ba-ruu terii zaat hai
teraa vasl ai merii dilarubaa nahii.n merii kismat to kyaa huaa
merii mahajabii.n yahii kam hai kyaa terii hasarato.n kaa to saath hai
teraa ishq mujh pe hai maharabaa.N mere dil ko haasil hai do jahaa.N
merii jaan-e-jaa.N isii baat par merii jaan jaaye to baat hai
26.
dostii jab kisii se kii jaaye
dostii jab kisii se kii jaaye
dushmano.n kii bhii raaye lii jaaye
maut kaa zahar hai fizaao.n me.n
ab kahaa.N jaa ke saa.Ns lii jaaye
bas isii soch me.n huu.N Duubaa huaa
ye nadii kaise paar kii jaaye
mere maazii ke zaKhm bharane lage
aaj phir ko_ii bhuul kii jaaye
botale.n khol ke to pii baraso.n
aaj dil khol ke bhii pii jaaye
27.
kitanii pii kaise kaTii raat mujhe hosh nahii.n
raat ke saath ga_ii baat mujhe hosh nahii.n
mujh ko ye bhii nahii.n maaluum ki jaanaa hai kahaa.N
thaam le ko_ii meraa haath mujhe hosh nahii.n
aa.Nsuo.n aur sharaabo.n me.n guzar hai ab to
mai.n ne kab dekhii thii barasaat mujhe hosh nahii.n
jaane kyaa TuuTaa hai paimaanaa ki dil hai meraa
bikhare bikhare hai.n Khayaalaat mujhe hosh nahii.n
log har mo.D pe ruk ruk ke sambhalate kyuu.N hai.n
itanaa Darate hai.n to phir ghar se nikalate kyuu.N hai.n
mai.n na juganuu huu.N diyaa huu.N na ko_ii taaraa huu.N
raushanii vaale mere naam se jalate kyuu.N hai.n
niind se meraa ta'alluq hii nahii.n baraso.n se
Khvaab aa aa ke merii chhat pe Tahalate kyuu.N hai.n
mo.D hotaa hai javaanii kaa sambhalane ke liye
aur sab log yahii.n aake phisalate kyuu.N hai.n
28
ajanabii Khauf fizaao.n me.n basaa ho jaise
ajanabii Khauf fizaao.n me.n basaa ho jaise
sahar kaa shahar hii aaseb_zadaa ho jaise
[aaseb_zadaa = haunted]
raat ke pichhale pahar aatii hai.n aavaaze.n sii
duur saharaa me.n ko_ii chiiKh rahaa ho jaise
[chiiKh = scream]
dar-o-diivaar pe chhaa_ii hai udaasii aisii
aaj har ghar se janaazaa-saa uThaa ho jaise
muskuraataa huu.N pa-e-Khaatir-e-ahabaab magar
dukh to chehare kii lakiiro.n pe sajaa ho jaise
[pa-e-Khaatir-e-ahabaab = for the welcome of friends]
ab agar Duub gayaa bhii to maruu.Ngaa na 'Kamaal'
bahate paanii pe meraa naam likhaa ho jaise
29.
ko_ii cheharaa huaa roshan na ujaagar aa.Nkhe.n
ko_ii cheharaa huaa roshan na ujaagar aa.Nkhe.n
aa_iinaa dekh rahii thii.n merii patthar aa.Nkhe.n
le u.Dii vaqt ki aa.Ndhii jinhe.n apane ham_raah
aaj phir Dhuu.NDh rahii hai.n vahii manzar aa.Nkhe.n
phuuT nikalii.n to ka_ii shahar-e-tamannaa Duube
ek qatre ko tarasatii hu_ii banjar aa.Nkhe.n
us ko dekhaa hai to ab shauq kaa vo aalam hai
apane halako.n se nikal aa_ii hai.n baahar aa.Nkhe.n
tuu nigaaho.n kii zubaa.N Khuub samajhataa hogaa
terii jaanib to uThaa karatii hai.n aksar aa.Nkhe.n
log marate na dar-o-baam se Takaraa ke kabhii
dekh lete jo 'Kamaal' us kii samandar aa.Nkhe.n
30.
aashiqii be-dilii se mushkil hai
aashiqii be-dilii se mushkil hai
phir muhabbat usii se mushkil hai
ishq aaGaaz hii se mushkil hai
sabr karanaa abhii se mushkil hai
ham ?? aasaa.N hai.n aur hamaare liye
dushmanii dostii se mushkil hai
jis ko sab be-vafaa samajhate ho.n
bevafaa_ii usii se mushkil hai
ek do duusare se sahel na jaan
har ko_ii har kisii se mushkil hai
[sahel=approachable]
tuu baa-zid hai to jaa 'Faraz' magar
vaapasii us galii se mushkil hai
.
31.
ab ke ham bichha.De to shaayad kabhii Khvaabo.n me.n mile.n
jis tarah suukhe hue phuul kitaabo.n me.n mile.n
Dhuu.NDh uja.De hue logo.n me.n vafaa ke motii
ye Khazaane tujhe mumkin hai Kharaabo.n me.n mile.n
[uja.De=desolated, ruined; Kharaab=bad]
tuu Khudaa hai na meraa ishq farishto.n jaisaa
dono.n insaa.N hai.n to kyo.n itane hijaabo.n me.n mile.n
[hijaab - veil, here it means barrier]
Gam-e-duniyaa bhii Gam-e-yaar me.n shaamil kar lo
nashaa ba.Dataa hai sharabe.n jo sharaabo.n me.n mile.n
aaj ham daar pe khe.nche gaye jin baato.n par
kyaa ajab kal vo zamaane ko nisaabo.n me.n mile.n
ab na vo mai.n huu.N na tu hai na vo maazii hai `Faraaz',
jaise do shaKhs tamannaa ke saraabo.n me.m mile.n
[maazii=past; saraab - illusion, mirage]
32.
ham ko kisake Gam ne maaraa ye kahaanii phir sahii
kisane to.Daa dil hamaaraa ye kahaanii phir sahii
dil ke luTane kaa sabab puuchho na sab ke saamane
naam aayegaa tumhaaraa ye kahaanii phir sahii
nafarato.n ke tiir khaa kar dosto.n ke shahar me.n
ham ne kis kis ko pukaaraa ye kahaanii phir sahii
kyaa bataaye.n pyaar kii baazii vafaa kii raah me.n
kaun jiitaa kaun haaraa ye kahaanii phir sahii
33.
KATIN hai rah guzar thodi dur saath chalo..
Bahot Kadaa hai Safar Thodi dur saath chalo..
Tamam Umr Kahaan Koi Saath Deta Hai..
Mein Jaanta Hun Magar Thodi Dur Saath Chalo...
Yeh Ek Shab ki Mulaaqat bhi Ganimat hai..
Kise Hai Kal ki Khabar Thodi Doooor saath Chalo..
Bahot Kadaa hai Safar Thodi dur saath chalo..
Abhi to Jaag Rahe Hain Chiraag Rahon Ke...
Abhi hai Doooor Sehar Thodi dur Saath Chalo..
34.
kare dariyaa na pul mismaar mere
abhii kuchh log hai.n us paar mere
[mismaar =destroy]
bahut din guzare ab dekh aa_uu.N ghar ko
kahe.nge kyaa dar-o-diivaar mere
vahii.n suuraj kii nazare.n thii.n ziyaadaa
jahaa.N the pe.D saayaadaar mere
vahii ye shahar hai to shahar vaalo
kahaa.N hai kuuchaa-o-baazaar mere
tum apanaa haal-e-mahajuurii sunaao
mujhe to khaa gaye aazaar mere
[haal-e-mahajuurii=state of separation; aazaar=illness/woes]
jinhe.n samajhaa thaa jaan_paravar mai.n ab tak
vo sab nikale kafan bar_daar mere
[jaan=life; paravar=protector/nourisher]
[kafan-bardaar=shroud bearer]
guzarate jaa rahe hai.n din havaa se
rahe.n zindaa salamaat yaar mere
dabaa jis se usii patthar me.n Dhal kar
bike chehare sar-e-baazaar mere
[sar-e-baazaar=in public]
dariichaa kyaa khulaa merii Gazal kaa
havaaye.n le u.Dii ashaar mere
[dariichaa=window; ashaar=plural of sher (couplet)]
35.
hazaar Gam the merii zindagii akelii thii
Mahir Ratlami
hazaar Gam the merii zindagii akelii thii
Khushii jahaa.N kii mere vaaste pahelii thii
[pahelii=riddle]
vo aaj bach ke nikalate hai.n mere saaye se
ki mai.n ne jin ke liye Gam kii dhuup jhelii thii
judaa hu_ii na kabhii mujh se gardish-e-dauraa.N
merii hayaat kii bachapan se ye sahelii thii
[gardish-e-dauraa.N=wheel of time; hayaat=life]
cha.Dhaa rahe hai.n vo hii aaj aastii.n mujh par
ki jin kii piiTh pe kal tak merii hathelii thii
[aastii.n=sleeve]
ab un kii qabr pe jalataa nahii.n diyaa ko_ii
ki jin kii dahar me.n roshan bahut havelii thii
[qabr=grave; dahar=world]
vo jhuk ke phir merii turbat pe kar rahe hai.n salaam
isii adaa ne to "Mahir" kii jaan le lii thii
[turbat=grave]
36.
itanaa chale ke jism hamaaraa pighal gayaa
saare badan ka Khuun pasiine me.n jal gayaa
itanaa chale ke jism hamaaraa pighal gayaa
chalathe ki gin rahe the musiibaat ke raat din
dam lene ham jo baiTh gaye dam nikal gayaa
achchhaa huaa jo raah me.n Thokar lagii hame.n
ham gir paDe to saaraa zamaanaa sambhal gayaa
vahashat me.n ko_ii saath hamaaraa na de sakaa
daaman kii fikr kii to garebaa.N nikal gayaa
37.
kamaal-e-ishq hai diivaanaa ho gayaa huu.N mai.n
kamaal-e-ishq hai diivaanaa ho gayaa huu.N mai.n
ye kis ke haath se daaman chhu.Daa rahaa huu.N mai.n
[kamaal-e-ishq=limits of love]
tumhii.n to ho jise kahatii hai naaKhudaa duniyaa
bachaa sako to bachaa lo ki Duubataa huu.N mai.n
[naaKhudaa=boatsman]
ye mere ishq kii majabuuriyaa.N ma'az-allaah
tumhaaraa raaz tumhii.n se chhupaa rahaa huu.N mai.n
[ma'az-allah=In the protection of God/at the mercy of God]
is ik hijaab pe sau be-hijaabiyaa.N sadaqe
jahaa.N se chaahataa huu.N tumko dekhataa huu.N mai.n
[hijaab=veil]
bataane vaale vahii.n par bataate hai.n ma.nzil
hazaar baar jahaa.N se guzar chukaa huu.N mai.n
kabhii ye zom ki tuu mujh se chhup nahii.n sakataa
kabhii ye vaham ki Khud bhii chhupaa huaa huu.N mai.n
[zom=conviction/belief]
mujhe sune na ko_ii mast-e-baadaa-e-isharat
'Majaz' TuuTe huye dil kii ik sadaa huu.N mai.n
[mast-e-baadaa-e-isharat= drunk on the wine of 'isharat' (happiness)]
Majaz Lucknowi
38.
tumhe.n hai shauq agar bijaliyaa.N giraane kaa
tumhe.n hai shauq agar bijaliyaa.N giraane kaa
hamaaraa kaam bhii hai aashiyaa.N banaane kaa
bhalaa vo kaise samandar ke paar utaregaa
nafas nafas jinhe.n Khadshaa hai Duub jaane kaa
sunaa hai aap hai.n maahir havaa chalaane me.n
magar hame.n bhii hunar hai diye jalaane kaa
Recited at Red Fort mushaira, New Delhi on 23rd January, 2001
39.
bikharate TuuTate lamho.n ko apanaa ham_safar jaanaa
thaa is raah me.n aaKhir hame.n Khud bhii bikhar jaanaa
havaa ke dosh par baadal ke Tuka.De kii tarah ham hai.n
kisii jho.nke se puuchhe.nge ki hai ham ko kidhar jaanaa
[dosh=shoulder]
mere jalate hue ghar kii nishaanii bas yahii hogii
jahaa.N is shahar me.n raushanii dekho Thahar jaanaa
pas-e-zulmat ko_ii suuraj hamaaraa muntazir hogaa
isii ek vaham ko ham ne chiraaG-e-rah_guzar jaanaa
[pas-e-zulmat=beyond the darkness; muntazir=waiting]
dayaar-e-Khaamashii se ko_ii rah-rah kar bulaataa hai
hame.n "Makhmoor" ek din hai isii aavaaz par jaanaa
[dayaar-e-Khaamashii=house of death]
Makhmoor Saeedi
40.
na sochaa na samajhaa na siikhaa na jaanaa
mujhe aa gayaa Khud_ba_Khud dil lagaanaa
zaraa dekh kar apanaa jalwaa dikhaanaa
simaT kar yahii.n aa na jaaye zamaanaa
zubaa.N par lagii hai.n wafaao.n ki muhare.n
Khamoshii merii kah rahii hai fasaanaa
gulo.n tak lagaayii to aasaa.N hai lekin
hai dushwaar kaa.NTo.n se daaman bachaanaa
karo laakh tum maatam-e-naujavaanii
pa 'mir' ab nahii.n aayegaa woh zamaanaa
41.
ba.D gayaa thaa pyaas kaa ehasaas dariyaa dekh kar
ham palaT aaye magar paanii ko pyaasaa dekh kar
ham bhii hai.n shaayad kisii bhaTakii huii kashtii ke log
chiikhane lagate hai.n Khvaabo.n me.n jaziiraa dekha kar
jis kii jitanii haisiyat hai usake naam utanaa Khuluus
bhiik dete hai.n yahaa.N ke log kasaa dekh kar
maa.Ngate hai.n bhiik ab apane muhallo.n me.n faqiir
bhuuk bhii muhataat ho jaatii hai khatraa dekh kar
Khud_kushii likhii thii ek bevaa ke chehare par magar
phir vo zi.ndaa ho gayii bachchaa bilakataa dekh kar
42.
ek TuuTii huii za.njiir kii fariyaad hai.n ham
aur duniyaa ye samajhatii hai ke aazaad hai.n ham
kyo.n hame.n log samajhate hai.n yahaa.N paradesii
ik muddat se isii shahar me.n aabaad hai.n ham
kaahe kaa tark-e-vatan kaahe kii hijaarat baabaa
isii dhartii kii isii desh kii aulaad hai.n ham
ham bhii taamiir-e-vatan me.n hai.n baraabar ke shariik
dar-o-diivaar agar tum ho to buniyaad hai.n ham
ham ko is daur-e-taraqqii ne diyaa kyaa "Meraj"
kal bhii barbaad the aur aaj bhii barbaad hai.n ham
43.
tere baare me.n jab sochaa nahii.n thaa
mai.n tanhaa thaa magar itanaa nahii.n thaa
terii tasviir se karataa thaa baate.n
mere kamare me.n aa_iinaa nahii.n thaa
sama.ndar ne mujhe pyaasaa hii rakhaa
mai.n jab seharaa me.n thaa pyasaa nahii.n thaa
manaane-ruuThane ke khel me.n ham
bichha.D jaaye.nge ye sochaa nahii.n thaa
sunaa hai band kar li us ne aa.Nkhe.n
ka_ii raato.n se vo soyaa nahii.n thaa
44.
dil hai hiire kii kaanii jism gulaabo.n vaalaa
dil hai hiire kii kaanii jism gulaabo.n vaalaa
meraa mahabuub hai dar_asl kitaabo.n vaalaa
[kaanii = mine; dar_asl = in reality]
husn hai rang hai shoKhii hai adaa hai us me.n
ek hii jaam magar kitanii sharaabo.n vaalaa
[jaam = wine goblet]
yaar aa_iinaa huaa karate hai.n yaaro.n ke liye
teraa cheharaa to abhii tak hai naqaabo.n vaalaa
mujh se hogii nahii.n duniyaa ye tijaarat dil kii
mai.n karuu.N kyaa ke meraa zahan hai Khvaabo.n vaalaa
[tijaarat = trade/buying and selling; zahan = mind]
tuu rahegaa na tere zulm rahe.nge baaqii
din to aanaa hai kisii roz hisaabo.n vaalaa
husn-e-bebaak se ho jaatii hai.n aa.Nkhe.n roshan
dil me.n utaraa hai magar ruup hijaabo.n vaalaa
[bebaak = bold/outspoken; hijaab = bashfulness/shyness]
jo nazar aataa hai haasil nahii.n hotaa 'Manzar'
zindagaanii kaa safar bhii hai saraabo.n vaalaa
[saraab = mirage]
45.
judaa_ii ho ke milan har adaa hamaarii hai
tumhaaraa shahar hai lekin fizaa hamaarii hai
shikaayate.n bhii kare.n ham to kis zabaan se kare.n
Khudaa banaayaa ham ne ye Khataa hamaarii hai
[Khataa = mistake]
hamaare jism kii uriyaanat pe mat ha.Nsanaa
ke tum jo o.Dhe hue ho vo ridaa hamaarii hai
[uriyaanat = nakedness/nudity; ridaa = cloak/sheet]
hamaare saamane zebaa nahii.n Guruur tumhe.n
jahaa.N pe baiThe ho tum vo jagaa hamaarii hai
[zebaa nahii.n = does not suit; Guruur = pride]
[jagaa = place(jagah)]
Manzar Bhopali...
46.
UNGLIYA:
JAB NAM TERA PYAR SE LIKHTI HAI UNGLIYA,
MERI TARAF JAMANE KI UTHTI HAI UNGLIYA
JIS DIN SE GAYE DOOR TUM, US DIN SE HI SANAM,
DIN RAT TERE AANE KE PAL, GINTI HAI UNGLIYA
DAMAN SANAM KA HATH ME AAYA THA EK PAL,
DIN RAT US PAL SE HI MAHAKTI HAI UNGLIYA
PATHTHAR TARASH KAR NA BANA, TAJ EK NAYA,
FANKAR KI IS JAHAN ME, KUT TI HAI UNGLIYA
JAB NAM TERA PYAR SE LIKHTI HAI UNGLIYA,
MERI TARAF JAMANE KI UTHTI HAI UNGLIYA
47.
KALIYOON KO BHI PEROON SE MASALNA PADA MUJHE
JINE KA APNA DHANG HI BADALNA PADA MUJHE
HAATH KO BHI HAATH JAHAN SUJHTA NAHIN HAI
UN RASTOON PE AKSAR CHALNA PADA MUJHE
KYA PUCHTE HO MERI TARAQQEE KI DASTAAN
HAR ROJ NAYE SANCHE MAIN DHALNA PADA MUJHE
CHUPANA JISE BADA HI AHAM THA -E- DOSTO
VO RAAJ BAAR- BAAR UGALNA PADA MUJHE
PUCHHO MAT TUMHARI JUDAI KI AAG MAIN
GILI LAKDI KI TARAH JALNA PADA MUJHE
APNE SAFAR KI CHARCHA KAISE KAROON "____"
THAK KE THA CHUR-CHUR MAGAR CHALNA PADA MUJHE
48.
aur kitnaa humeiN sataayenge?
Hum ko kab tak vo aazmaayenge..
aur kitnaa humeiN sataayenge?!
gham-e-dauraaN ki kashmakash meiN humeiN
'kyaa khabar thi vo bhool jaayenge'!
do qadam saath chalte chalte phir
humko tanhaa vo choRh jaayenge!
saari qasmoN ko, saare va'adoN ko
ham to samjhe the, voh nibhaayeN ge!
ab bhee ummeed hai mire dil ko
kal ko shaayad vo lauT aayenge!
meri taareek zindagii meiN phir
pyaar ke diye vo jalaayenge!
agar mere pyaar pe yaqeeN na huaa
un ko dil cheer ke dikhaayenge!
bhool kar sab shikaayateN,un ko
pyaar se ham gale lagaa'eN ge
maaf karke khataooN ko unkii
phir se ghar apna hum basaayenge!!
phir badla wafa ka dein gey bari saadgi se hum
Tum hum se rooth jaao gey aur zindagi se hum
...............
Jahan rahe ga waheen raushni lutaye ga
Chiragh ka apna koi makan nahi hota
...............
Yahan kisi ko bhi hasb e aarzu na mila
Kisi ko hum na mile aur koi humko na mila
...............
Ragon mein khoon ki garmi ka maujza hai tamam
Warna aadmi pathar se mukhtalif to na tha.
...............
Wo sar se pehle zuban kaat lya karte hain
ke khuda se na kare koi shikayat unki
...............
Sanson ke silsile ko na do zindugi ka naam
jeenay ke bawajood bhi kuch loog marr gaye
...............
Dhuaan bana ke hawa mein urra dya mujko
Mein jal raha tha kisi ne bujha dya mujhko
...............
Jaisi bhi hun bhali hun ke buri hun apne liye hun
Mein khud ko nahi dekhtee auron ki nazar se
...............
Aaghaz to hota hai anjam nahi hota
Jab meri kahani mein wo nam nahi hota
...............
Kehne ko zindugi thi bahut mukhtasar magar
kuch yun basar hui keh khuda yaad aa gaya
...............
Sanson mein bhi shamil ho lahu mein bhi rawan ho
lekin mere haathon ki lakeeron mein kahaan ho
...............
woh Shakhs meri Lash pe aaya, Na ro saka
Uss ko merey sukoon ka kitna khayaal tha
...............
Woh ashk ban ke Meri Chashm e tar mein rehta hai
Ajeeb shakhs hai Paani ke Ghur mein rehta hai
...............
Seeney se merey zeher utarney nahin detey
Zinda rahein woh log jo marney nahin detey
...............
Tum nahi to zindugi mein aur kya reh jaye ga
Door tak tanhayion ka silsila reh jaye ga
***
Roothi hui kismet ko sawanra jaye,
Aasmaan ko zameen per utara jaye.
Shayad meri awaz per mur kar deikhen
Ekbar unhein aur pukara jaye
***
Jaane Kis Kis ki Maut Aaaye Hai,
Aaj Rukh pe koi Naqaab nahin..
Woh Karam Ungliyon par ginte hain,
Zulm Ka Jinke Koi Hisaab nahin....
***
Unke dekhe se jo aa jaati hai chehre pe raunak,
Unke dekhe se jo aa jaati hai chehre pe raunak,
Woh samajhte hainki bimaar ka haal accha hai.
***
aagar bhigne ka itna shaukh hai barish mein
to dekho in ankhoo mein,
baarish to har ek ke liye barasti hai,
ye ansu sirf aapke liye baraste hain..
***
1.
Jab jab hame pyaas lagti hai,
Unke aane ki aas lagti hai.
Unki deewangi main hum ho gaye itne deewane,
Ki har ladki ki maa apni saas lagti hai.
2.
Msg na karke Dil tod diya,
mobile dafna dena.
Kafan na mile to apna rumal uda dena.
Koi puche ke rog kya tha to nazrein jhukake kanjusi bata dena
3.
Shah Jahan Ne Taj Mahal Ki Har Deewar Ko Dekha,
Har Meenar Ko Dekha,
Har Kaleen Ko Dekha,
Har Khidki Se Dekha... Aur Bola...
Maa Kasam, Bahut Kharcha Ho Gaya!!!
4.
Jo Maa Ko Satata Hai
Wo Rikhshaw Hi Chalata Hai
5.
Patte Gir Sakte He Par Ped Nahi,
Suraj Dub Sakta He Par Aasman Nahi,
Dharti Such Sakti He Par Dariya Nahi,
Duniya Sudhar Sakti He Par Tum Nahi....!!!!
6.
Hum to dil deneko taiyar baithe hai,
Darde mohabbat karne ko taiyar baite hai,
Par hai re meri futi kismat,
Koi dil leneko hi taiyar nahi??
7.
Kehete hai ishq mein neend udd jaati hai,
Koi humse bhi to ishq kar ke dekhe,
Kambhaqt hummain neend bahut aati hai.
8.
Yaad to tumhari aati hai,
dil ko bahut tadpati hai.
kambakht lekin yeh customer care ki ladki hai,
jo baar baar low balance batati hai.
9.
Jo mushkil se mile who hai paisa,
Jo aasani se mil jaye who hai gam,
Jo kisi kisi ko mile who hai pyar,
Par jo naseeb walo ko mile who hai hum.
10.
Tujh ko Dekhenge to Sitare Bhi Zia maangen Ge ..!!
Pyaase Teri zulfoon Se Ghataa Maange Ge ...!!
Apne Maathe Se yun Aanchal ko Na Sarkaa Dena ..!!
Varna Buddhe Bhi Jawaani Ki Dua Maange gay ..!!
11.
Jab tum aaine ke paas aate ho to aaina kehta hai ?Beautiful? ?Beautiful?
Aur jab tum door jaate ho to aaina kehta hai ?April Fool? ?April Fool?
12.
ho din bhi kya haseen the,
Jab aap haseeno se kiss liya karte the.
Yeh unn dino ki baat hai,
Jab aap 2 saal ke hua karte the.
13.
Kabhi kehte the dost hamare ke
"jaan bhi maango to hazir hai",
Aaj apni bivi ko jaan kehte hai ,
aur maango to inkaar karte hain
14.
Durakht ke paymane pe chilman E husn ka furkat se sharmana...
Durakht ke paymane pe chilman E husn ka furkat se sharmana...
Ye line samajh me aaye to mujhe zaroor batana
15.
Ummidon ki manzil dah gayi,
Khwabon ki duniya bah gaye.
Abe teri kya izzat reh gayi,
Jab ek jhakkas ladki tereko bhaiya keh gayi.
16.
Tum paas hot to tujhpe pyar aata hai,
Tum door ho to tera intezaar satata hai.
Kya kahe is dil ki haalat ki,
Tujhe yaad kar karke hume bukhaar ho jaata hai.
17.
O friend ji,
Main keha tussi mitha aam ho, Coca cola da jam ho, Sir dard ka balm ho,
Sab kuch badhiya hai, Bas SMS nahi karte is waastey badnaam ho.
18.
aahat si koi aaye to lagta hai ke tum ho
saaya koi lehraye to lagta ahi ke tum ho
ab khud hi batao jaan-e-jaan
kya tum kissi bhoot se kum ho??
19.
Sab se achha mera yaar hai,
Uski hare k shayri mein kitna pyaar hai,
Agar na aaya uska sms ek din,
To mera mobile rakhna bekaar hai.
20.
Baago main phool khilte rahenge,
Raat ko deep jalte rahenge,
Dua hai yehi hamari khuda se,
Aap khush raha kare,
Baaki taklif to hum dete rahenge.
21.
Mere mobile ko sukun mil gaya,
Empty inbox mein msg ka phool khil gaya.
Aap ka sms tha ya kele ka chilka,
Jise padte hi mera dil fisal gaya.
22.
Hoton pe dosti ke fasaane nahi aate,
Saahil pe samandar ke khazaane nahi aate.
Udne do parindo ko abhi shokh hawa main,
Fir laut kar college ke zamane nahi aate.
23.
Main uski yaad mein ban gaya baraf ka gola
Main uski yaad mein ban gaya baraf ka gola
aur vo boli ki Thanda matlab Coca Cola
24.
Chaand ko garoor hai ki uske pass noor hai to kya hua
Mujhe bhi garoor hai ki mera dost Langoor hai
25.
Yadd Karte hai tumhe tanhai mein,
dil dooba hai gamo ki gehrai mein,
hamein mat dhoonndho duniya ki bhid mein,
hum milenge tumhe phir kisi,free SMS ki scheme mein
26.
Apni Surat ka kabhi to didaar de
tadap raha hu ab aur na intzaar de
Apni awaaz nahi sunani to mat suna
Kam se kam 1 Missed call hee maar de
27.
Yaad teri na aye aisa hone na denge,
Dost tere jaisa khone na denge,
Sharafat se contact me rahena
Varna, kaan ke niche do kheench ke denge.
28.
Zindagi behaal hai, sur hai na taal hai, msgbox bhi kangaal hai..
kya aapaki SMS factory me hartaal hai..
are yaar kuchh to bhejo aakhir mere mobile ki zindagi ka sawaal hai !!!
30.
Pataa nahi marane par hame jannat mile na mile..
ye fiza..ye aalam...ye dosti mile na mile..
SMS karane me kasur mat kar ai dost..
maalum nahi waha mobile mile na mile..
31.
Ek dost ka wada hai, marte dam tak nibhayenge, maut aayi to tumase pehale
ham jayenge, tumako naa bhul payenge isiliye tumhebhi saath le jayenge....
32.
Shama ro ro kay parwanoo se keh rahi hai
Mujai rumal la do mari naak beh rahi hai
33.
Hum chahain aap ko
Aap chahain kisi aur ko
Aap jisay chahain khudha karay
Wo chahain kisi aur ko
34.
Chaha hai jise chahat se jayada,
Samjha hai jise muhabbat se zada.
Bharosa hai jispe khud se zada,
Tu hi hai who haramzada.
35.
Lamha lamha waqt gujar jayega,
Chand lamho mein exam aa jayega.
Abhi bhi waqt hai thoda padh lo,
Warna pass kya Munna Bhai Karwayega.
36.
Log ishq karte hai bade shor ke saath,
Humne bhi kiya tha bade zor ke saath,
Magar ab karenge zaar gaur ke saath,
Kyunki kal dekha tha use kisi aur ke saath!
37.
SAFED SARI PAR JAB TUM LAL BINDI LAGITI HO,
KHUDA KASAM AMBULANCE NAZAR ATI
HO, FARAK YE HAI KI WOH GHAYAL KO
LE JATI HAI AUR TUM GHAYAL KAR JATI HO.
38.
CHAM CHAM KARTE HUE AI THI,
CHAM CHAM KARTE HUE CHALI GAI..
MAI SINDUR LEKE KHADA THA,
WO RAKHI BANDH KE CHALI GAI.....!!
39.
DOSTI KARO COLLEGWALI SE,
PYAR KARO OFFICEWALI SE,
PROGRAME KARO PADOSWALI
SE, ANKH LADAO SALI SE,
LOVE KARO DIL WALI SE,
AUR MAR KHAO GARWALI SE.
40.
AMIRI KE KHWAB DEKHNE LAGA,
ANGREJI SHARAB CHAKHNE LAGA,
BAAP NE KABHI PAGER NAHI DEKHA
AUR BETA MOBILE RAKHNE LAGA!!!
41.
DOSTI HOTI HAI DILAY RAAZ BATANE K LIYE,
HUM APNI HASI MITADE
AAPKO HASANE K LIYE, MILNE KI TO AAPKO FURSAT HI NAHI,
TO HUM SMS KARTE HAI AAPNI YAAD DILANE K LIYE.
42.
KAL TANHA RAAT ME APKI YAD AYI, TANHAI MITANE KE LIYE HUMNE CIGARATE
SULGAI, NA JANE KAISE QOYAMAT HO GAYI, KI DHOOE NA BHI APKI TASVEER BANAI
43.
RAM YUG ME DOODH MILA, KRISHNA YUG E GHEE,
APNE YUG ME DARU MILA 2 KHUB DABA KE PEE..... CHEERS
44.
Hichkiyon se ek baat ka ehsaas to hota hai,
Ki shayad koi hume yaad to karta hai.
Milne na aaye to kya hum par chand lamhe to barbaad to karta hai.
45.
Phulon se khoobsurat koi nahi.
Sagar se gahara koi nahi.
Aab aapki kya tarif karu...
Dost me aap jaisa...
Nalayak koi nahi!
46.
Teri dosti ki roshni aisi hai ki har taraf ujala nazar aata hai,
Sochtein hai ghar ki bijli katva de, aajkal kambkhat bill bahut aata hai.
47.
Ishq ka jahaan benaam hota hai,
Tadapna iska kaam hota hai.
Khush naseebo ko kabhi ishq ho nahi sakta,
Yeh to badnaseebo ka jaam hota hai.
48.
Duniya ke har mod aur hard agar par milte hain dost aap jaise,
Na jaane khuda ne itne Manufacturing defects kiye kaise.
49.
Ramchandra keh gaye siya se,
Aisa kalyug aayega.
Dono taraf se sms honge,
Phone koi nhi milayega.
50.
Diya hai uparwale ne mobile,
To itni to kadar kiya karo.
Karo na karo call,
Par har roz do-char sms to kiya karo.
51.
Mausam bada behaal hai,
Sur hai na taal hai.
Msg box bhi kangaal hai,
Kya aapki msg factory mein hadtaal hai?
52.
Mandir mein jaap karta hoon,
Masjid mein adaab karta hoon,
Insaan se kahin bhagwan na ban jaun
isliye roz tujhko SMS karke paap karta hoon.
53.
dabbe pe dabba dabbe pe khargosh
budeh ne ankh mari budhi behosh
54.
Do pal ki bhi khushi na mili to kya,
Hum umar bhar gam ke sahare ji lenge.
Kya hua jo humari girl friend nahi,
Hum aapki girl friend ke sahare ji lenge.
55.
Mila ke nazar se nazar loot lenge,
Ye bewafa jalwe jigar loot lenge,
Hasino pe hargiz bharosa na karna.
Khuda ki kasam ghar ke ghar loot lengi.
56.
Jaane who kaisi hogi, Shayad who aisi hogi. Ya phir who waisi hogi,
Jayada mat soch, tere sapno ki rani bilkul JASSI jaisi hogi.
57.
Badal jo chaye tum yaad aaye,
Bearish ki boono mein tum yaad aaye,
Are ab to mera chata lauta do.
58.
Hamare SMS karne se ek baat to hai ki hum aapko yaad to karte hai,
Beshak phone na milaye par chand lamhe ap par barbaad to karte hai.
59.
Khuda aap jaisa dost koi aur na banaye.
Ek hi anmol cheez jo hamare paas hai,
Who bhi kahin common na ho jaye.
60.
Jaani roshni chand se hoti hai sitaro se nahi,
Jaani roshni chand se hoti hai sitaro se nahi,
Tumahare cell me light hamare SMS se hoti hai battery se nahi.
61.
T umhari lovely aankho ne,
Hame aise attract kiya,
Ke sabko neglect karke,
Tumhe hi select kiya.
62.
Yaaro mere marne ke bad aasu na bahana,
Agar meri yaad aaye to upar chale aana
63.
MUJHE MIL JATI SAPNO KI SHEZADI,
AGAR MUSHARAF KI BETI SE HOTI SHADI...
HOTA KASHMIR KI PROBLEM KA NIDAN,
KYOKI DAHEJ MEIN MILTA PAKISTAN!
64.
NIND AYI TO KHWAB AYE,
KHWAB AYE TO WOH AYE,
ISI KHASHMAKASH MAIN RAAT GUZAR GAYI,
NA TO NIND AYI, NA TO WO AYE.
65.
ARZ KIYA HAI: ZAMANE KE DARR SE TERI TASVEER TOILET MEIN CHUPA RAKHI HAI,
BAR BAR DEEDAR HO IS LIYE JULAB KI GOLI KHA RAKHI HAI...
66.
MOHABBAT 1 BAAR HO JAYE TO BHOLAPAN HAI. DUJI BAAR KI JAYE
TO APNAPAN HAI, TEEJI BAAR KI JAYE TO DEEWANAPAN HAI,
YADI AB BHI BAZ NA AAO TO KAMEENAPAN HAI!!
67.
Tumhare samne hain itney items
kabhi hame bhi pick karo...
Hamare pyar ke ICON pe
kabhi to tum DOUBLE-CLICK karo...
68.
Roz subha hum karte hai
itne pyar se unhe good morning...
woh humhe ghoor kar dekhte hain
jaise 0 ERRORS but 5 WARNINGS...
69.
Ho gayi galti humse, click ho gaya mouse
Duniya ki parwaah chhodo, ban jaao meri spouse!
70.
Tumse mila main kal to, mere dil mein hua ek sound,
Lekin aaj tum mili to kehti ho: Your file not found!!!
71.
Aisa bhi nahin hai ke, I don't like your face ,
Par dil ke computer mein, nahin hai enough disk space
72.
Main tumhein pyaar kyun karoon, tum nahi ho Ash,
Phir bhi tumhe dekhkar mera, system hota hai crash
Teirna hai to beach me aao, Kinaro pe kya rakha hai,
Pyaar karna hai to bahon me aao, isharo me kya rakha hai.
73.
Khud ko kar buland itnaa..
Ke' Himaalay ki choti pe jaa pahunche..
Aur khuda tumse puche..
'Abe gadhe... ab utrega kaise '
74.
Har mazar mein ek kashish hoti hai,
Har dil mein ek chahat hoti hai,
Mumkin nahi hare k ke liye tajmahal banana,
Kyunki har dil mein 4-5 mumtaj hoti hai.
75.
Maine poocha chand se ?Dekha hai kahi mere yaar sa kahi.?
Chand ne kaha ? sale itni upar se dikhta hai kya.?
76.
Din ko chain nahi,
Raat ko aaram nahi,
Ji na lage kahi,
E khuda kya yehi pyar hai?
Are, paagal ye pyar nahi India ki garmi hai.
77.
ladka bola :
kash ein hasinao ke baap mar jate,
bahana gam ka hota, hum inke ghar to jaate.
Ladki boli:
Bewkoof, Yeh bolana bhi paap hoga,
kisi din tu bhi kisi hasina ka baap hoga.
Irshaad.....Irshaad..............
78.
Ladki boli:
Chandni chaand se hoti hai, sitaron se nahi,
Mohabbat ek se hoti hai, hazaaron se nahi.
Ladka bola :
Chandni agar chaand se hogi to sitaron ka kya hoga,
Mohabbat agar ek se hogi to hazaron ka kya hoga.
79.
Bewafa sanam se to cigrattee achi hai,
Bewafa sanam se to cigrattee achi hai,
Dil jalati hai, par hoto se to lagti hai
80.
Socha tha har mode pet era intezaar karenge.
