Wednesday

दो गज़ ज़मीन भी चाहिए, दो गज़ कफ़न के बाद.....

1.
PUT KAPUT TO KYON DHAN SANJHE.
PUT APUT TO KYON DHAN SANJHE.
पुत कपूत तो क्यों धन सन्चय.
पुत सपूत तो क्यों धन सन्चय.
(Aulad agar akalmand hai, Layak Hai to Daulat Ikatta Karne ki kya zarurat Hai,
Aulat Agar Nalayak hai Bewakuf hai to Daulat Ikataa Karne ki kya zarurat hai.)
( औलाद अगर अकल्मंद है, लायक है तो दौलत एक़ट्ता करने की क्या ज़रूरत है,
औलाद अगर नालयक है बेवकूफ़ है तो दौलत एक़ट्ता करने की क्या ज़रूरत है. )

2.
Aadmi ke khwaaisho ki koi intehaa nahi...
Do gaz zameeN bhi chahiye, do gaz kafan ke baad..
आदमी के ख्वाईषो की कोई इंतेहा नही...
दो गज़ ज़मीन भी चाहिए, दो गज़ कफ़न के बाद..

3.
bas itni si ilteja hai meri
pyar ko zindagi ka maqsad na banana
manjilen aur bhi hai yahan
umra bhar ke gham ko yun gale na lagana.

4.
karib rahne ki chah to hamein bhi thi,
par na jane kyon faasle hi darmiyan aaye,
marz ki dava to le lete hum bhi,
par na jaane kyon jakhm nazar hi nahin aaye.

5.
"Kon Takoun Main Raha, Kon Sar-e-Rah Guzaar";
"Shehr Kay Saaray Charaghon Ko Hawa Jaanti Hay."
(Who was resting on shelves and who was out lighting the Streets; The Winds recognize every flame in the City.)

6.
Hum bhi dariya hai hum apna hunar jaante hai,
Jis taraf bhi chal parege raasta ho jaayega

7.
bheege huve paroN se hi parwaaz kar ke dekh
anjaam us ke haath hai aaghaaz kar ke dekh !!!

8.
Aise Bhi Kai Panne Ithihaas Ki Kitaabon Me Hain,
Lamhon Ne Khataa Ki Hai, Sadiyon Ne Sazaa Payeen Hai...

9.
Shayad khushi ka daur bhi aa jaaye bahut jald..
ye gham bhi to mile hain tamanna kiye bagair...

10.
Umr ek aysi hoti hai ke jis main dil ko
her baat achi lagti hai haqiqat ke siwa.

11.
Ragon mein khoon ki garmi ka maujza hai tamam
Warna aadmi pathar se mukhtalif to na tha.

12.
Jaisi bhi hun bhali hun ke buri hun apne liye hun
Mein khud ko nahi dekhtee auron ki nazar se

13.
Mushkilen dilo ke irade aazmaeingi,
Khawabo ke parde nigaho se hatayangi.
Girkar hosla mat haarna,
Yeh thokerein hi tujhe chalna sikhayengi.

14.
Roz yeh khayaal aata hai zahan me
Kal zindagi kis raah par hogi
Har din isi soch mein guzarta hain
ab aur kitno se mulaaqat hogi

15.
raabtey had se barh jayeen tu gham miltey hain
ham ise liye har shakhs se kam miltey hain

16.
gum na karo maut ka
jo har kisi ko aati hai,
gum karna hai to khushi ka karo
jo palbhar may chali jati hai.

17.
Ajeeb cheez hai dastan-e-mohabbat;
Kaho to haqeeqat, suno to fasana!

18.
Logon ko kehte suna aksar - "Zinda rahe to phir milenge"
Magar is dil ne mehsus kiya hai - Milte rahenge to hi zinda rahenge!

19.
"Na chaho kisiko itna ki chaahat tumhari majboori ban jaye;
Kar jao dil ki duniya mein kuch aisa yaro - ki tumhari chaahat uski zaroorat ban jaye"

20.
Kab Tut Jaye,Kasam Hi To Hai
Kab Badal Jaye Nazar Hi To Hai
Tu Mere Saath Ki Aadat Mat Dal
Kab Bichad Jaye,Zindagi Hi To Hai

21.
Hujoom-e-Ghum meri fitrat badal nahin sakta
Hujoom-e-Ghum meri fitrat badal nahin sakta,
Mein kiya karoon, Merii aadat hai muskuraney ki

22.
Takdeer banane wale tune kami na ki
Ab kisko kya mila ye mukkader ki baat hai..

23.
Kabhi kisi ko mukammal jahaaN nahi milta
KahinN zamiN..to kahiN aasma nahin milta

24.
NA KAR PYAAR JISE TU PURA NA KAR SAKE,
NA KAR VOH VAADA JISE TU NIBHA NA SAKE,
PYAAR KISIKA PURA NAHI HOTA,
PYAAR KA TOH PEHLA SHABDH HI ADHURA HAI...