Par kambakht sadak hi sidhi nikli.
81.
Tu chandramukhi main suryamukhi,
Tu bhi dukhi main bhi dukhi,
Tu chatt se neeche kud ja,
Tu bhi sukhi main bhi sukhi.
82.
Pyar to tum par mujhe bahut aata hai
Par kya karu Tera baap beech mein aata hai
Pyar ke sitaare jab gardish mein hote hai
Laila ghar mein aur majnoo jail mein hote hai
83.
Jab tak tu apne dil ki baat mujhe samjhayegi
meri shaadi kahin aur ho jayegi
84.
Kyon apni kabra khod raha hai be,
La, phawda mujhe de..
85.
Tum aa gaye ho ; Noor aa gaya hai
Chalo teeno picture chalen.....
86.
KADAM KADAM PE HAWAO SE TALUK RAKHNA,
DOSTI KE DOR PE DOSTI KA ASRA RAKHNA,
HAMARI YADON KI KHUSHBU ZARUR AYEGI,
BUS AP APNA MOBILE ON RAKHNA.
87.
Door se dekha to kuchh dikha nahi.....
Dooor se dekhaaa... to kuchh dikha nahi.....
Paas jake dekhaa to kuchh tha hi nahi
88.
Door se dekha to Patthhar dikhta tha.....
Dooor se dekha... to Patthharr dikhtaa thaa.....
Paas jake dekha to... suchmuch Patthhar hi thaa...
89.
Door se dekha to paani baras raha tha
Door se dekha to paani baras raha tha
Paas gaya... to bheeg gaya...
90.
Door se dekha to sher tha
Door se dekha to sher tha
Is liye paas gaya hi nahi...
91.
ROSHNI DEKAR DOOB JANA KOI SURAJ SE SIKHE,
DIL DEKAR DARD LENA KOI HAMSE SIKHE,
SMS LEKAR REPLY NA DENA KOI AAP SE SIKHE.
92.
Tusi bade hi great ho, Rasgulle di plate ho,
Pepsi da crate ho,
Ande da omlate ho,
Par jo bhi ho mere sweet friend ho?.
93.
Jidhar dekho udhar isq ke bimaar baithe hai,
Hazaro mar chuke hai, Sekado tayyar baithe hai.
94.
Suno ghau se pepsi walo,
Buri nazar na COKE pe daalo,
Chahe jitna jor lagalo,
Chaho jitna Dew pilalo.
Sabse aage hoga NIMBU PAANI.
Humne piya hai tum bhi piyo.
95.
KISMAT KISMAT KI BAAT HAIN,
AAJ DIN TO KAL KAALI RAAT HAIN,
KABHI DHOOP TO KABHI BARSAAT HAIN,
YEH MSG KA SILSALA CHALTA RAHEGA,
JAB TAK FREE SMS KA SAATH HAI.
96.
FOOL KHILTE HAI, BAHARO KA SAMA HOTA HAI,
DOSTI KI BATEIN PHONE PAR NAHI KARTE,
YEH FASANA TO SMS SE HI BAYA HOTA HAI.
97.
Aisi dosti hamari ki dil chahe tu har safar hard agar mein mile,
Mar bhi jao to pyar rahe kayam,
Tu saath wali kabar mein mile.
98.
Accha hua ke tum bewafa nikle
Saale wafadaar to kutthe hote hain
99.
KHUDA NE SANSAR BANAYA AUR SO GAYA, USNE INSAN BANA AUR SO GAYA,
USNE LADKI BANAI, NA KHUD SOYA NA DUNIYA KO SONE DIYA.
100.
Duniya Se Jo Darre, Usse Kaayar Kehta Hain,
Duniya Jisse Darre, Usse Shaayar Kehte Hain,
Biwi Se Jo Darre, Usse Shohar Kehte Hain.
101.
Maine tujhe sau-sau khat likhe,
tune kisi ka bhi jawab nahi diya;
kahin tere dil mein raddi ki tokri to nahi?
102.
Hai tu agar mera dilbar,
Hai tu agar mera dilbar,
To aaj ke lunch ka bill tu bhar
103.
Woh bhi kiya din the jub hum haseenon ke galey mila karte the,
Ye un dinon ki baat hai jub hum 2 saal ke hua kartey the
104.
When words fail, Eyes works.
When eyes fail, heart works.
When heart fails...
To kya? Samajh le Tapak gaya
105.
Un ki gali ke chakkar kaat kaat kar,
Kutte bhi hamare yaar ho gaye,
Woh to hamare ho na sakey,
Hum kutton ke sardar ho gaye
106.
Na woh inkaar karti hai,
Na woh ikraar karti hai,
Kambakhat mere hi sapnon main aa kar,
Mere dost se pyaar karti hai
107.
Mene poochha chand se...
Kabhi dekha hai mere yaar sa haseen?
Chand ne kaha: Chandni ki kasam...
2,200,599,999 entries found
108.
Agar tum kaho to tumhare liye
aasman se chand taare torr laun,
Agar tum kaho to tumhare liye
aasman se chand taare torr laun,
Lekin tum unka karo gi kiya???
(Kiya logical sher hai!!)
109.
Jub dekha unhon ne tirchhi nazar se,
to hum madhosh ho gaey,
Par jab pata chala ke un ki nazren hi tirchhi hain,
to hum behosh ho gaey
110.
Ab jab gira baadal, teri yaad ai,
Jhoom ke barsa saawan, teri yaad ai,
Bheega main, lekin phir bhi teri yaad ai,
Kiyun na aey teri yaad?
Tune jo chhatri ab tak nahi lautai...
111.
Lal diwar per choone se likha tha Ghalib ne,
Lal diwar per choone se likha tha Ghalib ne,
Yahan likhna mana hai
112.
Majnu ko Laila ka sms nahi aya,
Majnu ne 2 din se khana nahi khaya,
Majnu marne wala hai Laila ke pyar main,
Aur Laila bethi hai sms free hone ke intazar main
113.
Heaven is when u have a german car, American salary, Chinese food & Indian wife,
Hell is where car is Chinese, food is german, wife is American & salary is Indian.
114.
kali zulfe kala anchal,
uspar rang kadai ka ek to teri
yaad satae uspar boj
padai kaaa
1.
Mehfil mein kuch to sunana padta hai,
gam chupakar muskurana padta hai,
kabhi unke hum bhi the dost,
aajkal unhe yaad dilana padta hai. .
2.
Nanhe se dil me armaan koi rakhna,
Duniya ki bhid mai pachchan koi rakhna,
Acche nahi lagte jab rahete ho tum udas,
En hotho pe muskan sada wahi rakhna.
3.
Muskurate hi aankh bhar aayi
pata nahi log kis tarah khilkhilate honge.
4.
GAM KE MARE JO MUSKURAYE HAIN,
AANSUOO KO BHI PASINE AAYE HAIN,
KYA BALA HAI KHUSHI NAHI MALUM,
HUM TO BUS NAAM SUNTE AAYE HAI
5.
RishTo0n Ki Yeh Duniya Hai NiraLi
Sab Rishto0n Say Pyari Hai mohabbat tUmhari
ManZo0r Hai AanSu Bhi AanKho0n Main HumaRe
Agar Aah JAye MusKan houto Pe TumhaRay
6.
Zamana gujar gaya hatho ko milaye huye,
Muddat ho gayi nazro ko milaye huye,
Din rat nikal gaye yado me khoye huye,
Ab kab samne aaoge yaar muskurate huye?
7.
muskurahat me chipate hain wo apne gamon ko,
apni halat pe wo gairon ko rula dete hain.
8.
yaad karne ke liye koi cheez chahiye,
aap nahin to aapki tasveer chahiye,
par tasveer aapki hamaara dil behla naa Sakegi,
kyunki woh aapki tarah muskura naa sakegi.
9.
Duaon ki bheed me ek dua hamari,
Jisme maangi hamne har khushi tumahari.
Jab bhi muskure aap dil se,
Samjho dua Kabul hui hamari.
10.
Nigahen aap ki pahechan hai hamari,
Muskurahat aapki shaan hai hamari.
Kriyega hifazat aap apni...
Kyoki saase aapki jaan hai hamari.
11.
Khamosh se tum rehne lage ho,
Intezaar kisika karne lage ho,
Yakinan kisise hui hai mohabbat,
Bina baat ke hi muskurane lage ho?..
12.
Zindagi ke liye jeena zaroori hai,
Jeene ke liye armaan zaroori hai,
Zindagi mein chahe kitna bhi gam ho,
Aapke chehre par muskaan zaroori hai.
13.
Dava bhi kam na aaye,
Dua bhi kam na aaye.
Bas dost teri muskurahat kam aaye!
14.
Mere khushiyonko jamane ki nazar lag gai
Tum mere sath thi pariyonki nazar lag gai
Aaj ro raha houn door hokar tumse
Lagta hein mujhe muskurane ki saza mil gai
15.
Yaa To Diwaana Hanse. Ya Woh Jise Tuu Tawfiq De..
Warna Is jahaan me aakar Muskurata kaun Hai...
16.
Pholoon ke liye khushboo,Sitaroon ke liye chamak
Suraj ke liye lali,ghungaroo ke liye ahaat maang laya...
Yehe mera Mehboob hi hai aye khuda
Jo saare jahan ke liye Muskrahaat maang laya.."
17.
Mat Muskurao itna
ke phoolon ko khabar lag jaye,
Ke kare woh tumhari tareef,
Aur tumhe nazar lag jaye.
18.
aapki hasi kabhi kam na ho,
aapki aankh aasuonse kabhi nam na ho,
aapko mile zindagi ki har khushi,
bhale us khushi mein hum ho no ho.
1.
MEHFIL ME TERI AAYE HAI TO PIKAR HI JAYENGE,
PYAAR TUJSE KIA HAI TO DIL DEKAR HI JAYENGE.
JITEJI TUJE ROTA NA DEKH PAYENGE,
MAUT KE BAAD BHI TUJE HASTA CHHOD JAYENGE.........
2.
Dekha nahi hai koi tujhsa,
dekhne tujhe jannat se bhi laut aayange,
jab tak deedar na ho tera,
hum mar ke bhi chain na se na mar paayange..
3.
Teri baraat hogi Mera janaza hoga
4 admi tere sath honge 4 admi mere sath honge
Phool tujh per bhi honge Phool mujh per bhi honge
Tujh per dulhan ka jora hoga Mujh per kafan ki sajawat hogi
Lali tere chahre per hogi Noor mere chahre per hoga
Khubsoorat tum bhi lag rahi hogi Khubsoorat main bhi lag raha honga
" FERK SIRF ITNA HOGA "
Tum kisi ki zindagi main ja rahi hogi
Main tumhari zindagi se ja raha honga
Mera naseeb teri kismat se acha hoga
Mera gham teri khushi se acha hoga
Yakeen na aae to apni ankhoon se dekhna
Mera janaza teri baraat se acha hoga
Mere samne rukhsat jo teri baraat hogi
Us lamhe gul-e-shamay hayaat hogi
Wo bhi jan kesi aafat ki raat hogi
Pehloo main kisi k meri qaienat hogi.
4.
"JAB TAK THA ZAMI PAR"
Hazaro fulon se sajaayi gayi hain meri kabr
Ek phool ki mahak kafi thi jab tak tha zami par
Utha lete the kal jo log apne shabdo ke zor par
Utha nahi paye apne kandhe ke zor par
Zukam de jaate hein ye thande ashq mere kafan ko bhigo kar
Bade garm the ve ashq jo sukh jaate the mere dilko bhigokar
Diya jalaakar aaj jo chale jaate hein meri kabr par
kambhaqt saath rehkar to jalte the jab tak tha zami par
5.
roegi aankhen muskurane ke baad,
aayegi raat din dhal jaane ke baad,
o jaane wale zara mudke to dekh,
shayad ye zindagi na rahe tere jaane ke baad.
6.
Kabrsataan ki har kabra par, ug ayi hai hari ghaas
Kambakht murdon ke ab jake armaan jage hain
7.
" Shaam Udas thi Rat Bhi udas hogi,
Subah Kafan Se Lipti Meri Lash hogi,
e Dost ja kar keh dena us bewafa se,
k kabra me bhi uski tasveer mere sath hogi"
8.
Aapki Yaad Main Sab Kuch Bhula Baithe Hai,
Charag Khusiyon Ke Bujaye Baithe Hai,
Hum To Marenge Aapki Bahome,
Ye Maut Se Bhi Shart Laga Baithe Hai"
9.
ZAKHMO KO APNE SEE LU AGAR TUM IZAZAT DO,
AANKHON SE TERI PEE LU AGAR TUM IZAZAT DO,
MAR TO JALDI HI JAUNGA, THODA SA JEE LU AGAR TUM IZAZAT DO...........
10.
Aur ab main kya karoon tujhe sochne ki forsat hi naheen...
Dil main dar sa rehta hai ke kho na doon main tujhe kaheen...
Jahan hum mila karte the pehle kabhi jata hoon Aaj bhi waheen...
Jhoot nahi bool raha kagar boloon to mar jauu main abhi yeheen...
11.
Hui hai shaam to aankhon main bas gaya phir tu
kahan gaya hai mere shahar ke musaafir tu
bahut udaas hai ik shakhs tere jaane se
jo ho sake to chala aa usi ki khaatir tu
12.
Kayi Log honge Tere Zanaze Ke Peeche,
Par ek Mein Na hoonga Tere Zanaze Ke Peeche,
Aur mai honga Bhi Kaise Tere Zanaze Ke Peeche,
Jo Mera Zanazaa aa raha hoga Tere Zanaze Ke Peeche.
13.
Mere Marne Ke Baad Mere Sene Se
Dil Nikal Lena
Kahi Woh Na Jal Jaaye
Jo Mere Dil Me Rehte Hai. (True love)
14.
YEH NA THI HAMARI KISMAT,
KE VISALE YAAR HOTA,
KUCH AUR JEE BHI LETE
YUNH HI INTEZAR HOTA.
15.
Zamane ne mujko thukra diya hain
Maut ke aur kareeb la diya hain
Kabhi mud ke jo peeche dekhta hoon
Sochata hoon, duniya ne mujhe kya diya hain?
16.
pyar ki do baatein kar lo, kar lo wo waade phir se
jaane kab apni ye saansei begaani ho jaaye phir se
17.
aaja ki, tadap raha he ye dil tere hi intazaar ko !!
taras rahin ye aankhe tere hi didar ko !!
aakhri vakt he mari zindgi ka,esa na ho meri subha dobara na ho !!
18.
tere saath guzara har lamha yaad rahega ,
tere kiye har wada yaad rahega !
aa ke dekh lena bewafa jab teri gallion se mera janaja gujrega to,
kafan mere chehre se hata rahega !!
19.
*kab toot jaye kasam hi to hai*
*kab badal jaaye nazar hi to hai*
*tu mere saath ki aadat mat daal*
*kab khatam ho jaye, zindagi hi to hai...*
20.
KITNA PYAR KARTE HAI HUM UNSE
KASH UNKO BHI YE EHSAS HO JAYE;
MAGAR AISA NA HO KE VO HOSH ME AAYE,
JAB HUM GEHRI NIND ME SO JAAYE.....
21.
Kafan na dalo mere chehre pe,
Mujhe aadat hai muskurane ki,
Na dafnao meri laash ko,
Mujhe abhi bhi aas hai uske aane ki.
22.
KHUDA KI IBAADAT ME JAB BHI YE HAATH UTHAYE,
YEHI DUA MAANGI-HAR KHUSHI TUMHE MIL JAAYE........,
MERI ZINDAGI SE TUM JEEYO,
TUMHARI MAUT SE HUM MAR JAAYE.
23.
Judai ka pata hota agar pyaar se pehle,
To maut ki duva mangte hum deedar se pehle.
24.
MAUT PE BHI YAKEEN HAI, TUM PE BHI ETBAAR HAI,
DEKHEN PEHLE KAUN AATA HAI, HUME TO DONO KA INTAZAR HAI.
25.
AAKHEN KHOLU TO CHERA TUMARA HO, BAND KARU TO SAPNE TUMHARA HO,
MAR BHI JAU TO KOI GAM NAHI, AGAR KAFAN KE BADLE ACHAL TUMHARA HO.
26.
"girl"
tum ne kaha tha miloge har
kidki har darwaaze ke peeche,
har ik mere andaaz ke andaaze ke peeche
bewaffa itne nikle
aye bhi na mere janaaze ke peeche.
"boy"
tumne kaha tha milogi har
khidki har darwaaze ke peeche,
har ik mere andaaz ke andaaze ke peeche
bewaffa main nahin tum nikli mud ke bhi na dekha,
ik aur janaaza tha tumhare janaaze ke peeche.......
27.
hajjaar phool kam hai ek dulhan ko sajjaane ke liye,
ek phool bahoot hai kabr par chadhane ke liye
hajjaar khusiya kam hai ek gam ko bhulane ke liye
ek gam bahut hai jindgi bhar rulane ke liye
28.
Mere pyaar ko mazak na samazna,umr bhar saath nibhaunga,
awaz doge pyaar se to kabr se bhi uthker aaunga.
29.
Aaya tha teri panaahon mein,
tune darwaaza nahi khola
Pada hua tha raahon mein,
tune darwaaza nahi khola
Ab waqt ka hao takaaza,
zara khidki khol dekh,
quzar raha hai mera janaaza,
zara khidki khol ke dekh
30.
woh Shakhs meri Lash pe aaya, Na ro saka
Uss ko merey sukoon ka kitna khayaal tha
31.
Pyaar ke naam per ik haseen nain,
zakham dil per is kadar hai lagaye,
Jese foolon ki chaadar banakar,
Ashiq ki maiyaat per koi daale.
32.
Chalak padte hain zalim ke asoon,
Tujpe kurbaan oh marne wale,
Jaa raha hai wafa ka janaza,
Bewafa se kaho mohoon chupa le
33.
Baithey Baithey Ghabraaey Hum
Jaaney Kissey Yaad Aaiey Hum
Yeh Soch ke hum ne Jaan de di
Mayyat pe meri "Woh" aaiey gaa
34.
Etna tuta hoon ki chhune se bikhar jauanga
Ab agar aur dua doge to mar jauanga.
35.
Dil ki galion mein koi gham na ho,
Hamara yeh pyaar kabhi kam na ho.
Bas yeh hai dua kit um khush raho,
Kya pata hum agar kal ho na ho.
36.
Kaun jaane kab maut ka paigam aa jaye,
Zindagi ki aakhri shaam aa jaye,
Hum to dhoondte hai waqt aisa jab,
Humari zindagi aapke kuch kaam aa jaye.
37.
GAM NA KARO MAUT KA,
JO HAR KISI KO AATI HAI..
GAM KARNA HAI TO KARO KHUSHI KA,
JO PAL BHAR MEIN CHALI JAATI HAI....
38.
GAMO KE ISS SAGAR MAIN PANI KI EK BOOND BHI KISKO DIKHAYE DEGI,
ISS SHOR BHARI DUNIA MAIN MERI EK AAH KISKO SUNAYI DEGI,
TANHA JIYA HAI TU ''AKELA'' TANHA HI JIYEGA,
KI, ISS KABRISTAN-E-JAMI MAIN EK AUUR LAASH KISKO DIKHAYE DEGI.
39.
Bewafa se kabhi pyar nahi hota,
Marneke baad kabhi intzaar nahi? hota,
Dekh kar dosti karna ae dost,
Har dost hamari tarah dildar nahi hota⠦⠦⠦⠦⠦⠦.
40.
Sabne kaha PYAAR ek dard hai,
humne kaha ye dard kabul hai.
sabne kaha is dard ke saath jee nahin paoge,
humne kaha tere Pyaar me marna bhi kabul hai
41.
Dil Ki Basti Bikhar Gayi Hoti
Ke Rooh Ke Zakhm Bhar Gaye Hote
Yeh Zindagi To Aap Ki Amaanat Hai Warna
Hum To Kab Ke Mar Gaye Hote
42.
Pyaar hi na karna tha,
toh dil lagaya kyun,
chehre se itni nafrat thi,
toh kafan hataya kyun.
43.
Yaad mein teri aahen bharte hai,
Har saans ke saath tujhe yaad karte hai.
Maut sachai hai ek roz aani hai,
Lekin teri judai mein har pal marte hai.
44.
Log kehete hai ki ladkiyan zindagi hoti hai maut nahi,
Magar who log yeh kyu bhool jaate hai
ki dhoka bhi zindagi hi deti hai maut nahi.
45.
Zakhm dene ka andaaz kuch aisa hai,
Zakhm dekar puchte ho ab haal kaisa hai.
Kisi ek se kya gila karna yaro,
Saari duniya ka mizaz ek jaisa hai.
46.
Fir aasuo ke kuch fasane nikle,
Maikhane se sharab ke peimane nikle.
Jo dil ka haal hamara samajh hi nap aye,
Kyu usko hum apna zakhm dikhane nikle.
47.
Kitne Log They Tumhare Zanaze Ke Peeche,
Ek Mein Nahin Tha Tere Zanaze Ke Peeche,
Mein Hota Bhi Kaise Tere Zanaze Ke Peeche,
Jo Mera Zanazaa Ja raha tha Tere Zanaze Ke Peeche.
48.
kabhee na aaye mere saath chal ke,
hamesha gaye mujhko barbad karke,
meri maut pe agar woh aayein,
to keh dena ki abhee soye hain tumko yaad karke.
49.
muskurahat tumhi se milti hai,
dil ko rahat tumhi se milti hai,
ruthna mat kabhi mujhse tum,
kyouki ye dhadkan tumhi se chalti hai.
50.
Maut ke baad bhi yaad aa raha hai koi,
Mitti meri kabrase utha raha hai koi,
Ai khuda do pal ki zindagi aur de de,
Meri kabrase udaas ja raha hai koi !!!
51.
Dil Ki Basti Bikhar Gayi Hoti
Ke Rooh Ke Zakhm Bhar Gaye Hote
Yeh Zindagi To Aap Ki Amaanat Hai Warna
Hum To Kab Ke Mar Gaye Hote
52.
Pyar Mein Log Jinda Dafnaye Jatein Hein,
Pyar Mein Log Jinda Dafnaye Jatein Hein,
Kabar khood Ke Dekhon Intezaar Mein Paaye Jatte Hein.
53.
Shaam udas hai, Raat bhi udas hogi.
Subah kafa mein lipti meri laash hogi.
Ae mujhe dafnanewale jaakar unse keh dena,
Kabra par bhi unki tasvir mere saath hogi.
54.
Gham-E-Tanhai mein khushboo-e-hina kiski thi,
Saaya deewar pe mera tha sada kiski thi.
Aansoo se hi sahi bhar gaya daman mera,
Hath to meine utae the dua kiski thi..
Chodd di kiske liye tune Imran duniya,
Justuju si tujhe har waqt bata kiski thi.
55.
Zindagi tu ab aur kya dikhayegi mujhe
Ab teri sangat na raas aayegi mujhe
Na koi humraaz na koi humdum hai mera
Tu bhi jald hi chhod jayegi mujhe
Hanste hanste guzaari hai zindagi humne
Jaate jaate ab yaad uski rulayegi mujhe
Junoon-e-ishq utar hi na paaya dilse
Yaad uski qabr mein bhi aayegi mujhe
Sukun jiski talash rahi 'Imran' umr bhar
Woh sukun ab maut hi dilayegi mujhe!!
56.
Husn se jo manga tha, Ishq se jo chaha tha;
Sab mila par main usey thamey reh na saka.
Khud ko jo karna tha, Unse kiya jo wada tha;
Main hi kamzor pad gaya, Kafan odh ke so gaya!
57.
Khoon Se Likhrehi Hnu, Sahi na Samaj Lena,
Teri Judaai mai tarap rahi Hnu, Muje Murda na Samaj Lena
58.
Wo karti hai shikwa, main usey apni khata samajta hoon,
Wo karti hai bewafai, main usey ulfat samajta hoon,
Wo karti hai mohabbat, main usey qayamat samajta hoon,
Wo karti hai nafrat, main usey apni maut samajta hoon....
59.
Ho Chuki Mulakaat Abhi Salaam Baaki Hai,
Tumhare Naam Ki Do Ghoont Sharaab Baki Hai,
Tumko Mubarak Ho Khushiyoon Ka Shamyaana,
Mere Naseeb Me Abhi Do Gaz Zameen Baki Hai,
60
Shayad unko ye maloom hi nahin ki,
ham iss shahar se jaane waale hain,
Yaad karke bulaayenge baar baar,
par ham laut ke naa aane waale hain..
61.
ab aor kaya kaya dekhana baki hai
tere bin, bas ab is ek jaan ka jana baki hai
62.
Sanson ke silsile ko na do zindugi ka naam
jeenay ke bawajood bhi kuch loog marr gaye
63.
Dil diya aitbar ki had thi Jaan de di yeh mere pyar ki had thi
Mar kar bhi aankhen khuli rah gayi
Aur kuch nahi yeh tere intezar ki had thi
64.
Mere khuda mujhe thodi si zindagi dede
Udaas mere janaaze se jaa raha hai koi
1.
Maut jab saamne aati hai to jee letaa hoon,
Zakhm muh kholne lagte hain to see letaa hoon,
mujhko maaloom hai ishq ki haqeeqat lekin,
Hosh jab hadd se guzarti hai to pee letaa hoon!!
2.
kuch bhi bacha na kahne ko har baat ho gayi,
aao kahi sharab piye raat ho gayi;
naksha utha ke koi naya shahar dhoondhiye
ab to is shahar mai sabse mulakat ho gayi.
3.
Lufzoo mein fasaney dhundte hai hum log
lufzoo mein zamaney dhundtey hai hum log
to zair hi de sharab kehkar ay saqi
jeen ke bahaney dhundtey hai hum log
4.
Zindagi ke sawalon ka jawab dhoondta hoon,
dard ko kam kar sake wo sharab dhoondta hoon,
waqt ke haathon majboor ek shaksh hoon main,
jo jeene ka de bahana wo kitaab dhoondta hoon main.
5.
aaj kal teri har adaa har nazaakat yaad aati hai,
or apni jo sham chadhti hai to paimane me dubh jaati hai,
abh to isi ka sahaara reh gaya tere jaane ke baad,
magar ise bhi jo peata hun to aankhon se chhalak jaati hai,
behlaane ki koshish to ki dil ko maine bahut magar,
hardum hansta hun phirbhi udasi muh per jhalak aati hai,
abh to ek hee khushi ki aas rehgai iss{Gareeb}ke paas,
unke ik nazar dikhne se jo chehare per chha jaati hai,
6.
Sharab ko gale lagakar, zamane ko bhula diya,
Kuch der ke liye sahi, haskar jee liyaa!
7.
Ho Chuki Mulakaat Abhi Salaam Baaki Hai,
Tumhare Naam Ki Do Ghoont Sharaab Baki Hai,
Tumko Mubarak Ho Khushiyoon Ka Shamyaana,
Mere Naseeb Me Abhi Do Gaz Zameen Baki Hai,
8.
Kuch nasha to aapki baat ka hai,
kuch nasha to dheemi barsaat ka hai,
humein aap yun hi sharabi na kahiye,
is dil par asar to aap se mulakat ka hai
9.
Jam pe jam pine se kya fayda,
Sham ko pi subah utar jayegi.
Arey do boond ishq ke pee le,
Zindagi saari nashe mein guzar jayegi.
10.
Nasha hum kiya karte hai,
ilzaam sharab ko diya jaata hai,
Kasoor sharab ka nahin,
Unka hai jinka chehra hume har jaam mein nazar aata hai.
11.
Peete hain sharaab hum jinhe bhulane ke liye
wo hi aa jaate hain yaad hamen rulane ke liye
12.
Jaam pe jaam peene se kya fayda,
Raat guzri to sari utar jayegi,
Peene hi hai to kisi ki aankho se piyo,
Khuda ki kasam sari umar hi nashe mein guzar jayegi.
13.
HAR TARAF KHAMOSHI KA SAAYA HAI
JISE DEKHO WAHI PARAYA HAI
GIR PADA HOON MOHABBAT KI BHOOK SE.
PAR LOG KEHETE HAI :"DEKHO PEEKAR AAYA HAI"......
14.
Ek Jaam Ulfat Ke Naam
Ek Jaam Dosti Ke Naam
Aadhi Botal Wafa Ke Naam ... aur...
Poori Botal Bewafa Ke Naam!!
15.
Mai Pilakar Aapka kya Jaayega,
Jaayega Imaan Jiska Jaayega,
Dekhkar Mujho Woh Sharmaa Jaayega,
Yeh Tamaasha Kisse Dekha Jaayega
Katl Ki jab usne di dhamki mujhe
KEhdiya Maine Ki Dekha jaayega
Pi bhi le, do ghunt sakhi pee bhi le,
maikade se kaun pyaasa jaayega.
16.
Koi Paaas aaya Sawere Sawere,
Mujhe Aazmaaya Sawere Sawere.
Meri Dastaan Ko Zaraa Sa BadalkAr,
Mujhe hi Sunaaya Sawere Sawere
woh jo kehta tha kal Shab, Sambhalna Sambhalna,
Wohi ladkhadyaa Sawere Sawere
Kati Raat Saari Meri Mekade me,
Khuda Yaad aata Sawere Sawere
17.
PEENE KI ADAT PILANE KI AADAT,
NAJRON SE NAIN MILANE KI AADAT,
NAIN MILAYE BHI TAU KAISE,
UNHE HAI NAIN JHUKANE KI AADAT.
18.
Jabse gaye hai door woh hamse, tanhai ka hai ye aalam
hum khud hi kabhi kabhi khud ko pukaar lete hain.
Dard-e-judai jab hadh se gujar jaaye,
apne gam ko yun hi pyale mein utaar lete hain.
19.
Kaash hame bhi koi samjhane vaala hota,
To aaj hum nasamajh naa hote...
Kaash koi pyaar ki pyali pilane waala hota,
To aaj hum sharaabi naa hote...
Kaash koi hum par jaan fida karne waala hota,
To aaj hum kaatil naa hote...
Kaash koi hamare saath ghar basanewala hota,
To aaj hum beghar naa hote...
Shaayad accha hi hua ke koi bhi nahi hai,
Nahi to aaj hum shaayar naa hote...!!
20.
Ishq ke lamhe sharaab lagte hain
Kuch chehre mehtaab lagte hain,
Dukh itne sahe mohabbat main guzre hue
Ke ab har lamhe hi azaab lagte hain!!!
21.
mat pooch yaar ke kitni pi hai hamne..
teri aankhon ki suroi mein zindgi dubo di hai hamne,
ab kanch ke pyalo se hame kya lena..
tere hontho se pine ki kasam kha li hai hamne.
22.
Bekhudi ki zindagi hum jiya nahin karte
Jaam dusro se cheen kar hum piya nahin karte
Unko mohabbat hai to aa kar izhaar karein
Pichaa hum kisi ka kiya nahin karte
23.
Youn Badi Der Se Paimaana Liye Betha Hu,
Koi Dekhe To Ye Samjhe K Piye Betha Hu....
Zindagi Bhar K Liye Ruth K Jaane Wale,
Mein Abhi Tak Teri Tasveer Liye Betha Hu....
24.
Apne gamon ko sharab mein dubone chala tha,
Mujhe kya khabar thee, ki ghamon ko bhi tairna aata hai!!
25.
zakhm sah letey hain..honthon ko see letey hain
zindagi jaisi bhi dey ...usey khushi se jee letey hain
tu hamein apney hathon sey pila na pila aey saaki
peeney waley to teri ankhon sey peee letey hain!
26.
Sharab gamon ko dubati agar to jahan ek maikhana hota
Ek tumhi to dukhi nahi ho har dil sharab ka pyasa hota
1.
Yaadon ki purani galiyaan, kuch toote bikhare sapne,
kuch gudiya aur kuch sakhiyaan, kuch kisse aur kuch apne,
jis mod par aakar rukhte thamte, woh mod hai mere bachpan ke
aage aage jab main daudoon, aur peeche peeche sab sathi,
ek toote ghar ke aage ruk kar, yaad karoon gudiya ki shaadi,
saawan ke baadal teejon ki menhdi, pedoon ke jhoole yaad mujhe,
main to nahin bhoola inhe magar, ye bhool gayen hain sabhi mujhe,
yanha bheed bahut hai logon ki , mera dil phir bhi tanha hai,
bachpan ki galiyan chan raha, shayad koi pal vanha jinda hai !!
2.
Bachpann kay dukh kitne ache hote the...
tub to sirf khilone toota karte the...
Woh khushiyaan jaane kaisi khushiaan thi...?
titli kay parr noch kar uchlaa karte the...
Maar kar paaon jo baarish may...
apni naon khud aap daboya karte the...
sochte hay to chaut si dil par pardti hay...
aap banane aap gharaunde toda karte the...
Aapne jall jaane ka kuch ehsaas naa tha...
jaalte hue sholon ko cherda karte the...
khushbo kay urdte hi kyon murjhaate hay phool...?
Kithe bholepann say pucha karte the...
aaj inki tabeerein aur rulati hay!!!
bachpann may hum jo saapne dekha karte the...
Ab to ansoo ka eik katrah bhi ruswaah kar jaata hay
Bachpann may hum ji bharr kar roya karte the...!!!
1.
Milon dur tak kali raat aur har taraf tanhai hai,
Kahi hai matam to kahhi sehnai hai,
Yunto dost tuje roj mila karte hai,
Par jane kyu aaj teri yaad me aakh bhar aayi hai.
2.
dosti ki raho mai kabhi akelapan na mile,
aai dost zindagi mai tumhe kabhi gum na mile,
dua karte hai hum khuda se,
tuhme jo bhi dost mile hUM se kam na mile.
3.
zamane se kab ke hum gujar gaye hote,
thokar na lagi hoti bach gaye hote,
bandhe the to bas tere dosti ke dhage mai,
warna kab ke motiyo jaise bikar gaye hote.
4.
Zaruri nahi dosto me baat hoti rahe,
Zaruri nahi ki dosto me mulakat hoti rahe.
Zaruri hai bas dost jahaan bhi rahe
use hamari yaad aati rahe.
5.
Ab hamen bhi aa pada hai dosto se kuchh kaam..
Yaani, Hamare dosto ko bewafa hone ka waqt aaya...
6.
Dil mai haazaar gila shikva ho Magar Yeh nahi mumkin
Tum aao mere ghar mein aur ahitram na ho..
Haazaar Dusmani Ho tumse,magar Khuda karen
Dil mein kabhi Ahsaas-e intekam na ho...
7.
KYA KAHUN AAPNE DOSTON KE BAARE MAIN,
MERI KISMAAT KE BHUL HAI YEH LOG,
JAB BHI DETE HAI GAM DETE HAIN,
KITNE BEUSUL HAI YEH LOG,
8.
Ittefaq se hum mile,
Ittefaq se aap hume pasand aaye,
Ittefaq se hum dost bane,
Humari dosti ab ittefaq nahi,
Zindagi ki khoobsurat hakikat hai?.
9.
Tumse doori ka ehsaas jab satane laga,
Tere saath guzra har lamha yaad aane laga,
Jab bhi tumhe bhulne ki koshish ki,
Ae dost tu dil ke aur paas aane laga?..
10.
Haqiqat samjho ya afsana,
Begana kaho ya deewana,
Suno is dil ka fasana,
Teri dosti hai mere jeene ka bahana?..
11.
Aap ka ashiana dil me basa rakha hai,
Aap ki yado ko seene se laga rakha hai,
pata nahi yaad aate hai Aap hi kyon,
vaise dost to humne auro ko bhi bana rakha hai.
12.
Mahek mohabat ki kam nahi hoti,
Mohabat se zindagi kam nahi hoti,
Saath zindagi mein dosti ka agar ho,
To zindagi "jannat" se kam nahi hoti.
13.
Be kadar kuch dost ho gaye hai hamare,
Jo hamara intezar nahi karte
kabhi humpe mara karte the,
Abhi to yaad bhi nahi karte..
14.
jab dosti ki dastaan waqt sunayega,
tab hum ko bhi koi shaks yaad aayega.
hum bhool jaayenge zindagi ke gamon ko,
jab tumhaare saath guzara waqt yaad aayega.
15.
jinki dosti sachi hai,
wo kab faryaad karte hain,
zubaan khamosh hoti hai,
par dil se wo yaad karte hain.
16.
Phulon se khubsurat koi nahi,
Sagar se gehara koi nahi,
Ab aapki kya tariff karu,
Dosto mein aap jaisa dost koi nahi.
17.
Dosti ki hai, Nibhani to padegi,
Aapki taklif hume baatni to padegi,
Aapki taklif na jaan sake to dosti kis kaam ki,
Aapke liye mar na sake to zindagi kis kam ki.
18.
is pahar jo mila, fir wo us pahar na mila,
yani jo sham mila tha wo fir sahar na mila,
umar kehne ko humumaron me guzari lekin-
ek bhi dost umar bhar ka umarbhar na mila
19.
JO HUMSE MILTE HAIN, HUM UNHE DIL SE MILTE HAI, VERNA HUM TO WOH
SHAKHS HAIN JO.. - ..KHWABON MEIN BHI BADI MUSHKIL SE MILTE HAIN..
20.
Sitam karo ya na karo, hum gila nahi karte.
Virano mein kabhi phool khila nahi karte,
Magar itna yaad rakhna
Hum jaise dost baar baar mila nahi karte.
21.
Dost kabhi doston se khafa nahi hote,
Dil milake kabhi juda nahi hote.
Bhula dena hamari khamiyo ko,
Kyunki insaan kabhi khuda nahi hote.
22.
Mil jaye koi naya to hume na bhoola dena,
Koi rulaye tumhe to hume yaad kar lena.
Dost hai tumahare,
Khushi na sahi to ghum hi baant lena.
23.
Har kadam par imtihaan leti hai zindagi,
Har waqt naye zakhm deti hai zindagi;
Hum zindagi se shikwa kyon karen,
Hum zindagi se Gila kaise karen -
Aapsa Dost bhi to deti hai zindagi!
24.
Yaad aaye kabhi to ankhen num na karna,
Hum chale bhi jayen to gham na karna;
Yeh zaruri nahi har rishtey ka koi naam ho,
Par Dosti ka ehsas dilse kam na karna!
25.
Dua karte hai hum sar jhukaye,
Ae dost tu apni manzil ko paaye.
Agar kabhi teri raho mein andhera aaye,
Roshni ke liye khuda hum ko jalaye.
26.
Zindagi nahi hame dosto se pyari,
Dosto pe haazir hai jaan hamari.
Aankhon mein hamare asoon hai to kya,
Jaan se bhi pyaari hai muskaan tumhari.
27.
Din akele raat tanha kaat dee maine,
Dosto main saari khushiya bant di maine,
Zindagi ki bhag daud me mujhko mila hi kya,
paane ki ummid me zindagi kaat di maine.
28.
Har baar hosla karte hain , phir khud hi toot jate hain
Is dil ko khud hi samjha kar , is dil se har jate hain
Phir se ret ko muthi mein pakad ka r ,phisalta pate hain
Ankhon mein samandar ko samette samette , chalkta pate hain
Har baar kuch chah kar , woh khud hi kar jaate hain
Intezar karvate karvate , khud hi intezar karta pate hain
Na jane kyun is dil ko , samjha hi nahi pate hain
Apne aap khud ko mana hi nahin pate hain
Woh kya samjhenge jasbaat jinhe 'EHSAAS' hi nahi
Na jane kyun har baar kuch aise hi dost bana jate hain
29.
Dosti ka har farz nibha diya,
Kisi aur ke liye aapne hume bhula diya.
Akele to hum pehele se he the,
Achha hua jo aapne ehsaas dila dia.
30.
Dost dil todna hamari aadat nahi,
Dil hum kisi ka dukhate nahi.
Bharosa rakhna meri dosti par,
Dil mein basakar hum kisiko bhulate nahi.
31.
Baadal garaja magar barasaat nahi aayi,
Dil dhadaka magar aawaj nahi aayi,
Pura din gujarane ko hai dost,
kya ek baar bhi meri yaad nahi aayi?
32.
Na chahat hai sitaaron ki,
Na tamanna hai baharo ki,
Aap jaisa ek dost mil jaaye,
To kya jaroorat hai hazaroon ki………
33.
True friends are like Diamonds,
They are real and rare.
False friends are like leaves,
They are scattered everywhere.
Take care, MY DIAMOND.
34.
Dillagi dosto ke naam hoti hai,
Dillagi dosto ki shaam hoti hai,
Kahin bhi raho par rahoge dil main mere,
Yehi dosti ki sachchi pehchan hoti hai.
34.
Dictionary is the only place where Death comes before Life,
Success before Work,
Divorce before Marriage,
But Friend come before Relative.
35.
Jab dosti ki daastan waqt sunayega,
Hum ko bhi koi shaks yaad aayega.
Tab bhool jayenge zindagi ko,
Jab aap ke saath guzra zamana yaad aayega.
36.
Har koi pyar ke liye rota hai,
Har koi pyar ke liye hi tadapta hai,
Mere pyar ko galat mat samajna?
Pyar to dosti mein bhi hota hai.
37.
Dosti ki tadap ko dikhaya nahi jata,
Dil mein lagi aag ko dikhaya nahi jata,
Kitni bhi doori ho dosti mein,
Aap jaise dost ko bhulaya nahi jata.
38.
Is duniya mein dost kam milenge,
Is duniya mein gham hi gham milenge,
Jaha duniya pher legi,
Us mod pe dost humhi ?HUM? milenge?.
39.
Ehsaan doston pe jatane nahi hote,
karz dosti mein chukane nahi hote,
bas salamat rahe ye dosti hamari,
ye woh riste hai jo purane nahi hote.
40.
Har kali tujhse khushbu udhaar maange,
aftab tujhse noor udhaar maange.
Rab kare tu dosti nibhaye aise ki
log mujhse teri dosti udhar maange.
41.
Aapka ashiyana dil mein basa rakha hai,
aapki yaddon ko sine se laga rakha hai,
Pata nahi yaad aap hi kyu aate ho,
dost to humne auro ko bhi bana rakha hai
42.
Mausam ki bahaar achhi ho,
Phoolo ki kaliya kacchi ho,
Hamaari yeh dosti sachhi ho,
Rab se bas yeh dua hai ki mere dost ki har subah achhi ho.
43.
Zindagi hai to khawab hai,
Khwab hai to manjile hai,
Manjile hai to raaste hai,
Raaste hai to faasle hai,
Fasle hai to muskeelay,
Muskeelay hai to MAIN HOON NA.
44.
Khuda ne agar ye rista banaya na hota,
Ek dost ko dooje se milaya na hota.
Zindagi ho jaati bejaan,
Agar maine tera jaisa dost paya na hota.
45.
Chand adhura hai sitaro ke bina,
Gulshan adhura hai baharon ke bina.
Samundar adhura hai kinaro ke bina,
Jeena adhura hai tum jaise yaaron ke bina.
46.
Dosti achhi ho to rang laati hai,
Dosti gehri ho to sabko bhaati hai.
Dosti naadan ho to toot jaati hai,
Par dosti hum jaison se ho to itihaas banati hai.
47.
Kai raaz aise hote hai jo kahe nahi jaate,
Kai dil aise hote hai jot tode nahi jaate.
Aur kuch dost aap jaise hote hai jo chode nahi jaate.
48.
Tum na mano yeh hakikat hai,
Dosto insaan ki zaroorat hai,
Kisi din aao hamari mehfil mein,
Jaan jaoge zindagi kitni khubsurat hai.
49.
Gumah karke saza se darte hai,
Jeher pi ke dava se darte hai.
Dushmano ke sitam ka khof nahi,
Hum to dosto ki vafa se darte hai.
50.
Dil se dil badi mushkil se milte hai,
Tofanoo mein sahil badi mushkil se milte hai.
Yu to mil jaate hain hazaron,
Magar aap jaise dost nasib walon ko milte hai.
51.
APKO ASHIRWAD MILE BADO SE, KHUSIAN MILE JAG SE,
PYAR MILE SAB SE, DAULAT MILE RAB SE, YAHI DUA IS DOST KI DIL SE...
52.
CHAND KE LIYE SITARE ANEK HAI, LEKIN SITARO KE LIYE CHAND EK HAI,
AAP KE LIYE DOST HAZAR HONGE LEKIN, HAMARE LIYE AAP EK HAI!!
53
Behind ur smile I know there r sorrows,
Behind ur laughter I know there r tears,
And I want u 2 know that behind u I am always there 4 u.
54.
MAHEK MOHABBAT KI KAM NAHI HOTI,
MOHABBAT SE BHI ZINDAGI KAM NAHI HOTI,
SAATH ZINDAGI MAIN DOSTI KA AGAR HO,
TOH ZINDAGI 'JANNAT' SE KAM NAHI HOTI.
55.
Zindagi Ki Raho Me Jog Gam Milenge,
Dua Se Hamari Kam Milenge....
Agar Tanha Pao Apne Aapko, Yaad Karma Hame,
Kasam Dosti Ki, Sabse Aage Ham Milenge....
56.
Wakt tera ghulam hoga
Har pal pe tera naam hoga
Zara mud kar dekhna mere dost
Tere har kadam pe mera saath hoga
57.
Maana ki dil ki baat kabhi na keh paoge
Par aankhon mein jo hai usse kaise chupaoge
Vaada raha ye humara aapse
Jab bhi nazar uthaoge is dost ko hi paoge
58.
Hume yaad rakhna na kabhi bhulana
Bas ek yeh ehsaan dost humpe karna
Hum chale jaayen kitne bhi duur
Dil mein humari jagah yunhi banaye rakhna
59.
raahi badal jaate hai par raaste nahi badalte*
toofan aaye phir bhi mausam nahi badalte,*
gile shikwe bhale kitne ho magar sachhe dost nahi badalte...
60.
dosti karo to dhokha mat dena,
dosto ko aasuo ka tohfa mat dena,
dil se roye koi tumhe yaad kar ke,
toh aisa kisi ko mauka mat dena.
61.
Dosti ko bhulana Fitrat nahi hamari,
Aap se dur rahna majboori hai hamari.
Jine ke liye sirf saans kafi nahi,
Aap ko hona bhi zarurat hai hamari.
62.
Hakeekat samjho ya afsana;
Begana kaho ya deewana;
Suno mere dil ka fasana;
Teri dosti hai mere jeene ka bahana.
63.
Hasraton ki nigaho pe sakht pehra hai,
Na jane kis umeed pe ye dil thehra hai,
Teri chahton ki kasam ae dost,
Apni dosti ka rishta pyar se bahot zada gehra hai?..
64.
When things turn out bad and your strength is no longer enough to carry them.
You must never give up, cause when your strength ends, my worth as your friend begins.
65.
Aye Dost tu itna badkalam na ho
ki kabhi karib se gujrae to dua-salam na ho
yeh aur baat hay dushmen hua hay aaj mager
woh mera dost tha kal tuk usay bura na kaho !!!
66.
hum woh nahi jo tujhe gum mein chod denge,
hum woh nahi jo tujse naata tod denge,
hum toh tere woh dost hain jo,
agar teri saanse bandh ho to apni sanse jod denge.
67.
Guzre hue zamane ki yaad ati hai,
Kuch lamho se ankhen bhar ati hai,
Woh subha rangeen , Woh sham nirali,
Jab aap jaise dost ki yaad ati hai.
.
Dil ke darwaaze pe khada kab se
Shayad dastak de raha hai koi..
Hazaaron sapne the jo toot ke bikhare
samet kar ik-ik ,de raha hai koi "
2.
Ret me naam kabhi likhte nahi,,,
Ret pe likhe naam kabhi tikte nahi,
Tumne hume patthar dil to keh diya
Par e yaar mere patthar pe likhe naam kabhi mitate nahi !!!!!!!!!!!
3.
lamhe judai ke bekarar karte hain
haalat mere mujhe laachar karte hain
aankhe meri pad lo kabhi
ham khud kaise kahe ki aapse pyar karte hain
4.
Log kehte hai ki itni Dosti mat karo,
ki dost Dil per sawar ho jaye..
Hum kehte hai - Dosti itni karo ,
ke Dusman ko bhi Tumse Pyar ho jaye.....!!!
5.
Tumhare pyaar me hamne bhohot chote khaye,
Jiska hisaab na hosake utne dard paye,
Phirbhi tere pyaar ki kasam khake kehtahu,
Hamare lab pe tumhare liye sirf pyaar aaye...
6.
Darte hai aag se,kahi jal na jaye.Darte hai khwab se kahi tut na jaye,lekin
sabse jyada darte hai apse kahi aap humse ruth na jaayen..
7.
DIL ke rishte bhi ajeéb hote hai,
kuch log door rehkar bhi pass hote hain,
jo log aap ko roz dekhte hai,
woh kitne khush naseeb hote hain.
8.
Tum apne doston ke zaara naam to ginva do
mein apane dushmano ki taadat to samaj lun.
9.
Nazakat is ki toh shishey sey bhi ziyada hey
Zameen-e-dil pey zara phoonk kar khadam rakhna ...
10.
Jaaney Uss shakhs ko kaisa yeh hunar aata hai
Raat hoti hai tou, aankhon mein utar aata hai
11.
Jaati hai is Jheel ki Gehraai kahaan tak......
Aankhon mein teri "Doob" ke dekhain gey kisi Din
12.
Aankhein jhuki jhuki hai, tou Chehray pe Noor hai
Zaalim ki Saadgi mein bhi kitna Ghuroor hai
13.
Jaane Kis Kis ki Maut Aaaye Hai,
Aaj Rukh pe koi Naqaab nahin..
Woh Karam Ungliyon par ginte hain,
Zulm Ka Jinke Koi Hisaab nahin....
14.
lahu bhi kam pada to ashkon ki syahi se usse khat
likha, zaalim ne kora kagaz samajh ke phaad diya...
15.
Mohabbat ke Diye jalakar to dekho
Jara dilki duniya sajakar to dekho
Tumhe ho na jaye mohabbat to kehna
Zara hamse Najre milakar to dekho
16.
Sab kuch khuda se maang liya ek tujhko maang kar
Uthhte nahi hai haath.........abb iss dua ke baad.....
17.
Chand Taron Ka Noor Tujpe Barse,
Har Koi Teri Chahat Ko Tarse,
Teri Zindagi Mein Aaye Itni Khushian,
Ke Tu Ek Gham Paane Ko Tarse.
18.
Pathar Ko Pani Mein Mat Phenko,
Isse Koi Aur Bhi Peeta Hoga,
Jeena Hai To Khush Hoke Jeeyo,
Tumhe Dekhkar Koi Aur Bhi Jeeta Hoga...
19.
Gam K Aansu Dikha Nahi Sakte,
Apna Haq Aap Par Jata Nahi Sakte,
Kitni Anmol Ho Tum Meri Nigahon Me,
Yeh Bat Hum Aapko Bata Nahi Sakte.
20.
Ye woh subah hai,
jiski na kabhi shaam hoti hai...
Ye woh umra (age) hai,
Jo kabhi na tamaam hoti hai....
21.
Jo karte hai issey,
Woh duniya ko bhool jate hai...
Duniya unko yaad karti hai,
Aur vo duniya ko yaad aate hai
22.
talaash hai aise hamsafar ki
jo bas yunhi saath chalte rahe
na phikr ho hamein manzil ki
agar saari zindagi yunhi safar mein kat jaaye
21.
tera khawaab hoon, tu apni aankhon mein basa le mujh ko,
tera chaahne wala hoon, apna deewana bana le mujh ko,
main pathhar tha magar, tune chhu kar heera bana diya hai,
dil mein chhupa ke rakhna, koi tujh se na chura le mujh ko....
22.
Tumhari har adaa ka kya jawab du
Apne pyaar ko kya upahaar du
Koi acha sa phool hota to maali se mangwata
Jo khud gulaab hai usko kya gulaab du.
23.
meri duaa hai tu sab se naik seerat ho
teri tara tera dil bhi khoobsoorat ho
duaa se qabal miley jo tu chahey
khood dua ko tere haath ki zaroorat ho
24.
Main tumse pyar karta hoon kese batlauu tujhe...
Main tum par jaan se marta hoon kese samjhauu tujhe...
To hi bata main apne pyar ka kese ehsas dilauu tujhe...
Roth jae sari duniya sab kuch haar kar bhi jeet jauu tujhe...
25.
Sadiyonse teri aas hai,
milne ki tujhase pyas hai
Ajnabeeyat ka parda uthade,
Mujhe firse pyar karna sikha de..
26.
Ke har mulakat tumse kyu lagti hai
Jaise rah gayi koi baat unkahi
Kaise baato mein tumse yeh kah du ke
Tum ho meri ek khwahish adhuri si
27.
pucho mere dil se paigam likhata hu,
saath guzari bate tamam likhata hu
diwani ho jati he woh kalam,
jis kalam se apka naam likhata hu...
--
28.
'Aie Kalam(pen)' zara sambhal kar chal
yeh mere adab ka mukam hai
kahin chubh naa jana tu usko
teri noak ke neeche meri zindagi kaa naam hai
29.
Mein khud pehel karoon yaa UDHER se ho Ibteda
Barson guzar gaey hain yahi sochtey huey
30.
Khaamosh tum thay aur merey Hont bhi bund
Phir itni dair kaun tha jo bolta raha
31.
Chub na jaaye palko ka saya unko,
Ke wo jo najuk badan nigahon mein raha karte hai.
32.
Hye kaun na mar jaya yeh sadgi per .....
Ladta hai aur hath me Talwar bhi nahi....
33.
aapki hasi kabhi kam na ho,
aapki aankh aasuonse kabhi nam na ho,
aapko mile zindagi ki har khushi,
bhale us khushi mein hum ho no ho.
34.
ZAKHMO KO APNE SEE LU AGAR TUM IZAZAT DO,
AANKHON SE TERI PEE LU AGAR TUM IZAZAT DO,
MAR TO JALDI HI JAUNGA, THODA SA JEE LU AGAR TUM IZAZAT DO
35.
Farishtey aatey haein haathon ko choomnay kay liye...
khuda ki shaan hein meray priy-jamaal kai haath...
tammam surkh samandar ka ho gaya paani...
abhi gaye hein woh mehndi bharey khangaal kay haath...
36.
tere har gam ko
mein apna samajhta hoon..
teri har khata ko
mein adaa samajhta hoon..
pyar mein tere
paagal hoon itna..
teri majbooriyoon ko
mein vafaa samajhtaa hoon..
Khush rahe to sadaa
yeh chahtaa hoon
teri har aah ko
mein dua samajhtaa hoon..
37.
Ek lamhe me zindagi savar di,
Ek lamhe me unhone zindagi ujad di,
Kusur unka nahi hamara tha
Jo un do lamho me hamne zindagi guzardi
38.
Tumhe dekhne ki hasrat si ho gayi hai,
Tumhe mein dil mein rakhne ki aadat si ho gayi hai,
Chahne par bhi nahi bhoolte,
Kya kare tumse ye mohabbat jo ho gayi hai.
39.
Tirche tirche teer nazron ke
seedha dil pe nishana lagta hai
aag ka kya hai kabhi bhi lag jaati hai
bujhne me zamaana lagta hai!
40.
Teri Palkon Main Rukna Hai
Raat Bhar Ke Liye
Main To Ek Khawab Hoon
Subah Ko Chala Jaaonga....
41.
Tujhe dekhe bin teri tasveer bana sakta ho,
Tujhe milbina tere haal bata sakta ho,
Hai meri mohabbat mei ittna dum,
Appni ankh ke aasue teri ankh se gira saktha hoo
42.
Hamen apne dil men basaye rakhna, Hamari yadon ke chirag jalaye rakhna;
Bahut lamba hai safar zindagi ka mere dost, Ek hissa hamen bhi banaye rakhna!
43.
Meri ankhon main bas gaye ho aise
Seep main koi moti rehta ho jaise
nazrain jhukaye rakhti hoon main
tera aks na dekhle koi meri ankhon main
44.
dekhte dekhte haatho se nikal jaayege
hum bhi suraj ki trah shaam ko dhal jayege
itne aawaaz ke pathar na uchalo yaaro
hum to ahsaas ki garmi se pigal jaayege
45.
ugta hua suraj dua de apko,
khilta hua phool khushbu de apko
hum to kuch dene ke kabil nahin hai,
dene wala hazar khushiya de apko.
46.
ruuth kar tum humme bhulane lage,
itne duur hue ki bahut yaad aane lage,
kaise bhula doon tumhe ek pal mein
jab tumhe paane mein mujhe zamane lage
47.
Hume to ab bhi woh guzra zamana yaad aataa hai
Tumhe bhi kya kabhi koi deewana yaad aataa hai ?
Hawaye tez thi baarish bhi thi tufaan bhi thaa lekin
Tera aise mein bhi wada nibhana yaad aataa hai!!!"
48.
Mujhe meri Mohabbat pe tha eitbaar
aisa bhi din aayega ek baar,
Aaoge khud tum chalke mere darbaar
Milake nazrein,karoge,pyaar ka izhaar!!!
49.
Ab aur manzil paani ki hasrat nahi,
kisiki yaad me mar jaane ki hasrat nahi,
aap ka PYAR jabse mila
kisi aur ko PYAR karne ki hasrat na rahi!
50.
Tumhe bhulanein ki koshishen
Tamaam nakaam ho rahi hain
Tumhe bhulanein ki koshishen
Tamaam nakaam ho rahi hain
Kisi ne zikr' wafa ka kiya
To Zubaan pe tera hi naam aaya
51.
Chand Se Pyari Chandni,
Chandni Se Pyari Raat,
Raat Se Pyari Zindagi,
Zindagi Se Pyari Aap.
52.
Hum Aah Bharte Hai To Ho Jata Hai Badnam,
Woh Katal Karte Hai Jinka Toa Charcha Nahin Hota.
53.
Paisa hai hathoan ka maile
Ata hai aur Jata hai ’¥’¥’¥..
Pyar who daulat hai,
Jo dil ki teejori hamesha rehta hai !!!
54.
Mere Dil Main Koi Aawaz Ubhar Aati hai
Tere Hi Baal Bikhar Jaata Hain Diwaron Pe
Teri Hi Shakal Kitabon Main Nazar Aati Hai
55.
Kaise maaf karein tumhein hum,
maaf karna hamari aadat hi nahin
Kaise maaf karein tumhein hum,
jab tumne koi khata ki hi nahin
56.
Gum ki aandhiyo mein utar jayenge,
sagar kya samundar mein utar jayenge,
hume marne ke liye faansi ki nahi zroorat,
dil se nikaal do yunhi marr jayenge!!
57.
Aise khayalon ki mehfil na baitha karia
Humare liye muskurage hum par ahsaan kijiye
Zindagi bhi kabhie to muskuraigi
Aise umeed dil mein raka kijiye
Mehtaab toh raaton mein hi nazar ata hai
Isi tasalli se chiraagon ko jalaya kijiye
(mehtaab = moon)
58.
FiZa Main Mehakti Ek Sham hO0 tUm
Pyar Main ChaLakta JAam ho0 tUm
SeeNay ChuPayEe PhirTay Hain hUm YAad tUmhaRi
Meri ZandaGi Ka Do0sara Naam ho0 tUm
59.
Aankhon ki gehari jheel me dubaye ja rahi ho;
Tairna mujhe aata hai, Magar bacchna hai kisko?!!
60.
tumse milne ki aarzoo aaj kho gai hai kahan
dhoondhte hain tumhe hum yahan wahan
milenge kabhi tumse yeh sochte hain hum
kaya bekaraar ho tum bhi, ya yuin he pareshaan hain hum
61.
WadAy PAy wOh AaetBAr Nahi KArTay
Hum Zikr-e-MoHabbat Sare BAazar Nahi KArTay
Darta Hai Dil Unki Ruswai Say
aUr wOh SoChTay Hain hUm UnSay PyaR Nahi KartaY
62.
Merey Mehbub, iss qadar Mein tujh se Pyar karun
"Tuu" agar jhut bhi boley tu Aitebaar karun
63.
Tere saath hai mujhey kiya kumi hai
Andhairon se bhi mil rahi ROSHNI hai
64.
Kabhi kabhie Woh humain Be-sabab bhi milta hai
asar hua nahin Uss per abhi zamaaney ka
65.
shamil nahi hain jisme teri muskurahaten,
wo zindagi kisi jahannum se kum nahi.
66.
Sanson mein bhi shamil ho lahu mein bhi rawan ho
lekin mere haathon ki lakeeron mein kahaan ho
67.
Jinke Liye Tera Arman Hi Kafi Hai,
Dil ki Kalam Se Likhi Dastan Hi Kafi Kai,
Teer KI Kya Jururat Hai?
Qatl Ke Liye Meri Muskan Hi Kafi Hai
68.
koshish bahut ki dil ko samjhane ki,
ankhon ko kasam di so jaane ki,
bahut samjhaya fir bhi aankhen nahi soyi,
soyi tab jab baat ki aapke khwab mein aane ki.
69.
ye mojazza bhi mohabbat kabhi dikhaye mujhe
ke sang tujhpe gire aur zakhm aaye mujhe !!!
70.
NigaahoN se qatl kar de,na ho takleef dono ko
tujhe khanjar uthaane ki,mujhe gardan jhukaane ki !!!
71.
"Na koi kisi ke paas hota hai, Na koi kisi se door hota hai;
Pyar khud chal kar aata hai, Jab koi kisi ke naseeb mein hota hai!"
72.
Wo jaisay qareeb say guzray to yeh hua mehsoos,
Guzar rahi ho dabay paon zindagi jaisay.....
73.
Juda kissi say kissi ka garz habib na ho,
Yeh wo daag hai jo dushman ko bhi naseeb na ho.
74.
Ek Naam Kya Likha Tera Saahil Ki Rait Par
Phir Umar Bhar Hawa Se Meri Dushmani Rahi
75.
Hausale itane buland the ke
har gum ko sah gaye
bus sah na sake ek tera gum
toot ke hum rahe gaye
76.
raakh meiN bhi aap paayenge hamaaraa naam hi
raakh meiN bhi aap paayenge hamaaraa naam hi
khat hamaare aap chaahe khud jalaa kar dekhiye...
77.
Koi dur ho kitna hi kya gam hai?
Magar vo apna hai ye kya kam hai?
Chahe na ho bat na ho mulaqat kya gam hai?
Yad hume vo karle ye kya kam hai.
78.
Meri har nazar ko tera intezaar aaj bhi hai,
Umeed bhi hai aur yakeen aaj bhi hai,
Teri baatein aur muskurahatein mujhe yaad aaj bhi hai,
mujhe tujhse pyaar kal bhi tha aur aaj bhi hai.
79.
ankho me aansuo ko ubhar ne na diya,
mitti ke motiyo ko bikhar ne na diya,
jis raah pe pade the tere kadamo ke nishan
us raah se kisiko gujar ne na diya
80.
Maine Haath Utha kar Duaa Maangi
Dua me Rab se Maut Maangi...
Rab ne kahaa Maut to de dun tujhe
Magar us Dost ka kya Jisne Teri Lambi Umar Maangi
81.
Tu kaatil tera chehra kaatil ...
Chehre ka ye kala til bhi katil ....
bhool kar bhi kahin tum dekh na lena aaina ...
ki kahin mar na de katil ko katil....
82.
Aeh Chaand Tu Is Tarah Itrakar Na Dekh...
Humne Bhi Kayee Chand Dekhen Hein,
Tummhe To Daag Hein, Humne To BeDaag Dekhen Hein.
83.
Shokki hein najakat hein , aankhoon mein shararat hein
Aisa bhi sharmana kya ,kah do ki mohabbat hein
Aah!!! kahne ki jaroorat kya,baaton ki hakeekat kya
chhalke na nigahoon se aisi bhi mohabbat kya!!!
84.
Mast nazaron se kyon dekha, gar tamanna thi aazmaane ki
hum to yoon hi ghayal they, kya zaroorat thi muskurane ki
85.
Khaas Likha Hai Khat Mein, Zara Ahista Boliyega
Bhej Raha Hoon Dil Apna, Zara Ahista Kholiyega
86.
*na guzarna eid ke din pehle kisi masjid ke paas se,*
*kahin log chand samajkar apna roza tod na de,*
*aur hokar khafa khuda tumse kahin,*
*husn banana hi na chod de.*
87.
teri Ummid par tukhra rahaa hun duniya ko,
tujhe bhi apne pe yeh aetbaar hai ke nahin....
tu apne dil ki jawaan dhadkanon ko gin ke bataa
meri tarah tera dil bekarar hai ke nahin...
juhuki hjuki si nazar bekarar hai ke nahin,
daba daba sa sahi dil me pyaar hai ke nahin....
88.
Aasman humse naaraaz hai
Taaron ka gussa behisaab hai
Wo sab jalte hain, kyunki
Chaand se bhi behtar yaar humare paas hai
89.
YAAD NA KAROGE TOH SATAENGE.RUTHOGE TO MANAYEGE.ROVOGE TOH
HASAYEGE.YAAR HAI HUM SAYA NAHI JO ANDHERA HOTE HI CHOD
JAYENGE
90.
Tumhari har adaa ka kya jawab du
Apne pyaar ko kya upahaar du
Koi acha sa phool hota to maali se mangwata
Jo khud gulaab hai usko kya gulaab du.
91.
Baaki kuch na raha zamaane mein
Jawani guzar rahi mehkhaane mein
Ab to karle mere pyaar pe yakeen
Warna zindagi beet jaayegi aazmane mein
92.
Chehrey Per Banawat Ka Gussa,
Aankhon Say Chalakta Pyar Bhi Hai,
Is Shauq-E-Ada Ko Kya Kahiye
Inkar Bhi Hai Iqraar Bhi Hai.
93.
Koi aankhon aankhon se baat kar leta hai,
Koi aankhon aankhon mein mulakat kar leta hai,
Mushkil hota hai jawab dena,
Jab koi khamosh rehkar bhi sawal kar leta hai?..
94.
*mohabbat ki shama jalake to dekho,
zara dil ki duniya saja kar to dekho,
tumhe ho na jaye mohabbat to kehna,
zara humse nazrein milakar to dekho....
95.
*ankhon ki zuban woh samajh nahi pate.
labon se hum bhi kuch keh nahi pate,
apni bebasi hum kis tarha kahein,
koi hain jiske bina hum reh nahi pate...
96.
Muje yaqiin to nahi magar yehi such hai...
k main tere waste umrein guzaar sakta hoo...
aisa nahi ke tujhe jit ne ki khwahish hai...
me tere wasate khood ko bhi haar sakta ho....
97.
Apni zindagi se kuch pal dede mujhe
Aaj na sahi, tu apna kal dede mujhe
Khushi de ya na de marzi teri
Apna saara dukh aur dard tu dede mujhe
98.
Kisi ki dhadkan ke peeche koi baat hoti hai
Har dard ke peeche kisiki yaad hoti hai
Aapko pata ho na ho
Aapki har khushi mein humari fariyad hoti hai
99.
Kismet se apni sabko shikayat kyu hai,
Jo nahi mil sakta usi se mohabbat kyu hai,
Kitne khade hai raho pe,
Phir bhi dil ko usi ki chahat kyu hai.
100.
*humse door jaoge kaise, *
*dil se hamein bhulaoge kaise,*
*hum woh khushboo hain jo saanson mein bas jaate hai,*
*khud hi ki saanson ko rook paoge kaise...*
101.
dil ki bat zuba tak lana kitna mushkil he,
hal-e-dil kisi ko suna na kitna mushkil he.
ek hume he teri chahat, ek duniya ki majburi,
bich sumnder diya jalana kitna mushkil he...
--
102.
Gamo me hasne walo ko rulaya nahi jata,
Lehro se pani ko kabhi hataya nahi jata.
Ban ne wale ban jate he kismat apni,
kisi ko keh kar apna banaya nahi jata.
103.
Aaj samjhe tere chehre par iss kale till ka matlab
Aaj samjhe tere chehre par iss kale till ka matlab
Khazaane husn par darbaan bitha rakha hai.
104.
us se milne ki aarzoo bhi hai
aur wo mere roo-ba-roo bhi hai...
humne socha k dil jala dalen
phir khayal aaya dil mein too bhi hai...
105.
Bole woh dosti, Chup rahe wo pyaar,
Milaye wo dosti, Juda kare wo pyaar,
Hasaaye wo dosti, Rulaye wo pyar,
Phir bhi log dosti chod kar kyun karte hai PYAAR.
106.
Ishq mein dil ka Tamasha dekha nahi jata,
Humse toota hua sheesha dekha nahi jaata,
Apne hissae ki khushiyan bhi tumhe de dun,
Tumhara utra hua chehra hum se dekha nahi jata.
107.
UNSE MILKAR HI YAKIN HOTA HAI, KOI ITNA BHI HANSI HOTA HAI,
WHO SAMAJTE NAHI KHAMOSHIYON KO, HUMSE IJHAR NAHI HOTA HAI,
EK BAR HI BAHAKATI HAI NAZAR, ISHQ SOU BAR NAHI HOTA HAI,
UNKO KAHE BHI TO KAHE KAISE, DIL KAHI HOSH KAHI HOTA HAI
108.
Na Khuda Dil Banata, Na Kisise Pyaar Hota
Na Kisiki Yaad Aati, Na Kisika Intezaar Hota
Dil Diya Hai, Ise Sambhaal Kar Rakhna
Shishe Ka Bana Hai, Pathar Se Door Rakhna
109.
Kaha se doond laavoon
Mai phool gulaab ka
Lakhomme ek hai
Chahara aap ka
110.
aansuo me mat dhundho hamain,
dil main hum bas jayenge,
tamanna ho agar milne ki,
to band aankho main bhi nazar aayenge
111.
Sabne kaha ishq dard hai
Humne kaha dard kubool hai
Sabne kaha is dard ke saath jee nahin paaoge
Humne kaha is dard ke saath marna kubool hai!!!!!!
112.
Aai khuda apne chand pe itna guroor na kar
Ek chand sa Yaar hum bhi rakhthe hai
Jab taarif hoti hai tere chand ki
Log misaal mere chand ki dete hai
113.
Ye toh sadiyo ki ibaadat ka sila hota hai
har kisi ki kismat mein kahaan ishq likha hota hai
114.
wo dosti hi kya
jo jatayee na ja sake
wo mohabbat hi kya
jo batayee na ja sake
wafaaye to is duniya
mein hain bahut
par wo wafaaye hi kya
jo nibhayee na ja sake
115.
kis dil se teri wafa ki taarif maangu,
kis mohabbat se teri judaai ka dard maangu,
mujhe to darr hain tujhe kho dene ka,
kis khuda se tujhe paane ki dua maangu.
116.
Khuda se thoda raham khareed lete,
Aap ke zakhmo ka marham khareed lete.
Agar kahi bikti khushiya meri,
To saari bech kar aap ka har ghum khareed lete.
117.
Yun durr rehkar duriyon ko badaya nahi karte,
Apne deewano ko sataya nahi karte,
Har waqt bas jise tumhara khyal ho,
Usey apni awaaz ke liye tadpaya nahi karte??
118.
Ek na ek shamma andhere mein jalaye rakhiye,
Subha hone ko hai mauhol banaye rakhiye,
Kaun jane wo kis gali se guzre,
Har gali ko phoolo se sajaye rakhiye!
119.
Har nazar nazar mein ek kashish hoti hai,
Har dil mein ek chahat hti hai,
Mumkin nahi har ek ke liye TAJ MAHAL banana?..
Par har dil mein ek mumtaz jarur rehti hai!
120.
Teri nafarat mein wo dam nahi jo meri chaht ko mita de,
Yeh mohabat hai koi khel nahi jo koi haske bhoola de!
121.
Fiza mein mehekti ek shaam ho tum,
Pyar mein chalakta jam ho tum.
Seene main chupaye phirte hai hum yaad tumahari,
Meri zindagi ka dusra naam ho tum.
122.
Is kadar hamari chahat ka imtihan na lijiye.
Kyu ho humse khafa, bayan to kijiye,
Kar dijiye maaf agar ho gaye humse khata,
Yu yaad na karke saza na dijiye.
123.
Gham ke aansu dikha nahikarte,
Apna haq aap par jata nahi sakte,
Kitne Anmol ho tum meri nigahon mein,
Yeh baat hum aapko bata nahi sakte.
124.
Khubiya itni to nahi hum mein,
ki kisi ke dil mein ghar kar jaynege....
par bhulana bhi aasan nahi hoga,
aisa kuch kar jaynge....
125.
dua karte hain hum sar jhukaye
aaye dost tu aapni manzil ko paye...
agar raston main andhera chaye
to roshni ke ilye khuda hume jalaye...
126.
Ishq wale bade nadan hote hain
wahan le jate hain kashti
jahan toofan hote hain
127.
Meri sab koshishen nakam gayi
Use manane ki
Zalim ne kaha seekhi hai
Yeh adayen root jane ki
128.
Kisi ke dhadakte dil ke peeche jaroor koi baat hoti hai,
Kisi ke udas dil ke peeche kisiki yaad hoti hai,
Aap ko pata ho-na-ho,
Aap ki khushi ke peeche meri fariyaad hoti hai?..
129.
Chaho to dil se humko mita dena,
Chaho to humko bhula dena,
Par yeh wada karo ki aaye jo kabhi yaad hamari,
Rona mat sirf muskura dena?..
130.
kaha tak aau main tere pairo ko pehchaan ke
rakh diya hai aaj toh maine ret ko bhi chaan ke
131.
hoom leti hai kabhi lab ko kabhi rukhsaar ko
Tumne bhi in julfo ko bada sar pe chada rakha hai
132
Aarju hai door se dekhne ki...
Karib aana bhi nahi chahte...
Tamanna nahi tumhe pane ki...
Magar khona bhi nahi chahte....
133.
ek khayal dil mein...........
tasveer tyumhari saamne leke betha hoon,sochta hoon baat kab karogi......
dil ka jawab......
tasveer se baat nahi hoti,sitaro se mulakaat nahi hoti,
sitare agarzameen pe hote to zamen falak hoti
134.
Dekhne waalon ne kya kya nahin dekha hoga
Mera Daawa hai ke Tujsa Nahin dekha hoga,
Jis tarah Maine Teri Raah taki hai Barson..
Yun Kisi ne tera Rasta Nahin dekha hoga...
135.
Raat Hogi Chand Bhi Duhai Dega,
Khuda Khidki Se Niharta Dikhai Dega,
Yeh Mohobbat Hai, Zara Sambhalkar Rona,
Aansu Bhi Gira To Sunai Dega.
136.
Khushbo Ki Tarah Aapke Paas Bikhar Jayenge,
Sukon Ban kar Dil Me Utar Jayenge,
Mehsoos Karne Ki Koshish To Kijiye,
Door Hote Hoye Bhi Pass Nazer Aayenge
137.
Tanhai mein waqt barbad kiya karte hai,
Hum har din har pal tumhe yaad kiya karte hai,
Mein nahi janta gharwale batate hai,
Hum neend mein bhi aapka naam liya karte hai?..
138.
Na koi kisi ke paas hota hai,
Na koi kisi se door hota hai,
Pyar khud chal kar aata hai
jab koi kisi ka naseeb hota hai.
139.
TAMAM UMAR JINDGI SE DOOR RAHE,
TERI KHUSI KE LIYE APNI KHUSI SE DOOR RAHE.
AB ISSE BADKAR WAFA KI SAJA KYA HOGI,
KI TERE HOKER BHI TUJSE DOOR RAHE.
140.
Phoolon ki har kali khusbu de aapko,
Suraj ki har kiran roshni de aapko,
Hum to kuch den eke qabil nahi,
Magar dene wala har khushi de aapko.
141.
Koi aankhon aankhon se baat kar leta hai,
Koi aankhon aankhon mein mulakat kar leta hai,
Mushkil hota hai jawab dena,
Jab koi khamosh rehkar bhi sawal kar leta hai?..
142.
Hasna hamara kisi ko gawara nahi hota,
Har musafir zindagi ka sahara nahi hota.
Milte hai bahut se log is tanha zindagi main,
Par koi tumsa pyara nahi hota.
143.
YAARO YE DUNIYA HAI BEDARDO KI, YAHA HAR RAZ CHUPANA PADTA HAI,
DIL ME HAI LAKHO ZAKHAM FIR BHI MEHFIL MEIN TO MUSKURANA PADTA HAI......
144.
KASH KHUDA NE HUME EK KITAAB BANAYA HOTA AUR USSE PADANE KE LIYE SIRF
TUME BANAYA HOTA, AAP PADHTE-2 SO JATE, ISI BAHANE HUME GALE TO LAGAYA HOTA.
145.
Kisne kaha judai hogi,
Kisi gair ne yeh khabar udayee hogi,
Bade shaan se rahenge hum tumahare dil mein.
Itne dino mein kuch to jagah banai hogi.
146.
ANKHON PE ASUON KI LAKIR BAN GAI, KABHI NA SOCHA THA
ASI TAKDIR BAN GAI, HAMNE TO YUNHI RET MEIN UNGLIYA PHIRAI,
GOR SE DEKHA TO TERI TASVIR BAN GAI.
147.
Mere Dil Main Koi Aawaz Ubhar Aati hai
Tere Hi Baal Bikhar Jaata Hain Diwaron Pe
Teri Hi Shakal Kitabon Main Nazar Aati Hai
148.
UNE CHAHNA HAMARI KAMZORI HAI, UNHE KEH NA PANA HAMARI MAJBURI HAI, VO
KYO NAHI SAMAJTE HAMARI KHAMOSHI KO, KYA PYAR KA IZHAR KARNA ZARURI HAI.
149.
Mere Jineke Liye Tera Armaan Hi Kafi Hai .
Dil Ke Kalam Se Likhi Ye Dastaan Hi Kafi Hai.
Tir-E-Talwaar Ki Tujhe Kya Zaroorat-E-Nazneen,
Qatl Karne Ke Liye Teri Muskaan hi Kafi Hai
150.
Dost aisa ho ki dhadkan mein bas jaaye
Saans bhi lo to khushboo usiki aaye
Pyaar ka nasha aankhon pe chaaye
Baat koi bhi ho par naam usika aaye
151.
Wo pyar jo haqekat mein pyaar hota hai,
zindagi mein woh sirf ek bar hota hai,
nigaaho ke milte dil mil jaaye,
yeh ittefaq sirf ek baar hota hai.
152.
Jab bolte hai to kehte ho ki bohot bolte ho
Jab chup rehte ho to kehte ho ki naraz ho?
Dil ki baat akhir kaise bataen
Batate hain toh kehte ho mazak kar rahe ho?
153.
A aj kuch khas baat to jaroor hai ......
jo aap itne madhosh huwe ja rahe hain.....
kahin ye bin piye jaam ka nasha to nahin..
jo aap itne Ashiq mizaz huwe ja rahe hain
154.
jis shaam mein mere lab per aapka naam na aaye,
khuda kare ki kabhi aisi shaam na aaye,
ae jaane wafa yeh kabhi mumkin nahin ki,
afsaana likhoon aur aapka naam na aaye.
155.
Aapke shahar ka har mausam suhana lage,
Ek shaam chura loon aapki agar bura na lage,
Aap chahe bhula de hume ek pal me hi,
Aapko bhulane me shayad hume jamana lage.
156.
Raat hogi to chand bhi duhai dega,
Khawabon main tumhe wohchehra dikhayee dega,
Ye mohabbat hai zara soch ke karna,
Ek ansu bhi gira to sunai dega.
157.
Jab Se Hua Hai Woh Khwab Ki Tarah ..!!
Zindagi Guzar Rahi Hai Azaab Ki Tarah ...!!
Khushbu Ke kalam Se Shayad Likha Tha Usne Khat ...!!
Har Lafz Mahak Raha Hai Gulab Ki Tarah ...!!
158.
C hup rehete hai ki koi khafa na ho jaye,
Humse koi ruswa na ho jaye,
Badi mushkil se koi apna bana hai,
Milne se pehele hi juda na ho jaye.
159.
Zindagi kisiki mohataz nahi hoti,
Dosti sirf jazbaat nahi hoti,
Kuch to khayal aaya hoga khuda ko,
Warna yuhi aapki humse mulaqat nahi hoti.
160.
Unse roz milne ko DIL CHAHTA HAI.
Kuchh sunne sunane ko DIL CHAHTA HAI.
Tha kisi ke MANANE KA ANDAJ aisa.
Ki phir RUTH jane ko DIL CHAHTA HAI.
170.
Rishton ki ye duniye hai niraali,
Sab riston se pyaari hai dosti tumhaari.
Manzoor hai aansu bhi aakho mein hamaree,
Agar aa jaaye muskaan hot pe tumahari.
171.
Lamho Lamho per Khwaab Likhoonga,
Apni zindagi per kitaab likhoonga,
Aapki gardan (neck) to phoolon ki tehni,
Aur aapke chehre ko gulab likhoonga.
172.
Nanhe se dil me armaan koi rakhna,
Duniya ki bhid main pehchan koi rakhna.
Ache nahi lagte jab rahte ho udas,
In hoto pe sada muskaan vahi rakhna.
173.
Vaade pe wo aitbaar nahi karte,
Hum zikre mohabbat sare bazaar nahi karte.
Darta hai dil unki ruswai se,
Aur who sochte hai hum unse pyar nahi karte.
174.
Tanhai hai pyar mein,
barbadi hai pyar mein,
aasu hai pyar mein,
bebasi hai pyar mein,
gum bhi hai pyar mein,
haar bhi hai pyar mein,
hamein sab pata hai
lekin kya kare hum bhi hai pyar mein.
!
175.
Dil ko dhadkana aapne sikhaya,
ankho ko rulana aapne sikhaya
kaise kare bewafai aapse,
pyar karna bhi aapne sikhya
176.
Aag duniya mein lagi ho to bujhana mumkin,
Tum lagi dil ki bujha doge to chain ayega...
Ab tak ishq mein aankhon se hi baatein ki hain,
Yeh ada dil ko sikha doge to chain aayega.
177.
Ishq mein dil ka Tamasha dekha nahi jata,
Humse toota hua sheesha dekha nahi jaata,
Apne hissae ki khushiyan bhi tumhe de dun,
Tumhara utra hua chehra hum se dekha nahi jata.
178.
Mohabbat ko humne maana,
Zindagi barbaad karti hai,
Yeh kya kam hai,
Ki mar jaane ke baad, duniyaa yaad karti hai.
179.
Nazar se nazar milti hai,
Dil se dil milte hai,
Magar is duniya mein chanewale,
Badi mushkil se milte hai.
180.
Bekhudi ki zindagi hum jiya nahin karte
Jaam dusro se cheen kar hum piya nahin karte
Unko mohabbat hai to aa kar izhaar karein
Pichaa hum kisi ka kiya nahin karte
181.
Talash karo koi tumhe mil jayega,
Magar hamari tarah tumhe kaun chahega.
Zarur koi chahat ki nazar se tumhe dekhega,
Magar aakhein hamari kaha se layega.
182.
Jab kabhi main unke khayaalon mein kho sa jaata hoon,
Woh khud bhi baat karte hai to bura sa lagta hain.
183.
Toote dil ko dobara lagana hamein accha nahin lagta
Kissi ko palkoan pe bitha kar girana hamein accha nahin lagta
Ek baar keh diya ki hum to sirf aapke hai lekin
Baar baar humko yeh batana accha nahin lagta
184.
Mitha dard dil mein utha abhi abhi,
Kya tumne mujhko yaad kiya abhi abhi.
Tujhse mile zamana hua phir bhi lage,
Jaise tum milke gaye abhi abhi.
185.
Nazar jhuki to paimane bane,
Dil tute to maikhane bane.
Kuch na kuch to jaroor hai aap mein,
Yu hi nahi hum aapke deewane bane.
186.
Dilki hasrat zuba par aane lagi,
Tumhe dekha aur zindagi muskurane lagi.
Yeh ishq ki inteha thi ya meri diwangi,
Har surat mein surat teri nazar aane lagi.
187.
Chand par kaali ghata chaati to hogi,
Seetaron ko muskurahat aati to hogi.
Tum lakh chupao dunia se magar,
Akele main hamari yaad to aati hogi.
188.
Kaash vadon ka matlab wo samajhte,
Kaash khamoshi ka matlab wo samajhte,
Nazar milti hai hazaron nazaron se,
Kaash meri nazaron ka matlab wo samajhte
189.
Aankhon ki zuban wo samajh nahi pate,
Hoth magar kuch keh nahi pate,
Apni bebasi kis tarah kahe,
Koi hai jiske bina hum reh nahi pate
190.
Har bat ka matlab inkar nahi hota,
Har jagah par baitna intezar nahi hota,
Yun to milti hai hazoron se nazrein,
Har nazar ka milna pyar nahi hota
191.
Sirf chahne se mulakat nahi hoti,
Suraj ke saath kabhi raat nahi hoti,
Hum jise chahete hai jaan se bhi jayada,
Saamne hote hai par baat nahi hoti.
192.
Teri kayenat main ay khuda mera yeh dil kahi laga nahi.
Jo tassalia mere dil ko de who abhi tak mujhe mili nahi.
193.
Tarasti nazaron ki pyas ho tum,
Tadapte dil ki aas ho tum,
Bujti zindagi ki sas ho tum,
Phir kaise na kahu??.. kuch khas ho tum?.
194.
Yun to hum kisika peecha nahi karte,
Darde dil liya aur diya nahi karte,
Ittefaq ki baat hai ki ye dosti aap se hai,
Varna itni kimti cheez hum kisiko diya nahi karte?
195.
Unse roz milne ko DIL CHAHTA HAI.
Kuchh sunne sunane ko DIL CHAHTA HAI.
Tha kisi ke MANANE KA ANDAJ aisa.
Ki phir RUTH jane ko DIL CHAHTA HAI.
196.
main bhatakta he sahi tha
manjilon ki chah mein,
sehra mein na tha itna pyaasa,
samandar pe aakar ho gaya.
197.
Jeene ke liye tera armaan hi kafi hai,
Dil ke kalam se likhi yeh dastaan hi kafi hai,
Teer ki kya zaroorat e-janam,
Qatl karne ke liye teri muskaan hi kafi hai?.
198.
Hui hum se ye nadani, Kay teri mehfil mein aa baithe,
Ho kay zameen ki khakh, Aasman se dil laga baithe.
199.
Bhool se agar koi bhool hui to bhool samajh usey bhool jaana.
Arey bhoolna sirf bhool ko bhool samajh kar hame na bhool jaana.
200.
Teri aur meri nazar ka na kabhi bair ho
Lo raah main takra gaye, allah khair ho
201.
Tum Jo Kehdo To Aaj Ki Raat,
Chaand Dubega Nahin. Raat Ko Rok Lo.
Raat Hi Baaki Hai, Aur Zindagi Baaki To Nahin"
"Tere Bina Zindagi Se Koyi Shikwa To Nahin,
Tere Bina Zindagi Bhi Lekin, Zindagi To Nahin"
202.
"BAS NAZARON SE DEKH LIYA HOTA, AGAR TAMANA THI AAZMANE KI,
HUM BEHOSH YUN HI HO JAATE, KYA ZAROORAT THI MUSKURANE KI..."
203.
baat karne mein jo mushkil ho tumhe mehfil mein
mai samajh jaoonga nazron se bataana mujh ko
vada utnaa hi karo jitana nibha sakte ho
Khwaab pura jo na ho woh na dikhana mujh ko
apne rishte ki nazaakat ka bharam rakh lena
main to aashiq hoon dewaana na bana mujh ko....
204.
CHAND SE PYARI CHANDNI, CHANDNI SE PYARI RAAT,
RAAT SE PYARI ZINDAGI, ZINDAGI SE PYARI...'AAP'
205.
AANKHON MEIN KHUSHI, LABON PAR HANSI, GAM KAA KAHIN NAAM NA HO,
AAPKO JAHAAN KI SAARI KHUSHIYAN MILE, IN KHUSHIYON KI KABHI SHAAM NA HO..
206.
KATON KO CHUBNA SIKHAYA NAHI JATA, PHULON KO KHILNA SIKHAYA NAHI JATA,
KOI BAN JATA HAI KHUD HI APNA, KISI KO APNA BANAYA NAHI JATA!
207.
HAR EK MUSKURAHAT MUSKAN NAHI HOTI, NAFRAT HO YA MOHABAT ASAN NAHI HOTI,
ASU GAM KE AUR KHUSHI KE EK JAISE HOTE HAI, INKI PEHCHAN ASAN NAHI HOTI.
208.
.GUL KO GULSHAN MUBARAK ..SHAYER KO SHAYARI MUBARAK
..CHAND KO CHANDANI MUBARAK .ASHIK KO APANI MEHBOOBA MUBARAK
HAMARI AUR SE APKO... hamaari waapsi Mubaarak
209.
U TO HUM KISI KA PICHA NAHI KARTE,
DARDE DIL LIYA OR DIYA NAHI KARTE,
ITEFAAQ KI BAAT HAI, Ham aapke Paas hain,
VARNA ITNI KIMATI CHEEZ KISI KO DIYA NAHI KARTE.
210.
Tum Itne Khubsurat Ho, Tum Se Bahar Bhi Sarminda Hai,
Kabhi Bhul Se Bhi Kabristan Mat Chale Jana
Warna Murde Kahe Uthange, Abhi Hum Bhi Jinda Hai...
211.
TANHAIYON SE NAHI HUM MEHFIL SE DARTE HAI, DUNIYA SE NAHI
HUM KHUD SE DARTE HAI, YUN TO BOHOT KUCH KHOYA HAI HUMNE,
NA JANE KYON TUJHE KHONE SE DARTE HAI...
212.
WOH RUTHE IS KADAR KI MANAYA NA GAYA, DUR ITNE HO GAYE KI
PAAS BULAYA NA GAYA, DIL TO DIL THA SAMUNDAR KA SAHIL NAHIN,
LIKH DIYA NAAM TO PHIR MITAYA NA GAYA.
213.
PYAR KIYA, PYAR KA AITBAR KIYA, PYAR KA IZHAR KIYA,
DIN RAAT UNKA DEEDAR KIYA,
JAB DIL PAR ZOR NA CHALA TO SAB KUCH UNPAR WAAR DIYA
214.
Ek Naam Kya Likha Tera Saahil Ki Rait Par,
Phir Umar Bhar Hawa Se Meri Dushmani Rahi.
215.
Toot Jaate Hain Sabhi Rishte Magar
Dil Se Dil Ka Raabta Apni Jagah
Dil Ko Hai Tujh Se Na Milne Ka Yaqeen
Tujh Se Milne Ki Dua Apni Jagah
216.
FIZA PAR TO ASAR HAWAO KA HOTA HAI.. MOHHABAT PAR TO ASAR
ADAO KA HOTA HAI.. KOI AISE HI KISI KA DEEWANA NAHI HOTA,
KUCH KUSOOR TO NIGAHON KA HOTA HAI...
217.
Jo Saaz Se Nikli Hai, Woh Sada Sab Ne Suni Hai,
Jo Saaz Pe Guzri Hai, Woh Kis Dil Ko Khabar Hai.
218.
Humne kitni koshish ki unhe manane ki,
Na Jaane Kahan se seekh li unhone Yeh Ada Zidd pe utar jaane ki.
219.
K huda se maine ek dua maangi,
Dua main apni maut maangi,
Phir khuda ne kaha maut to tujhe mein de du,
Par usko kya kahu jisne teri lambi umar maangi.
220.
Baat to who hi nahi karte,
Kehna to hamain bhi aata hai.
Yeh to apni apni ada hai,
Koi kehata hai koi chup rehata hai.
221.
Saat samandar ka fasla to beshak bahut bada hai
Magar do dilon ka fasla to itna chota hai,
Ke humein bhi takleef hoti hai,
Jab tumhein dard hota haI.
222.
Jab Se Hua Hai Woh Khwab Ki Tarah ..!!
Zindagi Guzar Rahi Hai Azaab Ki Tarah ...!!
Khushbu Ke kalam Se Shayad Likha Tha Usne Khat ...!!
Har Lafz Mahak Raha Hai Gulab Ki Tarah ...!!
223.
dilon ki kashmakash ko
samajhna nahin aasan
lab khamosh hi rehte hai
magar aankhen de jaati hai pegaam
mohabbat jazba hi kuch aisa hai dosto
ki jaane kitne aashique chad jaate hai parwaan.
224.
Jindagi tere bin adhuri hai.
Najane kyu tere mere bich yeh doori hai.
Sochta hum kabhi bhulau tujhko.
Par teri ek muskurahat meri majburi hai.
225.
KHOSHBO HOON MAIN MUJHKO MEHSOOS KARNA
MAGHER MUJHKO CHONE KI KOSHISH NA KARNA
226.
Dil he dil mein hum unhein pyaar karte hain,
Chupchaap unki mohabbat ka intezaar karte hain,
Jin rahon per hai chalna unka mushkil,
Unhi rahon per hum unka intzaar karte hain.
227.
Ishq mein dil ka Tamasha dekha nahi jata,
Humse toota hua sheesha dekha nahi jaata,
Apne hissae ki khushiyan bhi tumhe de dun,
Tumhara utra hua chehra hum se dekha nahi jata.
228.
Har khamosi ka matlab inkar nahi hota,
Har nakamyabi ka matlab har nahi hota
Kya hua hum aapko pa na sake,
Sirf pane ka matlab pyar nahi hota.
229.
UNHE CHAHNA HAMARI KAMZORI HAI,
UNHE NAHI PAANA HAMARI MAJBURI HAI
VO KYUN NAHI SAMAJTE HAMARI KHAMOSHI KO,
KYA PYAAR KA IZHAAR KARNA ZAROORI HAI......
230.
Yeh dil pyaar ke kabil na rah,
Koi bhi izhaar ke kabil na raha,
Is dil mein bas gai dosti aapki,
Abh to chand bhi deedar ke kabil na rah.
231.
Pyar kya hota hai?? Kya ye kabhi pura hota hai?
Aji ye kya pura hoga,
Iska to pehla akshar hi adhura hota hai?.
232.
Jamane se nahi to tanhai se darta hu,
Pyar se nahi to ruswai se darta hu,
Milne ki umang bahot hoti hai dil me,
Lekin milne ke baad teri judai se darta hu??
233.
Zindagi ki rahon mein tumhe jo gam milenge,
Mere hoslon se kam milenge,
Jab khud ko tanha pao kabhi,
Kasam mohabbt ki bas yaad karna aur samne hum milenge.
234.
Aankhon pe aasoon ki lakir ban gai,
Kabhi na socha tha aisi takdir ban gai,
Humne to phirai thi reet mein ungliya,
Gaur se dekha to tumhari tasveer ban gai?..
235.
Agar hum na hote to ghazal kaun kehta,
Aap ke chehre ko kamal ko kehta,
Yeh to karishma hai mohabbat ka,
Varna pathro ko tajmahal kaun kehta.
236.
Is kadar hamari chahat ka imtihan na lijiye.
Kyu ho humse khafa, bayan to kijiye,
Kar dijiye maaf agar ho gaye humse khata,
Yu yaad na karke saza na dijiye.
237.
Umeed aisi ho jo jeene ko mazbur kare,
Raah aisi ho jo chalne ko mazboor kare,
Mahek aisi ho apne pyar ki,
Pyar aisa ho jo milne ko mazbur kare.
238.
log un hi patthar ko Taj Mahal Kehte hain
ek baaar agar dekh lein mere mehboob ko
Yeh galat fehmi duur ho jaayegi..
Ham Har ek se yehi baat kehte hai..
239.
Teri nafarat mein wo dam nahi jo meri chaht ko mita de,
Yeh mohabat hai koi khel nahi jo koi haske bhoola de!
240.
AISI BAAT NAHI HAI KE MUZE TAJMAHAL BANANE NAHI AATA
PAR SACH TO YEH HAI KE MAIN APNI MUMTAZ KO MARNA NHI CHAHTA....
241.
Khuda se thoda raham khareed lete,
Aap ke zakhmo ka marham khareed lete.
Agar kahi bikti khushiya meri,
To saari bech kar aap ka har ghum khareed lete.
242.
Diljalo ke dil pe khanjar chalana chhod do
Gir padegi bijaliya tum muskurana chhod do.
243.
Toote dil ko dobara lagana hamein accha nahin lagta
Kissi ko palkoan pe bitha kar girana hamein accha nahin lagta
Ek baar keh diya ki hum to sirf aapke hai lekin
Baar baar humko yeh batana accha nahin lagt
244.
Kate nahi katte lamhe intazaar ke
Najre bichake baithe hai raste pe yaar ke
Dil ne kaha dekhe hai jalve husn yaar ke
Laye hai kaun inhe palko se utar ke
245.
Palkein bhi chamak uthti hain sotay mein Humaari
Aankhon ko abhi khawaab chhupaaney nahin aatay
246.
Laakh mein Khaana Kharabon ki tarha rehta hoon
Par kissi aankh mein, Khoaabon ki tarha rehta hoon
247.
Main tumhi se ye puuchhati hoon,
mujhe tumse pyaar kyoon hai
tumhi saamne ho mere
phir ye intezaar kyon hai
kabhi tum dagaa na doge,
mujhe aethbaar kyoon hai
248.
Roothi hui kismet ko sawanra jaye,
Aasmaan ko zameen per utara jaye.
Shayad meri awaz per mur kar deikhen
Ekbar unhein aur pukara jaye
249.
AAT KYA DHALI SITARE CHALE GAYE
GAIRO SE KYA GILA JAB APNE CHALE GAYE,
JIT TO SAKTE THE ISHQ KI BAZI HUM BHI,
PAR TUMHE JITNE KE LIYE HARTE CHALE GAYE
250.
HAR GUM KI VAJAH NAHI HOTI, HAR HASI BEVAJAH NAHI HOTI,
JO HASS KAR DIL TOD DETE HAI, US ZALIM KI KOI SAZA NAHI HOTI.
251.
Mohbbat karna koi zulm nahi,
Agar ki jaye usool se,
Khuda ko bhi muhabbat thi,
Apne rasoul se
252.
Sookh Jaate Hain Lub, Lufz Milte Nahi
Hota Nahi Humse Ishq Bayaan
Unhe Kaise Bataoon Dil Ki Lagi
Kaise Sikhaoon Aankhon Ki Zubaan
253.
Khudaa ne jab tumhen fursat men banaayaa hogaa
Use bhee dekh ke kuchh to nashaa aayaa hogaa
Magar tum paas ho mere ye meree kismat hai
Use ye jaan kar ab kitnaa gussaa aayaa hogaa
254.
Dil si cheez hai, dene ko hai de day
Magar koi qabeel bhi to ho
Hum to jaan de kay bhi khush hain
Magar koi qateel bhi to ho
255.
Ek Musafir Ne Raat Pichlay Pahar
Apne Mehboob Ke Na Aane Par
Kar Diya Taj Mahal Ke Tukre
Aab-E-Jamuna Main Phaik Kar Pathar
256.
Apni Sab Adain Mujhe Daido Sari Wafain Tumhain Daita Hoon
Jo Sochi Thi Kabhi Khud K Liye Woh Sab Duain Tumhain Daita Hoon
257.
Baar baar khafa ho, baar baar manayenge
Na tum baaz aaoge, na hum baaz aayenge
Jo tum ruth jaao to maza hai manaane ka
Aji bahana khoob milega hume tumhe gale lagaane ka
258.
"Raat ka ek pal hai yahi thahar jaao...
Suna hai sham ke safar achhe nahi hote...
Tum apne phool badan ko sambhal ke rakhna...
Tamaam log to ahle nazar nahi hote...."
259.
gaa sakon aapka nagma woh saaz kahan se laon,
suna sakon aapko kuch woh andaaz kahan se laon,
yu to chand taroon ki taareef karna aasaan hain,
kar sakon aapki taareef woh alfaaz kahan se laon.....
260.
haath maltey hein Kausar-o-tasneem...
teri aankhon mein roop ka ras hai...
meray shaanon pay zulf rehnay day...
yeh andhera bada muqqaddas hai...
261.
Muddat se door the hum tum,
ek zamane ke baad milna acha laga.
sagar se gehra laga aapka pyar,
tairna to aata tha par doobna acha laga....
262.
"teri zindagi ke lamehe main har pal nikhar aaye,
gulshan bhi ho paresha is kadar bahar aaye....."
263.
Badalna nahi aata humen auron ki tarah,
Har pal tera intezar karte hain...
Na tum sameet sakoge jise qayamat tak,
Kasam tumahri tumhen itna pyar karte hain.......
264.
tum jo hansti ho to khilta kanwal lagti ho...
meer ka shair ho ghaalib ki ghazal lagti hoo...
sang-e-mar-mar say tarasha hua shaffaf badan
saans leta hua ek taj mahal lagti ho...
I decided to send you the cutest and sweetest gift of the world.
But the postman shouted at me saying, ? Get out of the post box.?
.
hamne to umar gujaar di tanhai main,
sah liye sitam teri judai main.
ab to yahi fariyaad karte hain,
koi auur na tadpe teri bawafai main.
2.
is bhari duniyan main koun kissi ka hota hai,
dhokha bhi wahi deta hai jo dil ke kareeb hota hai
3.
Badla wafa ke dein gey bari Saadgi se Hum
Tum "Hum" se rooth jaao gey aur Zindagi se HUM
4.
Hum Bewafa Har Giz Na Thay
Par Hum Wafa Kar Na Sakay
Humain Mili Us Ki Saza
Jo Khata Hum Kar Na Sakay
5.
Baat chal padi wafa ki
Hon rahi thi khamian
Jisko humne apna samjha
Woh jala gaya aashian
6.
Aaur bhi gam hain zamaane,
mein mohabbat ke siwa
Yun hi koi.....bewafa nahin hota.
7.
Nikal Jate Hai Gila Shikve, Khabhi Aankhon Se Aansoo Banker,
Daga De Jata Hai Woh Bhi Kabhi Jo Saath Chaalte the Parchay Banker.
8.
Zaban cut jaye agar kabhi muh se tumhare liye gila nikle
Magar itna jarur kahunga, tumhe kya samjha tum kya nikle.
9.
Wo sar se pehle zuban kaat lya karte hain
ke khuda se na kare koi shikayat unki
10.
Sanson mein bhi shamil ho lahu mein bhi rawan ho
lekin mere haathon ki lakeeron mein kahaan ho
11.
Tum hi bewafa nikle
mera dil to tumhe aaj bhi yaad karta hai
par bewafa tu hai to itna tu bhi sun le
intezaar mera koi aur bhi karta hai
12.
Ho gayi hai mashoor bewafai kuch is kadar unki,
Zikar aaya mera mehfil main to jhuk gayi nazar unki
13.
CHEEZ BEWAFAI SE BADKAR KYA HOGI,
GUME HALAT JUDAI SE BADKAR KYA HOGI,
JISE DENI HO SAZA UMARBHAR KE LIYE,
SAZA TANHAI SE BADKAR KYA HOGI.
14.
Chalak padte hain zalim ke asoon,
Tujpe kurbaan oh marne wale,
Jaa raha hai wafa ka janaza,
Bewafa se kaho mohoon chupa le
15.
Tum mujhe bhool bhi jaao to ye haq hai tumko
Meri baat aur hai maine to mohabbat ki hai
16.
Wafa ka naam na lo yaron,
Wafa dil ko dukahati hai....
Wafa ka naam lete hi...
hume ek bewafa ki yaad Aati hai...
17.
Dhoka Diya tha Jab Tune Mujhe,
Zindgi Se Main Naraaz Tha,
Socha Ki Dil Se Tujhe Nikaal Du,
Magar Kambkhat Dil Bhi Tere Pass Tha...
18.
tere hasin badan mein jo dil bhi hasin hota,
tere mukable duniya mein koi nahi hota...
aankhe badi badi hai phir tang dil hai kaise,
hai badan to phul jaisa phir sang dil hai kaise,
komal kali jaisa jo dil bhi kahin hota,
tere mukable duniya mein koi nahi hota...
sikha shringar tune, tuze pyar kyo nahi aya,
inkar to khub karti ho ikrar kyo nahi aya,
jaisa libas hai tera kash waisa ahsaas bhi tera hota,
tere mukable duniya mein koi nahi hota...
19.
Dil agar phool na hota kanch ka tukda hota.....
Todne wale ko kahin ek zakhm to aaya hota.......
20.
Dekhne aaye the wo apni Bewafaai ka asar..
Aur kahate hain ki ittefakan mulakat ho gayi..
21.
Hum Bawafa the, Isliye Nazron se gir gaye,
Shaayad unhe Talash kisi Bewafaa ki thi..
Bewafa sanam ko marhum lagane hum gaye
marhum ki kasam marhum na mila mar-hum gaye
22.
hoon ajab kashmakish main huiee zindagi parayee
tere pass meri yaadain merey pass bewafayee
23.
" Dil ke jasbe ,choor choor hue,
mohabbat mein aisa bhi makaaam aaya,
katal karke sab wafaaon ko hamaari,
bewafaaii ka hum par ilzaamm lagaaya..."
24.
Woh be-wafa kahe mujhe jis se wafa karoon,
Main badnaseeb apne muqaddar ka kya karoon.
25.
Jo khata maine nahin ki usspe pachtaana padda..
Bewafaai tumne ki,aur mujhe sharmaana padda..
26.
******Maana ki Bewafaai karna aasaan hai
par kya wafa karna itna muskil hai*******
27.
Bewafaai ka gila ae dil-e-nashaad na kar
Jo tujhe bhool gaya tu bhi usse yaad na kar!!!
28.
Tanhahi to tanhahi hoti hai,
apna farz zaroor ada karti hai,
pyar ki tarah bewafa nahin hoti,
zindagi bhar ke liye saath reheti hai
29.
Uss bedard haseena ke liye, zamaane ko thukra aaya...
Kambakht bewafa ab kehti hai ke, Tu khali haath kyon aaya
30.
Teri Aankhon Mein Umeed Maangi Thi
Phir Udaasi Kyu Mili?
Tere Baahon Ka sahara Chahta Tha
Phir Tanhai Kyu Mili?
Tumhare Chahat Ki Wafa Chahi Thi
Phir Bewafai Kyu Mili?
Mere Saath Jeene Ki Kasam Mangi Thi
Phir Akele Jeene Ki Sazaa Mili?
1.
aise barsaat main.......teri yaad aati hai bahut,
hawaon ke jhonke mein...tu tarpati hai bahut,
har bund pe jaise...teri hi khushboo basi hai,
barish ke.. is mausam mein tu satati hai bahut.
2.
meri raaton ki tanhaiyon mein aap ho shaamil
in baarish ki boondo mein aapke aansu hai shaamil
ke tadpe to hoge aap bhi to mujhse bichadkar
in hawaon me hai aapki aanhein bhi shaamil
kaise kah paaoge aap jamane ko apni kahani
kaise bayan karoge apni bewafai ki dastaan
kyonki aapko bhi ye maaloom hai
ke meri duaon mein aaj bhi aap ho shaamil.
3.
aagar bhigne ka itna shaukh hai barish mein
to dekho in ankhoo mein,
baarish to har ek ke liye barasti hai,
ye ansu sirf tumhare liye baraste hain..
4.
aise barsaat main teri yaad aati hai bahut,
hawaon ke jhonke mein tu tarpati hai bahut,
har bund pe jaise tera hi khushboo basa hai,
barish ke is mausam mein tu satati hai bahut.
5.
kuch nasha to aapki baat ka hain,
kuch nasha to dheemi barsaat ka hain,
hamein aap yu hi sharabi na kahiye,
is dil par asar to aap se mulakat ka hain.
6.
Kya Kya Soch Liya Karte THe Hum Baarish Ke Mausam Me.
Ab To Yun Lagta hai..Kuch Thand si bad gayee hai..
7.
Ho sakta hai baarish ke baad aasman neela naa ho,
Ho sakta hai dhup aane par sarson pili naa ho,
Par esa kese ho sakta hai ki..........
Aap ki YAAD aaye aur yeh AANKHEN... gili... naa.. ho...
8.
Khawb dekhe bhi nahi aur tut gaye,
Wo hamse mile bhi nahi aur ruth gaye,
Hum gate rahe aur duniya soti rahi,
Ek barish hi thi jo sath roti rahi"
9.
Kuch Beete hue lamhon se mulakat hui,
Kuch toote hue sapno se baat hui.
Yaad aaye woh kisse Purane jab
aankhon se boondon ke barsaat hui.
10.
ae barish zara tham ke baras,
jab mere yaar aa jaye to jum ke baras,
pehle na baras ki woh aa na sake,
phir itna baras ki woh ja na sake.
GAZALS
1.
Teri judaai mein roney ki aadat hogayee
"BEWAFAII KI YEH INTEHA HOGAYEE
ke tujhse juda hokar bhi jeeney ki aadat hogayee
tum laut ke aaogey humsey milney
roz dil ko behlaney ki aadat hogayee
terey waadey pe kya bharosa kiya humney
keh shab bhar tera intezaar karney ki aadat hogayee
khushi mein bhi hum kya muskuratey keh
teri judaai mein roney ki aadat hogayee
kaafiley nikal gaye humein chhor keh
keh ab tou tanha safar ki aadat hogayee
har morh par mili ghum ki parchhaiyaan
zindagi se samjhota karney ki aadat hogayee
jaantey thay keh nahi hosaktey kabhi tum hamarey
phir bhi khuda se tujhey maangney ki aadat hogayee
paiman-e-wafaa kya hai humey kya maloom *saahil*
keh bewafaaon se dil laganey ki aadat hogayee
2.
Emotional one
kadmoN meiN tere aakhiri dhadkan bicHaa chale
maathe pe tere ik jo shikan thii , mitaa chale
waqt-e-nizaa itni tassalli to thii dil ko
tum be-wafaa hue to hue , HUM nibhaa chale
aaraam tha kuch aag ki garmii se zaKhm ko
aaye voh meri kabr par , shama bhujhaa chale
kaise banauuN us jagah khwaboN ka aashiyaaN
har samt fareboN ki jahaaN par hawaa chale
usne hamaari khwaahisheN pairoN tal'e rauNdiiN
har ik razaa pe jiski hum gardan jhukaa , chale
haathoN ki lakiiroN ko bajaa jaan kar chup huN
kismat meiN hai liKhaa jo uspe zor kya chale !
nakaam hasratoN ko bhulaane kahaaN jaate !!
nikle teri galii se suu-e-maikadaa chale
"Imran" yuN Gham-e-yaar tu seene meiN cHupa le
chehra bhi gar koi paDhe , kuch na pataa chale
3.
YAAD
Kitne Aziyat Say Uss Nay Mujh Ko Bhulaya Ho ga...
Mere Yadoon Nay Ussay Khub Rulaya Ho Ga..
Baat Be-Baat Aankh Uss Ki Jo Chalki Hoo Gi.......
Uss Nay Chahray Ko Bazuoon Main Chupaya Ho Ga
Soocha Hoo Ga Uss Nay Din Main Kaye Baar Mujhy.......
Naam Hathele Par Bhe Likh Likh Kay Mitaya Ho Ga...
Jahan Us Nay Mera Ziker Suna Hoo Ga Kisi Say..
Uss Ki Aankhoon Main Koe Aansoo Tu Aya Hoo Ga..
Raat Kay Bhegnay Tak Neind Na Aye Ho gi Tujhy........
Tuu Nay Takeye Ko Bhe Senay Say Lagaya Ho ga..
Hoo Kay Nidhal mere Yadoon Say Tuu Nay Jana.........
Mere Tasveer Pay Sar Apna Tikaya Hoo Ga......
Poocha Hoo Ga Jo Kisi Nay Tere Halat Ka Sabab....
Tuu Nay Batoon Main Khub Us Say Chupaya Ho Ga....
4.
Bheegi Hui Aankhon Ka Yeh Manzar Na Mille Ga
Ghar Chor Ke Mat Jao Kaheen Ghar Na Mille Ga
Phir Yaad Bohot Aaye Gi Zulfon Ki Ghani Sham
Jab Dhoop Mein Saaya Koi Sar Per Na Mille Ga
Aansoo Ko Kabhi Oss Ka Qatra Na Samajhna
Aisa Tumhein Chahat Ka Samandar Na Mille Ga
Is Khowaab Ke Mahool Mein Be-Khowaab Hain Aankhein
Jab Neend Bohot Aaye Gi To Bistar Na Mille Ga
Yeh Sooch Lo Ab Akhri Saaya Hai Mohabbat
Is Dar Se Utho Ge To Koi Dar Na Mille Ga
5.
Yuun tu likhnay ko kya nahi likha mainey
Phir bhi jitna tujhe chaha nahi likha mainay
yun to hongey buhat Zamaney main Shayer
Jaisay sab likhtay hai waisa nahi likha meinay .
Yun tu ek lehar mein kuch rang jhalak atay hai
Mujh mein hai ju darya nahi likha meinay
Meray her laffz ki wusset mein hai ek umer ka ishq
Mein ajab hun, agar bhool say nahi likha meinay
Meri nazro say ju ek bar na pohncha tujh takk
Phir woh maqtob dubara nahi likha meinay !
Meri sachayi har ek lafaz say aayan hoti hai !
Soochta hoon tujhey apna kion nahin likha main ne
6.
Hamesha Duaa Mangta Hoon
Tum Kya Jaano Main Khuda Se Kya Maangta Hoon
Tumhari Salam-ti Ki Hamesha Duaa Mangta Hoon
~*~
Agar Anjaane Main Ho Jaaye Koi Tumse khata
Tou Do Mujhe Uski Saza Ye Maangta Hoon
~*~
Agar Lag Jaaye Koi Chot Tumko Ya Ho Jaaow Tum Pareshaan
Tou Meray Haq Main Wo Saari Takleefein Maangta hoon
~*~
AiY KHUDA Meray Dost Ko Gham Se Door Rakhna
Din Raat Tumhaaray Saaray Gham Maangta Hoon
~*~
Tum Ho Hamesha Kaamyaab Tumhaari Her Khwaahish Ho Poori
Buss Ye Chaahta Hoon Aur Tumhari Khushi Maangta Hoon
~*~
Main Jaanta Hoon Ke Tum Mayray Nahin Ho Lekin
Main Hamesha Khuda Se Tumhaara Saath Maangta Hoon
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~
7.
tum bhi Khafaa ho log bhii beraham hain dosto
ab ho chalaa yaqiin ke bure ham hain dosto
kis ko hamaare haal se nisbat hai kyaa karen
aankhen to dushmanon kii bhii pur_nam hain dosto
apane sivaa hamaare na hone kaa Gam kise
apanii talaash men to ham hii ham hain dosto
kuchh aaj shaam hii se hai dil bhii bujhaa bujhaa
kuchh shahar ke chiraaG bhii maddham hain dosto
is shahar-e-aarazuu se bhi baahar nikal chalo
ab dil kii raunaqen bhii ko_ii dam hain dosto
sab kuchh sahii 'Faraz' par itanaa zaruur hai
duniyaa men aise log bahut kam hain dosto
8.
"Yoon Na Mil Mujh SaY khafa ho Jaise "
Yoon Na Mil Mujh SaY khafa ho Jaise
Sath Chal Mooj-e-saba ho Jaise
log Yoon dekh ke Hans Dete Hain
Tu Mujhe Bhool Gaya Ho Jaise
ishq ko shirk ki Had Tak Na Barha
Yoon Na Mil Humse khuda Ho Jaise
Maut Bhi Ayi To iss Naz k Sath
Mujh Pe Ehsaan kiya Ho Jaise
Aise Anjaan Bane Bethe Ho
Tum ko kuch pata Bhi Na Ho jaise
HichkiYan Raat Ko Ati Hi Rahien
Tu Ne Phir Yaad kiya Ho jaise
Zindagi Beet Rahi Hia Yoon Hi
ik Be-jurm Saza Ho Jaise!!!!!!
9.
PYAAR BOHUT HAI TUM SE JANA,PER EZHAAR NAHI KARTE
MERI CHUP SE YEH NA SAMAJHNA, TUM SE PYAAR NAHI KARTE
APNI AANKHEIN TU HAR LAMHA,TERI RAAH HI TAKTI HEIN
OR TUM PAGAL YEH KEHTE HO HUM INTIZAR NAHI KARTE
TUM KAHO TU SUB KUCH APNA SONP DOON TUM KO LAMHO MEIN
JITNA TUM PAY HAI BHAROSA HUMEIN,KHUD PA BHI YAAR NAHI KARTE
DARD DIL KO AAISE MILLEY HEIN,ROOTI REHTI HEIN AANKHEIN
WARNA HUM SUB SEEH LETE ,ANKHEIN ASSHKBAAR NA KARTE
10.
samandar main utarta hoon to aankhain bheeg jati hain
teri aankhon ko parhta hoon to aankhain bheeg jati hain
tumhara naam likhnay ki ijaazat chin gai jab se
koi bhi lafz likhtaa hoon to aankhain bheeg jati hain
teri yadoon ki khushboo khirkion main raqs karti hay
tere gham main sulagta hoon to aankhain bheeg jati hain
na jane hoo gaya hoon is qadar hasaas main kab se
kisi se baat kartaa hoon to aankhain bheeg jati hain
wo sab guzre howe lamhaat mujh koo yaad ate hain
tumhare khat jo parhta hoon to aankhain bheeg jati hain
main sara din bauhat masroof rehta hoon magar joon hi
qadam chaukhat pe rakhta hoon to aankhain bheeg jati hain
tere kooche se ab meraa taluq waajbi saa hay
magar jab bhi guzartaa hoon to aankhain bheeg jati hain
11.
KUCCH TO APNEE NISHAANEEYAN RAAKH JAA
KUCCH TO APNEE NISHAANEEYAN RAAKH JAA
IN KITAABON MEIN TITLIYAAN RAKKH JAA
LOG TANHA NA LAUT JAAYEIN KAHEEN
TU RAASTON MEIN KAHAANIYAN RAKKH JAA
HO RAHA HAI AGAR JUDA MUJHSE
MERI AANKHON PE UNGLIYAAN RAKKH JAA
AAJ TOOFAN BHI AKELAA HAI
TU KINAARON PE KASHTIYAAN RAKKH JAA
12.
Suna Hai Log
Suna Hai Loug "Ussey" Aankh bhur ke dekhtey hain
So "Uss" ke Sheher mein kuch din theher ke dekhtey hain
Suna hai boley tou baaton se phool jhartey hain
yeh baat hai tou chalo baat kar ke dekhtey hain
Suna hai Raat ko ussey Titliyaan sataati hai
Suna hai Raat ko Jugnoo theher ke dekhtey hain
Suna hai uss ke badan ki taraash aisi hai
ke phool apni qabaaein katar ke dekhtey hain
Rukey tou gardishein uss ka tawaaf karti hain
chaley tou uss ko zamaaney theher ke dekhtey hain
Kissey naseeb ke be-pairahan ussey dekhey
kabhi kabhi dar-o-deewaar ghar ke dekhtey hain
kahaaniyaan hi sahi , sab mubaalghey hi sahi
agar "woh" khawaab hai , "Taabeer" kar ke dekhtey hain
Judaaiyaan tou muqadder hai phir bhi jaan-e-safar
kuch aur door zara saath chal ke dekhtey hain
"Toou" saamney hai tou phir kiyon yaqeen nahin aata
yeh baar baar jo aankhon ko mal ke dekhtey hain
yeh kaun loug hain maujood teri mehfil mein
jo Laalachon se Tujhey ....Mujh ko jal ke dekhtey hain
Na tujh ko maat hui hai na mujh ko maat hui
So Ab ke donon hi chaalein badal ke dekhtey hain
Buhut dinon se nahin hai kuch "Uss" ki khair khabar
chalo zamane walo, Aey Yaar chal ke dekhtey hain
13.
ussay Dekho Tu Muhabbat Main Magan Kaisi Hai
Meri Ankhoon Kay SAmandar main Jalan kaisi Hai
Ajj Phir Dil Ko Tarapnay Ki LaGan Kaisi Hai
Ab Kisi Chaat Pay Chiragon Ki Qatarin Bhi Nahi
Ab Teray Shehar Ki Galioyon Main Guthan Kaisi Hai
Baraf Kay Roop Main dhaal Jain Gay Saray Rishtay
Mujh say Pocho Kay Muhabbat Main Agan kaisi Hai
Main Teray Wisal Ki Khuwahish Ko na Marnay Doon Ga
Mausam-e-Hijar Kay lehjay Main Takan Kaisi Hai
Raigzaron Main Jo Banti Rahi Kantoon Ki RiDa
Uss Ki Majboor Sii Ankhoon Main Kiran Kaisi hai
Mujhe Masoom si Pagal Larki Pay Taras ata hai
ussay Dekho Tu Muhabbat Main Magan Kaisi Hai
14.
Apane saaye se bhii ashko ko chhupaa kar ronaa...
Jab bhii ronaa ho charaagon ko bujhaa kar ronaa...
Haath bhii jaate huye vo to milaakar na gayaa...
Main ne chaahaa jise siine se lagaa kar ronaa...
Tere diivaane kaa kyaa haal kiyaa hai Gham ne...
Muskuraate huye logon mein bhii jaa kar ronaa...
Log pad lete hain chehare pe likhii tahariiren...
Itanaa dushvaar hai logon se chhupaa kar ronaa...
15.
"Kaash tum nay mujhey hansaya hotta
Kaash tum nay mujhey rulaya hotta
Kaash gussay main he apna bulaya hotta
Kaash mujhey yaad ker k apnay dil ko behlaya hotta
Kaash meri yaad satati tumhain
Kaash merray bina neend na atee tumhain
Kaash k tum meri mohabbat ko pehchaan patee
Kaash k tum mujhey apna hee bana patee
Kaash main tumhain apni bahoon main khilata
Kaash main tumhari zulfoon main so jata
Kaash k tum dil say chahtee mujhey
Kaash k apna saya banatee mujhey
Kaash main teri aankhoon ka kajol hotta
Kaash main iss barish ka badal hotta
Kaash tum merray sennay say lipat ker rotee
Kaash k merray bina teri subhoo na hotee
Kaash k hal-e-dil batata tumhain
Kaash k dil ka ghum batata tumhain
Kaash k apni jaaaan say bhee chahta
Kaash tumbin saan bhee lay na pata
Aay kaash yeeh saab ghum na hottay
Aay kaash na tum hottay na hum hottay
16.
KaaTi Hai Gum Ki RaaT baReY Ehtaraam Se
Aksar Bujha Liya Hai CharaaGon Ko Shaam Se
Roshan Hai Apni Bazm Aur Is EhtamaaM Se
Kuch Dil Bhi Jal RaheY haIn CharaaGon Ke Naam Se
MuddaT huWi Hai Khoon-E-Tamanna Kiye Magar
Ab Tak Tapak Raha Hai Lahuu Dil Ke JaaM Se
Subah-e-Bahaar Hum Ko Bulaati Rahi Magar
Hum Khelte Rahe Kisi Zulfo.n Ki Shaam Se
HaR saaNs Par Hai Maut Ka Pehra Laga huWa
Aahista Aye Hayaat Guzar Is Makaam Se
KaaTii Tamaam uMr Fareb-E-Bahaar meIn
KaaNTe SamaTe-Te Rahe Phoolo.n Ke Naam Se
Ye Aur Baat Hai Ke "Dua" Hum Nay Sun Kay
aZ uS Ne Di Hai HameIn HaR Makaam Se
17.
Wo qayamat ho sitara ho ke dil
Wo qayamat ho sitara ho ke dil
kuch na kuch higr me tootay to sahi
hum wahin per hi basa lein khud ko
wo kabhi rah me rokey to sahi
sab se hat ker hi manana ha isay
ham se aik bar wo roothay to sahi
dil usi waqt sambhal jay ga
dil ka ehwal wo poochay to sahi
us ki nafrat bhi mohabat ho gi
meray barey me wo soochay to sahi
us ke qadmoon me bicha doon aankhain
meri basti se wo guzrey to sahi
us ke sab jhoot bhi sach hain mohsin
shart ha wo bolay to sahi
18.
Meri Tanhaaiyon Tum Hi lagaa lo mujko seene se...
Ke mein ghabra gayaaa hun..Is Tarah Ro Ro Ke jeene se..
Yeh Aadhi Raat ko fir Chudiyoon si kya khanakti hain
Koi Aaata Hai Yaa meri hi Zanjeerein Chalakti hain..
Yeh Baatein Kis Tarah Puchoon Saawan ke Mahine se..
Ke mein ghabra gayaaa hun..Is Tarah Ro Ro Ke jeene se..
Meri Tanhaaiyon Tum Hi lagaa lo mujko seene se...
Peene do mujhe apne hi Lahoo ka jaam pine do...
Na Seene do kisiko bhi Mera Daaman
Meri waishat na bad jaaye kahin Daaman ke seene se..
Ke mein ghabra gayaaa hun..Is Tarah Ro Ro Ke jeene se..
Meri Tanhaaiyon Tum Hi lagaa lo mujko seene se...
19.
Main Wohi Hoon Jise Tum Piyar Kiya Kerte The
Din Mein So Baar Mera Naam Liya Kerte The
Kiya Baat Hai Kiyoon Mujh Se Khaffa Bethe Ho
Kiya Kissi Aur Ko Dil Apna De Bethe Hoo
Faasale To Pehle Na Hua Kerte The AnMoL
Main Woh Hoon Jispe Tum Aetbaar Kiya Kerte the
Mujh ko Maaloom Hai Gum Hay Koi Sogaat Nahein
Tum Mujhe Apna Kahoo Aise Bhi Haalaat Nahein
Aur Ager Bhool Gaye Ho To Koi Baat Nahein
Zakham To Pehle Bhi Is Dil Pe Lagga Kerte The
Main Wohi Hoon Jise Tum Piyar Kiya Kertte The
Din Mein So Baar Mera Naam Liya Kerte The
20.
Romantic one
Nazar mein shokhiya aur shararat bhi hai,
Har ada uski mere liye muskurahat hai,
Ghani reshmi zulfe, chehra chand ka tukda,
Khile phool se mahka shabab hai uska,
Nazar jo phere vo to andhera chha jaye,
rubroo hote hi sitare jagmaga jaye,
Aisi koi hasina agar aapko mil jaye,
to khabar kar dena dosto,
hum zara khwabo ki duniya se bahar aa jaye.
21.
** kuch kuch pagal hotay hain **
pyar kay diye jalanay walay kuch kuch pagal hotay hain
apni jaan say janay walay kuch kuch pagal hotay hain...
hijr kay gehray zakham milay to mujh ko yeh ehsas hua
pagal ko samjhanay walay kuch kuch pagal hotay hain...
jaan say piyaray logoon say bhi kuch kuch pardah lazim hai
sari baat batanay walay kuch kuch pagal hotay hain...
khaboon main bhi milne kay sapnay dekhtay rehtay hain
neendon main muskanay walay kuch kuch pagal hotay hain...
is jhooti duniya main hum nay yehi hamesha dekha hai
sachi baat batanay walay kuch kuch pagal hotay hain...
piyar jinhain ho jaey un ko chain bhala kab mil pata hai?
shab bhar ashk bahanay walay kuch kuch pagal hotay hain...
apni zaat say ujray gulshan say woh piyar kahan kartay hain?
auroon ko mehkanay walay kuch kuch pagal hotay hain...
us kay ishq main bheeg kay 'wasiq' hum ko yeh ehsas hua
dil ki baat main anay walay kuch kuch pagal hotay hain
22.
"Baat kam kijiye, zihanat ko chhupate rahiye
yeh naya shahar hai, kuchh dost banaate rahiye"
" Dushmani laakh sahi, khatam na kijiye rishta
dil mile ya na mile, haath milate rahiye"
" Yeh to chehre ka koi akas hai tasveer nahin
is pe kuchh rang abhi aur chadhate rahiye"
" Gam hai aawara akele mein bhatak jata hai
jis jagaha rahiye wahan milte milate rahiye"
" jaane kab chaand bikhar jaye ghane jangal mein
ghar ki chaukhat pe koi deep jalate rahiye
23.
SUNTE HAIN KE MIL JAATI HAI HAR CHEEZ DUAAA SE,
Ek Roz tumhe maang ke Dekhenge Khuda Se...
Duniya Bhi Mili hai, game Duniya bhi Milade,
Woh Kyon Nahin Milta Jise maanga tha Khuda Se
Aaene me Woh Apni Adaa Dekh rahe hain,
Mar jaaye ke Ji Jaaye Koi Unki Balaa Se...
Ulfat ka jab kisine liya naam, ro pade
Apni wafa ka soch kar anjam, ro pade
Har sham ye sawal mohabbat se kya mila
Har sham ye jawab ki har sham, ro pade
Rona hi jab naseeb to auro se kya gila
apne hi sar liya koi iljam, ro pade
Ulfat ka jab kisine liya naam, ro pade
Apni wafa ka soch kar anjam, ro pade
24.
apne yaar ke muskrane pe aetebaar na karr...
dhoka de jae ga woh bhi aetebaar na karr...
lakh hassion ke picche chopa hota hai kanjjar...
yaar to mujhe pe chup chup ke war na karr...
jaanta hu de jae gi daaga mujhe tu...
iss jhoti mohabbat mein mujhe giraftaar na karr...
bohat dekhe hai tere jaisi dil phenk dewaniya...
jhota mujhse to iqraar na karr...
sikha hai eik sabak is duniya se...
e dost kabhi kissi bewaffa se pyaar na karr...
25.
Gum teri judai kaa, kuch ess tarah dhota gaya
Ki siskiyan bhar bhar ke saari raat main rota gaya
Kab subah hui eska hosh bhi nehi raha
bas darkhato deevaro ko yuu hi dekhta raha
Hai ajaab yeh zindagi kya kya sitam dhayagi
silsila teri yaadon kaa to umar bhar chalta gaya
26.
Hai Ikhtyaar me Tere To Moajazaa Kar De,
Woh Shakhs Mera Nahin hai, Use Mera Kar De..
Me Uske Zor Ko Dekhun Woh Mera Sabr-O-Sukun,
Muje Chiraaz Banaa De, Use Hawaa Kar de...
Mera Bizaar Kahin Khatm hi nahin Hota,
Zaraa si Dur ka Rasta, Hara Bharaa Karde
Akeli Shaam bahot Hi Udaas Karti Hai,
Kisi ko bhej Koi mera Hamnawaaz Kar de...
27.
Manzur Kismat Ko
Na Thi Marzi Bahaaron Ki
Nahin to Is Gulistan me...
Kami Thi Kya Nazaaro Ki,
Meri Nazron ko bhi Koi Nazaara Mil gayaa hota..
Agar Toofan Nahin aata Kinaara Milgayaaa Hota.
Khushi se Apni Aankho ko,
Me Ashkon se Bhigo Leta..
Mere Badle To Hans Leti,
Tere Badle Me Ro Leta...
Mujhe Ae Kash Tera Dard Saara Mil Gayaa Hota..
Agar Toofan Nahin aata Kinaara Milgayaaa Hota.....
28.
BAHOOT DINO KI BAAT HAI
SHABAB PAR BAHAR THI, FIZA BHI KHUSHGAWAR THI
NA JANE KYO MACHAL PADA, MAIN APNE GHAR SE CHAL PADA
KISI NE MUZKO ROK KAR , BADI ADA SE TOK KAR
KAHA KI LAUT AAIYE, MERI KASAM NA JAIYE
MAGAR MUZE KHABAR NA THI, MAHOL PAR NAZAR NA THI
NA JANE KYO MACHAL PADA, MAIN APNE GHAR SE CHAL PADA
MAIN SHAHAR SE PHIR AAGAYA, KHYAL THA KI PA GAYA
USE JO MUZSE DOOR THI, MAGAR MERI JAROOR THI
PHIR EK HASEEN SHAM KO, MAIN CHAL PADA SALAM KO
FIZA KA RANG DEKH KAR, NAYI UMANG DEKH KAR
MUZE BADI KHUSHI HUI,
MAIN KUCH ISI KUSHI MEIN THA, KISI NE TOK KAR KAHA
PARAYE GHAR SE JAIYE, MERI KASAM NA AAIYE
WOHI HASEEN SHAM HAI, BAHAR JISKA NAAM HAI
CHALA HOO GHAR KO CHOD KAR, NA JANE JAUNGA KIDHAR
KOI NAHI JO ROK KAR, KOI NAHI JO TOK KAR
KAHE KI LAUT AAIYE
MERI KASAM NA JAIYE
MERI KSAM NA JAIYE
MERI KASAM NA JAIYE
29.
ek bulbul ka joda dekha
tho socha ek kavita likhoon
kalam uthya tho shabd nahi mile
us bulbul ka joda dekh ke kho gayi
unka pyar dekh ke madhosh ho gayi
iss tarah pyar chalak raha tha un dona ki aankon mein
na samjhte hue unki zuban,mein samjhi kya kehna tha unhe
koi darr nahi tha
jewan tha umar raha
saath rehna tha sada unhe
unka pyar tha umang raha
gila nahi tha unhe kisise
na kisi se dushmani thi
gam nahi tha koi unhe
bas yahi unki zindagi thi
ek duje ke liye bane te wo
ek ghar tha unhe basana
door desh se aaye te woh
doond rahe te aashiyana
30.
Pyaar kya hai...
Ek ehsaas ya ek meethi si chubhan
Dard ka sailaab ya do dilon ka milan
Shayad Pyaar ek khamoshi hai
Jise aankhen hi pad sakti hain..
Ya dil se dil ki baat hai
Jo dhadkane hi samajhti hain...
Pyaar jo aankhon se jhalakta hai
Aur mann me tadapta hai..
Pyaar ek khushboo hai
Jisse ye jahan mehakta hai..
Un haathon ki chhuan hai
Jinse ye tan siharta hai..
Armaano ka sagar hai
Dil jinme doobta utarta hai..
Pyaar ek aarzoo hai
Jisme kuchh nahi chaha jata
Pyaar ek tyaag hai
Jisme sab kuchh hai diya jata..
Ya Pyaar ek rishta hai
Jise koi naam nahi diya jata...
31.
WOH BEKHABAR SOYE HAIN LOOT KAR NEENDEIN MERI
AB JAZBA-E-DIL DHANE KO JEE CHAHTA HAI
KAB SE KHAMOSH HO AE JAANE JIGAR
KYA AUR SITAM DHANE KO JEE CHAHTA HAI
CHHUT KAT TUMSE KAHAN CHAIN MILEGA HUMKO
AB TO YAHIN MAR JAANE KO JEE CHAHTA HAI
CHAND CHEHRA HAI TERA AUR NAZAR BIJLI
HAR EK JALWE PE MAR JAANE KO JEE CHAHTA HAI
CHAND KI HASTI HAI KYA SURAJ KE SAAMNE
TERE KADMON MEIN MIT JAANE KO JEE CHAHTA HAI
32.
Masum Sa DiL Tha Mera Jo Aap Yoonhi Tor Gaye.........,
Bina Koi Wajah Hume Akela Chor Gaye.........
Ab Ye Judai ka Dard Leke Hum Kahan Jaye ......,
Ki Bina Aapke Humse Shayad Jiya Nahi Jaye.......
DiL To Yehi Chahta Hai ki Aap Wapis Laut Aaye.....,
Raah Mein Jo Kaantein Hai , Unhe Phoolon Mein Badal Le Aaye.......
Kash Meri Ye Khwaish Poori Ho Jaye........
Lekin Mujhpe Itna Rahem kahan ki Wo Phir Se Hamare Ho Jaye.......
33.
Yeh pal pal ka chalna, fasila khatam na karega,
Tum kitna bhi chaho, tumhe woh kal na milega!
Yeh koi gaata hai, ya namaaz padta hai,
Tum kitna bhi chaho, tumhe alag khuda na milega!
Yeh guzarti hui raat hai, ya nikalti hui sehar,
Tum kitna bhi chaho, tumhe humsafar na milega!
Yeh Baarish ki boondein hain, ya aankhon ke aansoon,
Tum kitna bhi chaho, inhe thaamne wala na milega!
Yeh dil ke tukde hain, ya aap ki yaadein,
Tum kitna bhi chaho, tumhe marham na milega!
Yeh dil mein armaan hain ya sulagte hue sholey,
Tum kitna bhi chaho, tumhe sehra mein paani na milega!
Yeh kaisi uljhan ban gayee hai, dil ki dhadkan,
Tum kitna bhi chaho, tumhe sukoon na milega!!"
34.
Yehi Wafaa ka sila hay, to koee baat nahi....
Yey dard tum ne diya hay, to koee baat nahi ....
Yeyhi bohat hay key tum deykhtay ho sahil say ...
Safeena doob raha hay, to koee baat nahi ...
Rakha tha aashiyana-e-dil main chupa kay tumko ...
Woh ghar tumnay choor diya hay to koee baat nahi ..
Tum hi nay aayena-e-dil mayra banaya tha.....
Tum hi nay tor diya hay to koee baat nahi...
Kisay majaal kahay koee mujh ko deewana...
Agar yay tumnay kaha hay to koee baat nahi
35.
Bhoolne wale se koyi keh de zara,
Is tarah yaad aane se kya fayeda,
Jab mere dil ki duniya basti nahi,
Phir khyalon main aaane se kya fayeda,
Aasra de ke dil tor te hain mera,
Is tarah sataane se kya fayeda,
Mujh pe bijli girao to jaanu sahi,
Aashiane par girane se kya fayeda
36.
Tum hum say yah kahtay hoo, Mohabbat Nahin Rahi
Tum hi Badal Gay hoo, Yaa Woh Ulfat Nahin Rahi
Har Baat Pay Taana, har Andaaz main Gussa
Kiyun Saaf Nahin Kahtay, Mohabbat nahin Rahi
Gheron pay Karam, Apnoon pay Sitam kartay Hoo
Phir Shaan say kahtay, hoo Qurbat nahin Rahi
Sahra main Tapish main, jab Tum nay Humain Choora
Is Husan kay Bazaar main, woh Qeemat nahin Rahi
Maana kay Hum say, bhee buhat Galatiaan howee
Shayad kay Dar-Guzar, ki Tumhain Aadat nahin Rahi
Manzar too wohee hai, halat hain Badlay
Shayad kay Ishaq-e-Yaar, ki Zaroorat nahin Rahi
37.
Bas ek Nigah-e-yaar ki khwahish thi apnee,
Badi Der se Is taraf dekha Usne!
Yeh Dil Kirche-Kirche Bikhar Gayaa,
Dil par patthar Is Aadaa se Phenka Usne!
Hamare Aansoo to khair koi baat na the,
Apni Siskiyon ko Kyon Is tarah Roka Usne!
38.
Woh har shaam ko peena aur tanha raat guzaarna
Yaad hai, tumhe chahna aur kuchh bhi na jatana!
Woh har roz tang tang galiyon se guzarna
Yaad hai, tumhe milna aur phir nazarein churana!
Woh shabh bhar aag mein jalna aur subah chita sa ho jaana
Yaad hai, woh dhuan udana aur kahin usme kho jaana!
Woh har ik yaad pe dil ka chupke se dhadkna
Yaad hai, kehte the itna asaan nahin mujhe bhulana!
Woh unki ik nazar ko har waqt dhoondhna
Yaad hai, woh paana woh khona aur woh khojna!
Woh sheesha-e-dil kisi se bayan na karna
Yaad hai, woh aapka dil mein rehna aur use tod jaana!
Yehi zindagi hai, kuchh khona to kuchh paana
Yaad hai, tumhara kehna humein phir na pukarna!!"
39.
Dard Ke Phool Bhi Khilte Hein Bikhar Jaate Hein ..
Zakhm Kaise Bhi Hon, Kuch Rooz Mein Bhar Jaate Hein ..
Rasta Roke Khadi Hai Yehi Uljhan Kab Se ..
Koi Poochein To Kahin, Kia Ke Kidhar Jaate Hein ..
Chatt Ki Kariyon Se Utarte Hein Mere Khawb Magar ..
Meri Deewaron Se Takra Ke Bikhar Jaate hein ..
Narm Ilfaaz , Bhali Baatein , Mehzeb Lehja ..
Pehli Baarish Mein Hi Yeh Rang Utar Jaate Hein ..
Uss Dareeche Mein Aur Koi Nahin, Aur Hum Bhi ..
Sar Jhukaaye Huve Chup Chaap Guzar Jaate Hein !
40.
Is Zamanay Say Na Hum Koi Gilaa Rakhain Gain
Dil Lagayein Gain To Na Shart-E-Wafa Rakhain Gain
Na Dikhayain Gain Kabhi Dil Pe Lage Zakhm Unhain
Dard Uthay Ga Magar Dil Ko Daba Rakhain Gain
Jaan De Daingain Agar Aik Ishaara Kar De
Ham Usay Apne Liye Bhi Na Bacha Ke Rakhain Gain
Sab Hata Daingain Teri Raah Ki Rukawat Hamdam
Ghar Ke Darwazay Ko Har Waqt Khula Rakhain Gain
Unki Har Baat Ko Bhoolay Say Na Bhoolain Gain Kabhi
Unki Yadoon Ko Bhi Seenay Se Laga Rakhain Gain
Toot Bhi Jaayegi Umeed Jo Tere Aanay Ki
Ek Diya Phir Bhi Hawaaon Main Jala Rakhain Gain
41.
kise say dil laganay ko mayra abb je nahi karta
"kahin pay anay janay ko mayra abb je nahi karta
kise say dil laganay ko mayra abb je nahi karta
tumharay qurab ki khushboo kuch ayse dil ko bahi hay
kise kay sath chalnay ko mayra abb jee nahi karta
buhat dukhtay hain lakin acha bhi lagta hay yeah dil ko
puranay zakham bharnay ko mayra abbjee nahi karta
wo jab say yaad aya hay main aysay hal main gum hoon
kise say bat karnay ko mayra abb jee nahi karta
"kahin pay anay janay ko mayra abb je nahi karta
kise say dil laganay ko mayra abb je nahi karta
tumharay qurab ki khushboo kuch ayse dil ko bahi hay
kise kay sath chalnay ko mayra abb jee nahi karta
buhat dukhtay hain lakin acha bhi lagta hay yeah dil ko
puranay zakham bharnay ko mayra abbjee nahi karta
wo jab say yaad aya hay main aysay hal main gum hoon
kise say bat karnay ko mayra abb jee nahi karta
42.
Dil mein utara hai tujhe kaise kya baat karoon
Har pal teri yaad mein peeta hun e saaki
Badi rangeeniyat mein teri aankhon se piya tha
Paimana kya piyoon teri aankhon se e saaki
Mohabbat tujse mujhe hai kahan dhoondu tujhe
Har lamhe har andaaz mein bhatkata hun e saaki
Raaz is zindigai ki uljhan mein bhatkaata hai mujhe
Maikhana jab dikhata hai har roz har pal e saaki
43.
AIK SHAKHS....
Bana Gulab To Kante Chuba Gaya Aik Shakhs
Hua Chirag To Ghar Hi Jala Gaya Aik Shakhs
Tamam Rang Mere Aur Sare Khoawab Mere
Fasane Thay Ke Fasana Bana Gaya Aik Shakhs
Mein Kis Hawa Mein Uron Kis Fiza Mein Lehraon
Dukhon Ke Jaal Har Su Bhicha Gaya Ail Shakhs
Mohabbaton Ne Kissi Ki Bhula Rakha Tha Isse
Mille Who Zakham Ke Phir Yaad Agaya Aik Shakhs
Khula Yah Raaz Ke Aaina Khana Hai Duniya
Aur Is Mein Mujhay Tamasha Bana Gaya Aik Shakhs
44.
humaree kuch iss tarah jaree hai
har taraf hai shor phir bhi aik sakoot taree hai
Bass ho jaye aik baar guftugoo aap say
chaaat jain khamooshiyaan yeh arzoo humaree hai
hum tu keh hi detay hain hal-e-dil apna
bohat howa aik tarfaa aab baree tumharee hai
kuch tum kaho kuch hum sonain kuch hum kahain kuch tum sono
yehi dastoor-e-zamana hai yeh dunya daree hai
bay wajha hai mera tum morad-e-ilzam therana
khudee hum kalam na ho saka, mujhay per khuff-e-inkar taree hai
45.
Jitna tum ko chaaha tha hum nay
Utnaa kisi ko chaah na sakay
Socha tha bhool jaaingay kabhi na kabhi
Lekin najaanay kyoun bhulaa na sakay
Honton nay to chupa liye armaan dil ke
Lekin ankhon say chupa na sakay
46.
Mohabbat Kisay Kehtay hain?
"jinhain khud aas-e-wafa nahin woh aaj itratay hain
inhain kia pata dil-o-mohabbat kisay kehtay hain
woh jo bat-ba-bat pa uth ka auron ko bulatay hain
inhain kion bataon ka salika-e-shikva kisay kehtay hain
manzilon ka asar jub honay lagtay hain madham safar main
insan reh jaye tanha to sath chorna kisay kehtay hain
rafaqatoon ki daur main aksar hui hum sa bhool chook
usay kia pata mohabbat main maf karna kisay kehtay hain
jao ja kar apni yadoon ko tatolo aur daikh lo humnava ja ka
main kahan kahan roya aur tera manana kisay kehtay hain
is tarha sa to shayad koi pathar bhi tera sath na day kabhi
shayad ka tujhay bhi ehsaas ho tanhai kisay kehtay hain
mujhay har roz har lamha tarpaya tum na rulaya tum na
agar yeah zulm nahin mujh pa to jafa kissay kehtay hian
woh kehtay hain ka hum sa naraz bhi nahin hain
yoon uth ka jana aur wapis na ana 'umair' kisay kehtay hain
Tumsa jo kuch mile to tumhein bhool jaooN main
Soorat koi bane to, tumhein bhool jaooN main
47.
Her cheez poochti hai, nazaroN se jaam tak
Kitne sawaal uthte hain, subh-o-se shaam tak
Koi na kuch kahe to tumhein bhool jaooN main
Tumsa jo kuch mile to tumhein bhool jaooN main...
Guzre hue ki fikr na aage ka kuch khayaal
Na jane kis firaaq mein rahta hai mera haal
Apna pata chale to tumhein bhool jaooN main
Soorat koi bane to, tumhein bhool jaooN main...
Tumsa jo kuch mile to tumhein bhool jaooN main...
Wo justuju wo shaouq wo taqat nahi rahi
Lagta hai mujhko meri zaroorat nahi rahi
Ab zindagi bache to tumhein bhool jaooN main
Tumsa jo kuch mile to tumhein bhool jaooN main...
Soorat koi bane to, tumhein bhool jaooN main...
48.
Kitni aziat se us ne mujh ko bhulaya hoga
mere yado ne usay khoob rulaya hoga
baat bay baat ankh us ki jo chhalakti hogi
us ne chehre ko bazo-on mai chhupaya hoga
socha hoga us ne din may qaye baar mujhe
naam haathele pe bhi likh likh k mitaya hoga
jaha us ne mera zikr suna hoga kisi se
us ki ankho mai koi anso tou aya hoga
raat k bhegne tak neend na aye hogi tujhe
tu ne takeye ko bhi senay se laagya hoga
ho k nidhal mere yado se tu ne jana
mere tasveer pe sar apna tikaya hoga
poocha hoga jo kisi ne tere halat ka sabab
tu ne bato mai khub us se chhupaya hoga
jab kabhi chand ko dekha akele tu ne
tujhe Meira saath bara yaad aya hoga
49.
ghaayal kiya jab apnno ne,to gairon se gilla kiya kerna
uthaye hai khanjer jab apno ne,to zindgi ki tammna kiya kerna
dil tha aik kanch ka gher ,so aakhir wo bhi toot gyia
qismat main likhye hain jb gum,to khuda se gila kiya kerna
tersti rahi zindagi bher jin sacchey rishton ke liye
jab unhon ne hi thukera diya, to garon se tawqo kiya kerna
jis ko smjha tha apna, jis ko bnaya tha apna razdan
osi ne jb dil torr diya, to gaer ko apna ker kiya kerna
muskerana jo bhool gaye hont shazi,to kiya hua
gum ko bna liya hye apna, to muskera ke ab kiya kerna
50.
Kaaton se bhara mera aashiyaana ho gaya hai
Phoolon ko dekhe to ek zamaaana ho gaya hai
Hasin uski sun kar hoti thi subah meri
Khamoshi si aaj kal dostaana ho gaya hai
Chanchal si aahat uski aati hai khvabon mein
Sona mere liye to bas bahaana ho gaya hai
Thi zinda meri basti uske eh-do-karam se
Bichadne ke baad to ye viraaana ho gaya hai
Kehte hai 'tan.viir' ke peena chhod de
Jabki khali mera paimaana ho gaya hai
Sunaata tha haal-e-dil zamaane ko pehle
Ab to ye kissa bhi puraana ho gaya hai
51.
yaadon ke guzare mausam fir se mehakne lage hain
mere ashqon ko mere gham fir parakhne lage hain
yaadein unki achanak jaane kaise laut aayee hain
mere dil ke soye zakhm fir sulagne lage hain
sunaa hai fizaa par bahaarein meharbaan hai
Aur isiliye meri ummedon ke phool jalne lage hain
maasoomiyat ka naqaab oodhe fir koi milaa hai
Fir guzre waqt ke silsile chalne lage hai
Unki tasveer dil mein kyaa basaa li hamne
Saare chehre uske jaise lagne lage hain
Unke milne aur khone mein itnaa to hua hi hai
deewaane hamein apne saath mein rakhne lage hain
52.
Jis din se juda wo ham se hoa
is dil ne dharakna chor dia
hai chand ka munh utra utra
taroon ne chamaka chor dia
wo sath hamaray hota tha
be-rut hi bahar a jati thi
ab lakh baharein bhi aien
phoolon ne mehekna chor dia
ik din ye dua mangi ham ne
"taqdeer badal de ay Maalik !"
awaz ye ai ke " Ham ne ......
Taqdeer badalna chor dia !!"
53.
Benaam Sa Ye Dard, Thehar Kyon Nahi Jata
Jo Beet Gaya Hai, Woh Guzar Kyon Nahi Jata
Sab Kuch To Hai, Kya Dhundti Rehti Hai Nigaahein
Kya Baat Hai, Mai Waqt Pe Ghar Kyon Nahi Jata
Woh Ek Hi Chera To, Nahi Sare Jahan Mein
Jo Door Hai Woh Dil Se Utar Kyon Nahi Jata
Main Apni Hi Uljhi Hui, Raho Ka Tamasha
Jate Hain Jidhar Sab, Main Udhar Kyon Nahi Jata
Woh Naam Jo Na Jane Kab Se, Na Chehra Na Badan Hai
Woh Khawaab Agar Hai To Bikhar Kyo Nahi Jata
54.
Mujhey lagta hai aesa kabhi kabhi
Jaisy woh ajnabi larki
Mujh sey piyar karti hai
Mujhey chahti hai
Akser yunhi chup chup ker
Dekhti hai, janey kiya soch ker
Nazren chura jati hai
Kuch ghabra si jati hai
Apney aanchal ko hawaoon k zoor
per lehrati hai ....
55.
Mehsoos mujhey yeh hota hai k
Shaid mujhey woh bohat chahti hai
Mujhey aesa ehsas dilati hai jesay
Woh mujh sey kuch kehna chahti hai
Meray pochnay per kuch sharma si jati hai
Kuch ghabra si jati hai
Suniyey" keh kar bhaag jati hai
Ajnabi larki shaid piyar karti hai mujh sey
Aesa mehsoos hota hai janey kiyon mujhey
56.
pashane hayat per kuch ese bal pade,
hansane ko ji chahaa to aasoon nikal pade,
Rahane do na bhujaoo mere aashiaan ki aag,
is kashmash main kahin aap aanchal na jal pade,
is tarah ki raton main ashkon se gum,
koi dusra piye to dum nikal pade.
57.
AAJ DIL PE KOI ZOR CHALTA NAHI....
AAJ ASHKO SE SAWAN DHALTA NAHI....
TERI CHOTO NE JAKHMI KIYA HAI IS KADAR...
KISI MARHAM SE JAKHM BHARTA NAHI..
TUNE RUSVA KIYA HAI HAME IS KADAR..
THANDI SANSO KA SAILAB RUKTA NAHI..
APNE HI SHAANON PE SIR RAKH KAR... (SHAANON.....KANDHO)
RO LENE KA BHARAM DIL SE HAtTA NAHI..
APNI BAATO SE IS KADAR HAMARE DIL KA KATL KARNA
KISI KATIL KI SHAMSHHER SE KAM TO NAHI... (SHAMSHEER....TALWAR)
TUNE BANAYA THA APNA ....MAGAR AAJ GAWA DIYA..
TERE HOKER BHI AB HAM TERE NAHI...
58.
Tumne jo meri kabr par, aakar yun muskura diya
bijli chamak kar gir padi, sara kafan jala diya......
main so raha tha chain se, yun hi kafan e mazaar mein,
yahan bhi sataane aa gaye, kisne pata bata diya......
tumne chadhaye phool to, ehsaan kya kiya
humne tumhare ishq mein, sara chaman luta diya.....
pucha na jeete ji kabhi, dard e dil ka haal
aaye ho kabr par meri, mitti mein jab mila diya.....
aaye ho mazaar par mere, dekh liya ab mera haal
thukra ke mere pyar ko, kisi aur ko apna bana diya....
ab ho gaya hai ilm tumhein, ek shikayat meri jaan lo
kiya jo hashar tumne mera, apno ko begana bana diya....
main to kafan mein hoon ab, meri baat aur hai,
karna na unka haal wo ab, jo haal mera tumne bana diya....
tumne jo meri kabr par, aakar yun muskura diya
bijli chamak kar gir padi, sara kafan jala diya.....!!
aaj kuch aisa gujar gaya, dil toot kar bikhar gaya
dard kuch itna bara, hadd se he gujar gaya
59.
Ek paheli si ban gai hai jindagi ab to
Kaya ho raha hai, nahi kuch khabar ab to
Kab mile the hum sapno mei tumse
Kuch yaad nahi, kuch khabar nahi ab to
Teri wo baate, wo kahani teri
Kuch yaad bhi hai, kuch yaad nahi ab to
Tu rehta hai aas paas mere
Phir dil mera mayoos kayon hai ab to
Teri kavita mei tha jo pyar kabhi
Dard ban ke chalkata hai ab to
Pyar ka socha na tha, ikrar tha dosti ka
Kab huey dushmani, kuch khabar nahi ab to
60.
Hum tumhein bhoole nahin, ya jaan lo
tumhari shikast mein, hamari shikast hai, ye maan lo....
dil ki baat na chhupao, hum se kahe hi do
hum dil ke kitne paas hain, humein bata hi do....
aankhon ko rone na do, hawaon se mat puchho
ye ashq moti hain, mere pyar ke, inhein girne na do...
hum theek hain, aa rahe hain, dil ki dharkan ko na roko
Kuch aur intezaar kar lo, dil ki dharkan ko na roko.....
61.
Sapno ko sote dekha hai humne
khiltey huey phoolon ko jhertey dekha hai humne
aatee huey yaad unke rulaatee to thee humko
phir bhi bebasee mei muskuratey unhey dekha hai humne
Sapno ko sote dekha hai humne
khiltey huey phoolon ko jhertey dekha hai humne
aatee huey yaad unke rulaatee to thee humko
phir bhi bebasee mei muskuratey unhey dekha hai humne
haan sapno ko sote dekha hai humne
khiltey huey phoolon mei khusboo na thee
sugandhit pedon pe phool na theh
raat to thee, taare bhi theh
pur chand ke kuch kumee see thee
haan sapno ko sote dekha hai humne............
62.
Ke har mulakat tumse kyu lagti hai
Jaise rah gayi koi baat unkahi
Kaise baato mein tumse yeh kah du ke
Tum ho meri ek khwahish adhuri si
Ke yeh preet ka bandhan hai kaisa
Ek rishta yeh ki jiska koi naam nahi
Kyu nahi tumko apna keh paata ke
Tum ho meri ek khwahish adhuri si
Ke aankho ke darpan main basati ho yun
Ek aansoo ban palko main hai chhup jati
Ek moti ki tarah sanjo rakha hai ke
Tum ho meri ek khwahish adhuri si
Ke ek sapna ho to tum kuch aisa
Jo toot jaat har subah adhura hi
Khwaab main bhi puri na ho ke
Tum ho meri ek khwahish adhuri si
63.
baat jab phoolon se karna aa gaya
jindagi mai rang bharana aa gaya
muddate mujhako ujadate dekh kar
aaine ko bhi sanwarna aa gaya
khuub rone se huwa ik phayada
meri ankho ko nikharna aa gaya
teri basti mai hun aur milta nahie
mujhko kitna jabt karna aa gaya
jindagi kee kya hai kat hi jayegi
honsale se aab to marna aa gaya
chode kar manjhdhar mai sab chal diye
doob kar mujhko ubharna aa gaya.
64.
Kadam jakhmi hai to kya hua;
Hum aa jaayenge! Tum bula kar to dekho.
Jo tere hothon par kaanp raha hai, mera naam hai
Hum jaante hain ! Tum bhi bula kar to dekho.
Tera mera rishta to janmo ka hai.
Log maan jayenge! Tum bata kar to dekho.
Tujhi se shuru thujhi pe khatm hoti hai, meri har nazam
Kuch aur bhi likhunga! Tum pal bhar mujhe bhula kar to dekho.
Teri har ada par mit-ta chala gaya hoo mai
Aane do ab hosh main! Is ada se na dekho.
65.
Dushman bhi pesh aaye hai dildar ki tarah,,
Nafrat milee hai unse mujhe pyaar ki tarah.
Kaise milenge chanhne wale bataiye,
Duniya khadi hai rah mein deewarki tarah.
Woh bewafai kar ke bhi sharminda na hue,
Sooli pe hum chadhe hai gunahgar ki tarah.
Toofon mein mujh ko chod kar woh log chal diye,
Sahil pe they jo sath mein patwar ki tarah.
Chehre pe hadsoo ne likheen woh ibaratein.
Padhane laga har koi mujhe akhbar ke tarah.
Dushman bhi hoo gaye hain maseeha sifat Jamal
Milte hain toot kar woh gale yaar ki tarah.
66.
Tum Ko Maloom Bhi Nah Ho Shayad..!!
Tum Ko Maloom Bhi Shayad Yeh Kabhi Ho K Na Ho
Mairi Raatain Tairi Yaadon Sey Saji Rehti Hain
Mairi Sansain Tairi Khushboo Main Bassi Rehti Hain
Mairi Aankoon Main Taira Sapna Saja Rehta Hai
Han Mairay Dil Main Taira Aks Basa Rehta Hai
Is Tarhan Mairay Dil K Bohat Pass Ho Tum
Jis Tarhan Pass Sheh Rag K Khuda Rehta hai
Tum Ko Maloom Bhi Shayad Yeh Kabhi Ho K Na Ho
Mairay Aangan Main Lagay Phool Gawahi Daingay
Main nay Arsay Say Kisi Phool Ko Dekha Bhi Nahi Hai
Tujh Ko Socha Tu Phir Tujh Ko Hi Socha Hai Faqat
main Nay Teray Siwa Kisi Or Ko Socha Bhi Nahi
Tum Ko Maloom Bhi Shayad Yeh Kabhi Ho K Na Ho!
67.
Meri Aankhoon Main Hur Dum Tera Aks Saja Rehta Hai
Haan Meray Mehboob Tou Is Tarah Meray Dil Main Basa Rehta Hai
Jis Tarah Jism Ka Rishta Rooh Say Jura Rehta Hai
Meri Zindagee Ka Koee Lamha Nahee Teri Yaad Say Ghaafil
Kiyon Phir Tou Mujhay Bay Wafaee KA Ilzam Daita Hai
Parwanay K Muqadar Main jub pul pul Julna Tehra
Zamana Kiyon Phir Shamma Ko Jalanay Ka Ilzam Daita Hai
Kitab-e-Qanoon Main Jurm-e-Mohabaat Per Koee Tazeer NAhee Daikhee
Phir Kiyon Zamana Mohabbat Kurnay wallon koo Bhicharnay kee Saza Daita Hai
68.
Kaise bataaoon main tumhe
Mere liye tum kaun ho, kaise bataaoon
Kaise bataaoon main tumhe
Tum dhadkanon ka geet ho
Jeevan ka tum sangeet ho
Tum zindagi tum bandagi
Tum roshni tum taazgi
Tum har khushi tum pyaar ho
Tum preet ho manmeet ho
Aankhon mein tum yaadon mein tum
Saanson mein tum aahon mein tum
Neendon mein tum khwaabon mein tum
Tum ho meri har baat mein
Tum ho mere din raat mein
Tum subaah mein tum shyaam mein
Tum soch mein tum kaam mein
Mere liye paana bhi tum
Mere liye khona bhi tum
Mere liye hasna bhi tum
Mere liye rona bhi tum
Aur jaagna sona bhi tum
Jaaoon kahin dekhoon kahin
Tum ho vahan, tum ho vahin
Kaise bataaoon main tumhe
Tum bin to main kuch bhi nahin
Kaise bataaoon main tumhe
Mere liye tum kaun ho
Yeh jo tumhaara roop hai
Yeh zindagi ki dhoop hai
Chandan se tarsha hai badan
Behti hai jis mein ek agan
Yeh shokhiyaan yeh mastiyaan
Tumko hawaaon se mili
Zulfein ghataaon se mili
Honton mein kaliyaan khil gayi
Aankhon ko jheele mil gayi
Chehre mein simti chaandni
Aawaaz mein hai raagini
Sheeshe ke jaisa ang hai
Phoolon ke jaisa rang hai
Nadiyon ke jaisi chaal hai
Kya husn hai kya haal hai
Yeh jism ki rangeeniyaan
Jaise hazaaron titliyaan
Baahon ki yeh golaaiyaan
Aanchal mein yeh parchhaaiyaan
Yeh nagriyaan hai khwaab ki
Kaise bataaoon main tumhe
Haalat dil-e-betaab ki
Kaise bataaoon main tumhe
Mere liye tum kaun ho
Kaise bataaoon, kaise bataaoon
Kaise bataaoon main tumhe
Mere liye tum dharam ho
Mere liye imaan ho
Tum hi ibaadat ho meri
Tum hi to chaahat ho meri
Tum hi mera armaan ho
Takta hoon main har pal jisse
Tum hi to voh tasveer ho
Tum hi meri taqdeer ho
Tum hi sitaara ho mera
Tum hi nazaara ho mera
Yudhyaan mein mere ho tum
Jaise mujhe ghere ho tum
Purab mein tum pachhim mein tum
Utar mein tum dakshin mein tum
Saare mere jeevan mein tum
Har pal mein tum har chir mein tum
Mere liye rasta bhi tum
Mere liye manzil bhi tum
Mere liye saagar bhi tum
Mere liye saahil bhi tum
Main dekhta bas tumko hoon
Main sochta bas tumko hoon
Main jaanta bas tumko hoon
Main maanta bas tumko hoon
Tum hi meri pehchaan ho
Kaise bataaoon main tumhe
Devi ho tum mere liye
Mere liye bhagwaan ho
Kaise bataaoon main tumhe
Mere liye tum kaun ho
Kaise
This is written by great Mr. Javed Akhtar Sahab.
69.
jahan phoolon ko khilna tha wahin khilte to accha tha...
tumhi ko humne chaha tha, tumhe milte to accha tha...
koi akar humse pooche ,tumhe kaise bhoolaya haan..
hazaar zakhum aise the agar silte to accha tha...
tumhi ko humne chaha tha, tumhe milte to accha tha...
tumhain jitna bhoolaya hai tumhare yaad aae hai...
bahaar jo aae hai wohi khushboo hi lae hai...
tumhare lub agar meri khatir silte to accha tha...
tumhi ko humne chaha tha, tumhe milte to accha tha...
mila hai lutf humko bhi haseen yadon ki jhilmil main...
kati hai zindagi tum binmagar itne see hai dil main...
agar atay to accha tha, agar milte to accha tha...
tumhi ko humne chaha tha, tumhe milte to accha tha...
70.
kisi se baat karna , bolna accha nahi lagta,
tujhe dekha hai jab se doosra accha nahi lagta,
teri aankhon main jab se maine apna aks dekha hai
mere chahre ko koi aaina accha nahi lagta
tere baare main din bhar sochta rehta hoon main lekin
tere baare main sab se poochna accha nahi lagta
yahan Mohabbat karne wale barbaad rehte hain
yeh darya hai isse kaccha gharra accha nahi lagta
MAIN ab chahat ki us manzil per aa pouncha hoon
teri jaanib kisi ka dekhna accha nahi lagta
Bhari mehfil main tanha rehna acha lagta hai
terey barey main sochtey rehna acha lagta hai.
Kabhi pholon main ,kabhi kaliyon main
tujh ko hi dhontey rehna acha lagta hai
71.
Meree zindagi ki khushiyan tumhee say hain wabasta
rab say sirf tumhein hi mangna acha lagta hai
Hamarey darmiyan hail rahein sadiyon ki khamoshiyan
kuch is tarhan guftugu karna acha lagta hai
Tumhrey baghir zindagi ka koi tasavur nahi hai
kuch is tarhan tumharee tamanna karna acha lagta hai
Tum hi ko chaha,tum hi ko chahtey hain
tumhi ko chahtey rehna acha lagta hai
Main cheen lon ga tumhein duniya ki rasmon say
k mujhye zamaney say baghawat karna acha lagta hai
72.
Dosron ko hamari sazaein na de...
chandni raaton ko bud`duain na dey...
phool se aashiqi ka hunar seekh le...
titliyaan khud rukein gi sadaein na de...
sab sazaoun ka ikraar kerne lage hum...
ess qadar khoobsorat sazaein na de...
moteeeoin ko chupa seepion ki terha...
be wafaon ko apni wafain na de...
main biker jaoun ga ansuon ki terha...
es qadar pyaar se bad duain na de...
73.
din ko aagh ugalta suraj,shab ko taarey acchey hai'n
dil ki aa'nkh se dekho tao,sub nazzarey acchey hai'n
baat hamaarey dil ki hey,dil ko acchey lagtey hai'n
apna apna dil hey warna,rang tao saarey acchey hai'n
rang birangey mausam ka,dil se bada ta'alluq hey
dil ka mausam accha ho tao,mausam saarey acchey hai'n
saarey mausam niyaarey mausam,dilbar merey piyaarey mausam
mai'n kis kis ki taareef karoo'n,sub roop tumhaarey acchey hai'n
bheeghey bheeghey mausam mai'n,mai'n aksar betha sochta hoo'n
hum ne jo bhi din tumhaarey,sang guzaarey acchey hai'n
74.
Koi mere ho
Buss mere ho
Jisko toot kar pyar karoon
Apni chahat ka izhaar karoon
Jub woh roothay to manaoon mein
Uski baanhon mein hur pal guzaroon
Subha, shaam, din, aur raat guzaroon
Jisko apnay galay se lagaoon mein
Jiski ankhon mein dekhte he doob jaaon mein
Aik din to usko dil mein basaoonga
Kuch bhi hojaye lekin usko mein apnaoonga" !!
75.
Us shaks ko mera halka sa ehsaas to hai
be dard sahi woh mera humraaz to hai
Woh aaye na aaye mere paas lekin
shidat se mujhe us ka intezaar to hai
Abhi nahi to kya hua mil hi jayenge kabhi
mere dil main us se milan ki aas to hai
Pyaar ki gawahi mere aasoon se na maang
barasti nahi aankhen magar dil udaas to hai
76.
Ager Hum Dost Hotay Tu
To Karam Ki Inteha Kartay
Tumay Palkon Mein Basatay Hum
Ager Tum Rooth Jatay To
Tumhay Kitna Manatay Hum
Jo Milnay Tum Nahi Aatay To
Aa Kar Khud Tumhan Miltay
Tumhari Laghzishon Ko Bhi
Hansi Main Hum Ura Detay
Ager Apni Khata Hoti
To Khud Ko Bhi Saza Detay
Magar Ye Sab Jabhi Hota
Ager Hum Dost Hotay To
Magar Itna Hi Jana Hai
K Tum Ney Aaj Tak Hum Ko
Paraya Keh Ker Jana Hai
Kabhi Hamdam Naa Mana hai
Ager Hum Dost Hotay To.....
77.
Tumhare Sath Guzara Hua Har Ik Lammha Mere Yaadon Main
Jab Mujh Ko Sataye Ga Mujhay Tum Yaad AouGe .
Kisi Bhe Shaam Ki Tannhayoun Main ,
Koi Purskon Lammha Jab AyeGa
Mujhay Tum Yaad AouGe ..
Mujhe Tum Yaad AouGe
Kabhe Hansna Kabhe Rouna , Kabhe Gusay Bhari Batain ,
Kabhe Gumsum Bohot Chup Chup Mullakaten
..
Agar Aindha Saalon Main Koi Mousam Kabhe Ye Rang DekhayeGa
Mujhe Tum Yaad AouGe . Mujhe Tum Yaad AouGe !
Main Apnay Aap Main Khush To RehSakta Hon Bohot,
Laiken Mujhe Ik Bath Ka Dar Hai ..
Agar Agay Bohot Agay Khud Ko Mere Nazdeek Koi LaiyeGa
Mujhe Tum Yaad AouGe .. Mujhe Tum Yaad AouGe !
Dunnya Main Aetibar Kay Kabil Koi Nahin Mere Zinndagi Ka Ab Tak Haasil Hai Yehi Pher Bhe ..
Zinndage Kay Kisi Kamzor Lammhe Main Kabhe Koi Agar Dil Main Samaye Ga Mujhe Tum Yaad AouGe ..
Mujhe Tum Yaad AouGe !
Waqt Kay Sath He Rafta Rafta Loog Yaaden Our Bohot Si Dosri Batain Bhol Jate Hain ..
Per Ye Tae Hai Agar Kabhe Koi Mere Dil Se Tere Yaaden BholayeGa Mujhe Tum Yaad AouGe ..
Mujhe Tum Yaad AouGe !
Main Tum Ko Khud Se Bhe Agar Bholne Ki Jo Koushesh Karonga To Ye Kabhe Ho He Nahin Sakta ..
Tumhara Hizer Reh Reh Kar Mere Dil Ko Kabhe Jab Khoon Kay Aansoo RulayeGa Mujhe Tum Yaad AouGe .
Mujhe Tum Yaad AouGe !
Tumhare Saath Kay Aksar Lammhain Raaton Main Mujh Ko Aa Utha Te Hain Mere Neenden Churate Hain
Tab Mere Baychainiou Ko Pur Skoun Karne Ka Beara Jab Koi Uthaye Ga Mujhe Tum Yaad AouGe .....
Mujhe Tum Yaad AouGe !
78.
sans ka chalna agar naam zindagi hai,
to jeene walo me mera naam likha dena
dil ki daultat bhi, agar cheeze koi hoti hai,
to paise walon me mera naam likha dena
agar baharon pe marne wale hote agar ashik hain
to pyar karne walon me mera bhi naam likha dena
jado ki thiturati raton me agar , dil bhi jala karte hain
to jalke marne walon me mera bhi naam likha dena
kisi ki ankh me dubkar dil me utar gaya koi
doobne walon me , mera naam likha dena
79.
main lafzon mai kuch bhi izhar nahi karta
iska matlab ye nahi k main pyar nahi karta
chahta hoon main tujhe aaj bhi par
teri soch mei apna waqt bekar nahi karta
tamasha naa ban jaaye kahi mohabbat meri
isi liye apne dard ko namoodaar nahi karta
jo kuch mila hai usi mei khush hoon main
tere liye KHUDA se taqraar nahi karta
par kuch tou baat hai teri fitrat mein zalim
warna chahne ki khataa bar bar nahi karta...
80.
Phir yaad mujhey wo aata hai
Jab bagh main kalyaan khiltee hain.
Jab mast hawaen chaltee hain.
Jab rim jhim barish hoti hai.
Mahol nikharta jata hai.
Phir yaad mujhey wo aata hai.
Jab lehrain motee latee hain .
Qadmon ko choo kar jatee hain.
Taroon say bhara ye neela gagan.
Badal se ghir ghir jata hai.
Phir yaad mujhey wo aata hai.
Jab ghum ka ghor andhera ho.
Or mun bilkul hi akela ho.
jab ashk lari ban jatay hain.
aur dil zakhmi ho jata hai.
Phir yad mujhay woh aata hai.
jab lab par hansi ki lay phootay.
aur koi khushi daman bhar day.
jab mehfil main sab apnay hoon.
dil shukar say phir bhar jata hai.
Phir yad mujhay woh aata hai.
Phir yad mujhay jo aata hai.
kia yad tumhain bhi aata hai.
jo "Maalik" hai "Andataa" hai.
jo ujyarea phailata hai.
Phir yad mujhay woh aata hai.
81.
apne haatho se yu chehre ko chupate q ho,
mujh se sharmate ho tou saamne atay q ho...
tum kabhi mere tarha kar bhi lo ikraar-e-wafa,
pyar karte ho tou phir pyar chupate q ho...
Ashq Aankho Mei Mere Dekh Ke Rote Kyun Ho
Dil Bhar Aata Hai To Phir Dil Dukhate Kyun Ho
in se vaabasta hai jab mera muqadar phir tum,
mere shano se ye zulf hatatay q ho...
roz mar mar ke mujhe jeenay ko kehte q ho,
milne aatay ho to phir laut ke jatay q ho...
82.
Kabhi khamosh baithogi, kabhi kuchh gungunaaogi
main utna yaad aaoonga, mujhe jitna bhulaaogi
koi jab poochh baithega, khamoshi kaa sabab tumse
bahot samajahna chaahogi, magar samjhaa na paogee
kahin par bhee rahein hum tum mohabbat phir mohabbat hai
tumhe hum yaad aayenge....humein tum yaad aaogee
83.
Jo dard ke sehra mein akela bhi buhat hai,
us ke liye dewar ka sayaa bhi buhat hai..
dekha nahi tanhaai mein tum ne kabhi us ko,
bichre howey logon ko woh roya bhi buhat hai..
kuch tujh ko muhabat peh yakeen tha naa wafa par,
kuch dukh meri takdeer mein likha bhi buhat hai..
benaayi andheron se bhala kase bachata,
ek shaks tere hijar mein jaga bhi buhat hai..
84.
kaash k mujh se bhi kisi ko pyar hota"
"kaash k mujh se bhi kisi ko pyar hota,
kaash k mere liye bhi kisi ka dil beqarar hota,
kaash k mujhe bhi koi apni yaadon mein laata,
apne khuabon mein basata ,ankhon mein chupaata.
kaash k mujhse bhi kabhi koi izhaar karta ,
kaash k mere liye bhi koi bechaain hota,
kaash k mujhe bhi koi apne dil mein utarta ,
apni sanson mein samata , meri duniya ko mehkaata
kaash k mere bhi sapne kabhi sach hote,
kaash k mere bhi armaan pOore hote
kaash k mujhe bhi kabhi mil jaata koi,
dekhti use main harpal , rehti khoye khoye.
zindagi pyar bina adhuri si hoti hai,
ek saathi bina suni suni hoti hai,
kaash k mujhe bhi kisika saath mila hota,
kaash k mere zindagi mein bhi kisi ka saath hota......
85.
DUKH DARD KE MAARO SE MERA ZIKAR NA KARNA
GHER JAON TO YARO SE MERA ZIKAR NA KARNA
WOH ZUBT NA KAR PAYENGE ANKHO KE SAMANDAR KO
TUM RAH GUZARO SE MERA ZIKAR NA K ARNA
PHOLO KE NESHAIMAIN MAIN RAHA HON SADA SE
DEKHO KABHI KHARO SE MERA ZIKAR NA KARNA
SHAYAD YEH ANDEHRE HI MUJHE RAH DIKHAI
AAB CHAND SITARO SE MERA ZIKAR NA KARNA
WOH MERI KAHANI KO GALAT RUNG NA DE DEIN
AFSANA NIGARO SE MERA ZIKAR NA KARNA
SHAYAD WOH MERE HAL PER BESAKHTA ROH DAIN
IS BAAR BAHARO SE MERA ZIKAR NA KARNA
LE JAINGEH GEHRAI MAIN TUM KO BHI BAHA KAR
DARYA KE KINARO SE MERA ZIKAR NA KARNA
WOH SHAKS MILE TO USAY HAR BAAT BATA DEHNA
TUM SIRF ISHARO SE MERA ZIKAR NA KARNA
86.
phir kisi yad nay shab bhar hay jagaya mujh ko
Kiya saza di hay mohabat nay khudaya mujh ko
~**~**~**~**~**~**~**~**~**~**~**~**
Din ko aaram hay na raat ko hay chain kabhi
Janay kis khaak say qudrat nay banaya mujh ko
~**~**~**~**~**~**~**~**~**~**~**~**
Dukh to yeh hay keh zamanay main milay ghair sabhi
Jo mila hay woh mila ban kay paraya mujh ko
~**~**~**~**~**~**~**~**~**~**~**~**
Jab koi bhi na raha kandha meray ronay ko
Ghar ki deewaron nay seenay say lagaya mujh ko
~**~**~**~**~**~**~**~**~**~**~**~**
Uoon to umeed-e-wafa tum say nahein hay koi
Phir charaghon ki tarah kis nay jalaya mujh ko
~**~**~**~**~**~**~**~**~**~**~**~**
Bewafa zindagi nay jab chorh diya hay tanha
Maot nay piyar say pehloo main bithaya mujh ko
~**~**~**~**~**~**~**~**~**~**~**~**
Woh diya hoon jo mohabat nay jalaya tha kabhi
Gham ki andhi nay sar-e-sham bujhaya mujh ko
~**~**~**~**~**~**~**~**~**~**~**~**
kaisay bhoolon ga wohi wasl kay lamhay
Yad aata raha zulfon ka hi saya mujh ko
**~**~**~**~**~**~**~**~**~**~**~**
87.
Na jane konsa jhonka tha jo tumhein inta behka gaya
Yeh kaisi mohabaat thi
ke bas tinka bhar aithabaar reh gaya
Shak ke daiyre mein jo phool khilthe hain
Unse mehek nahi bas kante chubte hain
Tum jane se pehle mud ke tau dekh lete ek baar
Mughe apne mohabaat mein marta chod gaye
mere katil ko dekh lete ek baar
Tum bewafa kitni asani se keh gaye
Zindegi kehkar mughe
meri zindegi leh gaye
88.
Kahaa nahi par chupa pyar to tha
Khamosh thi par aankho ko intezaar to tha
Tum to keh gaye ki koi pyar ki baat nahi
Par jab palat ke dekha humne
Tumhe waha khada paya to tha..
Tumne kaha pyar nahi na sahi humse tumko
Par hamari ek nazar ko tu tarsa to tha..
Tum hamaare ho iss ehsaas se hein zinda,
Warna hum to the khud se bhi sharminda,
Teri chahat ne hai kiya karam,
Warna khudse nazrein nahin milate the hum,
Tu hi laya hai iss virane mein bahaar,
Warna kahaan aata tha iss dil ko karaar,
Shukriya mujpe aane wale o dil,
Ab tu dariya, tu hi mauj aur tu hi saahil
89.
Kahaan Aa Kay Rukney Thay Raastey, Kahaan Moor Tha, Ussay Bhool Jaa
Joo Mil Gaya Ussay Yaad Rakh, Joo Nahien Mila Ussay Bhool Jaa
Woh Tere Naseeb Ki Baarishein Kisi Aur Chhat Pe Pe Baras Gayien
Dil-e-Bekhabbar Meri Baat Sun, Ussay Bhool Jaa, Ussay Bhool Jaa
Mein Too Gum Thaa Tere Hi Dehyaan Mein, Teri Aass Tere Gumaan Mein
Saba Keh Gayi Mere Kaan Mein, Mere Paas Aa Ussay Bhool Jaa
Kisi Ki Aankh Mein Nahien Ashq-e-Gham, Tere Baad Kuch Bhi Nahien Hai Kam
Tujhe Zindagi Ney Bhulaa Diya, Tu Bhi Muskuraa Ussay Bhool Jaa
Naa Woh Aankh Hi Teri Aankh Thi, Naa Woh Khuaab Hi Tera Khuaab Thaa
Dil-e-Muntazir Too Yeh Kis Liye Tera Jaagnaa, Ussay Bhool Jaa
Yeh Joo Raat Din Ka Hai Khel Saa, Ussay Dekh Iss Pe Yakeen Naa Kar
Nahien Aks Koi Bhi Mustaqil Sar-e-Aaena, Ussay Bhool Jaa
Joo Bisaat-e-Jaan Hi Ulatt Gaya, Woh Joo Raastey Mein Palatt Gaya
Ussay Rookney Sey Husool Kya, Ussay Matt Bulaa Ussay Bhool Jaa
90.
daag duniyaa ne diye zakhm zamaane se mile
ham ko ye tohfe tumhein dost banaane se mile
ham taraste hii taraste hii taraste hii rahe
vo falaane se falaane se falaane se mile
khud se mil jaate to chaahat kaa bharam reh jaataa
kyaa mile aap jo logon ke milaane se mile
kaise maane ke unhein bhuul gayii tuu ai 'Diljale'
un ke Khat aaj hamein tere sarhaane se mile
91.
Kyun pyaar karne ki hadein hoti hein,
Kyun dil dene ki waje hoti hein,
Kyun jazbaaton ko dabana padta hai,
Kyun iss dil ko samjana padta hai,
Kyun har dil ko ye mehsoos nahin hota,
Kyun sabko ye manzoor nahin hota,
Kyun dil se dil nahin milta,
Kyun pyaar ka phool nahin khilta,
Kyun dil ke naghme dil nahin gaata,
Dil mein kya hai ye keh nahin pata,
Kya dil dene ki yahi saza hai,
Kya pyaar karne mein yahi mazaa hai.
Apne dard ko chhupana seekh liya,
Har baat par muskuraana seekh liya,
Aap jo kahein woh karte rehte hein,
Apne armaano ko dabana seekh liya,
Yakeen na ho to azmaan kar dekh bhi lo,
Hum to yahi kaheinge ki humne jeena seekh liya.
92.
Mairay Sabar Ka Na Lay Imtihaan
Mairay Sabar Ka Na Lay Imtihaan Mairee Khaamoshi Ko Sadaa Na Day
Jo Tairay Baghair Na Jee Sakay Usay Jeenay Ki Too Duaa Na Day,
Too Azeez Dill-o-nazar Say Hay Too Qareeb Rag-o-jaan Say Hay
Mairay Jism-o-jan Ka Yeh Faaslaa Kaheen Waqt Aur Barhaa Na Day,
Tujhay Bhool Kay Na Bhulaa Sakoon Tujhay Chah Kay Bhee Na Paa Sakoon
Mairee Hasratoon Ko Shumaar Kar Mairee Chahatoon Ka Silaa Na Day,
Wo Tarap Jo Shula-e-jaan Main Thee Mairay Tan Badan Say Lipat Gai
Jo Bujha Sakay To Bujha Isay Na Bujhaa Sakay To Hawaa Na Day,
Tujhay Gar Mailain Kabhee Fursatain Mairee Shaam Phir Say Sanwaar Day
Gar Qatal Karna Hay To Qatal Kar Yoon Judaaiyoon Ki Sazaa Na Day.
93.
AJ SHAAM PHIR JUDAYE KA PAIGAM LAYEE HAI
HAR TARAF EK AJEEB SI UDASEE CHAYEE HAI
DHOOR DHOOR TAK BAS RAAT NAZAR AYEE HAI
MERE KAMSIN UMAR KAYEE ZAKHMOO SA TUKRAYEE HAI
IN GHAMZADA ANKOO MEIN EK FARYAAD AYEE HAI
WAJA KUCH NAHEE BAS APNOO KE YAAD AYEE HAI
MEIN MUSAFIR HON SEHRA KA MERE MANZIL KAB AYEE HAI
WAHSHEE DUNYA MEIN JHOOTI RAH SAB NE DEKLAYEE HAI
SABHEE CHUP KA WAR KAERTAY HA ISMAIL
QATAL HONAY SE PEHLAY TALWAR KISE NAZAR AYEE HAI
94.
Dekh kar tujhe wo sama yaad aata hai
tere saath guzra har lamha yaad aata hai
wo tera sharmana, wo tera muskurana
wo tera daanto tale ungliyaan dabana
mujhe aaj bhi tere pyar ka
wo guzra zamana yaad aata hai....
mila kar nazrein, wo nazrein churana
aur nazrein chura kar, mere dil mein samana
mujhe aaj bhi tere pyar ka
wo guzra zamana yaad aata hai....
wo tere aanchal ka udna, wo umango ka badna
wo umango ka badke, mere haathon ko pakadna
meri nigahon se nigahein milana,
wo palkein uthana, wo palkein jhukaana,
wo palkein jhuka kar, mere dil mein samana
mere dil mein samakar, kahin aur na jaana,
mujhe aaj bhi tere pyar ka
har lamha yaad aata hai........!!
mere intezaar mein tadapna, meri yaadon mein khona
aur meri baaton par kabhi, dil hi dil mein rona
mujha aaj bhi tere pyar ka
har lamha yaad aata hai........!!
main azeez tha, azeez hoon,
markar bhi tere bahot kareeb hoon
mujhe aaj bhi tere pyar ka
har lamha yaad aata hai....!!
95.
Bebasii jurm hai hauslaa jurm hai
bebasii jurm hai hauslaa jurm hai
zindagii terii ik-ik adaa jurm hai
ai sanam tere baare mein kuchh soch kar
apne baare mein kuchh sochnaa jurm hai
yaad rakhnaa tujhe meraa ek jurm thaa
bhuul jaanaa tujhe duusraa jurm hai
kyaa sitam hai ke tere haseen shehar mein
har taraf gaur se dekhnaa jurm hai
96.
BHATAKNA NASEEB HAI APNA TO KAHNE KYA JAMANE KO
BHALA KOI KHUSHI SE CHHODTA HAI APNE ASHIYANE KO
HAMARE GUM KE AFSANE KO KOI SACH NA MANEGA
SABHI MANEGE SACH TERE SAR DARD KE BAHANE KO
KASOOR ANKHOON KA HO LEKIN VAAR SIDHA DIL PE HOTA HAI
NAJAR KE TEER BHI TO BHUL JATE HAIN NISHNE KO
SADA ANSOO BAHANE KI BHI TO HO SAKTI HAI MAJBOORI
KISI KA DIL NAHIN KARTA SADA ANSOO BAHANE KO
97.
tumhen hai shauq agar bijaliyaan giraane kaa
hamaaraa kaam bhii hai aashiyaan banaane kaa
bhalaa vo kaise samandar ke paar utaregaa
nafas nafas jinhen khadshaa hai Duub jaane kaa
sunaa hai aap hain maahir havaa chalaane mein
magar hamein bhii aata hai hunar diye jalaane kaa
98.
Mujhay har waqt tera hi khayaal rehta hai
Tu ayai naa ayai dil ko intizaar rehta hai
Main tujh se nafrat bhi karna chahoon magar,
Dil mein har dam tera hi pyaar rehta hai
Dil mein teri aas,teri pyaas hai
Isiliye to dil baiqaraar rehta hai
Main kisi aur se mohabbat karne lagoon
Dil mein is baat kai liye inkaar rehta hai
Duaa hai tera chehra jald hi dikh jaayei
Dil auroan ke chehroan se baizaar rehta hai
Main tujhai yaad karti rehti hoon
Dil mein teri yaadoan ka bazaar rehta hai
Tu mujhai milaiga zaroor...
Yehi khayaal najaanai kyoon har baar rehta hai
Duniya tujhai baiwafaa samajhti hai
Isi liye duniya se maira taqraar rehta hai
Meri aankhoan mein teri tasveer ho jaisai
Aankhoan mein har dam tera khumaar rehta hai
99.
KALIYOON KO BHI PEROON SE MASALNA PADA MUJHE
JINE KA APNA DHANG HI BADALNA PADA MUJHE
HAATH KO BHI HAATH JAHNA SUJHTA NAHIN HAI
UN RASTOON PE AKSAR CHALNA PADA MUJHE
KYA PUCHTE HO MERI TARAQEE KI DASTAAN
HAR ROJ NAYE SANCHE MAIN DHALNA PADA MUJHE
CHUPANA JISE BADA HI AHAM THA -E- DOSTO
VO RAAJ BAAR- BAAR UGALNA PADA MUJHE
PUCHHO MAT TUMHARI JUDAI KI AAG MAIN
GILI LAKDI KI TARAH JALNA PADA MUJHE
APNE SAFAR KI CHARCHA KAISE KAROON "_z__"
THAK KE THA CHUR-CHUR MAGAR CHALNA PADA MUJHE
100.
Yehi Wafaa ka silaah hai, to koi baat nahi
Yeh dard tum ne diya hai, to koi baat nahi
Yehi bohot hai ke tum dekhte ho sahil se
Safeena doob raha hai, to koi baat nahi
Rakha tha aashiyana-e-dil main choopa ke tumko
Woh ghar tumne chor diya hai to koi baat nahi
Tum hi ne aayena-e-dil mera banaya tha
Tum hi ne tor diya hai to koi baat nahi
Kise majaal kahe koi mujh ko deewana
Agar yeh tumne kaha hai to koi baat nahi
101.
Maanaa ke pyaar “aisaa” hota hai
Ya phir pyaar “waisaa” hota hai
Magar kaisey maanengey ham ke
Pyaar “aisaa-waisaa” hota hai
Yahaan dil ka soudaa hota hai
Ya phir takdeer savarnaa hota hai
Jo jitnii ibaadat kartaa utni
Duvaa ka woh hakdaar hota hai
Yeh ek paak-sa kaayam rishtaa hai
Ya phir nek kurbaanii hai
Har aankh unkey hukum par aur
Har hukum sar-aakhon par hota hai
Alag-sa ek rutbaa hota hai
Magar ajeeb-o-gareeb haal “Imran”
Lakiren hath par janaab ke aur
Kismat ka maalik koi aur hota hai
102.
mast bhari shaamon ki dilkash yaadein hain abhi
kaise maan lein kasak teri mohabaat ki fiki hui abhi
bajte theh taar dil kei sunkar dilkash awaaz kabhi
yuin chheen kar humse hamare saaye na jao abhi
mandir sapno ka toota dhah gai diwaar mohabaat ki abhi
jeena aur marna kaya, na koi apna na paraya hai abhi
suraj doobega chand chamkega neend aankho mei na aayegee kabhi
kaise samjhaaye dil ko ki gujre huey pal na aayenge laut kar ab kabhi
102.
Tere beghair ab mera jeena mahaal hai
mera nahi is Zindagi ka sawal hai
tu mujh se door hai meri Taqdeer main hai yeh
na jaane is Taqdeer ki yeh kaisi Chaal hai
dekha jo tujhe bas tujhe apna bana liya
main kya karoon teri Dosti ka kamal hai
tujh ko main Dil ki baat abhi tak na kehsaki
mujh ko is hi ek baat ka malal hai
jis ke hisaar se main kabhi na nikal saki
kuch aur nahi teri hi yaadon ka jaal hai
kaasssshh woh aaker ek baar mujh se kehde
Ishq tera is Jahan main Be Misaal hai
mujh ko khabar hai tum wahan Khush haal bohat ho
tum ko khabar nahi yahan MERA kya haal hai
103.
Hum ko kab tak vo aazmaayenge..
aur kitnaa humeiN sataayenge?!
gham-e-dauraaN ki kashmakash meiN humeiN
'kyaa khabar thi vo bhool jaayenge'!
do qadam saath chalte chalte phir
humko tanhaa vo choRh jaayenge!
saari qasmoN ko, saare va'adoN ko
ham to samjhe the, voh nibhaayeN ge!
ab bhee ummeed hai mire dil ko
kal ko shaayad vo lauT aayenge!
meri taareek zindagii meiN phir
pyaar ke deep vo jalaayenge!
gar mire pyaar pe yaqeeN na huaa
un ko dil cheer ke dikhaayenge!
bhool kar sab shikaayateN,un ko
pyaar se ham gale lagaa'eN ge
maaf karke khataooN ko unkii
phir se ghar apna hum basaayenge!!
104.
dil ke daryaa meiN utar ke dekho
tum mohabbat mujhse karke dekho
phir tumheiN meri talab ho shaayad
tum kabhi mujh se bichaR ke dekho
ishq ka saagar bohat hai gehraa
Doob kar khud bhi ubhar ke dekho
dunya phir lagne lagegi dilkash
isko tum meri nazar se dekho
pyaar kehte hain kise,zaraa tum
meri baahon mein bikhar ke dekho
mera gham mehsoos karna ho to
meri raahoN se guzar ke dekho
kya asar hota hai berukhii ka
meri c_h_a_h_a_t se mukar ke dekho
105.
Jo pyaar ka gharonda humne banaya tha
Kisi ne badhi berehmi se use giraya tha,
Pyaar ka waste de kar
Kisi ne mere dil ko bahut dukhaya tha,
Jhoothe pyaar ko sach samajh baithe the
Humne bhi khoob dhokha khaya tha,
Jab asliyat aayi thi saamne
Ashqoon ko khoob bahaya tha,
Ek pal me sab khatam ho gaya tha
Jo jo sapna aankhon me sajaya tha,
Jeena nahi chahte the magar
Dil ko bahut samjhaya tha,
Har shaqs ek sa nahi hota
Shayad Khuda ne mujhe aazmaaya tha,
Kisi ek ke dhokha dene se
har koi dhokebaaz nahi ho jata
Ye kahke dil ko behlaaya tha,
Woh din bhi kya khoob tha jab
Apne jazbaaton ko sametkar humne
Dil se Kaagaz pe utara tha,
'Mukesh' jo na tha Shayar kabhi
Usne bhi us din kalam uthaya tha !!!
106.
paas itna kyon mere aa rahe ho
pyaar itna kyon jataa rahe ho
manzoor nahi humko pyaar tumhara
phir kyon mere peeche aa rahe ho
thak gayin hoon mai zakhm bharte-bharte
tum kyon inhe aur badhaa rahe ho
andheron mein seekh liya hai jeena
chiragoN ko kyon jalaa rahe ho
tanhaaii mein umar hai guzri
kyon mehfilon mein bulaa rahe ho
uljhi huyi hai merii zindagani
tum kyon ise suljhaa rahe ho
ghamoN se hai apna rishta purana
tum kyon inhe cheene jaa rahe ho
ho sakta nahi sach jo kabhi bhi
sapney aise kyon dikha rahe ho
rahne bhi do mujhe mere haal pe
kyon tum mujhe samjhaa rahe ho
mar chuka hu main kabka
laash meri,ab kyon jala rahe ho !!!
107.
ROTE HUE BICHHADNE KI FASLEEN CHALI GAYEE
SHAHARNO SE AB KHALOOS KI RASMNE CHALI GAYEE
DIN RAAT KE SAFAR KA NATIJA YE HAI KI AB
AANKHOON SE SAARI RAAT KI NEENDNE CHALI GAYEE
PARDESH JANE WALE KABHI LAUT KE AAYENGE
BUS IS INTJAAR MAIN AANKHEEN CHALI GAYEE
JAB YE SUNA KI HAAR KE LAUTA HUN JUNG SE
RAAKHI JAMEEN PE PHENKAR BEHANEEN CHLI GAYEE
JISKO BAHUT AJIJ THI DARIYA KI DOSTI
USKE HI GHAR KO ROUND KAR MAUJNE CHALI GAYEE
108.
kaise kehdon zindagi ko teri jaroorat nahi,
jhooth kahta hoon jo kahata tujhse mohabbat nahi.
ji kahta hai chal kisi maykhane me,
aaj kuch thik apni tabiyat nahi.
hosh me na sahi nashe me hi kah donga,
tujhe chhodkar jahan me kisise nisbat nahi.
( nisbat = relation )
main kar to lunga izhaar kuch himmat jutakar,
par ho ikraar kabhi aisi meri kismat nahi.
dil lagaaoge to dil tutega hi,
ye haqiqat hai yaaron koi nasihat nahi.
jeeta hoon isliye ki ab marne ki fursat nahi,
warna jeene ki khaas mujhko hasrat nahi
109.
AAJ FIR PEHLE KI TERAH APNE KHAYALON MAIN GUJRA THA TERI GALIYO SE MAIN,
AAJ FIR PEHLE KI TERAH MAINE TUJHE BULAYA THA,
AAJ FIR PEHLE KI TERAH SAB LOGO SE MULAKAT HUI,
NA NAJAR AAYA TO SIRF TERA CHEHRA NA NAJAR AAYA THA
DIL MAAYUS HUA, TERA INTEJAAR KARNE KI JID KARNE LAGA,
BUSS MAINE YEH BOL KE APNE DIL KO SAMJHAYA THA
WOH NAHI AAYE HAI TO UNKI BHI KOI MAJBOORI RAHI HOGI,
WARNA HUMNE TO UNHE HAMESHA APNA INTEZAAR KARTE PAAYA THA.
110.
Aaj ki shaam hum tanha kyun hai?
Khaali khaali ye paimana kyun hai?
Unhe bhulaaye hue to zamana guzra
Dil yeh bechain bewaja kyun hai?
Intezaar nahi kisika ankhon ko jab
Ankhon se paani ab barsa kyun hai?
Chaand aur sitaare jab hai roshan
Andhero mein duba aasmaa kyun hai?
Ki nahi koi fariyaad jab unse 'Sabir'
Woh humse yun khafa khafa kyun hai?"
111.
sar jhukaaoge to patthar devataa ho jaayegaa
itanaa mat chaaho use wo be-wafaa ho jaayegaa
ham bhii dariyaa hai.n hame.n apanaa hunar maaluum hai
jis taraf bhii chal pa.De.nge raastaa ho jaayegaa
kitanii sachchaa_ii se mujhase zi.ndagii ne kah diyaa
tuu nahii.n meraa to ko_ii duusaraa ho jaayegaa
main Khudaa kaa naam le kar pii rahaa huu.N dosto.n
zahar bhii is me agar hogaa davaa ho jaayegaa
ruuTh jaanaa to mohabbat kii alaamat hai magar
kyaa Khabar thii mujh se wo itanaa Khafaa ho jaayegaa
112.
teri yaad ko dil mei liye baithi huin
teri bewafai ko pyar samjhe baithi huin
tanhai mei rah kar tumhe pukaare jaati huin
tere rahmo karam kei intejaar mei jiye jaati huin
na do ashko ko iljaam, gawah mohabaat kei hain ye
meri barbaad mohabaat kei saathi hain ye
zindagi ek kabristaan ban gai hai ab to
yaadon kei kabar per phool charaye jaati huin
beeti hui yaadein tumse wabasta ban kar bhoot abto,
dheere dheere dil ka dard baraye jaati hain
zakhmo kei nishaan ubhar aate hain,
tere pyar kei malham kei intezaar mei jiye jaati huin
113.
na shikaayate.n na gilaa kare
ko_ii aisaa shaKhs huaa kare
jo mere liye hii sajaa kare
mujh hii se baate.n kiyaa kare
[gilaa = complaint]
kabhii roye jaaye vo bepanaah
kabhii betahaashaa udaas ho
kabhii chupake chupake dabe qadam
mere piichhe aa kar ha.Nsaa kare
[bepanaah = limitless]
merii qurbate.n merii chaahate.n
ko_ii yaad kare qadam qadam
mai.n taviil safar me.n huu.N agar
merii vaapasii kii duaa kare
114.
Koshish to bahut karte hain ki tere bare me na sonche
Par Teri yaadein, tera khayal na chahate hue bhi bar bar aata hai
Tu chahe lakh inkar kar le, chahe lakh thokar mar de
Par is deewane ko to tere gusse pe bhi pyar aata hai
Ki humsa deewana na aaj tak hua hai aur na kabhi hoga
Poori duniya ko yeh khabar hai par tujhko hi na nazar aata hai
Kale chashme se poori duniya kaali nazar aati hai janam
Khuli aankhon se dekh - yeh deewana tujhpe aaj bhi kurbaan hua jaata hai
Mere liye na sahi apne liye hi sahi, par mere paas to aa
Tujhe duniyawalon se bachakar rakhoonga apne dil me hamesha ke liye
Mere dil ke dhadkan banja aur hame jeeney ka bahana de de
Char din aur jee lenge to bata tera kya jaata hai
115.
Lazzate gum bada deejiye
thoda sa muskura deejiye
Ek samandar ne aawaz di
thoda paani pila deejiye
Be ghar hoon hai ghar ki talaash
apne dil me basa leejiye
Choomna chahata hoon tumhe
apna aansoon bana leejiye
116.
hamari muskurahat humhe bhejte ho
kabhi muskura kar dekha to hota
bare pyar se laut dee wo yaadein
kabhi zikar apna bhee kiya to hota
jo aansoo ponchte theh hamare
apne aanson ko yuin roka na hota
lapak kar haath lete theh thaam
kabhi haath apna baraaya to hota
na jidd ko hamari yuin maan lete
kabhi dil ki apni humhe bhee sunaate
mukadar mei apne likhi hai judai
itne kareeb kaash tum aaye na hote.
117.
Soch Ke Hum Yeh Paresha Hain Ke Jindagi Kya Hai,
Na Mila Koi Jawab, Ke Hum Kya Hain.
Zakham Sabhi Ne Khaye, Dard Ajnabi Nahi Hain Yahan,
Beth Kar Apne Hi Gamon Pe Phir Rona Kay Hai.
Soch Ke....
Gairon Se Ummidae Wafa Karun Bhi To Karun Kaisai,
Mare Apno Ne Hi Siva Gam Ke Mujhe Diya Kya Hai,
Soch Ke....
Hamko Hogi Kabool, Jo bhi Sazza Tumne Sochi Hai,
Bas Hame Ye To Bata Ke Humse Hui Khata Kya Hai,
kahani bun ke jiye hai wo dil ke aashiyane men
lagegi humko bhi sadiyan unhe bhulane men.
118.
Raahon mein agar be-umeed se chale ay dost
Phir zindagi bhi ek hadasah jaise banjaigi
Aansuon ke sahare kaun nahi jeeta ay dost
Muskurahatain itne muqtasar se jo hai
(muqtasar = short lasting)
Yahan to har log hai mussarat ke sheda'ee
Hum bhi kyun na kare tanhai se bewafai.
Apne dost ki yeh baat na bhula dena yaar
Hum aapse bhi yeh ek umeed rakte hai
119.
Gulshan ki faaqat phooloN se nahiN kaaTon se bhi zeenat hoti hai
jeene ke liye is duniya meiN gham ki bhi zaroorat hoti hai
(gulshan - a flower or rose garden; faaqat - merely/only; zeenat -
decoration/beauty)
Ae waaiz-e-naadan karta hai tu ek qayamat ka charcha
yahan roz nigaHen milti haiN yahan roz qayamat hoti hai
(waaiz - preacher/advisor; naadan - ignorant;)
Wo pursish-e-gham ko ayae HaiN kuch keh na sakooN chup reh na sakooN
khaamosh rahooN to mushkil hai keh dooN to shikaayat hoti hai
(pursish - inquire/ to show concern about )
Karna hi padega jabt-e-alam peene hi padenge ye aansoo
fariyaad-o-fugaaN se ae naadaaN tauheen-e-mohabbat hoti hai
(alam -pain/grief ; fariyaad - complaint/plea; fugaaN - cry of distress;
tauheen - dishonor/insult)
Jo aake ruke daaman pe 'Uzma' wo ashq nahiN hai paani hai
jo ashq na chalke aankhoN se us ashq ki keemat hoti hai
(daaman - foot/base of lap )
120.
woh la khada kardi mujhe zindagi ke us mod par
lautna jaha se to sirf khak bankar
mujhpe na rona O mere ghar walo
mere hal na dekh sakoge mujhe zinda pakar
woh kyon aayi meri duniya me mohabbat bankar
iske pehle mai khush tha zindagi ke safar par
hojaye kuch aisa khuda meherbaan hokar
aur leyaon use ghar mai dulhan banakar.
121.
Aaj wo hi nahin mere paas.
Har pal har lamha karte the jinhe hum yaad,
kabhi sirf kabhi kabhi hoti thi jisse baat.
Aaj wo hi nahin mere paas.
Jiski baate soch kar apni tanhai ko bhuljata tha,
jinhe yaad kar ke kabhi hasta tha to kabhi udaas hota tha.
Aaj wo hi nahin mere paas.
jiske ane ki khushie se dil machalne lagta tha,
jiske na ane ke gum se dil bhar ata tha.
Aaj wo hi nahin mere paas.
jiski har ek muskurahat par hazaar asu the qurbaan,
jiski ek khushie ke liye har janam tha qurbaan.
Aaj wo hi nahin mere paas.
Bas ek ehsaan karde wo mujhpe aaj.
Wo yaade wo kuch baate, sirf unhe rehne de mere paas.
Unke siwa aaj kuch bhi nahin mere paas.
122.
Dhundh ujadde hue logon mein wafaa ke moti
ye Khazaane tujhe mumkin hai Kharaabon mein milein
[ujadde = desolated,ruined; Kharaab = bad]
---
Tu Khudaa hai na mera ishq farishton jaisa
Dono insaan hain to kyun itne hijaabon mein milein
[hijaab - veil, here it means barrier]
---
ab na wo main houn na tu hai na wo maazi hai `Faraaz',
jaise do shakhs tamanna ke saraabon mein milein
[maazi=past; saraab=illusion, mirage]
---
Gam-e duniya bhi Gam-e yaar mein shaamil kar lo
nashaa barhta hai sharabein jo sharaabon mein milein
---
Aaj ham daar pe Khenchay gaye jin baaton par
kyaa ajab kal wo zamaane ko nisaabon mein milein
[daar=to insult someone, nisaab=regular school courses,
here it means act for ppl to follow ]
123.
Kachi deewar hoon thokar na lagana mujko,
Apni nazron mein basa kar na giraana mujko !
Tumko aankho mein tasavur ki tarah rakhta hoon,
Dil mein dadkan ki tarah tum bhi basana mujko !
Baat karnay mein jo mushkil ho tumhay mehfil mein,
Main samajh jaaonga nazron say bataana mujko !
Vaada utna hi karo jitna nibha saktay ho,
Khawab poora jo na ho woh na dikhana mujko !
Apnay rishtay ki nazaakat ka baram rakh lena,
Main to aashiq hoon deewana na banana mujko !
Kachi deewar hoon thokar na lagana mujko,
Apni nazron mein basa kar na giraana mujko !
124.
Hamay to ab bhi woh guzra zamana yaad aata hai,
Tumhay bhi kya kabhi koi deewana yaad aata hai !
Hawain tez thi, baarish bhi thi, toofan bhi tha, lekin,
Tera aisay mein bhi vaada nibhana yaad aata hai !
Guzar chuki thi bahut raat baton baton mein,
Phir uth kay woh tera shama bhujana yaad aata hai !
Ghatain kitni dekhi hain par mujhay `Israr',
Kisi ka rukh par woh zulfain giraana yaad aata hai !
Hamay to ab bhi woh guzra zamana yaad aata hai,
Tumhay bhi kya kabhi koi deewana yaad aata hai !
125.
kabhi yun bhi aa meri ankh mein, ke meri nazar ko khabar na ho
mujhe ek raat nawaz de, magar uske baad saher na ho
woh bada raheem-o-kareem hai, mujhe yeh sifat bhi ata kare
tujhe bhoolne ki dua karoon, to dua mein meri asar na ho
kabhi din ki dhoop mein jhoom ke, kabhi shab ke phool ko choom ke
yun hi saath saath chalen sada, kabhi khatam apna safar na ho
mere paas mere habeeb aa, zara aur dil ke qareeb aa
tujhe dhadkanon mein basaloon main, ke bichhadne ka kabhie dar na ho
126.
Ishq meiN GHairat-e-jazbaat ne rone na diyaa
Warna kyaa baat thi kis baat ne rone na diyaa
Aap kehte the ke rone se na badlenge naseeb
'Umr bhar aapki is baat ne rone na diyaa
Tujh se milkar hameiN rona tha, bahut rona tha
Tangi-e-waqt-e-mulaaqaat ne rone na diyaa
Ek do roz kaa sadma ho to ro leiN, 'Imran'
ham ko har roz ke sadmat ne rone na diyaa
127.
KANTOUN KI CHUBHAAN PAI PHLOUN KA MAZAA BHI
DIL DARD KAY MAUSAAM MEIN ROYAA BHI HANSAA BHI
ANNAY KA SABAAB YAAD NA JANAY KI KHABAAR HAI
WOH DIL MEIN RAHA AUR USSAY TOOR GAYA BHI
DIL DARD KAY MAUSAAM MEIN ROYAA BHI HANSAA BHI
KANTOUN KI CHUBHAAN PAI PHOLOUN KA MAZAA BHI
HAAR AIK SAY MANZIL KA PATAA POOCH RAHA HAI
GUMRAAH MERAY SAATH HOA RAHNUMAA BHI
GUMNAAAM KABHI APNOUN SAY JO GHAAM HOAAY HASSIL
KUCH YAAD RAHY UN MEIN TU KUCH BHOOL GAYA BHI
DIL DARD KAY MAUSAAM MEIN ROYAA BHI HANSAA BHI
KANTOUN KI CHUBHAAN PAI PHLOUN KA MAZAA BHI
128.
TUJH SAY MILNAY KI SAZAA DEIN GAY TERAY SHEHAR KAY LOOG
YEH WAFAOUN KA SILLA DEIN GAY TERAY SHEHAR KAY LOOG
KIYA KHABAAR THI TERAY MILNAY PAY QAYAMAT HO GI
MUJH KO DEEWANA BANA DEIN GAY TERAY SHEHAR KAY LOOG
TERI NAZROUN SAY GIRANAY KAY LIYAY JAN-E-HAYAAT
MUJH KO MUJRIM BHI BANA DEIN GAY TERAY SHEHAAR KAY LOOG
KEH KAY DEEWANA MUJHEY MAAR RAHAY HEIN PATHAAR
AUR KIYA IS KAY SIWAA DEIN GAY TERAY SHEHAR KAY LOOG
YEAH WAFAOUN KA SILLA DEIN GAY TERAY SHEHAR KAY LOOG
129.
Tum na janogi aaj mai Masjid ho aaya ho,
US sai akalai mai do baat kar aaya ho!!
Mangta ho roj, auro kai liyai,
aaj apnai liayai bhi yek dua maang aaya ho!!
woh to Khuda hai, janta hoga sab-kuch,
phir bhi terai barai mai ussai bata aaya ho!!
guzarish karta raha, magar woh bhi khamoosh raha teri tarah,
likha tha jo kismat-ki-kitab mai dekh aaya ho!!
kuch tha nahi mere pass kimti denai ko!!
cheer kai dil, teri har sunheri yaad daan mai de aaya ho!!
bas dua yehi kar raha ho,milai tujhe Kushiya-hi-khushiya,
Terai sarai gamo per aaj, "Imran" naam likh aaya ho!!
Duniya jisey kehtay hain, jadoo ka khilona hai,
Mil jaayey to mitti hai, kho jaayey to sona hai !
Acha sa koi mausam tanha sa koi aalam,
Har waqt ka rona to, beekaar ka rona hai !
Barsaat ka baadal to deewana hai kya jaanay,
Kis rah say bachna hai, kis cchat ko bigona hai !
Gham ho ki khushi dono, kuch dher kay saathi hain,
Phir rasta hi rasta hai, hasna hai na rona hai !
Duniya jisey kehtay hain, jadoo ka khilona hai,
Mil jaayey to mitti hai, kho jaayey to sona hai !
130.
Woh jisne mohabbat ki baazi na kheli
Kya khaak zamane mein woh insaan jiya hai
Hamari tumhari kuch alag baat hogi
Ishq to duniya mein bahuton ne kiya hai
Bin piye jo main ladkhadda raha hoon
Yeh aankhon ne teri bataa kya kiya hai
Manzil ki talash mein gaya tha musafir
Raaste ne khud usko bhatkaa diya hai
131.
Raaz ki baatain likhin aur khat khula rehnay diya,
Jaanay kyun rusvaiyon ka silsila rehnay diya
Umar bhar meray saath reh kar woh na samjha dil ki baat,
Do dilon kay darmiyan ek faasla rehnay diya !
Apni fitrat woh badal paaya na iskay bawajood,
Khatam ki ranjish magar gila rehnay diya !
Main samajhti thi khushi degi mujhay `Sabir' fareb,
Isliye mainay ghamon say raabta rehnay diya !
Raaz ki baatain likhin aur khat khula rehnay diya,
Jaanay kyun rusvaiyon ka silsila rehnay diya !
132.
Aaj ki baat kal pe kyon taalo
Kal jo kehna hai aaj keh daalo
Meri uljhan chale ho suljhane
Pehle zulfe to apni suljhalo
Wo gali jaan leke rehti hai
Meri maano to dil ko samjhalo
Aaj ki raat phir mile na mile
Baaten jitni hai dil me keh daalo
Dil ki uljhan se dar nikal raha hai
Dil ko uljhan me aur uljha lo
Manzeelein ishq kahan hai 'Naushaad'
Shauk hi hai to thokre kha lo
Kal jo kehna hai aaj keh daalo....
133.
Laakh koshish ki,bahut jatan kiya
magar woh na ho saka kisi bhi tarah mera
Khud par yakeen tha,uspe bhi eitbaar tha
magar halaat ne na saath diya mera
kya kya socha tha,kya kya sapne dekhe the
mitti me mil gaya sabkuch mera
Suna tha kismatein insaan apni khud likhta hai
magar is hunar se bhi maat kha gaya haath mera
Koi maane ya na maane sach to ye hai
Kismatein to uparwala banata hai
Kab kisko kya mila....ye to woh hi behtar jaanta hai!!!
134.
Naye dhang hain ab, zamaane naye hain
Na aane ke un ke, bahaane naye hain
Nahin kuch hai badla riwaaj-e-muhabbat
Hai qissa wahi par, diwaane naye hain
Nigaahon ki aadat wahi hai puraani
Nishaana wahi par, nishaane naye hain
Agar aik bichda nasheman to kya gham
Banaane hamen aashiyaane naye hain
Badal kar taqdeer-e-sanam sochte hain
Hue haal apne puraane, naye haiN
135.
Bahut haseen lag rahi ho aaj tum
chalo in zulfon ko phoolon se saja doon
aankhon ki shararat ko mujhe tum pila do
apne honton ki hansi ko tujhe mei pila doon
bina kuchh kahe hi tumhe sub bata doon
kya chahta hai dil ye raaz bhi suna doon
is pal ko apni mutthi mei bund kur ke
tere seene ki garmi mei khud ko jala doon
teri dhadkano se apni dhadkane mila kur
jo duriyan thi ab tub woh sub mita doon
na ye hosh hi rahe ki do jism hai hum
khud ko mita kur mei tujhko bana doon
Bahut haseen lag rahi ho aaj tum
chalo in zulfon ko phoolon se saja doon
136.
pyar ahsas hai ahsas ko tum janchkar dekho
yakeen aa jayega ankhon me meri jhankkar dekho
tume lag jayega andaza kitni khoobsurat ho
kabhi meri nazar se khud ko zara aankkar dekho
churaya dil mera teri inhi masoom zulfon ne
eh kitni shokh chanchal hain aaeena jhankkar dekho
miloge jab bhi tum, "sartaj" ko hamdard paaoge
na sahi pyaar kam se kam ghamon ko baantkar dekho
137.
KYA HAASIL HOGA
aag se aag bujhaoon to kya hasil hoga
dard-e-dil sabko sunaaoon to kya hasil hoga
rah gayi kuch kasar shayad meri mohabbat me
bewafa us ko bataoon to kya hasil hoga
saath guzra tere har lamha bhulaane ke liye
tere khutoot jalaoon to kya hasil hoga
ab to ham ho gaye dariya ke do sahil ki tarah
khawab milne ke sajaoon to kya hasil hoga
kalam ne meri likha hai jo dil jakhmon ko
ghazal wo padh ke sunaaoon to kya hasil hoga
138.
Hey dil humne yeh kya ko diyaa;
Woh aaye humari mehfil mein, aur hum behosh rahe.
Sapne saare bikar se gaye;
Woh aaye humse kuch kehne, aur hum khamosh rahe.
Ho na kissi dushman ko bhi aisaa;
Ik pari aayi humse izhaar karne, aur hum bekabar rahe.
Ab ronaa to hey dil, kismat mein hai humaare;
Pyaar aayi humko dhoonthe, aur hum bewafa rahe.
139.
Tu kahin bhi rahe sar pe tere ilzaam to hai
tere haathon ki lakiiron mein mera naam to hai .......
Mujhko tu apnaa bana ya na bana teri Khushi
tu zamaane mein mere naam se badnaam to hai .....
Mere hisse mein koi jaam na aayaa na sahi
teri mehfil mein mere naam koi shaam to hai ....
Dekh kar log mujhe naam tera lete hain
is pe main Khush hoon muhabbat ka ye anjaam to hai .....
Woh sitamagar hi sahi dekh ke usko
shukr is dil-e-bimaar ko aaraam to hai ...
140.
Tera Khayaal dil se mitaya nahi abhi
Bedard maine tujh ko bhulaya nahi abhi!
Kal tu ne muskura ke jalaya tha khud jise
Sine ka woh chiraag bujhaya nahi abhi!
Gardan ko aaj bhi tere baahon ki yaad hai
Chokhat se teri, sar ko uthaya nahi abhi!
Behosh hoke jald tujhe hosh aa gaya
Main badnaseeb hosh mein aya nahi abhi!!"
141.
Zindagi ki kadmo ki aahat yu sunai padti
Jaise gujar rahi ho kareeb se hamari
Kabhi saamne to kabhi piche chalte pal
Band muthi se pal pal phisalte pal
Zindagi bahut badi nahi par lambi lagti hai
Chut te saathi umar bhar, yaado me nikalti hai
Har pal na jane kaise kuch naya le aata hai
Pichla sambhale is se phele ye chut jata hai
Har naye palke saath khudko badla pate hai
Utarti chadti lehro me behte chale jate hai
Aisa bhi nahi ki khushi hamare pass nahi aati
Par kya kare,yeh aansu bhi nabhi aa jate hai
142.
yun tu zindagi mein hazar waja hai muskuraney ke liye,
hum muskuratey hain bus apna ghum chupaney ke liye.
buhat se hal e dil hain is zindagi mein sunaney ke liye,
magar zaban jab uthti hai tu kuch na hota bataney ke liye.
kisi ki aankhoo ki nami hoti hai hal e dil samjhaney ke liye,
soochtey hain kitne samandar hain is mein bahane ke liye.
zindagi mein buhat se ghum miltey hain saataney ke liye,
ke ghum bhi zaroori hota hai is zindagi ke fasaney ke liye.
kuch bhi raha na baqi ab kisi se yeh dil laganey ke liye,
ke hosh bhi nahi khotey apna ghum bhoolaney ke liye.
kyun zaroori hai is zindagi mein kuch paaney ke liye,
ke un chaha bhi chahana parta hai is zamaney ke liye.
143.
Tum Kiya Jaano Main Khuda Se Kiya Maangta Hoon ?
Tumhari Salam-ti Ki Hamesha Duaa Mangta Hoon
~*~*~*~*~*~
Agar Anjaane Main Ho Jaaye Koi Tumse khata
Tou Do Mujhe Uski Saza Ye Maangta Hoon
~*~*~*~*~*~
Agar Lag Jaaye Koi Chot Tumko Ya Ho Jaaow Tum Pareshaan
Tou Meray Haq Main Wo Saari Takleefein Maangta hoon
~*~*~*~*~*~
AiY KHUDA Meray Mehboob Ko Gham Se Door Rakhna
Din Raat Tumhaaray Saaray Gham Maangta Hoon
~*~*~*~*~*~
Tum Ho Hamesha Kaamyaab Tumhaari Her Khwaahish Ho Poori
Buss Ye Chaahta Hoon Aur Tumhari Khushi Maangta Hoon
~*~*~*~*~*~
Main Jaanta Hoon Ke Tum Mayri Nahin Ho Lekin
Main Hamesha Khuda Se Tumhaara Saath Maangta Hoon
~*~*~*~*~*~
144.
saath halaat badal jatay hain
insan wahi rehtay hain,andaz badal jatay hain
lambay safar per musafir chal paray jo,
manzil wahi rehti hai,raaste badal jatay hain
duniya hai chaman aor loog baghban
chaman wahi rehta hai,baghban badal jatay hain
sard o garam ka kia gila shajar se karain,
saba wahi rehti hai,mosam badal jatay hain
intekhab wahi hain , ikhtiyaar wahi hain,
ahkaam wahi rehta hai,hukumran badal jatay hain
daur ek khatam ho aor ho dosra sharu "imran"
kashkol wahi rehti hai,sikkay badal jatay hain
145.
Tujhse Juda Ho Jaane Se Darr Lagta Hai,
Ulfat Nakaam Ho Jaane Se Darr Lagta Hai.
Nahi Hai Mumkin Jeena Tere Bin,
Tujh Bin Mar Jaane Se Darr Lagta Hai.
Kise Hai Fikr Duniya Ki, Zamaane Ki,
Tere Mukar Jaane Se Darr Lagta Hai.
Nahi Koi Aarzu Zindagi Me Tere Siwa,
Tujhse Bichhar Jaane Se Darr Lagta Hai.
Tujh Bin Saansein Haraam, Dhadkan Gunaah,
Tujh Bin Jeeye Jaane Se Darr Lagta Hai
146.
Apnay Husn Kay Jalway Is Tarah Dikhaaya Na Karo,
Roz Mujhay Khuwabon Main Aa Kay Sataaya Na Karo.
Ek Pal Main Rooth Jaana Aur Pal Bhar Main Maan Jaana,
Apni Yeh Chaalaakiyan Tum Mujhay Sikhaaya Na Karo.
Kyon Ehsaas Dilatay Ho Mujhay Meri Galti Ka,
Meray Hi Shair Mujhay Parh Kay Sunaaya Na Karo.
Apnay Zinda Honay Ka Ehsaas Honay Lagta Hay Mujhay
Meray Mernay Kay Baad Meri Qabar Pay Aaya Na Karo
147.
Reyt Ki Tarah Hath,Se Nikalti Chalee Gayee.
Zindagi Har Lamha, Badalti Chalee Gayee.
Aziz The Mujhe Apne Ausool Lekin Na Jane Kyun,
Naye Daurr Ke Dhanche Mein Yeh Dhalti Chalee Gayee.
Sehar Hone Pe Bhi Chirag Woh Bhujne Nahi Deta,
Idhar Mein, Udhar Woh Shamma Bhi Jalti Cahlee Gayee.
148.
chand lamhay udhar day do mujahy,
yadaein khush gawar day do mujahy.
sath chalnay may hai maza sara,
sath chal k bahar day do mujahy.
apni zulfon k ghanay saey talay,
bin peay khumar day do mujahy.
meray gulsahn ka rang o boo lay akar,
apney rastay k khaar day do mujahy.
chahay tum meri zindagi lay lo,
Bas!thora sa pyar day do mujahy.
149.
badnaam mere pyaar kaa afsaanaa huaa hai
diivaane bhii kahate hain kii diivaanaa huaa hai
rishtaa thaa tabhii to kisii bedard ne toDaa
apanaa thaa tabhii to koii begaanaa huaa hai
baadal kii tarah aa ke baras jaaiye ik din
dil aap ke hote hue viiraana huaa hai
bajate hain Khayaalon mein terii yaad ke ghungaruu
kuchh din se meraa ghar bhii pariKhaanaa huaa hai
mausam ne banaayaa hai nigaahon ko sharaabii
jis phuul ko dekhuuN vahii paimaanaa huaa hai
150.
RUKH SE PARDA HATA DE JARA SAQIYA
BAS ABHI RANG-E-MAHFIL BADAL JAYEGA
HAI JO BEHOSH WOH HOSH MEIN AAYEGA
GIRNE WALA HAI JO WOH SAMBHAL JAYEGA
TUM TASSALI NA DO, SIRF BAITHE RAHO
WAQT KUCHH MERE MARNE KA TAL JAYEGA
KYA YE KAM HAI MASIHA KE RAHNE HI SE
MAUT KA BHI IRADA BADAL JAYEGA.
TIR KI JAAN HAI DIL, DIL KI JAAN TIR HAI
TIR KO NA KHICHO KAHA MAAN LO
TIR KHICHA TO DIL BHI NIKAL AAYEGA
DIL JO NIKLA TO DUM BHI NIKAL JAYEGA
ISKE HASNE MEIN RONE KA ANDAAZ HAI
KHHAK UDAANE MEIN FARIYAAD KA RAAZ HAI
ISKO CHHEDO NA 'ANWAR' KHUDA KE LIYE
WARNA BIMAAR KA DUM NIKAL JAYEGA
151.
Ujala hogaya, hum to abhi andhere mein hai
Duniya bhul gayi, hum to abhi yaad karte reha gaye
Waqt chala gaya, hum to wahi ruk gaye
Tum wo pyar bhul gaye, hum to mohabbat karne lage
tum zindagi jine lage, hum moth ke kareeb agaye
itna fasla ho ke bhi, aap dil ke kareeb reh gaye
152.
Kabhi to tumko bhi hamhari, yun yaad aati hoge.
kabhi to tumhara dil bhi, milne ka karta hoga.
Tor ke dil hamahara, kabhi tumhara bhi to dil rota hoga.
Beeteh hue baatein soch kar,
tumhare aankeh bhi to bher aati hoge.
Itne dur jakar, vapis aane ko dil tumhara bhi to karta hoga.
Tor ke dil dil hamara, kabhi pachtava tumko bhi to hota hoga!!!
153.
Aankh say aankh mila baat banaata kyon hai,
Tu agar mujhsay khafa hai to chupaata kyon hai!
Gair lagta hai na apno ki tarah milta hai,
Tu zamanay ki tarah mujko sataata kyon hai!
Waqt kay saath khayalaat badal jaatay hain,
Yeh haqeeqat hai magar mujko sunaata kyon hai!
Ek muddat say jahan kafilay guzray hi nahin,
Aisee rahon pay charagon ko jalaata kyon hai!
Aankh say aankh mila baat banaata kyon hai,
Tu agar mujhsay khafa hai to chupaata kyon hai!
154.
kitne parvane jale raaz ye pane ke liye
Shamma jalne ke liye hai ya jalane ke liye?
Ronewale tujhe rone ka saliqa bhi nahi
ashq pine ke liye hai ya bahane ke liye?
Aaj kah dunga shab-e-gum ki shararat unse
roz aa jati hai kambaqt satane ke liye
humko maloom tha aap ayenge mere ghar lekin
khud chala aya hoon yaad dilaneke liye
155.
khuda kismat me tune kya eh meri likh diya
raste me thokrein raaton me jagna likh diya
khush nazar aata hoon mai youn to zamaane ke liye
hai kisi ko kya khabar tanha hi rona likh diya
socha maine us ko banaaon ga apna hamsafar
par raste me uska tanha chor jaana likh diya
hai nahi mera koi ab kis se mai shikwa karoon
ek sahara tha usi ka wo bhi khona likh diya
chehrey se masoom hai wo dil to hai patthar magar
kyoun khawab me sheeshe ka ghar taamir karna likh diya
wo to koson door hai gham ki ek parchayee se
kyoun umr bhar "IMRAN" ka gham hi se rishta likh diya
156.
Kyun pyaar karne ki hadein hoti hein,
Kyun dil dene ki waje hoti hein,
Kyun jazbaaton ko dabana padta hai,
Kyun iss dil ko samjana padta hai,
Kyun har dil ko ye mehsoos nahin hota,
Kyun sabko ye manzoor nahin hota,
Kyun dil se dil nahin milta,
Kyun pyaar ka phool nahin khilta,
Kyun dil ke naghme dil nahin gaata,
Dil mein kya hai ye keh nahin pata,
Kya dil dene ki yahi saza hai,
Kya pyaar karne mein yahi mazaa hai.
157.
KABHI YUN BHI AAAH..'''
Kabhi Yun Bhi Aa Meri Aankh Mein,
Ke Meri Nazar Ko Khabar Na Ho
Mujhe Ek Raat Nawaz De ,
Magar Uske Baad Saher Na Ho
Woh Bara Raheem-o-Kareem Hai,
Mujhe Yeh Sifat Bhi Ata Karein
Tujhe Bhoolne Ki Dua Karoon,
To Dua Mein Meri Asar Na Ho
Kabhi Din Ki Dhoop Mein Jhoom Ke,
Kabhi Shab Ke Phool Ko Choom Ke
Yun Hi Saath Saath Chalein sada,
Kabhi Khatam Apna Safar Na Ho
Mere Paas Mere Habeeb Aaah,
Zara Aur Dil Ke Qareeb AaAh,
Tujhe Dhadkano Mein Basalon Main,
Ke Bichhadne Ka Kabhie Dar Na Ho
158.
Rothna mujh ko bhi ata tha magar...
manane ki to usko aadat hi na thi...
Us ke sitam se meri yoon hi ankh bhar ati...
use bhi sha'ed meri hansi gawara na thi...
mujhse door jane ke woh dhondhti thi bahane...
aur mujhe swaal tak pochne ki ijazat na thi...
Woh jab bhi chahti hansti aur khilkhilati...
magar us se kabhi koi shikayat maine ki na thi...
159.
Waadian Mera Daaman, Raaste Meri Baahein..
Jaao Mere Siwa Tum Kahaan Jaaoge..
Jabse milne lagin tum se Raahen Meri...
Chand Suraj bani do nigaahein meri..
Tum Kahin bhi raho tum nazar aaoge..
Waadian Mera Daaman, Raaste Meri Baahein..
Tere Bina zindagi se koi shikwa to nahin...
Tere Bina Zindagi bhi lekin Zindagi to nahin.. Zindagi nahin..
Ji me aata hai ke tere daaman me sar jhukar ke ham
rote rahein rote rahein...
Teri aakhno me aansun ki nami to nahin...
160.
Wa-izo, meri bhi sun lo wa-iz farmaane ke baad
Aap bhi kuch to samajh lo mujh ko samjhane ke baad
Shama bhi jalti hai parwaane ke jal jaane ke baad
Aap bhi tadpa karenge hum ko tadpaane ke baad
Zindagi kya, maut kya hai, sab samajh leta hun main
Kuch tere aane se pehle, kuch tere jaane ke baad
Meri majboori ka bhi shayad unhen ehsaas tha
Der tak socha kiye woh mujh ko samjhaane ke baad
161.
arzooen kuch adhoori reh gai,
zindagi mein tumhari kami reh gai
muddat hui tujhe woh koocha chchode,
nazar meri par wahin jami reh gai
bahoot kuch sunaya humne magar,
phir bhi baatein unkahi reh gayi
aaj tak ise mein rok nahi paya hoon,
yeh jo aankhon mein nami reh gai
tere lautne ki ummeeed to nahi yeh,
ki meri nabz-e-zeest thami reh gai
dil ko to behlaake hum le aaye,
lekin aapke aastaan pe meri jabin reh gai,
barbaad hue pe bhi "nacheez" shaad hai,
ki kamyaab hozoor ki dillagi reh gai
162.
yun asar hua hai tumhara meri zindagi par
jaise dhoop nikla ho lambe barsaat ke baad
jaise dil par asar hota hai ,
subah ki thandi hawaon ka
doobte hue chand ki thandak aur ugte hua suraj ki roshni ka
kya tum jaante ho meri zindagi se tumhara rishta
mere din se rishta, mere raaton se rishta,
mere dil se rishta , mere sapnon se rishta
163.
Kabhi Aansoo Kabhi Khushboo Kabhi Naghma Banker
Hum Say Her shaam Mili Hai Tera Chehra Banker
Chand Nikla Hai Teri Ankh K Ansoo Ki Tarah
Phool Mehkay Hain Teri Zulf Ka Saya Banker
Meri Jaagi Hoe Raaton Ko Usi Ki Hai Talash
So Raha Hai Meri Ankhon Main Jo Sapna Banker
Dil Kay Kaghaz Par Utarta Hai To Sheron Ki Tarah
Meray Hontoon Pay Machalta Hai To Naghma Banker
Raat Bhi aaye To Bujhti Nahin Chehray Ki Chamak
Rouh Main Phail Giya Hai Woh Ujala Banker
Mera Kiya Hall Hai Yeh A Kay Kabhi dekh To Lay
Jee Raha Hoon Tera Bhoola Hoa Vadah Banker
Dhoup Main Khou Giya Woh Haath Chhura Kar Angel
Gher Say Jo Saath Chala Tha Mera Saya Banker
Kabhi Aanso Kabhi Khushboo Kabhi Naghma Banker
Hum Say Her Shaam Mili Hai Tera Chehra Banker
164.
Woh mujhay bhool gayi, iss ki shikayat kiya hai
Ranj to is baat ka hai keh ro ro kay bhulaya hoga
Mit gayee hogi lalek , doob gaya hoga yaqeen
Apnay pehlay hi gharonday ko jo dhaya hoga
Dil ney kuch aisey bhi afsaney sunaye hongey
Ashk aankhon ney piye or na bahaye hongay
Band kamrey mein jo khat merey jalaye hongay
Har taraf mujh ko tarapta huwa paya hoga
Tum ney ghabra key nazar laakh bchayee hogi
Maiz say jab meri tasweer hatayee hogi
Shadiyanon mein meri yaad jo aayee hogi
Sar na kandhay sey sahailee key hataya hoga
165.
Mohabbat sirf ek khwab ban key reh gayi!!
meri ashiqee Aaj dosti ban key reh gayi!!
Anjam-e-mohabbat sey waqif na tha aisa nahi!!
Aakhari Aaas sirf Aaas ban key reh gayi!!
Usney bhi kabhie to mujhe chaha hoga!!
Yehi Aarzoo Aaaj Zindagi ban kar reh gayi!!
Es Tarah sey Aab wo dekhtey hain hamen!!
hamari chahat Aaj Gustakee ban key reh gayi
166.
DUKH DARD KE MAARO SE MERA ZIKAR NA KARNA
GHER JAON TO YARO SE MERA ZIKAR NA KARNA
WOH ZUBT NA KAR PAYENGE ANKHO KE SAMANDAR KO
TUM RAH GUZARO SE MERA ZIKAR NA K ARNA
PHOLO KE NESHAIMAIN MAIN RAHA HON SADA SE
DEKHO KABHI KHARO SE MERA ZIKAR NA KARNA
SHAYAD YEH ANDEHRE HI MUJHE RAH DIKHAI
AAB CHAND SITARO SE MERA ZIKAR NA KARNA
WOH MERI KAHANI KO GALAT RUNG NA DE DEIN
AFSANA NIGARO SE MERA ZIKAR NA KARNA
SHAYAD WOH MERE HAL PER BESAKHTA ROH DAIN
IS BAAR BAHARO SE MERA ZIKAR NA KARNA
LE JAINGEH GEHRAI MAIN TUM KO BHI BAHA KAR
DARYA KE KINARO SE MERA ZIKAR NA KARNA
WOH SHAKS MILE TO USAY HAR BAAT BATA DEHNA
TUM SIRF ISHARO SE MERA ZIKAR NA KARNA
167.
dekh lo khuaab magar khuaab ka charcha na karo
log jal jayan ge sooraj ki tamanna na karo
waqt ka kaya hai kisi pal bhi badal sakta hai
ho sake tum se to tum mujh pe bharosa na karo
kirchiyan tootay hoye aks ki chubh jayan gi
aur kuch roz abhi aiina dekha na karo
ajnabi lagne lage khud tumhain apna wajood
apne din raat ko itna bhi akela na karo
khuaab bachhon ke khelonon ki tarah hote hain
khuaab dekha na karo khuaab dikhaya na karo
bekhiyali main kabhi ungliyan jal jayain gi
raakh guzre hoye lamhon ki kureedah na karo
168.
YE NADI, VO GHATI, VO ASMAAN PHOLOON KA
KASH HO JATA YE SARA JAHAAN PHOLOON KA
HUM BHI DEKHNE YE MEHKENGE KAB TALAK AAKHIR
AAJ KI RAAT HAI IMTIHAAN PHOLOON KA
KAHIN GAJRE, KAHIN MANDIR, KAHIN GULDASTE
KAUN SAMJHEGA DARD BE-JUBAAN PHOLOON KA
SAFAR JISNE KIYA HO HAMESHA KANTNO PE
VO HI SAMJHEGA KYA HOTA HAI ARMAAN PHOLOON KA
AAKHIRI SAMAY MAIN YAHI TERE REHNUMA HONGE
HARGIJ NA BHULNA KABHI EHSAAN PHOLOON KA
AB TO YADOON KI NISHANI HAI SAMBHALO "IMRAN"
EK RISHTA THA KABHI HAMARE DARMYAAN PHOLOON KA
***
169.
Tum Bin Kya Hai Jeena, Kya Hai Jeena
Tum Bin Kya Hai Jeena
Tum Bin Jiya Jaaye Kaise
Kaise Jiya Jaaye Tum Bin
Sadiyon Se Lambi Hain Raatein
Sadiyon Se Lambe Hue Din
Aa Jaao Lautkar Tum, Yeh Dil Keh Raha Hai...
Phir Shaam-E-Tanhaai Jaagi
Phir Yaad Tum Aa Rahe Ho
Phir Jaan Nikalne Lagi Hai
Phir Mujhko Tadpaa Rahe Ho
Phir Mujhko Tadpaa Rahe Ho
Is Dil Mein Yaadon Ke Mele Hain
Tum Bin Bahut Hum Akele Hain
Aa Jaao Lautkar Tum, Yeh Dil Keh Raha Hai...
Kya Kya Na Socha Tha Maine
Kya Kya Na Sapne Sajaaye
Kya Kya Na Chaaha Tha Dil Ne
Kya Kya Na Armaan Jagaaye
Kya Kya Na Armaan Jagaaye
Is Dil Se Toofaan Guzarte Hai
Tum Bin To Jeete Na Marte Hai
Aa Jaao Lautkar Tum, Yeh Dil Keh Raha Hai...
Tum Bin Jiya Jaaye Kaise
Kaise Jiya Jaaye Tum Bin
Sadiyon Se Lambi Hain Raatein
Sadiyon Se Lambe Hue Din
Aa Jaao Lautkar Tum, Yeh Dil Keh Raha Hai...
170.
Tujh se tujh ko maangte hain.
loog muhabat mein dil dete hain.
Ham apni jaan dete hain.
Ham duniya se kuch mukhtalif hain,
Apni sochein tujhe dete hain,
Ham tu apne alfaaz tujhe dete hain.
Dil ke saare nisaab tujhe dete hain,
Ham tu apne jazbaat tujhe dete hain.
Ham tu apne tasuvar ke hijaab tujhe dete hain.
Ham tu apne dil ke gulshan ke Gulaab tujhe dete hain.
Buhat mushkil sey buney howey hain jo.
Woh nazuk khawab tujhe dete hain.
HaaN Jaan Gee.
ham tum ko sab kuch dete hain,
sirf aik Arzoo hai.
tujh se tujh ko maangte hain.
171.
khachi deewar hoon tokar na lagana mujhko,
apni nnazro mein basakar na girana mujhko,
tumko ankhon mein tasveer ki tarha rakhta hoon,
dil mein dhadkan ki tarha tum bhi basana mujhko,
baat karne mein jo mushkil ho tumhe mehfil mein,
mein samajh jaonga nazro se batana mujhko,
wada utna hi karo jitna nibha sakti ho,
khwab pure jo na ho woh na dikhana mujhko,
apne rishtey ki nazakat ka baram rakhlene,
MEIN TO ASHIQUE HOON DEEWANA NA BANA DENA MUJHKO.......
172.
Khubsurot hai woh itnaa Sahaa Nahin jaata,
Kaise Hum khudko Rok Len, Rahaa Nahin Jaata...
Chand me Daag hai, Yeh jaante hain Hum LEKIN
Raat bhar dekhe bina usko rahaa nahin jaata...
Jo Mera Ho nahin payega, Is Jahaan Me Kahin,
Rooh Bank kar Milunga usko aasman me kahin,
Pyaar Zameen par Farishton se Kiya nahin Jaata...
Khubsurot hai woh itnaa Sahaa Nahin jaata,
Un Nigahon me Mohabbat nahin to Kaho aur kya hai,
Par woh Mujse keh rahaa, Woh Kisi Aur ka hai,
Zaara Sa Jhut bhi Dhang se kahaa Nahin jaata
Khubsurot hai woh itnaa Sahaa Nahin jaata,
Aankh me qaid kiye betha hun me ek haseen Lamha,
Jab me is neend se jagunga to Dil Tuutega,
Woh Mujhe Khwaab Koi Kyon Dikha Nahin Jaata...
Khubsurot hai woh itnaa Sahaa Nahin jaata....
Khubsurot hai woh itnaa Sahaa Nahin jaata....
173.
Hamay to ab bhi woh guzra zamana yaad aata hai,
Tumhay bhi kya kabhi koi deewana yaad aata hai !
Hawain tez thi, baarish bhi thi, toofan bhi tha, lekin,
Tera aisay mein bhi vaada nibhana yaad aata hai !
Ghatain kitni dekhi hain par mujhay `Israr',
Kisi ka rukh par woh zulfain giraana yaad aata hai
Hamay to ab bhi woh guzra zamana yaad aata hai,
Tumhay bhi kya kabhi koi deewana yaad aata hai
174.
UNGLIYA:
JAB NAM TERA PYAR SE LIKHTI HAI UNGLIYA,
MERI TARAF JAMANE KI UTHTI HAI UNGLIYA
JIS DIN SE GAYE DOOR TUM, US DIN SE HI SANAM,
DIN RAT TERE AANE KE PAL, GINTI HAI UNGLIYA
DAMAN SANAM KA HATH ME AAYA THA EK PAL,
DIN RAT US PAL SE HI MAHAKTI HAI UNGLIYA
PATHTHAR TARASH KAR NA BANA, TAJ EK NAYA,
FANKAR KI IS JAHAN ME, KUT TI HAI UNGLIYA
JAB NAM TERA PYAR SE LIKHTI HAI UNGLIYA,
MERI TARAF JAMANE KI UTHTI HAI UNGLIYA
175.
Zindagi tune lahu leke diya kuch bhi nahin,
Teray daaman mein mere waaste kya kuch bhi nahin
Mere in haathon ki chaho tou talashi ley lo
Mere in haathon mein lakiron kay siva kuch bhi nahin
Humne dekha hai kayi aise khudaon ko yahan
Saamne jinke woh sach-much ka khuda kuch bhi nahin
Ya khuda! ab ke yeh kis rang mein aayi hai bahaar
Zard hi zard hain pedon pay, hara bhara kuch bhi nahin
Dil bhi ik zid pay ada hai kisi bacche ki tarah
Ya to sab kuch hi isay chahiye ya kuch bhi nahin..!
176.
Gali mein chale aaye to hain teri
tere dar tak aaya par nahi jaata
bhhul ke wo to sab baith gayi
par hamse wo sab bhhulaya nahi jaata
sari beeti baatein mujhhe ghher leti hain
tere Ghar ka darwaza khatkhataya nahi jaata
kaun kahta hai vaqt sab bhhula deta hai
hamse wo pal aaj bhi bhhulaya nahi jata
sari beeti baatein mujhhe ghher leti hain
tere Ghar ka darwaza khatkhataya nahi jaata
kaun kahta hai vaqt sab bhhula deta hai
hamse wo pal aaj bhi bhhulaya nahi jata
177.
meri kismat ka chamakta sitara hoga,
is pere likha naam sirf tumhara hoga,
maine soncha tha ki mere sath tere sahara hoga,
lekin maloom na tha ki door kinara hoga,
mujhko ye gham nahi doobi meri kashti lekin,
paar tufan ke to kisi ko utara hoga,
jab tere sher-E-khamoshi par padi hogi nazrein,
naam le le kar tune pukara hoga,
main chala jaonga duniya se ye hasrat lekar,
band aankhon mein faqat tera nazara hoga,
kisko malum tha tameer se pehle bijli jis ghar par giri,
"WOH GHAR HAMARA HOGA"
178.
Aisa Lagta Hai Zindagi tum ho ...!!
Ajnabi ...!! Kaise ajnabi tum ho ..!! ?/?
Main zameen Per Ghana Andhera hoon ....!!
Aasmaanoon Ki Chaandini tum ho ...!!
Ab koi aarzoo nahin Baakee ...!!
Joostjoo Meree Aakhree tum ho ..!!
Dostoon Se Wafa Ki ummeeden ....!!
Kis Zamaane Ke Aadmee tum ho ...!! ?/?
179.
Aajaye Kisi Din Tu Aisa Bhi Nahin Lagata
Lekin Woh Tera Vaada Jhoota Bhi Nahin Lagata
Milta Hai Sukoon Dil Ko Us Yaar Ke Kooche Mein
Har Roz Magar Jaana Aacha Bhi Nahin Lagata
Dekha Hai Tujhe Jab Se Bechain Bahut Hai Dil
Kehena Koi Tujhse Rishta Bhi Nahin Lagata
Baare Mein Qateel Usake Soche Bhi Toh Kya Sochein
Woh Gair Nahin Lekin Apana Bhi Nahin Lagata
180.
"Tum bhi khafa ho, log bhi barham hain dosto
Ab ho chala yakien ke bure ham hain dosto."
"Kisko hamare haal se nisbat hai kya kahien
Aankhein to dushmano ki bhi purnam hain dosto"
"Apne siva hamaare na hone ka gam kise,
Aapni talaash mein to hami ham hain dosto."
"Kucch aaj shaam hi se hai dil bhuja bhujha
Kucch shehar ke chiraag bhi madham hain dosto."
"Us shehar-e-aarzoo se bhi bahar nikal chalo
Aab dil ki raunkein bhi koi dam hain dosto"
"Sab kucch sahi Faraz par itna zaroor hai
Duniya mein aise log bahut kam hain dosto"
181.
Kal khwab mei dekha tha tumhe...
Sach hai.. tab maloom tha na hume...
Khwaab mei hathon mei humare tumhara hath tha..
Khwaab tuta.. toh khamosh deewaro ka saath tha..
Uss ek ehsas ne neend uda di humari..
Saari raat guzar gayi jaagte hue humari..
Kaise bhool sakte hain hum.. uss haseen khwaab ko..
Kuch pal ke liye he toh jismei.. paya tha aapko...
Unako chaha bhi to izahaar na karana aaya,
Kat gayi umar hame pyaar na karana aaya,
Unhone maanga bhi agar kuchh to judaai maangi,
Aur ham the ki hame inkaar bhi na karana aaya !!!
182.
Ijazat Dedo~
Khud ko is dil main basane ki Ijazat Day Do
Mujh ko tum apna bananay ki Ijazat Day Do***
Tum meri zindagi ka ek haseen lamha ho
Phoolon say khud ko sajanay ki Ijazat Day Do…
Main kitna chahta hoon kis tarha bataoon tumhain
Mujhay yeh aj batanay ki Ijazat Day Do…
Tumhari raat si zulfon main chand sa chehra
Mujhay yeh sham sajanay ki Ijazat Day Do…
Mujhay Qaid kar lo apnay ishq main Uz..
Yeh jaan tum pe lootanay ki Ijazat Day Do…
Nahi hai shauk Imran ko bhoolnay ka mager
Mujhay yeh duniya bhoolanay ki Ijazat Day Do…
183.
Aisa lagta hai..Zindagi Tum Ho..
Ajnabi Kaise Ajnabi Tum Ho,
Ab Koi Aarzu Nahin Baaki...
JustaJu Meri Aakhri Tum Ho,
Mein Zameen Par Ghanaa Andhera Hun..
Aasmanon ki chandni Tum Ho.
Aisa lagta hai..Zindagi Tum Ho..
Doston Se Wafaa Ki Ummeedein..
Kis Zamaane ke Aadmi Tum Ho..
184.
surk jode ki tabo taab ho mubaarak tujhe
teri aankho ka nayaa khwab ho mubarak tujhe
yeh mere sher mere aakhri nazraane hain..
me un apno me hun jo aaj se begaane hain
Meine Jazbaat Nibhaayen hain Usoolon ki Jageh..
Apne Armaan Piro Laaya Hun Fulon ki jageh...
185.
Mein onse keh raha hoon mujhe yaad kijiye...
Kabhi to sapnon mein apne bulaya kijiye...
kuch iss tarha se humko yaad kijiye...
jab yaad kijiye to hans diya kijiye...
doosron par agar app inayat kijiye...
to hum par bhi ek karam kijiye...
ik wade_e ulfat hum se bhi kijiye...
jhoota he sehi maghar wada to kijiye...
na yoon hum pe itna sitam kijiye...
na yoon hum se nazrain chooraya kijiye...
Agur kuch na ho sake tu itna tu kijiye...
tanhaiyon mein apni mujhe pukara kijiye...
186.
Aansoo May Na Dhoondna Humey,
Dil May Hum Bas Jaayenge,
Tamanna Ho Agar Milne Ki,
To Band Aankhon May Nazar Aayenge.
Lamha Lamha Waqt Guzer Jaayenga,
Chund Lamhoo May Daaman Choot Jaayega,
Aaj Waqt Hai Do Baatein Kar Lo Humse,
Kal Kya Pata Kon Apke Zindagi May Aa Jayega.
187.
ghar se beghar kar gayeen karwaten naseeb ki
dur kitni ho gayeen jo manzeelen kareeb thein..
rafta rafta aagayeen. do dilon me duriyan
kal mohabbat thi jahaan.. aaaj hain majburiyaan
aaj kamil ho gayeen.. aatishen rakeeb ki
dur kitni ho gayeen jo manzeelen kareeb thein..
tujko ai dil milgayaa, ab wafaaon ka sila
kardiya kaatib ne aakhir aaj apna faisla...
dil ke tukde kar gayeen thokren habeeb ki
dur kitni hogayeen jo manzilen kareeb thein
jaane kyon lagti hai dil ko har khushi ajeeb si
dur kitni hogayeen jo manzilen kareeb thein
188.
Ashq aankhon mein sajaaye rakh...
aik mahol sa banaaye rakh...
kahin jal na jaaye tera daaman...
apni aahon ko dabaaye rakh...
kabhi to suni jaae ghi fariyaad...
bas apne haathon ko utthaye rakh....
kisi ki nazar lagh na jaaye...
unko seene se lagaaye rakh...
kahin woh rastaa na bhool jaayen...
kuch chiraagon ko jalaaye rakh...
be-dard hain ye laug...
apne zakhmon ko chhupaaye rakh...
189.
Kaise katti hain woh ratain hum bata nahi sakte...
Par sach ye hai ke hum tum se kuch chupa nahi sakte...
Woh guzre huwe din woh guzri huei ratein...
Woh guzra huwa har ik pal hum bhula nahi sakte...
Meri yaadon mein tum ho meri tanhaiyon mein tum ho...
Itna pyar hai tum se ke hum ginwa nahi sakte...
In ankhon ko in sanso ko bus tumara hi intzaar hai...
Ab aa bhi jao is dil ko aur tarpa nahi sakte...
Woh pyar ki baatain woh qasme woh wadein...
Jo sach hai us sach ko tum jhuthla nahi sakte...
Kaise katti hain woh raatain hum bata nahi sakte...
Par sach ye hai ke hum tum se kuch chupa nahi sakte...
190.
Iss baar kuch aisa mein chahta hoon
Tum ko apna banaana chahta hoon
Bhula kar apne sab gham
Tumhe dilse apnana chahta hoon
Tumhe tumhari ijazaat se
Apne dil mein basana chahta hoon
Apne naam k saath joar kar tumhara naam
Duniya ko sar-e-aam dikhana chahta hoon
Kab ho Qubooliyat ki ghari na jaane
Tumhe har dua mein mangna chahta hoon
Ho jaao tum meri aur main tumhara
Harr pal bas yehi ehsaas chahta hoon
Tum se hi ki bass mohabbat main ne
Apni sari zindagi tumhare sang chahta hoon
Karta hoon aaj main ye iQraar
Main bass tumhe bass tumhe hi chahta hoon
HaQ ke saath kahoon tumhe main apna
Tumse bass aaj main yehi raza chahta hoon
191.
Sab se Chupa Ker Dard, Jo Woh Muskura Diya
Us Ki Hansi Ney To Aaj Mujhey Rulla Diya
Lehzey Sey Uth Raha Tha Her Ik Dard Ka Duhaan
Chehra Bata Raha Tha Kay Kuch Ganwaa Diya
Aawaz Main Thehrao Tha Aankhon Main Nammi Thi
Aur Keh Raha Tha K Main Ne Sab Kuch Bhulla Diya
Janey Kiya Usko Logoon Sey Thiin Shikayaten
Tanhayon Kay Des Main Khud Ko Basa Diya
Khud Bhi Woh Hum se Biched Ker Adhura Sa Ho Giya
Mujh Ko Bhi Itnay Logon Main Tanha Bana Diya...!!!
192.
" Yaadon Ko Apne Dil Se Mita Kyu Nahi Dete "
Yaadon Ko Apne Dil Se Mita Kyu Nahi Dete,
Jo Jaa Chuka Hai Us Ko Bhula Kyu Nahi Dete.
Mujrim Hoon Main Tera Mujhe Itna To Bata,
Khamosh Khade Hu Saza Kyon Nahi Dete.
Use Jis Ke Zakham Hai Inaayat Teri,
Gar Hai Tumhare Paas To Dawa Kyu Nahi Dete.
Kahin Ghar Nahi Baste Hai Jin Ki waja Se,
Un Adhjali Rasmon Ko Jala Kyu Nahi Dete.
Us Ne Tumhari Khaatir Kiya Kiya Nahi Kiya,
Tum Us Ki Wafaaon Ka Sila Kyu Nahi Dete.
Tumhein Mujh Se Mohabbat Hai Jaanta Hoon Main,
Ye Baat Apne Lab Se Bata Kyu Nahi Dete.
Anmol Khazana Hain Muskurahatein Teri,
Thoda Sa Ese Mujh Pe Luta Kyu Nahi Dete.
Wo Aag Jo Dil Mein Lagaai Thi Kabhi Tum Ne ,
Wo Aag Aaj Khud Hee Bujha Kyu Nahi Dete.
Ek Arsa Howa Chain Se Soye Howe
Mera Chain, Meri Neend Lauta Kyu Nahi Dete
193.
Dil Apnay Aap Dharakta Hai Dharkaya Nahi Jata,
Yeh Raaz-E-Mohabbat Har Aaik Ko Bataya Nahi Jata
Agar Ehsaas Ho To Mohabbat Ko Kar Lo Mehsoos,
Yeh Woh Jazba Hai Jo Lafzoun Main Samjhaya Nahi Jata
Dosti Kay Liye Mohabbat Aur Khuloos Hai Lazim
Har Haath Milane Walay Ko Dost Samjha Nahi Jata
Bohat Kam Hain Log Jo Dil Main Utar Jate Hain
Har Rah Chalte Ko Apna Banaya Nahi Jata
Koshish Say Badal Jati Hain Taqdeerain
Day Kar Ilzaam Qismat Aur Dil Ko Behlaya Nahi Jata
194.
ROYE HAIN BUHAT
Roye Hein Buhat Tab Zara Karaar Mila He
Is Jahan Mein kise Bhala sacha Pyar Mila He
Guzar rahi hey zindagi Imtehan ke daur se
Ek khatam Howa To Dosra Tayar Mila He
Mere Damaan ko khushiyo ka nahi Malaal
Gham ka khazana jo isko beshumar mila he
Who kamnasib hein jinhe mehboob mil gaya
Mein khushnasib ho mujhe Intezar mil gaya
195.
Gham nahi mujhe ke Dushma howa yeh zamana
Jab Dost Hathoon Mein Liye Talwar Mila Hey
Sab Kuch Khuda Ne Tum Ko Bhala KaiseyDe Diya
Mujhe To Uske Dar Se Sirf Inkaar Hi Mila hey
Jab Tere Dhun Men Jia Karty They
Ham Bhi Chup Chap Phira Karty They
Ankhoon Men Peyas Hoa Karty Thi
Dil Men Toofan Utha Karty They
Loog Aaty They Ghazal Suneney Ko
Ham Tere Bat Kia Karty They
Sach Samjhty They Tery Wadoon Ko
Rat Din Ghar Men Raha Karty They
Kisi Werany Men Tujh Sey Mil Kar
Dil Men Kia Phool Khila Karty They
Ghar Ke Dewar Sajany Ke Khatir
Ham Tera Nam Likha Karty They
Wo Bhi Kia Din They, Tujhe Bhula Kar
Ham Tujhe Yaad Kia Karty They
Kal Tujhe Dekh Kar Yaad Aeya
Ham Bhi Kabhi Muhabbat Kia Karty They
196.
yaad nahi kyaa kyaa dekhaa thaa saare manzar bhuul gaye
us kii galiyon se jab lauTe apanaa bhii ghar bhuul gaye
Khuub gaye pardes ki apane diivaar-o-dar bhuul gaye
shiish-mahal ne aisaa gheraa mittii ke ghar bhuul gaye
tujh ko bhii jab apanii qasame.n apane vaade yaad nahii.n
ham bhii apane Khvaab terii aankhon mein rakh kar bhuul gaye
mujh ko jinho ne qatl kiyaa hai koi unhen batalaaye "Imran"
merii laash ke pahaluu mein vo apanaa Khanjar bhuul gaye
197.
bas itni si inaayat mujh pe aik baar kijye
kabhi aa ke mere zakhmon ka deedar kijye
ho jaaiye begaane aap shaquq se sanam
aapka hum aapka rahungee aitbaar kijye
padne waale hi darr jaayen dekh kar ise
kitaab-e-dil ko itnaa na daagdaar kijye
na majboor kijye, k main unko bhool jaaun
mujhe meri wafaaon ka na gunehgaar kijye
in jalte diyon ko dekh kar na muskuraaiye
zara hawaaon ke chalne ka intezaar kijye
karna hai ishq aapse karte rahenge hum
jo bhi karna hai aapko mere sarkaar kijye
phir sapno ka aashiyaan bana liya hai maine
phir aandhiyon ko aap khbardaar kijye
hame na dikhaiye ye daulate ye shohrate
hum pyaar ke bhooke hain hame pyaar kijye
198.
Teri Rahon me Aaankhein Bichaaye Baithe Hain,
Is Dil kay Toofan me Mohabbay ki shamma Jalaye Baithy hain..
Aaj Zalim Kis Mor Pay Lakar Chora hai Tumnay Mujh ko,
Abhi bhi Milnay Ki Hasrat Say, Teri yaad Ko Dil Se Lagaay Baithe Hain
199.
Dil ko Aadat Si Hogayee Hain Chot Khaane Ki,
Bhigi Hui Palkon Kay Saath Muskuraane Ki..
Kash anjaam-e-wafa Pehlay say Jaan Jaaty to,
Koshish Bhi Nahin Karte Dil Lagaane Ki..
200.
kabhi lehrein tera chehra jo banane lag jayein
meri ankhein mujhe darya mein bahane lag jayein...
kabhi ik lamha fursat jo mayyasar aajaye
meri sochein mujhe sooli per charhane lag jayein...
intazar us ka na itna bhi ziada kerna
kiya khabar barf pighalne mein zamane lag jayein...
aankh utha ker bhi na dekhein tujhe din mein hum log
shab ko kaghaz pe tera chehra banane lag jayein...
woh humein bhoolna chahein to bhula dein pal mein
hum unhein bhoolna chahein to zamane lag jayein...
nahin jalta to utarta nahin qarz-e-zulmat
jalna chahoon to log mujhe bujhane lag jayein...
201.
tere haathon mein pighal jaane ko ji chahta hai
aatish-e-shouq mein jal jaane ko jee chahta hai...
tujh se ik raaz ki sargoshi bhi kerna chahoon
phir wohi raaz nigal jaane ko jee chahta hai...
dil ye chahe ke tere dil mein rahoon dil ban ke
phir usi dil se nikal jaane ko jee chahta hai...
wehshat aabad makanon mein nahin jee lagta
shehar se door nikal jaane ko jee chahta hai...
hum se ye rasm ki zanjeer bhi kab toot saki
dil ki zid per bhi machal jaane ko jee chahta hai...
202.
Tum Poocho aur mai na bataoon aisay tu halaat nahi
Aik zara sa dil toota hai aur tu koi baat nahi...
Kis ko khabar thee saanwlay baadal binbarsay ur jaatay hain
Saawan aaya lekin apni qismat may barsaat nahi...
Toot gaya jab dil tu phir saason ka naghma kya maani
Goonj rahi hai kyoon shehnaee jab koi baraat nahi...
Meray ghamgeen honay par ehbaab hain kyoon hairaan QATEEL
Jaisay mai patthar hoon meray seenay may jazbaat nahi...
203.
Zamanay ko samajna chahta hoon ...
Main apni rutt badalna chahta hoon
Kay bey mani hai ab sari kitabin!....
Teray Chehray ko Parna Chahta hoon
Abhi khushyoon ko mujh saY door rakho!..
Abhi ghum say uljna chahta hoon
Tumhara hujar kitna jaan fiza hai ...
Main har lamha tarpna chahta hoon
Main apni akhri sansoon ki hadth tak..
Tumhari rah takna chahta hoon
Teri yadin mera daman tu chor din !...
Kay main khud ko sambalna chahta hoon
Kisi taweez ki soorat main meri jaan!...
Teray seenay say lagna chahta hoon
Sulagti hai meray ander judai ...
Bhala main kab tarpna chahta hoon ?
Meray dil main hai bus itni tamna ?...
Teray dil main darkhna chahta hoon
204.
is se pehle ke bewafa hojayein...
kion na ae dost hum juda hojayein...
tu bhi heerey se ban gaya pathar...
hum bhi jaane kiya hojayein...
hum agar manzilein na ban payein...
manzilon tak ka raasta hojayein...
dair se soch mein hain parwane...
raakh hojayein ya hawa hojayein...
ab ke gar tu mile to hum tujh se...
aisay liptein ke ham ek hojayein...
bandagi hum ne chhor di faraz...
kiya karein jab log khuda hojayein...
205.
Ham Apni wafa Yaad Dila bhi nahin sakte
Us Bhulne waale ko Bhula bhi nahin sakte...
Behata hua har Ashk yeh kehta hai NA JAAOOO
Khamosh Nigaahon ki kasam laut ke AAOOO...
Ham Apni Zabaan se to Bulaa bhi Nahik Sakte
Us Bhulne waale ko Bhula bhi nahin sakte..
Dil Jalta hai Chup CHap Na SHOLA NA DHUAAN HAI
Hai Dard Magar Kisko Bataayen Kahaan Hai...
Yeh Zakhmi Mohabbat Hai Dikha bhi nahin Sakte
Us Bhulne waale ko Bhula bhi nahin sakte...
Ham Apni wafa Yaad Dila bhi nahin sakte
Us Bhulne waale ko Bhula bhi nahin sakte...
206.
Chaha tu bohut tha lekin wo mila hi nahi,
Laakh koshish ki mager yeh fasla mita hi nahi,
Na janay zamanay nay majboor is qader ker diya,
Kay wo meri kisi sada pay thera hi nahi,
Mein tamam ter koshishoo ky bawajoud har gaya,
Wo usay mil gayi jisny us ko manga hi nahi,
Her ik say poucha tery na milnay ka sabab,
Her ik nay kaha wo tery liye bana hi nahi,
Itni shiddut say chaha tha us ko,
Is duniya may shayed wafa ka sila hi nahi
207.
woh ek dost jo mujhe khuda sa lagta hai
bahot kareeb hai magar Juda sa lagta hai
zamane bhar ki JAFAAON ka jab Hisaab kiya
bEwafaa dost mujhe bAAwafaa sa lagta hai
bahot kareeb hai magar Juda sa lagta hai
Khuda saath hai, Fir bhi hamen sahil na mila
Naseeb ham se hamaara Khafaa sa lagta hai
bahot kareeb hai magar Juda sa lagta hai
zindago Dubi ho jab gham ke Mekhaanome
ek dushman bhi hame Rehnuma sa lagta hai
bahot kareeb hai magar Juda sa lagta hai...