25.
Zaroori to nahi ki koi gam bhi ho shaamil,
haan yoon bhi aksar nikal aate hai aasoon

26.
mana ke diya gum jo kismat ne wo thoda nahin!
maine bhi muskura ke ladna choda nahin.

27.
humko mita sake ye zamane mein dam nahi
hamse zamana khud hai zamane se hum nahi

29.
Duniya men bewafaon ki kami nahin hai. Ab Suraj ko hi dekh lo -
Aata hai Usha ke saath, Rehta hai Kiran ke saath aur jata hai Sandhya ke saath.

30.
Maszidon mein jakar maine ki thi dua,
jisako bhi main chhahoon, woh mujhko mile,
jo mera farz tha woh maine kiya adaa,
ab khuda hin na chhahe to main kya karoo?

31.
chal padi hai kashtiyaan samandar door hai kinaraa
in maajoon se pooch lena kya haal hai hamara
ab hawaein kareingi roshiniyon ka faisla
jis diye main jaan hogi woh diya reh jayega

32.
apna gum le ke kahin aur na jaya jaye,
ghar main bhikhri hue cheezoon ko sajaya jaye,
ghar se masjid hai bahut door chalo yun kar len,
kisi rote hue bacche ko hansaya jaye,

33.
Apne dushman ko bhi hum paak sazza deten hain
zaban sey kuch nahi kehte nazron sey gira deten hain

34.
Jahan rahe ga waheen raushni lutaye ga
Chiragh ka apna koi makan nahi hota

35.
Yahan kisi ko bhi hasb e aarzu na mila
Kisi ko hum na mile aur koi humko na mila

36.
dil ki basti bhi ajeeb basti hai,
lootne wale ke liye tarasti hai.

37.
bechainiya samet kar sare jahan ki
jab kuchh na ban saka to mera dil bana diya.
Maktabe-ishk ka dastoor nirala dekha,
usko chhutti na mili jisne sabak yad kiya.

38.
parwane ko akkal nahin tabhi to parwana hai
chhod ke phool bahar ke shama pe marta hai.
deewano ki yeh baatein deewane jaante hai
jalne mein kya maaza hai parwane jaante hai

39.
Apni haalat ka khud ahsaas nahi hai mujhko,
maine auro se suna hai ki pareshaan hun mein.

40.
jitana maayus hai woh shaksh bichadkar mujhase,
itani shiddat se to maine use chhaha bhi na tha.

41.
Mujhe Phoolon se Nahin Kaanton Se Mohabbat hai,
Aur Kyon na Ho, Kaanto ko murjhaane ka Dar jo nahin hota...

42.
Sara hi shehar uske janazay main tha shareek
tanhayee k khoof se mer gaya jo Ek shakhs

43.
Main Bhee Kharidar Hoon Main Bhi Khareedon Gaa
Piyar Kahan Bikta Hai Pata Bata Doo ........

44.
Gaib Bura Na Maan Jo Wayaj BURA Kahen...
Aisa Bhi Koi Hai, Jise Achcha Kahe Sabhi.

45.
khudh hi sach ke khilaf karte hain
khud hi khud ko maaf karte hain
dhool jami hai chehroon par
log aine Kyon Saaf karte hain?

46.
Kinare kinare par mat chalo
kinara toot jaayega
kisi paraye ke peeche mat bhago
koi apna chhoot jayega..

47.
Zaroori to nahin ke jeene ke liye sahaare hon...
Zaroori to nahin hum jinke hain woh bhi hammare ho...
Kuch kashtiyan doob bhi jayya karti hain...
Zaroori to nahin har kashti ke liye kinaare hon.

48.
Maana ke teri nazar main kuch nahin hain hum
Maana ke teri nazar main kuch nahin hain hum..
Magar unse zara jaakar poochiye
jinhe haasil nahin hain hum!!!

49.
Jo chupaani thi wahi baat bataa di mujhko
Zindagi tu ney bahot sakht sazaa di mujhko !!!

50.
Samundar par sakoon hai isleye gehra bhi hai
Warna machalti hui nadiyon main gehrai nahin hoti...

51.
Daulate dard ko duniya se chupa ker rakhoo
ankh mein ansoo na ho aur dil mein samandar rakhoo

52.
ye zamiiN roii aasmaan ke saath
jab Ramaayan jalii Quraan ke saath

be_zubaaN shakhs likh to saktaa hai
haath bhi kaaT do zabaan ke saath

pyar ek saahil hai toofano ke liye,
pyar aaina hai armano ke liye,

pyar ek mehfil hai anjano ke liye,
pyar ek khawaish hai apne pyar ko pane ke liye,

yeh pyar ek puja hai zindagi ke liye..
is puja ko yu ruswa na kiyiye khuda ke liye!!!

53.
" AAPNE HAATHO KI LAKEERO KO KYA DEKH RAHA HAI,
NASEEB UNKE BHI HOTA HAIN JINKE HAATH NAHI HOTA."

54.
Aankhon ki chilman mein hain adaayein hazaar,
Woh insaan hi kya, jise hua na kabhi pyaar.

55.
Tere azad bande ki na yeh duniya na woh duniya,
yaha marne ki pabandi waha jineki pabandi.

56.
Kyu hame kisiki talash hoti hai,
Kyu dil ko kisi ki aas hoti hai.
Chand ko dekho who bhi to tanha hai
Fir bhi uski chandni se roshan har raat hoti hai.

57.
Soch ko badlo, sitare badal jaayenge,
Najar ko badlo, najare badal jaayenge.
Kashtiya badalne ki zururat nahi,
Dishaon ko badlo, kinare badal jaayenge.

58.
Bhujhi hui shama phir se jal sakti hai,
Tufano mein ghiri khasti kinare lag sakti hai.
Mayus na hona, Iraade Na Badal,
Yeh kismet hai kabhi bhi badal sakti hai.

59.
rok to sakte nahin..zindagani ka safar
ho sake miljaaye raah me aur koi humsafar...

60.
ya to Diwaana Hanse, Ya Tu Jise Taufiq De,
Warna Is Jahaan Me aake Muskuraata Kaun he...

61.
Na Khoobyaan meri hein naa mera koi Kamal hei..
Daitaa Wohi Kareem Wohi Jal-e-Jalal hei,
Kuch apnay dam par loon to chinanay ka dar b ho..
Us k diyee ko cheen ley koi, kis ki yeh majal hei...

62.
DEKHTE HI DEKHTE SHAITAAN BAN JATE HIN LOG
IMAAN KE BAZAAR MAIN BEIMAAN BAN JATE HAIN LOG
JO SHAHAR KI HAR GALI KA JANTE HAIN HAR MAKAAN
DEKHKAR ANDHE KO KYOON ANJAAN BAN JATE HAIN LOG
KIS KADAR BADLI HUEE HAI SHAKAL HAR INSAAN KI
KAL KHUDA THE AAJ KYOON HAIIWAAN BAN JATE HAIN LOG
PYAR KE KISSE MOHABBAT KI KAHANI BHULKAR
KATILOON JAISEE MUSKAAN BAN JATE HAIN LOG
KHOON BHAI KA BAHAKAR MAA KA SAUDA KAR RAHE
PHIR MULK AUR KAUM KI PEHCHAAN BAN JATE HAIN LOG

63.
Andhera maangane aaya tha roshani ki bheek
ham apna ghar jalate na to kya karte.

64.
Dushmano kai saath mere dost bhi aazad hai,
Dekhna hai fainkta hai muzpe pahla tir kaun!

65.
Tir khaake jab dekha kamigah ki taraf,
Mere hi dosto ki kataren nazar padi.
(kamigah - tir chala ke chhooph ne ki kjagah, hiding place)

66.
Mandir mein jaake pooja kar leta hu
Masjid mein jaake namaaz pad leta hu..
Kahi insaan se Farishta na ban jaaon
Isliye thoda sa Gunaah bhi kar leta hu..

67.
Kisamat, zazbaat aor Insaan
Khuda ne bhi kaya bhul bhuliyan banai hai
jahan zazbaat hai wahan kismat nahi
jahan kismat hai waha zazbaat nahi
Teri duniya bhi teri hi tarah hai
kitani apni hokar bhi kitani parai hai

68.
chirago ki roshni me har dard ko bhul jana hai,
mil kar sitaro se naya aasman sajana hai,
yaad ghar ki aane ka yahi to ek bahana hai,
ke ek aur naya din dur ghar se bitana hai.

69.
Saagar se uthi leherein kinaro se takra kar kyo laut jaati hai,
Karti hai who kinaro se bewafai ya saagar se wafa nibhati hai.

70.
Yeh Sonchon K Hai Bal Kitna In Ki Mounjon Mein
Yeh Mat Dekho Daryaon Mein Paani Kitna Hai.......

71.
Kehlata nahi shayar har likhne wala
hota nahi aashiq har dil wala
is mukaam ko pata hai
lakhon mein ek kismatwala.

72.
Jawani agar diwani na hoti to jahan mein mohabbat nahi hoti.
Ya tim timate sitarein na hote to raat itni suhani na hoti.

73.
Tut jaate hai kabhi gaherein rishtey bhi,
Gair ban jaate hai pal bhar mein apne bhi.

74.
Aaj Itni Bhi Mayassar Nahin Maikhane Me,
Jitni Ham Chod Diya karte the Paimaane Me..

75.
Girte hain sheh-sawar hi maidain-e-jung main,
Woh log kya giraingay jo ghutano ke bal chalain !!!

76.
Galat nahi ke zamane main lajawaab hain hum
Samajh sake na koi, woh kitaab hai hum

77.
Galib Bura Na Maan Jo Wayaj BURA Kahen...
Aisa Bhi Koi Hai, Jise Achcha Kahe Sabhi.

78.
Champion is not one who never fails,
but one who NEVER QUITS.....

79.
Nazakat is ki toh shishey sey bhi ziyada hey
Zameen-e-dil pey zara phoonk kar khadam rakhna ...

80.
Ab Ussey Kaun bataaey Dilon ki majboori
Mein Kiya karoon ke Naya humsafar bhi acha hai



No comments: