1.
Teri judaai mein roney ki aadat hogayee
"BEWAFAII KI YEH INTEHA HOGAYEE
ke tujhse juda hokar bhi jeeney ki aadat hogayee
tum laut ke aaogey humsey milney
roz dil ko behlaney ki aadat hogayee
terey waadey pe kya bharosa kiya humney
keh shab bhar tera intezaar karney ki aadat hogayee
khushi mein bhi hum kya muskuratey keh
teri judaai mein roney ki aadat hogayee
kaafiley nikal gaye humein chhor keh
keh ab tou tanha safar ki aadat hogayee
har morh par mili ghum ki parchhaiyaan
zindagi se samjhota karney ki aadat hogayee
jaantey thay keh nahi hosaktey kabhi tum hamarey
phir bhi khuda se tujhey maangney ki aadat hogayee
paiman-e-wafaa kya hai humey kya maloom *saahil*
keh bewafaaon se dil laganey ki aadat hogayee
2.
Emotional one
kadmoN meiN tere aakhiri dhadkan bicHaa chale
maathe pe tere ik jo shikan thii , mitaa chale
waqt-e-nizaa itni tassalli to thii dil ko
tum be-wafaa hue to hue , HUM nibhaa chale
aaraam tha kuch aag ki garmii se zaKhm ko
aaye voh meri kabr par , shama bhujhaa chale
kaise banauuN us jagah khwaboN ka aashiyaaN
har samt fareboN ki jahaaN par hawaa chale
usne hamaari khwaahisheN pairoN tal'e rauNdiiN
har ik razaa pe jiski hum gardan jhukaa , chale
haathoN ki lakiiroN ko bajaa jaan kar chup huN
kismat meiN hai liKhaa jo uspe zor kya chale !
nakaam hasratoN ko bhulaane kahaaN jaate !!
nikle teri galii se suu-e-maikadaa chale
"Imran" yuN Gham-e-yaar tu seene meiN cHupa le
chehra bhi gar koi paDhe , kuch na pataa chale
3.
YAAD
Kitne Aziyat Say Uss Nay Mujh Ko Bhulaya Ho ga...
Mere Yadoon Nay Ussay Khub Rulaya Ho Ga..
Baat Be-Baat Aankh Uss Ki Jo Chalki Hoo Gi.......
Uss Nay Chahray Ko Bazuoon Main Chupaya Ho Ga
Soocha Hoo Ga Uss Nay Din Main Kaye Baar Mujhy.......
Naam Hathele Par Bhe Likh Likh Kay Mitaya Ho Ga...
Jahan Us Nay Mera Ziker Suna Hoo Ga Kisi Say..
Uss Ki Aankhoon Main Koe Aansoo Tu Aya Hoo Ga..
Raat Kay Bhegnay Tak Neind Na Aye Ho gi Tujhy........
Tuu Nay Takeye Ko Bhe Senay Say Lagaya Ho ga..
Hoo Kay Nidhal mere Yadoon Say Tuu Nay Jana.........
Mere Tasveer Pay Sar Apna Tikaya Hoo Ga......
Poocha Hoo Ga Jo Kisi Nay Tere Halat Ka Sabab....
Tuu Nay Batoon Main Khub Us Say Chupaya Ho Ga....
4.
Bheegi Hui Aankhon Ka Yeh Manzar Na Mille Ga
Ghar Chor Ke Mat Jao Kaheen Ghar Na Mille Ga
Phir Yaad Bohot Aaye Gi Zulfon Ki Ghani Sham
Jab Dhoop Mein Saaya Koi Sar Per Na Mille Ga
Aansoo Ko Kabhi Oss Ka Qatra Na Samajhna
Aisa Tumhein Chahat Ka Samandar Na Mille Ga
Is Khowaab Ke Mahool Mein Be-Khowaab Hain Aankhein
Jab Neend Bohot Aaye Gi To Bistar Na Mille Ga
Yeh Sooch Lo Ab Akhri Saaya Hai Mohabbat
Is Dar Se Utho Ge To Koi Dar Na Mille Ga
5.
Yuun tu likhnay ko kya nahi likha mainey
Phir bhi jitna tujhe chaha nahi likha mainay
yun to hongey buhat Zamaney main Shayer
Jaisay sab likhtay hai waisa nahi likha meinay .
Yun tu ek lehar mein kuch rang jhalak atay hai
Mujh mein hai ju darya nahi likha meinay
Meray her laffz ki wusset mein hai ek umer ka ishq
Mein ajab hun, agar bhool say nahi likha meinay
Meri nazro say ju ek bar na pohncha tujh takk
Phir woh maqtob dubara nahi likha meinay !
Meri sachayi har ek lafaz say aayan hoti hai !
Soochta hoon tujhey apna kion nahin likha main ne
6.
Hamesha Duaa Mangta Hoon
Tum Kya Jaano Main Khuda Se Kya Maangta Hoon
Tumhari Salam-ti Ki Hamesha Duaa Mangta Hoon
Agar Anjaane Main Ho Jaaye Koi Tumse khata
Tou Do Mujhe Uski Saza Ye Maangta Hoon
Agar Lag Jaaye Koi Chot Tumko Ya Ho Jaaow Tum Pareshaan
Tou Meray Haq Main Wo Saari Takleefein Maangta hoon
AiY KHUDA Meray Dost Ko Gham Se Door Rakhna
Din Raat Tumhaaray Saaray Gham Maangta Hoon
Tum Ho Hamesha Kaamyaab Tumhaari Her Khwaahish Ho Poori
Buss Ye Chaahta Hoon Aur Tumhari Khushi Maangta Hoon
Main Jaanta Hoon Ke Tum Mayray Nahin Ho Lekin
Main Hamesha Khuda Se Tumhaara Saath Maangta Hoon
7.
tum bhi Khafaa ho log bhii beraham hain dosto
ab ho chalaa yaqiin ke bure ham hain dosto
kis ko hamaare haal se nisbat hai kyaa karen
aankhen to dushmanon kii bhii pur_nam hain dosto
apane sivaa hamaare na hone kaa Gam kise
apanii talaash men to ham hii ham hain dosto
kuchh aaj shaam hii se hai dil bhii bujhaa bujhaa
kuchh shahar ke chiraaG bhii maddham hain dosto
is shahar-e-aarazuu se bhi baahar nikal chalo
ab dil kii raunaqen bhii ko_ii dam hain dosto
sab kuchh sahii 'Faraz' par itanaa zaruur hai
duniyaa men aise log bahut kam hain dosto
8.
"Yoon Na Mil Mujh SaY khafa ho Jaise "
Yoon Na Mil Mujh SaY khafa ho Jaise
Sath Chal Mooj-e-saba ho Jaise
log Yoon dekh ke Hans Dete Hain
Tu Mujhe Bhool Gaya Ho Jaise
ishq ko shirk ki Had Tak Na Barha
Yoon Na Mil Humse khuda Ho Jaise
Maut Bhi Ayi To iss Naz k Sath
Mujh Pe Ehsaan kiya Ho Jaise
Aise Anjaan Bane Bethe Ho
Tum ko kuch pata Bhi Na Ho jaise
HichkiYan Raat Ko Ati Hi Rahien
Tu Ne Phir Yaad kiya Ho jaise
Zindagi Beet Rahi Hia Yoon Hi
ik Be-jurm Saza Ho Jaise!!!!!!
9.
PYAAR BOHUT HAI TUM SE JANA,PER EZHAAR NAHI KARTE
MERI CHUP SE YEH NA SAMAJHNA, TUM SE PYAAR NAHI KARTE
APNI AANKHEIN TU HAR LAMHA,TERI RAAH HI TAKTI HEIN
OR TUM PAGAL YEH KEHTE HO HUM INTIZAR NAHI KARTE
TUM KAHO TU SUB KUCH APNA SONP DOON TUM KO LAMHO MEIN
JITNA TUM PAY HAI BHAROSA HUMEIN,KHUD PA BHI YAAR NAHI KARTE
DARD DIL KO AAISE MILLEY HEIN,ROOTI REHTI HEIN AANKHEIN
WARNA HUM SUB SEEH LETE ,ANKHEIN ASSHKBAAR NA KARTE
10.
samandar main utarta hoon to aankhain bheeg jati hain
teri aankhon ko parhta hoon to aankhain bheeg jati hain
tumhara naam likhnay ki ijaazat chin gai jab se
koi bhi lafz likhtaa hoon to aankhain bheeg jati hain
teri yadoon ki khushboo khirkion main raqs karti hay
tere gham main sulagta hoon to aankhain bheeg jati hain
na jane hoo gaya hoon is qadar hasaas main kab se
kisi se baat kartaa hoon to aankhain bheeg jati hain
wo sab guzre howe lamhaat mujh koo yaad ate hain
tumhare khat jo parhta hoon to aankhain bheeg jati hain
main sara din bauhat masroof rehta hoon magar joon hi
qadam chaukhat pe rakhta hoon to aankhain bheeg jati hain
tere kooche se ab meraa taluq waajbi saa hay
magar jab bhi guzartaa hoon to aankhain bheeg jati hain
11.
KUCCH TO APNEE NISHAANEEYAN RAAKH JAA
KUCCH TO APNEE NISHAANEEYAN RAAKH JAA
IN KITAABON MEIN TITLIYAAN RAKKH JAA
LOG TANHA NA LAUT JAAYEIN KAHEEN
TU RAASTON MEIN KAHAANIYAN RAKKH JAA
HO RAHA HAI AGAR JUDA MUJHSE
MERI AANKHON PE UNGLIYAAN RAKKH JAA
AAJ TOOFAN BHI AKELAA HAI
TU KINAARON PE KASHTIYAAN RAKKH JAA
12.
Suna Hai Log
Suna Hai Loug "Ussey" Aankh bhur ke dekhtey hain
So "Uss" ke Sheher mein kuch din theher ke dekhtey hain
Suna hai boley tou baaton se phool jhartey hain
yeh baat hai tou chalo baat kar ke dekhtey hain
Suna hai Raat ko ussey Titliyaan sataati hai
Suna hai Raat ko Jugnoo theher ke dekhtey hain
Suna hai uss ke badan ki taraash aisi hai
ke phool apni qabaaein katar ke dekhtey hain
Rukey tou gardishein uss ka tawaaf karti hain
chaley tou uss ko zamaaney theher ke dekhtey hain
Kissey naseeb ke be-pairahan ussey dekhey
kabhi kabhi dar-o-deewaar ghar ke dekhtey hain
kahaaniyaan hi sahi , sab mubaalghey hi sahi
agar "woh" khawaab hai , "Taabeer" kar ke dekhtey hain
Judaaiyaan tou muqadder hai phir bhi jaan-e-safar
kuch aur door zara saath chal ke dekhtey hain
"Toou" saamney hai tou phir kiyon yaqeen nahin aata
yeh baar baar jo aankhon ko mal ke dekhtey hain
yeh kaun loug hain maujood teri mehfil mein
jo Laalachon se Tujhey ....Mujh ko jal ke dekhtey hain
Na tujh ko maat hui hai na mujh ko maat hui
So Ab ke donon hi chaalein badal ke dekhtey hain
Buhut dinon se nahin hai kuch "Uss" ki khair khabar
chalo zamane walo, Aey Yaar chal ke dekhtey hain
13.
ussay Dekho Tu Muhabbat Main Magan Kaisi Hai
Meri Ankhoon Kay SAmandar main Jalan kaisi Hai
Ajj Phir Dil Ko Tarapnay Ki LaGan Kaisi Hai
Ab Kisi Chaat Pay Chiragon Ki Qatarin Bhi Nahi
Ab Teray Shehar Ki Galioyon Main Guthan Kaisi Hai
Baraf Kay Roop Main dhaal Jain Gay Saray Rishtay
Mujh say Pocho Kay Muhabbat Main Agan kaisi Hai
Main Teray Wisal Ki Khuwahish Ko na Marnay Doon Ga
Mausam-e-Hijar Kay lehjay Main Takan Kaisi Hai
Raigzaron Main Jo Banti Rahi Kantoon Ki RiDa
Uss Ki Majboor Sii Ankhoon Main Kiran Kaisi hai
Mujhe Masoom si Pagal Larki Pay Taras ata hai
ussay Dekho Tu Muhabbat Main Magan Kaisi Hai
14.
Apane saaye se bhii ashko ko chhupaa kar ronaa...
Jab bhii ronaa ho charaagon ko bujhaa kar ronaa...
Haath bhii jaate huye vo to milaakar na gayaa...
Main ne chaahaa jise siine se lagaa kar ronaa...
Tere diivaane kaa kyaa haal kiyaa hai Gham ne...
Muskuraate huye logon mein bhii jaa kar ronaa...
Log pad lete hain chehare pe likhii tahariiren...
Itanaa dushvaar hai logon se chhupaa kar ronaa...
15.
"Kaash tum nay mujhey hansaya hotta
Kaash tum nay mujhey rulaya hotta
Kaash gussay main he apna bulaya hotta
Kaash mujhey yaad ker k apnay dil ko behlaya hotta
Kaash meri yaad satati tumhain
Kaash merray bina neend na atee tumhain
Kaash k tum meri mohabbat ko pehchaan patee
Kaash k tum mujhey apna hee bana patee
Kaash main tumhain apni bahoon main khilata
Kaash main tumhari zulfoon main so jata
Kaash k tum dil say chahtee mujhey
Kaash k apna saya banatee mujhey
Kaash main teri aankhoon ka kajol hotta
Kaash main iss barish ka badal hotta
Kaash tum merray sennay say lipat ker rotee
Kaash k merray bina teri subhoo na hotee
Kaash k hal-e-dil batata tumhain
Kaash k dil ka ghum batata tumhain
Kaash k apni jaaaan say bhee chahta
Kaash tumbin saan bhee lay na pata
Aay kaash yeeh saab ghum na hottay
Aay kaash na tum hottay na hum hottay
16.
KaaTi Hai Gum Ki RaaT baReY Ehtaraam Se
Aksar Bujha Liya Hai CharaaGon Ko Shaam Se
Roshan Hai Apni Bazm Aur Is EhtamaaM Se
Kuch Dil Bhi Jal RaheY haIn CharaaGon Ke Naam Se
MuddaT huWi Hai Khoon-E-Tamanna Kiye Magar
Ab Tak Tapak Raha Hai Lahuu Dil Ke JaaM Se
Subah-e-Bahaar Hum Ko Bulaati Rahi Magar
Hum Khelte Rahe Kisi Zulfo.n Ki Shaam Se
HaR saaNs Par Hai Maut Ka Pehra Laga huWa
Aahista Aye Hayaat Guzar Is Makaam Se
KaaTii Tamaam uMr Fareb-E-Bahaar meIn
KaaNTe SamaTe-Te Rahe Phoolo.n Ke Naam Se
Ye Aur Baat Hai Ke "Dua" Hum Nay Sun Kay
aZ uS Ne Di Hai HameIn HaR Makaam Se
17.
Wo qayamat ho sitara ho ke dil
kuch na kuch higr me tootay to sahi
hum wahin per hi basa lein khud ko
wo kabhi rah me rokey to sahi
sab se hat ker hi manana ha isay
ham se aik bar wo roothay to sahi
dil usi waqt sambhal jay ga
dil ka ehwal wo poochay to sahi
us ki nafrat bhi mohabat ho gi
meray barey me wo soochay to sahi
us ke qadmoon me bicha doon aankhain
meri basti se wo guzrey to sahi
us ke sab jhoot bhi sach hain mohsin
shart ha wo bolay to sahi
18.
Meri Tanhaaiyon Tum Hi lagaa lo mujko seene se...
Ke mein ghabra gayaaa hun..Is Tarah Ro Ro Ke jeene se..
Yeh Aadhi Raat ko fir Chudiyoon si kya khanakti hain
Koi Aaata Hai Yaa meri hi Zanjeerein Chalakti hain..
Yeh Baatein Kis Tarah Puchoon Saawan ke Mahine se..
Ke mein ghabra gayaaa hun..Is Tarah Ro Ro Ke jeene se..
Meri Tanhaaiyon Tum Hi lagaa lo mujko seene se...
Peene do mujhe apne hi Lahoo ka jaam pine do...
Na Seene do kisiko bhi Mera Daaman
Meri waishat na bad jaaye kahin Daaman ke seene se..
Ke mein ghabra gayaaa hun..Is Tarah Ro Ro Ke jeene se..
Meri Tanhaaiyon Tum Hi lagaa lo mujko seene se...
19.
Main Wohi Hoon Jise Tum Piyar Kiya Kerte The
Din Mein So Baar Mera Naam Liya Kerte The
Kiya Baat Hai Kiyoon Mujh Se Khaffa Bethe Ho
Kiya Kissi Aur Ko Dil Apna De Bethe Hoo
Faasale To Pehle Na Hua Kerte The AnMoL
Main Woh Hoon Jispe Tum Aetbaar Kiya Kerte the
Mujh ko Maaloom Hai Gum Hay Koi Sogaat Nahein
Tum Mujhe Apna Kahoo Aise Bhi Haalaat Nahein
Aur Ager Bhool Gaye Ho To Koi Baat Nahein
Zakham To Pehle Bhi Is Dil Pe Lagga Kerte The
Main Wohi Hoon Jise Tum Piyar Kiya Kertte The
Din Mein So Baar Mera Naam Liya Kerte The
20.
Romantic one
Nazar mein shokhiya aur shararat bhi hai,
Har ada uski mere liye muskurahat hai,
Ghani reshmi zulfe, chehra chand ka tukda,
Khile phool se mahka shabab hai uska,
Nazar jo phere vo to andhera chha jaye,
rubroo hote hi sitare jagmaga jaye,
Aisi koi hasina agar aapko mil jaye,
to khabar kar dena dosto,
hum zara khwabo ki duniya se bahar aa jaye.
21.
** kuch kuch pagal hotay hain **
pyar kay diye jalanay walay kuch kuch pagal hotay hain
apni jaan say janay walay kuch kuch pagal hotay hain...
hijr kay gehray zakham milay to mujh ko yeh ehsas hua
pagal ko samjhanay walay kuch kuch pagal hotay hain...
jaan say piyaray logoon say bhi kuch kuch pardah lazim hai
sari baat batanay walay kuch kuch pagal hotay hain...
khaboon main bhi milne kay sapnay dekhtay rehtay hain
neendon main muskanay walay kuch kuch pagal hotay hain...
is jhooti duniya main hum nay yehi hamesha dekha hai
sachi baat batanay walay kuch kuch pagal hotay hain...
piyar jinhain ho jaey un ko chain bhala kab mil pata hai?
shab bhar ashk bahanay walay kuch kuch pagal hotay hain...
apni zaat say ujray gulshan say woh piyar kahan kartay hain?
auroon ko mehkanay walay kuch kuch pagal hotay hain...
us kay ishq main bheeg kay 'wasiq' hum ko yeh ehsas hua
dil ki baat main anay walay kuch kuch pagal hotay hain
22.
"Baat kam kijiye, zihanat ko chhupate rahiye
yeh naya shahar hai, kuchh dost banaate rahiye"
" Dushmani laakh sahi, khatam na kijiye rishta
dil mile ya na mile, haath milate rahiye"
" Yeh to chehre ka koi akas hai tasveer nahin
is pe kuchh rang abhi aur chadhate rahiye"
" Gam hai aawara akele mein bhatak jata hai
jis jagaha rahiye wahan milte milate rahiye"
" jaane kab chaand bikhar jaye ghane jangal mein
ghar ki chaukhat pe koi deep jalate rahiye
23.
SUNTE HAIN KE MIL JAATI HAI HAR CHEEZ DUAAA SE,
Ek Roz tumhe maang ke Dekhenge Khuda Se...
Duniya Bhi Mili hai, game Duniya bhi Milade,
Woh Kyon Nahin Milta Jise maanga tha Khuda Se
Aaene me Woh Apni Adaa Dekh rahe hain,
Mar jaaye ke Ji Jaaye Koi Unki Balaa Se...
Ulfat ka jab kisine liya naam, ro pade
Apni wafa ka soch kar anjam, ro pade
Har sham ye sawal mohabbat se kya mila
Har sham ye jawab ki har sham, ro pade
Rona hi jab naseeb to auro se kya gila
apne hi sar liya koi iljam, ro pade
Ulfat ka jab kisine liya naam, ro pade
Apni wafa ka soch kar anjam, ro pade
24.
apne yaar ke muskrane pe aetebaar na karr...
dhoka de jae ga woh bhi aetebaar na karr...
lakh hassion ke picche chopa hota hai kanjjar...
yaar to mujhe pe chup chup ke war na karr...
jaanta hu de jae gi daaga mujhe tu...
iss jhoti mohabbat mein mujhe giraftaar na karr...
bohat dekhe hai tere jaisi dil phenk dewaniya...
jhota mujhse to iqraar na karr...
sikha hai eik sabak is duniya se...
e dost kabhi kissi bewaffa se pyaar na karr...
25.
Gum teri judai kaa, kuch ess tarah dhota gaya
Ki siskiyan bhar bhar ke saari raat main rota gaya
Kab subah hui eska hosh bhi nehi raha
bas darkhato deevaro ko yuu hi dekhta raha
Hai ajaab yeh zindagi kya kya sitam dhayagi
silsila teri yaadon kaa to umar bhar chalta gaya
26.
Hai Ikhtyaar me Tere To Moajazaa Kar De,
Woh Shakhs Mera Nahin hai, Use Mera Kar De..
Me Uske Zor Ko Dekhun Woh Mera Sabr-O-Sukun,
Muje Chiraaz Banaa De, Use Hawaa Kar de...
Mera Bizaar Kahin Khatm hi nahin Hota,
Zaraa si Dur ka Rasta, Hara Bharaa Karde
Akeli Shaam bahot Hi Udaas Karti Hai,
Kisi ko bhej Koi mera Hamnawaaz Kar de...
27.
Manzur Kismat Ko
Na Thi Marzi Bahaaron Ki
Nahin to Is Gulistan me...
Kami Thi Kya Nazaaro Ki,
Meri Nazron ko bhi Koi Nazaara Mil gayaa hota..
Agar Toofan Nahin aata Kinaara Milgayaaa Hota.
Khushi se Apni Aankho ko,
Me Ashkon se Bhigo Leta..
Mere Badle To Hans Leti,
Tere Badle Me Ro Leta...
Mujhe Ae Kash Tera Dard Saara Mil Gayaa Hota..
Agar Toofan Nahin aata Kinaara Milgayaaa Hota.....
28.
BAHOOT DINO KI BAAT HAI
SHABAB PAR BAHAR THI, FIZA BHI KHUSHGAWAR THI
NA JANE KYO MACHAL PADA, MAIN APNE GHAR SE CHAL PADA
KISI NE MUZKO ROK KAR , BADI ADA SE TOK KAR
KAHA KI LAUT AAIYE, MERI KASAM NA JAIYE
MAGAR MUZE KHABAR NA THI, MAHOL PAR NAZAR NA THI
NA JANE KYO MACHAL PADA, MAIN APNE GHAR SE CHAL PADA
MAIN SHAHAR SE PHIR AAGAYA, KHYAL THA KI PA GAYA
USE JO MUZSE DOOR THI, MAGAR MERI JAROOR THI
PHIR EK HASEEN SHAM KO, MAIN CHAL PADA SALAM KO
FIZA KA RANG DEKH KAR, NAYI UMANG DEKH KAR
MUZE BADI KHUSHI HUI,
MAIN KUCH ISI KUSHI MEIN THA, KISI NE TOK KAR KAHA
PARAYE GHAR SE JAIYE, MERI KASAM NA AAIYE
WOHI HASEEN SHAM HAI, BAHAR JISKA NAAM HAI
CHALA HOO GHAR KO CHOD KAR, NA JANE JAUNGA KIDHAR
KOI NAHI JO ROK KAR, KOI NAHI JO TOK KAR
KAHE KI LAUT AAIYE
MERI KASAM NA JAIYE
MERI KSAM NA JAIYE
MERI KASAM NA JAIYE
29.
ek bulbul ka joda dekha
tho socha ek kavita likhoon
kalam uthya tho shabd nahi mile
us bulbul ka joda dekh ke kho gayi
unka pyar dekh ke madhosh ho gayi
iss tarah pyar chalak raha tha un dona ki aankon mein
na samjhte hue unki zuban,mein samjhi kya kehna tha unhe
koi darr nahi tha
jewan tha umar raha
saath rehna tha sada unhe
unka pyar tha umang raha
gila nahi tha unhe kisise
na kisi se dushmani thi
gam nahi tha koi unhe
bas yahi unki zindagi thi
ek duje ke liye bane te wo
ek ghar tha unhe basana
door desh se aaye te woh
doond rahe te aashiyana
30.
Pyaar kya hai...
Ek ehsaas ya ek meethi si chubhan
Dard ka sailaab ya do dilon ka milan
Shayad Pyaar ek khamoshi hai
Jise aankhen hi pad sakti hain..
Ya dil se dil ki baat hai
Jo dhadkane hi samajhti hain...
Pyaar jo aankhon se jhalakta hai
Aur mann me tadapta hai..
Pyaar ek khushboo hai
Jisse ye jahan mehakta hai..
Un haathon ki chhuan hai
Jinse ye tan siharta hai..
Armaano ka sagar hai
Dil jinme doobta utarta hai..
Pyaar ek aarzoo hai
Jisme kuchh nahi chaha jata
Pyaar ek tyaag hai
Jisme sab kuchh hai diya jata..
Ya Pyaar ek rishta hai
Jise koi naam nahi diya jata...
31.
WOH BEKHABAR SOYE HAIN LOOT KAR NEENDEIN MERI
AB JAZBA-E-DIL DHANE KO JEE CHAHTA HAI
KAB SE KHAMOSH HO AE JAANE JIGAR
KYA AUR SITAM DHANE KO JEE CHAHTA HAI
CHHUT KAT TUMSE KAHAN CHAIN MILEGA HUMKO
AB TO YAHIN MAR JAANE KO JEE CHAHTA HAI
CHAND CHEHRA HAI TERA AUR NAZAR BIJLI
HAR EK JALWE PE MAR JAANE KO JEE CHAHTA HAI
CHAND KI HASTI HAI KYA SURAJ KE SAAMNE
TERE KADMON MEIN MIT JAANE KO JEE CHAHTA HAI
32.
Masum Sa DiL Tha Mera Jo Aap Yoonhi Tor Gaye.........,
Bina Koi Wajah Hume Akela Chor Gaye.........
Ab Ye Judai ka Dard Leke Hum Kahan Jaye ......,
Ki Bina Aapke Humse Shayad Jiya Nahi Jaye.......
DiL To Yehi Chahta Hai ki Aap Wapis Laut Aaye.....,
Raah Mein Jo Kaantein Hai , Unhe Phoolon Mein Badal Le Aaye.......
Kash Meri Ye Khwaish Poori Ho Jaye........
Lekin Mujhpe Itna Rahem kahan ki Wo Phir Se Hamare Ho Jaye.......
33.
Yeh pal pal ka chalna, fasila khatam na karega,
Tum kitna bhi chaho, tumhe woh kal na milega!
Yeh koi gaata hai, ya namaaz padta hai,
Tum kitna bhi chaho, tumhe alag khuda na milega!
Yeh guzarti hui raat hai, ya nikalti hui sehar,
Tum kitna bhi chaho, tumhe humsafar na milega!
Yeh Baarish ki boondein hain, ya aankhon ke aansoon,
Tum kitna bhi chaho, inhe thaamne wala na milega!
Yeh dil ke tukde hain, ya aap ki yaadein,
Tum kitna bhi chaho, tumhe marham na milega!
Yeh dil mein armaan hain ya sulagte hue sholey,
Tum kitna bhi chaho, tumhe sehra mein paani na milega!
Yeh kaisi uljhan ban gayee hai, dil ki dhadkan,
Tum kitna bhi chaho, tumhe sukoon na milega!!"
34.
Yehi Wafaa ka sila hay, to koee baat nahi....
Yey dard tum ne diya hay, to koee baat nahi ....
Yeyhi bohat hay key tum deykhtay ho sahil say ...
Safeena doob raha hay, to koee baat nahi ...
Rakha tha aashiyana-e-dil main chupa kay tumko ...
Woh ghar tumnay choor diya hay to koee baat nahi ..
Tum hi nay aayena-e-dil mayra banaya tha.....
Tum hi nay tor diya hay to koee baat nahi...
Kisay majaal kahay koee mujh ko deewana...
Agar yay tumnay kaha hay to koee baat nahi
35.
Bhoolne wale se koyi keh de zara,
Is tarah yaad aane se kya fayeda,
Jab mere dil ki duniya basti nahi,
Phir khyalon main aaane se kya fayeda,
Aasra de ke dil tor te hain mera,
Is tarah sataane se kya fayeda,
Mujh pe bijli girao to jaanu sahi,
Aashiane par girane se kya fayeda
36.
Tum hum say yah kahtay hoo, Mohabbat Nahin Rahi
Tum hi Badal Gay hoo, Yaa Woh Ulfat Nahin Rahi
Har Baat Pay Taana, har Andaaz main Gussa
Kiyun Saaf Nahin Kahtay, Mohabbat nahin Rahi
Gheron pay Karam, Apnoon pay Sitam kartay Hoo
Phir Shaan say kahtay, hoo Qurbat nahin Rahi
Sahra main Tapish main, jab Tum nay Humain Choora
Is Husan kay Bazaar main, woh Qeemat nahin Rahi
Maana kay Hum say, bhee buhat Galatiaan howee
Shayad kay Dar-Guzar, ki Tumhain Aadat nahin Rahi
Manzar too wohee hai, halat hain Badlay
Shayad kay Ishaq-e-Yaar, ki Zaroorat nahin Rahi
37.
Bas ek Nigah-e-yaar ki khwahish thi apnee,
Badi Der se Is taraf dekha Usne!
Yeh Dil Kirche-Kirche Bikhar Gayaa,
Dil par patthar Is Aadaa se Phenka Usne!
Hamare Aansoo to khair koi baat na the,
Apni Siskiyon ko Kyon Is tarah Roka Usne!
38.
Woh har shaam ko peena aur tanha raat guzaarna
Yaad hai, tumhe chahna aur kuchh bhi na jatana!
Woh har roz tang tang galiyon se guzarna
Yaad hai, tumhe milna aur phir nazarein churana!
Woh shabh bhar aag mein jalna aur subah chita sa ho jaana
Yaad hai, woh dhuan udana aur kahin usme kho jaana!
Woh har ik yaad pe dil ka chupke se dhadkna
Yaad hai, kehte the itna asaan nahin mujhe bhulana!
Woh unki ik nazar ko har waqt dhoondhna
Yaad hai, woh paana woh khona aur woh khojna!
Woh sheesha-e-dil kisi se bayan na karna
Yaad hai, woh aapka dil mein rehna aur use tod jaana!
Yehi zindagi hai, kuchh khona to kuchh paana
Yaad hai, tumhara kehna humein phir na pukarna!!"
39.
Dard Ke Phool Bhi Khilte Hein Bikhar Jaate Hein ..
Zakhm Kaise Bhi Hon, Kuch Rooz Mein Bhar Jaate Hein ..
Rasta Roke Khadi Hai Yehi Uljhan Kab Se ..
Koi Poochein To Kahin, Kia Ke Kidhar Jaate Hein ..
Chatt Ki Kariyon Se Utarte Hein Mere Khawb Magar ..
Meri Deewaron Se Takra Ke Bikhar Jaate hein ..
Narm Ilfaaz , Bhali Baatein , Mehzeb Lehja ..
Pehli Baarish Mein Hi Yeh Rang Utar Jaate Hein ..
Uss Dareeche Mein Aur Koi Nahin, Aur Hum Bhi ..
Sar Jhukaaye Huve Chup Chaap Guzar Jaate Hein !
40.
Is Zamanay Say Na Hum Koi Gilaa Rakhain Gain
Dil Lagayein Gain To Na Shart-E-Wafa Rakhain Gain
Na Dikhayain Gain Kabhi Dil Pe Lage Zakhm Unhain
Dard Uthay Ga Magar Dil Ko Daba Rakhain Gain
Jaan De Daingain Agar Aik Ishaara Kar De
Ham Usay Apne Liye Bhi Na Bacha Ke Rakhain Gain
Sab Hata Daingain Teri Raah Ki Rukawat Hamdam
Ghar Ke Darwazay Ko Har Waqt Khula Rakhain Gain
Unki Har Baat Ko Bhoolay Say Na Bhoolain Gain Kabhi
Unki Yadoon Ko Bhi Seenay Se Laga Rakhain Gain
Toot Bhi Jaayegi Umeed Jo Tere Aanay Ki
Ek Diya Phir Bhi Hawaaon Main Jala Rakhain Gain
41.
kise say dil laganay ko mayra abb je nahi karta
"kahin pay anay janay ko mayra abb je nahi karta
kise say dil laganay ko mayra abb je nahi karta
tumharay qurab ki khushboo kuch ayse dil ko bahi hay
kise kay sath chalnay ko mayra abb jee nahi karta
buhat dukhtay hain lakin acha bhi lagta hay yeah dil ko
puranay zakham bharnay ko mayra abbjee nahi karta
wo jab say yaad aya hay main aysay hal main gum hoon
kise say bat karnay ko mayra abb jee nahi karta
"kahin pay anay janay ko mayra abb je nahi karta
kise say dil laganay ko mayra abb je nahi karta
tumharay qurab ki khushboo kuch ayse dil ko bahi hay
kise kay sath chalnay ko mayra abb jee nahi karta
buhat dukhtay hain lakin acha bhi lagta hay yeah dil ko
puranay zakham bharnay ko mayra abbjee nahi karta
wo jab say yaad aya hay main aysay hal main gum hoon
kise say bat karnay ko mayra abb jee nahi karta
42.
Dil mein utara hai tujhe kaise kya baat karoon
Har pal teri yaad mein peeta hun e saaki
Badi rangeeniyat mein teri aankhon se piya tha
Paimana kya piyoon teri aankhon se e saaki
Mohabbat tujse mujhe hai kahan dhoondu tujhe
Har lamhe har andaaz mein bhatkata hun e saaki
Raaz is zindigai ki uljhan mein bhatkaata hai mujhe
Maikhana jab dikhata hai har roz har pal e saaki
43.
AIK SHAKHS....
Bana Gulab To Kante Chuba Gaya Aik Shakhs
Hua Chirag To Ghar Hi Jala Gaya Aik Shakhs
Tamam Rang Mere Aur Sare Khoawab Mere
Fasane Thay Ke Fasana Bana Gaya Aik Shakhs
Mein Kis Hawa Mein Uron Kis Fiza Mein Lehraon
Dukhon Ke Jaal Har Su Bhicha Gaya Ail Shakhs
Mohabbaton Ne Kissi Ki Bhula Rakha Tha Isse
Mille Who Zakham Ke Phir Yaad Agaya Aik Shakhs
Khula Yah Raaz Ke Aaina Khana Hai Duniya
Aur Is Mein Mujhay Tamasha Bana Gaya Aik Shakhs
44.
humaree kuch iss tarah jaree hai
har taraf hai shor phir bhi aik sakoot taree hai
Bass ho jaye aik baar guftugoo aap say
chaaat jain khamooshiyaan yeh arzoo humaree hai
hum tu keh hi detay hain hal-e-dil apna
bohat howa aik tarfaa aab baree tumharee hai
kuch tum kaho kuch hum sonain kuch hum kahain kuch tum sono
yehi dastoor-e-zamana hai yeh dunya daree hai
bay wajha hai mera tum morad-e-ilzam therana
khudee hum kalam na ho saka, mujhay per khuff-e-inkar taree hai
45.
Jitna tum ko chaaha tha hum nay
Utnaa kisi ko chaah na sakay
Socha tha bhool jaaingay kabhi na kabhi
Lekin najaanay kyoun bhulaa na sakay
Honton nay to chupa liye armaan dil ke
Lekin ankhon say chupa na sakay
46.
Mohabbat Kisay Kehtay hain?
"jinhain khud aas-e-wafa nahin woh aaj itratay hain
inhain kia pata dil-o-mohabbat kisay kehtay hain
woh jo bat-ba-bat pa uth ka auron ko bulatay hain
inhain kion bataon ka salika-e-shikva kisay kehtay hain
manzilon ka asar jub honay lagtay hain madham safar main
insan reh jaye tanha to sath chorna kisay kehtay hain
rafaqatoon ki daur main aksar hui hum sa bhool chook
usay kia pata mohabbat main maf karna kisay kehtay hain
jao ja kar apni yadoon ko tatolo aur daikh lo humnava ja ka
main kahan kahan roya aur tera manana kisay kehtay hain
is tarha sa to shayad koi pathar bhi tera sath na day kabhi
shayad ka tujhay bhi ehsaas ho tanhai kisay kehtay hain
mujhay har roz har lamha tarpaya tum na rulaya tum na
agar yeah zulm nahin mujh pa to jafa kissay kehtay hian
woh kehtay hain ka hum sa naraz bhi nahin hain
yoon uth ka jana aur wapis na ana 'umair' kisay kehtay hain
Tumsa jo kuch mile to tumhein bhool jaooN main
Soorat koi bane to, tumhein bhool jaooN main
47.
Her cheez poochti hai, nazaroN se jaam tak
Kitne sawaal uthte hain, subh-o-se shaam tak
Koi na kuch kahe to tumhein bhool jaooN main
Tumsa jo kuch mile to tumhein bhool jaooN main...
Guzre hue ki fikr na aage ka kuch khayaal
Na jane kis firaaq mein rahta hai mera haal
Apna pata chale to tumhein bhool jaooN main
Soorat koi bane to, tumhein bhool jaooN main...
Tumsa jo kuch mile to tumhein bhool jaooN main...
Wo justuju wo shaouq wo taqat nahi rahi
Lagta hai mujhko meri zaroorat nahi rahi
Ab zindagi bache to tumhein bhool jaooN main
Tumsa jo kuch mile to tumhein bhool jaooN main...
Soorat koi bane to, tumhein bhool jaooN main...
48.
Kitni aziat se us ne mujh ko bhulaya hoga
mere yado ne usay khoob rulaya hoga
baat bay baat ankh us ki jo chhalakti hogi
us ne chehre ko bazo-on mai chhupaya hoga
socha hoga us ne din may qaye baar mujhe
naam haathele pe bhi likh likh k mitaya hoga
jaha us ne mera zikr suna hoga kisi se
us ki ankho mai koi anso tou aya hoga
raat k bhegne tak neend na aye hogi tujhe
tu ne takeye ko bhi senay se laagya hoga
ho k nidhal mere yado se tu ne jana
mere tasveer pe sar apna tikaya hoga
poocha hoga jo kisi ne tere halat ka sabab
tu ne bato mai khub us se chhupaya hoga
jab kabhi chand ko dekha akele tu ne
tujhe Meira saath bara yaad aya hoga
49.
ghaayal kiya jab apnno ne,to gairon se gilla kiya kerna
uthaye hai khanjer jab apno ne,to zindgi ki tammna kiya kerna
dil tha aik kanch ka gher ,so aakhir wo bhi toot gyia
qismat main likhye hain jb gum,to khuda se gila kiya kerna
tersti rahi zindagi bher jin sacchey rishton ke liye
jab unhon ne hi thukera diya, to garon se tawqo kiya kerna
jis ko smjha tha apna, jis ko bnaya tha apna razdan
osi ne jb dil torr diya, to gaer ko apna ker kiya kerna
muskerana jo bhool gaye hont shazi,to kiya hua
gum ko bna liya hye apna, to muskera ke ab kiya kerna
50.
Kaaton se bhara mera aashiyaana ho gaya hai
Phoolon ko dekhe to ek zamaaana ho gaya hai
Hasin uski sun kar hoti thi subah meri
Khamoshi si aaj kal dostaana ho gaya hai
Chanchal si aahat uski aati hai khvabon mein
Sona mere liye to bas bahaana ho gaya hai
Thi zinda meri basti uske eh-do-karam se
Bichadne ke baad to ye viraaana ho gaya hai
Kehte hai 'tan.viir' ke peena chhod de
Jabki khali mera paimaana ho gaya hai
Sunaata tha haal-e-dil zamaane ko pehle
Ab to ye kissa bhi puraana ho gaya hai
51.
yaadon ke guzare mausam fir se mehakne lage hain
mere ashqon ko mere gham fir parakhne lage hain
yaadein unki achanak jaane kaise laut aayee hain
mere dil ke soye zakhm fir sulagne lage hain
sunaa hai fizaa par bahaarein meharbaan hai
Aur isiliye meri ummedon ke phool jalne lage hain
maasoomiyat ka naqaab oodhe fir koi milaa hai
Fir guzre waqt ke silsile chalne lage hai
Unki tasveer dil mein kyaa basaa li hamne
Saare chehre uske jaise lagne lage hain
Unke milne aur khone mein itnaa to hua hi hai
deewaane hamein apne saath mein rakhne lage hain
52.
Jis din se juda wo ham se hoa
is dil ne dharakna chor dia
hai chand ka munh utra utra
taroon ne chamaka chor dia
wo sath hamaray hota tha
be-rut hi bahar a jati thi
ab lakh baharein bhi aien
phoolon ne mehekna chor dia
ik din ye dua mangi ham ne
"taqdeer badal de ay Maalik !"
awaz ye ai ke " Ham ne ......
Taqdeer badalna chor dia !!"
53.
Benaam Sa Ye Dard, Thehar Kyon Nahi Jata
Jo Beet Gaya Hai, Woh Guzar Kyon Nahi Jata
Sab Kuch To Hai, Kya Dhundti Rehti Hai Nigaahein
Kya Baat Hai, Mai Waqt Pe Ghar Kyon Nahi Jata
Woh Ek Hi Chera To, Nahi Sare Jahan Mein
Jo Door Hai Woh Dil Se Utar Kyon Nahi Jata
Main Apni Hi Uljhi Hui, Raho Ka Tamasha
Jate Hain Jidhar Sab, Main Udhar Kyon Nahi Jata
Woh Naam Jo Na Jane Kab Se, Na Chehra Na Badan Hai
Woh Khawaab Agar Hai To Bikhar Kyo Nahi Jata
54.
Mujhey lagta hai aesa kabhi kabhi
Jaisy woh ajnabi larki
Mujh sey piyar karti hai
Mujhey chahti hai
Akser yunhi chup chup ker
Dekhti hai, janey kiya soch ker
Nazren chura jati hai
Kuch ghabra si jati hai
Apney aanchal ko hawaoon k zoor
per lehrati hai ....
55.
Mehsoos mujhey yeh hota hai k
Shaid mujhey woh bohat chahti hai
Mujhey aesa ehsas dilati hai jesay
Woh mujh sey kuch kehna chahti hai
Meray pochnay per kuch sharma si jati hai
Kuch ghabra si jati hai
Suniyey" keh kar bhaag jati hai
Ajnabi larki shaid piyar karti hai mujh sey
Aesa mehsoos hota hai janey kiyon mujhey
56.
pashane hayat per kuch ese bal pade,
hansane ko ji chahaa to aasoon nikal pade,
Rahane do na bhujaoo mere aashiaan ki aag,
is kashmash main kahin aap aanchal na jal pade,
is tarah ki raton main ashkon se gum,
koi dusra piye to dum nikal pade.
57.
AAJ DIL PE KOI ZOR CHALTA NAHI....
AAJ ASHKO SE SAWAN DHALTA NAHI....
TERI CHOTO NE JAKHMI KIYA HAI IS KADAR...
KISI MARHAM SE JAKHM BHARTA NAHI..
TUNE RUSVA KIYA HAI HAME IS KADAR..
THANDI SANSO KA SAILAB RUKTA NAHI..
APNE HI SHAANON PE SIR RAKH KAR... (SHAANON.....KANDHO)
RO LENE KA BHARAM DIL SE HAtTA NAHI..
APNI BAATO SE IS KADAR HAMARE DIL KA KATL KARNA
KISI KATIL KI SHAMSHHER SE KAM TO NAHI... (SHAMSHEER....TALWAR)
TUNE BANAYA THA APNA ....MAGAR AAJ GAWA DIYA..
TERE HOKER BHI AB HAM TERE NAHI...
58.
Tumne jo meri kabr par, aakar yun muskura diya
bijli chamak kar gir padi, sara kafan jala diya......
main so raha tha chain se, yun hi kafan e mazaar mein,
yahan bhi sataane aa gaye, kisne pata bata diya......
tumne chadhaye phool to, ehsaan kya kiya
humne tumhare ishq mein, sara chaman luta diya.....
pucha na jeete ji kabhi, dard e dil ka haal
aaye ho kabr par meri, mitti mein jab mila diya.....
aaye ho mazaar par mere, dekh liya ab mera haal
thukra ke mere pyar ko, kisi aur ko apna bana diya....
ab ho gaya hai ilm tumhein, ek shikayat meri jaan lo
kiya jo hashar tumne mera, apno ko begana bana diya....
main to kafan mein hoon ab, meri baat aur hai,
karna na unka haal wo ab, jo haal mera tumne bana diya....
tumne jo meri kabr par, aakar yun muskura diya
bijli chamak kar gir padi, sara kafan jala diya.....!!
aaj kuch aisa gujar gaya, dil toot kar bikhar gaya
dard kuch itna bara, hadd se he gujar gaya
59.
Ek paheli si ban gai hai jindagi ab to
Kaya ho raha hai, nahi kuch khabar ab to
Kab mile the hum sapno mei tumse
Kuch yaad nahi, kuch khabar nahi ab to
Teri wo baate, wo kahani teri
Kuch yaad bhi hai, kuch yaad nahi ab to
Tu rehta hai aas paas mere
Phir dil mera mayoos kayon hai ab to
Teri kavita mei tha jo pyar kabhi
Dard ban ke chalkata hai ab to
Pyar ka socha na tha, ikrar tha dosti ka
Kab huey dushmani, kuch khabar nahi ab to
60.
Hum tumhein bhoole nahin, ya jaan lo
tumhari shikast mein, hamari shikast hai, ye maan lo....
dil ki baat na chhupao, hum se kahe hi do
hum dil ke kitne paas hain, humein bata hi do....
aankhon ko rone na do, hawaon se mat puchho
ye ashq moti hain, mere pyar ke, inhein girne na do...
hum theek hain, aa rahe hain, dil ki dharkan ko na roko
Kuch aur intezaar kar lo, dil ki dharkan ko na roko.....
61.
Sapno ko sote dekha hai humne
khiltey huey phoolon ko jhertey dekha hai humne
aatee huey yaad unke rulaatee to thee humko
phir bhi bebasee mei muskuratey unhey dekha hai humne
Sapno ko sote dekha hai humne
khiltey huey phoolon ko jhertey dekha hai humne
aatee huey yaad unke rulaatee to thee humko
phir bhi bebasee mei muskuratey unhey dekha hai humne
haan sapno ko sote dekha hai humne
khiltey huey phoolon mei khusboo na thee
sugandhit pedon pe phool na theh
raat to thee, taare bhi theh
pur chand ke kuch kumee see thee
haan sapno ko sote dekha hai humne............
62.
Ke har mulakat tumse kyu lagti hai
Jaise rah gayi koi baat unkahi
Kaise baato mein tumse yeh kah du ke
Tum ho meri ek khwahish adhuri si
Ke yeh preet ka bandhan hai kaisa
Ek rishta yeh ki jiska koi naam nahi
Kyu nahi tumko apna keh paata ke
Tum ho meri ek khwahish adhuri si
Ke aankho ke darpan main basati ho yun
Ek aansoo ban palko main hai chhup jati
Ek moti ki tarah sanjo rakha hai ke
Tum ho meri ek khwahish adhuri si
Ke ek sapna ho to tum kuch aisa
Jo toot jaat har subah adhura hi
Khwaab main bhi puri na ho ke
Tum ho meri ek khwahish adhuri si
63.
baat jab phoolon se karna aa gaya
jindagi mai rang bharana aa gaya
muddate mujhako ujadate dekh kar
aaine ko bhi sanwarna aa gaya
khuub rone se huwa ik phayada
meri ankho ko nikharna aa gaya
teri basti mai hun aur milta nahie
mujhko kitna jabt karna aa gaya
jindagi kee kya hai kat hi jayegi
honsale se aab to marna aa gaya
chode kar manjhdhar mai sab chal diye
doob kar mujhko ubharna aa gaya.
64.
Kadam jakhmi hai to kya hua;
Hum aa jaayenge! Tum bula kar to dekho.
Jo tere hothon par kaanp raha hai, mera naam hai
Hum jaante hain ! Tum bhi bula kar to dekho.
Tera mera rishta to janmo ka hai.
Log maan jayenge! Tum bata kar to dekho.
Tujhi se shuru thujhi pe khatm hoti hai, meri har nazam
Kuch aur bhi likhunga! Tum pal bhar mujhe bhula kar to dekho.
Teri har ada par mit-ta chala gaya hoo mai
Aane do ab hosh main! Is ada se na dekho.
65.
Dushman bhi pesh aaye hai dildar ki tarah,,
Nafrat milee hai unse mujhe pyaar ki tarah.
Kaise milenge chanhne wale bataiye,
Duniya khadi hai rah mein deewarki tarah.
Woh bewafai kar ke bhi sharminda na hue,
Sooli pe hum chadhe hai gunahgar ki tarah.
Toofon mein mujh ko chod kar woh log chal diye,
Sahil pe they jo sath mein patwar ki tarah.
Chehre pe hadsoo ne likheen woh ibaratein.
Padhane laga har koi mujhe akhbar ke tarah.
Dushman bhi hoo gaye hain maseeha sifat Jamal
Milte hain toot kar woh gale yaar ki tarah.
66.
Tum Ko Maloom Bhi Nah Ho Shayad..!!
Tum Ko Maloom Bhi Shayad Yeh Kabhi Ho K Na Ho
Mairi Raatain Tairi Yaadon Sey Saji Rehti Hain
Mairi Sansain Tairi Khushboo Main Bassi Rehti Hain
Mairi Aankoon Main Taira Sapna Saja Rehta Hai
Han Mairay Dil Main Taira Aks Basa Rehta Hai
Is Tarhan Mairay Dil K Bohat Pass Ho Tum
Jis Tarhan Pass Sheh Rag K Khuda Rehta hai
Tum Ko Maloom Bhi Shayad Yeh Kabhi Ho K Na Ho
Mairay Aangan Main Lagay Phool Gawahi Daingay
Main nay Arsay Say Kisi Phool Ko Dekha Bhi Nahi Hai
Tujh Ko Socha Tu Phir Tujh Ko Hi Socha Hai Faqat
main Nay Teray Siwa Kisi Or Ko Socha Bhi Nahi
Tum Ko Maloom Bhi Shayad Yeh Kabhi Ho K Na Ho!
67.
Meri Aankhoon Main Hur Dum Tera Aks Saja Rehta Hai
Haan Meray Mehboob Tou Is Tarah Meray Dil Main Basa Rehta Hai
Jis Tarah Jism Ka Rishta Rooh Say Jura Rehta Hai
Meri Zindagee Ka Koee Lamha Nahee Teri Yaad Say Ghaafil
Kiyon Phir Tou Mujhay Bay Wafaee KA Ilzam Daita Hai
Parwanay K Muqadar Main jub pul pul Julna Tehra
Zamana Kiyon Phir Shamma Ko Jalanay Ka Ilzam Daita Hai
Kitab-e-Qanoon Main Jurm-e-Mohabaat Per Koee Tazeer NAhee Daikhee
Phir Kiyon Zamana Mohabbat Kurnay wallon koo Bhicharnay kee Saza Daita Hai
68.
Kaise bataaoon main tumhe
Mere liye tum kaun ho, kaise bataaoon
Kaise bataaoon main tumhe
Tum dhadkanon ka geet ho
Jeevan ka tum sangeet ho
Tum zindagi tum bandagi
Tum roshni tum taazgi
Tum har khushi tum pyaar ho
Tum preet ho manmeet ho
Aankhon mein tum yaadon mein tum
Saanson mein tum aahon mein tum
Neendon mein tum khwaabon mein tum
Tum ho meri har baat mein
Tum ho mere din raat mein
Tum subaah mein tum shyaam mein
Tum soch mein tum kaam mein
Mere liye paana bhi tum
Mere liye khona bhi tum
Mere liye hasna bhi tum
Mere liye rona bhi tum
Aur jaagna sona bhi tum
Jaaoon kahin dekhoon kahin
Tum ho vahan, tum ho vahin
Kaise bataaoon main tumhe
Tum bin to main kuch bhi nahin
Kaise bataaoon main tumhe
Mere liye tum kaun ho
Yeh jo tumhaara roop hai
Yeh zindagi ki dhoop hai
Chandan se tarsha hai badan
Behti hai jis mein ek agan
Yeh shokhiyaan yeh mastiyaan
Tumko hawaaon se mili
Zulfein ghataaon se mili
Honton mein kaliyaan khil gayi
Aankhon ko jheele mil gayi
Chehre mein simti chaandni
Aawaaz mein hai raagini
Sheeshe ke jaisa ang hai
Phoolon ke jaisa rang hai
Nadiyon ke jaisi chaal hai
Kya husn hai kya haal hai
Yeh jism ki rangeeniyaan
Jaise hazaaron titliyaan
Baahon ki yeh golaaiyaan
Aanchal mein yeh parchhaaiyaan
Yeh nagriyaan hai khwaab ki
Kaise bataaoon main tumhe
Haalat dil-e-betaab ki
Kaise bataaoon main tumhe
Mere liye tum kaun ho
Kaise bataaoon, kaise bataaoon
Kaise bataaoon main tumhe
Mere liye tum dharam ho
Mere liye imaan ho
Tum hi ibaadat ho meri
Tum hi to chaahat ho meri
Tum hi mera armaan ho
Takta hoon main har pal jisse
Tum hi to voh tasveer ho
Tum hi meri taqdeer ho
Tum hi sitaara ho mera
Tum hi nazaara ho mera
Yudhyaan mein mere ho tum
Jaise mujhe ghere ho tum
Purab mein tum pachhim mein tum
Utar mein tum dakshin mein tum
Saare mere jeevan mein tum
Har pal mein tum har chir mein tum
Mere liye rasta bhi tum
Mere liye manzil bhi tum
Mere liye saagar bhi tum
Mere liye saahil bhi tum
Main dekhta bas tumko hoon
Main sochta bas tumko hoon
Main jaanta bas tumko hoon
Main maanta bas tumko hoon
Tum hi meri pehchaan ho
Kaise bataaoon main tumhe
Devi ho tum mere liye
Mere liye bhagwaan ho
Kaise bataaoon main tumhe
Mere liye tum kaun ho
Kaise
This is written by great Mr. Javed Akhtar Sahab.
69.
jahan phoolon ko khilna tha wahin khilte to accha tha...
tumhi ko humne chaha tha, tumhe milte to accha tha...
koi akar humse pooche ,tumhe kaise bhoolaya haan..
hazaar zakhum aise the agar silte to accha tha...
tumhi ko humne chaha tha, tumhe milte to accha tha...
tumhain jitna bhoolaya hai tumhare yaad aae hai...
bahaar jo aae hai wohi khushboo hi lae hai...
tumhare lub agar meri khatir silte to accha tha...
tumhi ko humne chaha tha, tumhe milte to accha tha...
mila hai lutf humko bhi haseen yadon ki jhilmil main...
kati hai zindagi tum binmagar itne see hai dil main...
agar atay to accha tha, agar milte to accha tha...
tumhi ko humne chaha tha, tumhe milte to accha tha...
70.
kisi se baat karna , bolna accha nahi lagta,
tujhe dekha hai jab se doosra accha nahi lagta,
teri aankhon main jab se maine apna aks dekha hai
mere chahre ko koi aaina accha nahi lagta
tere baare main din bhar sochta rehta hoon main lekin
tere baare main sab se poochna accha nahi lagta
yahan Mohabbat karne wale barbaad rehte hain
yeh darya hai isse kaccha gharra accha nahi lagta
MAIN ab chahat ki us manzil per aa pouncha hoon
teri jaanib kisi ka dekhna accha nahi lagta
Bhari mehfil main tanha rehna acha lagta hai
terey barey main sochtey rehna acha lagta hai.
Kabhi pholon main ,kabhi kaliyon main
tujh ko hi dhontey rehna acha lagta hai
71.
Meree zindagi ki khushiyan tumhee say hain wabasta
rab say sirf tumhein hi mangna acha lagta hai
Hamarey darmiyan hail rahein sadiyon ki khamoshiyan
kuch is tarhan guftugu karna acha lagta hai
Tumhrey baghir zindagi ka koi tasavur nahi hai
kuch is tarhan tumharee tamanna karna acha lagta hai
Tum hi ko chaha,tum hi ko chahtey hain
tumhi ko chahtey rehna acha lagta hai
Main cheen lon ga tumhein duniya ki rasmon say
k mujhye zamaney say baghawat karna acha lagta hai
72.
Dosron ko hamari sazaein na de...
chandni raaton ko bud`duain na dey...
phool se aashiqi ka hunar seekh le...
titliyaan khud rukein gi sadaein na de...
sab sazaoun ka ikraar kerne lage hum...
ess qadar khoobsorat sazaein na de...
moteeeoin ko chupa seepion ki terha...
be wafaon ko apni wafain na de...
main biker jaoun ga ansuon ki terha...
es qadar pyaar se bad duain na de...
73.
din ko aagh ugalta suraj,shab ko taarey acchey hai'n
dil ki aa'nkh se dekho tao,sub nazzarey acchey hai'n
baat hamaarey dil ki hey,dil ko acchey lagtey hai'n
apna apna dil hey warna,rang tao saarey acchey hai'n
rang birangey mausam ka,dil se bada ta'alluq hey
dil ka mausam accha ho tao,mausam saarey acchey hai'n
saarey mausam niyaarey mausam,dilbar merey piyaarey mausam
mai'n kis kis ki taareef karoo'n,sub roop tumhaarey acchey hai'n
bheeghey bheeghey mausam mai'n,mai'n aksar betha sochta hoo'n
hum ne jo bhi din tumhaarey,sang guzaarey acchey hai'n
74.
Koi mere ho
Buss mere ho
Jisko toot kar pyar karoon
Apni chahat ka izhaar karoon
Jub woh roothay to manaoon mein
Uski baanhon mein hur pal guzaroon
Subha, shaam, din, aur raat guzaroon
Jisko apnay galay se lagaoon mein
Jiski ankhon mein dekhte he doob jaaon mein
Aik din to usko dil mein basaoonga
Kuch bhi hojaye lekin usko mein apnaoonga" !!
75.
Us shaks ko mera halka sa ehsaas to hai
be dard sahi woh mera humraaz to hai
Woh aaye na aaye mere paas lekin
shidat se mujhe us ka intezaar to hai
Abhi nahi to kya hua mil hi jayenge kabhi
mere dil main us se milan ki aas to hai
Pyaar ki gawahi mere aasoon se na maang
barasti nahi aankhen magar dil udaas to hai
76.
Ager Hum Dost Hotay Tu
To Karam Ki Inteha Kartay
Tumay Palkon Mein Basatay Hum
Ager Tum Rooth Jatay To
Tumhay Kitna Manatay Hum
Jo Milnay Tum Nahi Aatay To
Aa Kar Khud Tumhan Miltay
Tumhari Laghzishon Ko Bhi
Hansi Main Hum Ura Detay
Ager Apni Khata Hoti
To Khud Ko Bhi Saza Detay
Magar Ye Sab Jabhi Hota
Ager Hum Dost Hotay To
Magar Itna Hi Jana Hai
K Tum Ney Aaj Tak Hum Ko
Paraya Keh Ker Jana Hai
Kabhi Hamdam Naa Mana hai
Ager Hum Dost Hotay To.....
77.
Tumhare Sath Guzara Hua Har Ik Lammha Mere Yaadon Main
Jab Mujh Ko Sataye Ga Mujhay Tum Yaad AouGe .
Kisi Bhe Shaam Ki Tannhayoun Main ,
Koi Purskon Lammha Jab AyeGa
Mujhay Tum Yaad AouGe ..
Mujhe Tum Yaad AouGe
Kabhe Hansna Kabhe Rouna , Kabhe Gusay Bhari Batain ,
Kabhe Gumsum Bohot Chup Chup Mullakaten
..
Agar Aindha Saalon Main Koi Mousam Kabhe Ye Rang DekhayeGa
Mujhe Tum Yaad AouGe . Mujhe Tum Yaad AouGe !
Main Apnay Aap Main Khush To RehSakta Hon Bohot,
Laiken Mujhe Ik Bath Ka Dar Hai ..
Agar Agay Bohot Agay Khud Ko Mere Nazdeek Koi LaiyeGa
Mujhe Tum Yaad AouGe .. Mujhe Tum Yaad AouGe !
Dunnya Main Aetibar Kay Kabil Koi Nahin Mere Zinndagi Ka Ab Tak Haasil Hai Yehi Pher Bhe ..
Zinndage Kay Kisi Kamzor Lammhe Main Kabhe Koi Agar Dil Main Samaye Ga Mujhe Tum Yaad AouGe ..
Mujhe Tum Yaad AouGe !
Waqt Kay Sath He Rafta Rafta Loog Yaaden Our Bohot Si Dosri Batain Bhol Jate Hain ..
Per Ye Tae Hai Agar Kabhe Koi Mere Dil Se Tere Yaaden BholayeGa Mujhe Tum Yaad AouGe ..
Mujhe Tum Yaad AouGe !
Main Tum Ko Khud Se Bhe Agar Bholne Ki Jo Koushesh Karonga To Ye Kabhe Ho He Nahin Sakta ..
Tumhara Hizer Reh Reh Kar Mere Dil Ko Kabhe Jab Khoon Kay Aansoo RulayeGa Mujhe Tum Yaad AouGe .
Mujhe Tum Yaad AouGe !
Tumhare Saath Kay Aksar Lammhain Raaton Main Mujh Ko Aa Utha Te Hain Mere Neenden Churate Hain
Tab Mere Baychainiou Ko Pur Skoun Karne Ka Beara Jab Koi Uthaye Ga Mujhe Tum Yaad AouGe .....
Mujhe Tum Yaad AouGe !
78.
sans ka chalna agar naam zindagi hai,
to jeene walo me mera naam likha dena
dil ki daultat bhi, agar cheeze koi hoti hai,
to paise walon me mera naam likha dena
agar baharon pe marne wale hote agar ashik hain
to pyar karne walon me mera bhi naam likha dena
jado ki thiturati raton me agar , dil bhi jala karte hain
to jalke marne walon me mera bhi naam likha dena
kisi ki ankh me dubkar dil me utar gaya koi
doobne walon me , mera naam likha dena
79.
main lafzon mai kuch bhi izhar nahi karta
iska matlab ye nahi k main pyar nahi karta
chahta hoon main tujhe aaj bhi par
teri soch mei apna waqt bekar nahi karta
tamasha naa ban jaaye kahi mohabbat meri
isi liye apne dard ko namoodaar nahi karta
jo kuch mila hai usi mei khush hoon main
tere liye KHUDA se taqraar nahi karta
par kuch tou baat hai teri fitrat mein zalim
warna chahne ki khataa bar bar nahi karta...
80.
Phir yaad mujhey wo aata hai
Jab bagh main kalyaan khiltee hain.
Jab mast hawaen chaltee hain.
Jab rim jhim barish hoti hai.
Mahol nikharta jata hai.
Phir yaad mujhey wo aata hai.
Jab lehrain motee latee hain .
Qadmon ko choo kar jatee hain.
Taroon say bhara ye neela gagan.
Badal se ghir ghir jata hai.
Phir yaad mujhey wo aata hai.
Jab ghum ka ghor andhera ho.
Or mun bilkul hi akela ho.
jab ashk lari ban jatay hain.
aur dil zakhmi ho jata hai.
Phir yad mujhay woh aata hai.
jab lab par hansi ki lay phootay.
aur koi khushi daman bhar day.
jab mehfil main sab apnay hoon.
dil shukar say phir bhar jata hai.
Phir yad mujhay woh aata hai.
Phir yad mujhay jo aata hai.
kia yad tumhain bhi aata hai.
jo "Maalik" hai "Andataa" hai.
jo ujyarea phailata hai.
Phir yad mujhay woh aata hai.
81.
apne haatho se yu chehre ko chupate q ho,
mujh se sharmate ho tou saamne atay q ho...
tum kabhi mere tarha kar bhi lo ikraar-e-wafa,
pyar karte ho tou phir pyar chupate q ho...
Ashq Aankho Mei Mere Dekh Ke Rote Kyun Ho
Dil Bhar Aata Hai To Phir Dil Dukhate Kyun Ho
in se vaabasta hai jab mera muqadar phir tum,
mere shano se ye zulf hatatay q ho...
roz mar mar ke mujhe jeenay ko kehte q ho,
milne aatay ho to phir laut ke jatay q ho...
82.
Kabhi khamosh baithogi, kabhi kuchh gungunaaogi
main utna yaad aaoonga, mujhe jitna bhulaaogi
koi jab poochh baithega, khamoshi kaa sabab tumse
bahot samajahna chaahogi, magar samjhaa na paogee
kahin par bhee rahein hum tum mohabbat phir mohabbat hai
tumhe hum yaad aayenge....humein tum yaad aaogee
83.
Jo dard ke sehra mein akela bhi buhat hai,
us ke liye dewar ka sayaa bhi buhat hai..
dekha nahi tanhaai mein tum ne kabhi us ko,
bichre howey logon ko woh roya bhi buhat hai..
kuch tujh ko muhabat peh yakeen tha naa wafa par,
kuch dukh meri takdeer mein likha bhi buhat hai..
benaayi andheron se bhala kase bachata,
ek shaks tere hijar mein jaga bhi buhat hai..
84.
kaash k mujh se bhi kisi ko pyar hota"
"kaash k mujh se bhi kisi ko pyar hota,
kaash k mere liye bhi kisi ka dil beqarar hota,
kaash k mujhe bhi koi apni yaadon mein laata,
apne khuabon mein basata ,ankhon mein chupaata.
kaash k mujhse bhi kabhi koi izhaar karta ,
kaash k mere liye bhi koi bechaain hota,
kaash k mujhe bhi koi apne dil mein utarta ,
apni sanson mein samata , meri duniya ko mehkaata
kaash k mere bhi sapne kabhi sach hote,
kaash k mere bhi armaan pOore hote
kaash k mujhe bhi kabhi mil jaata koi,
dekhti use main harpal , rehti khoye khoye.
zindagi pyar bina adhuri si hoti hai,
ek saathi bina suni suni hoti hai,
kaash k mujhe bhi kisika saath mila hota,
kaash k mere zindagi mein bhi kisi ka saath hota......
85.
DUKH DARD KE MAARO SE MERA ZIKAR NA KARNA
GHER JAON TO YARO SE MERA ZIKAR NA KARNA
WOH ZUBT NA KAR PAYENGE ANKHO KE SAMANDAR KO
TUM RAH GUZARO SE MERA ZIKAR NA K ARNA
PHOLO KE NESHAIMAIN MAIN RAHA HON SADA SE
DEKHO KABHI KHARO SE MERA ZIKAR NA KARNA
SHAYAD YEH ANDEHRE HI MUJHE RAH DIKHAI
AAB CHAND SITARO SE MERA ZIKAR NA KARNA
WOH MERI KAHANI KO GALAT RUNG NA DE DEIN
AFSANA NIGARO SE MERA ZIKAR NA KARNA
SHAYAD WOH MERE HAL PER BESAKHTA ROH DAIN
IS BAAR BAHARO SE MERA ZIKAR NA KARNA
LE JAINGEH GEHRAI MAIN TUM KO BHI BAHA KAR
DARYA KE KINARO SE MERA ZIKAR NA KARNA
WOH SHAKS MILE TO USAY HAR BAAT BATA DEHNA
TUM SIRF ISHARO SE MERA ZIKAR NA KARNA
86.
phir kisi yad nay shab bhar hay jagaya mujh ko
Kiya saza di hay mohabat nay khudaya mujh ko
Din ko aaram hay na raat ko hay chain kabhi
Janay kis khaak say qudrat nay banaya mujh ko
Dukh to yeh hay keh zamanay main milay ghair sabhi
Jo mila hay woh mila ban kay paraya mujh ko
Jab koi bhi na raha kandha meray ronay ko
Ghar ki deewaron nay seenay say lagaya mujh ko
Uoon to umeed-e-wafa tum say nahein hay koi
Phir charaghon ki tarah kis nay jalaya mujh ko
Bewafa zindagi nay jab chorh diya hay tanha
Maot nay piyar say pehloo main bithaya mujh ko
Woh diya hoon jo mohabat nay jalaya tha kabhi
Gham ki andhi nay sar-e-sham bujhaya mujh ko
kaisay bhoolon ga wohi wasl kay lamhay
Yad aata raha zulfon ka hi saya mujh ko
87.
Na jane konsa jhonka tha jo tumhein inta behka gaya
Yeh kaisi mohabaat thi
ke bas tinka bhar aithabaar reh gaya
Shak ke daiyre mein jo phool khilthe hain
Unse mehek nahi bas kante chubte hain
Tum jane se pehle mud ke tau dekh lete ek baar
Mughe apne mohabaat mein marta chod gaye
mere katil ko dekh lete ek baar
Tum bewafa kitni asani se keh gaye
Zindegi kehkar mughe
meri zindegi leh gaye
88.
Kahaa nahi par chupa pyar to tha
Khamosh thi par aankho ko intezaar to tha
Tum to keh gaye ki koi pyar ki baat nahi
Par jab palat ke dekha humne
Tumhe waha khada paya to tha..
Tumne kaha pyar nahi na sahi humse tumko
Par hamari ek nazar ko tu tarsa to tha..
Tum hamaare ho iss ehsaas se hein zinda,
Warna hum to the khud se bhi sharminda,
Teri chahat ne hai kiya karam,
Warna khudse nazrein nahin milate the hum,
Tu hi laya hai iss virane mein bahaar,
Warna kahaan aata tha iss dil ko karaar,
Shukriya mujpe aane wale o dil,
Ab tu dariya, tu hi mauj aur tu hi saahil
89.
Kahaan Aa Kay Rukney Thay Raastey, Kahaan Moor Tha, Ussay Bhool Jaa
Joo Mil Gaya Ussay Yaad Rakh, Joo Nahien Mila Ussay Bhool Jaa
Woh Tere Naseeb Ki Baarishein Kisi Aur Chhat Pe Pe Baras Gayien
Dil-e-Bekhabbar Meri Baat Sun, Ussay Bhool Jaa, Ussay Bhool Jaa
Mein Too Gum Thaa Tere Hi Dehyaan Mein, Teri Aass Tere Gumaan Mein
Saba Keh Gayi Mere Kaan Mein, Mere Paas Aa Ussay Bhool Jaa
Kisi Ki Aankh Mein Nahien Ashq-e-Gham, Tere Baad Kuch Bhi Nahien Hai Kam
Tujhe Zindagi Ney Bhulaa Diya, Tu Bhi Muskuraa Ussay Bhool Jaa
Naa Woh Aankh Hi Teri Aankh Thi, Naa Woh Khuaab Hi Tera Khuaab Thaa
Dil-e-Muntazir Too Yeh Kis Liye Tera Jaagnaa, Ussay Bhool Jaa
Yeh Joo Raat Din Ka Hai Khel Saa, Ussay Dekh Iss Pe Yakeen Naa Kar
Nahien Aks Koi Bhi Mustaqil Sar-e-Aaena, Ussay Bhool Jaa
Joo Bisaat-e-Jaan Hi Ulatt Gaya, Woh Joo Raastey Mein Palatt Gaya
Ussay Rookney Sey Husool Kya, Ussay Matt Bulaa Ussay Bhool Jaa
90.
daag duniyaa ne diye zakhm zamaane se mile
ham ko ye tohfe tumhein dost banaane se mile
ham taraste hii taraste hii taraste hii rahe
vo falaane se falaane se falaane se mile
khud se mil jaate to chaahat kaa bharam reh jaataa
kyaa mile aap jo logon ke milaane se mile
kaise maane ke unhein bhuul gayii tuu ai 'Diljale'
un ke Khat aaj hamein tere sarhaane se mile
91.
Kyun pyaar karne ki hadein hoti hein,
Kyun dil dene ki waje hoti hein,
Kyun jazbaaton ko dabana padta hai,
Kyun iss dil ko samjana padta hai,
Kyun har dil ko ye mehsoos nahin hota,
Kyun sabko ye manzoor nahin hota,
Kyun dil se dil nahin milta,
Kyun pyaar ka phool nahin khilta,
Kyun dil ke naghme dil nahin gaata,
Dil mein kya hai ye keh nahin pata,
Kya dil dene ki yahi saza hai,
Kya pyaar karne mein yahi mazaa hai.
Apne dard ko chhupana seekh liya,
Har baat par muskuraana seekh liya,
Aap jo kahein woh karte rehte hein,
Apne armaano ko dabana seekh liya,
Yakeen na ho to azmaan kar dekh bhi lo,
Hum to yahi kaheinge ki humne jeena seekh liya.
92.
Mairay Sabar Ka Na Lay Imtihaan
Mairay Sabar Ka Na Lay Imtihaan Mairee Khaamoshi Ko Sadaa Na Day
Jo Tairay Baghair Na Jee Sakay Usay Jeenay Ki Too Duaa Na Day,
Too Azeez Dill-o-nazar Say Hay Too Qareeb Rag-o-jaan Say Hay
Mairay Jism-o-jan Ka Yeh Faaslaa Kaheen Waqt Aur Barhaa Na Day,
Tujhay Bhool Kay Na Bhulaa Sakoon Tujhay Chah Kay Bhee Na Paa Sakoon
Mairee Hasratoon Ko Shumaar Kar Mairee Chahatoon Ka Silaa Na Day,
Wo Tarap Jo Shula-e-jaan Main Thee Mairay Tan Badan Say Lipat Gai
Jo Bujha Sakay To Bujha Isay Na Bujhaa Sakay To Hawaa Na Day,
Tujhay Gar Mailain Kabhee Fursatain Mairee Shaam Phir Say Sanwaar Day
Gar Qatal Karna Hay To Qatal Kar Yoon Judaaiyoon Ki Sazaa Na Day.
93.
AJ SHAAM PHIR JUDAYE KA PAIGAM LAYEE HAI
HAR TARAF EK AJEEB SI UDASEE CHAYEE HAI
DHOOR DHOOR TAK BAS RAAT NAZAR AYEE HAI
MERE KAMSIN UMAR KAYEE ZAKHMOO SA TUKRAYEE HAI
IN GHAMZADA ANKOO MEIN EK FARYAAD AYEE HAI
WAJA KUCH NAHEE BAS APNOO KE YAAD AYEE HAI
MEIN MUSAFIR HON SEHRA KA MERE MANZIL KAB AYEE HAI
WAHSHEE DUNYA MEIN JHOOTI RAH SAB NE DEKLAYEE HAI
SABHEE CHUP KA WAR KAERTAY HA ISMAIL
QATAL HONAY SE PEHLAY TALWAR KISE NAZAR AYEE HAI
94.
Dekh kar tujhe wo sama yaad aata hai
tere saath guzra har lamha yaad aata hai
wo tera sharmana, wo tera muskurana
wo tera daanto tale ungliyaan dabana
mujhe aaj bhi tere pyar ka
wo guzra zamana yaad aata hai....
mila kar nazrein, wo nazrein churana
aur nazrein chura kar, mere dil mein samana
mujhe aaj bhi tere pyar ka
wo guzra zamana yaad aata hai....
wo tere aanchal ka udna, wo umango ka badna
wo umango ka badke, mere haathon ko pakadna
meri nigahon se nigahein milana,
wo palkein uthana, wo palkein jhukaana,
wo palkein jhuka kar, mere dil mein samana
mere dil mein samakar, kahin aur na jaana,
mujhe aaj bhi tere pyar ka
har lamha yaad aata hai........!!
mere intezaar mein tadapna, meri yaadon mein khona
aur meri baaton par kabhi, dil hi dil mein rona
mujha aaj bhi tere pyar ka
har lamha yaad aata hai........!!
main azeez tha, azeez hoon,
markar bhi tere bahot kareeb hoon
mujhe aaj bhi tere pyar ka
har lamha yaad aata hai....!!
95.
Bebasii jurm hai hauslaa jurm hai
bebasii jurm hai hauslaa jurm hai
zindagii terii ik-ik adaa jurm hai
ai sanam tere baare mein kuchh soch kar
apne baare mein kuchh sochnaa jurm hai
yaad rakhnaa tujhe meraa ek jurm thaa
bhuul jaanaa tujhe duusraa jurm hai
kyaa sitam hai ke tere haseen shehar mein
har taraf gaur se dekhnaa jurm hai
96.
BHATAKNA NASEEB HAI APNA TO KAHNE KYA JAMANE KO
BHALA KOI KHUSHI SE CHHODTA HAI APNE ASHIYANE KO
HAMARE GUM KE AFSANE KO KOI SACH NA MANEGA
SABHI MANEGE SACH TERE SAR DARD KE BAHANE KO
KASOOR ANKHOON KA HO LEKIN VAAR SIDHA DIL PE HOTA HAI
NAJAR KE TEER BHI TO BHUL JATE HAIN NISHNE KO
SADA ANSOO BAHANE KI BHI TO HO SAKTI HAI MAJBOORI
KISI KA DIL NAHIN KARTA SADA ANSOO BAHANE KO
97.
tumhen hai shauq agar bijaliyaan giraane kaa
hamaaraa kaam bhii hai aashiyaan banaane kaa
bhalaa vo kaise samandar ke paar utaregaa
nafas nafas jinhen khadshaa hai Duub jaane kaa
sunaa hai aap hain maahir havaa chalaane mein
magar hamein bhii aata hai hunar diye jalaane kaa
98.
Mujhay har waqt tera hi khayaal rehta hai
Tu ayai naa ayai dil ko intizaar rehta hai
Main tujh se nafrat bhi karna chahoon magar,
Dil mein har dam tera hi pyaar rehta hai
Dil mein teri aas,teri pyaas hai
Isiliye to dil baiqaraar rehta hai
Main kisi aur se mohabbat karne lagoon
Dil mein is baat kai liye inkaar rehta hai
Duaa hai tera chehra jald hi dikh jaayei
Dil auroan ke chehroan se baizaar rehta hai
Main tujhai yaad karti rehti hoon
Dil mein teri yaadoan ka bazaar rehta hai
Tu mujhai milaiga zaroor...
Yehi khayaal najaanai kyoon har baar rehta hai
Duniya tujhai baiwafaa samajhti hai
Isi liye duniya se maira taqraar rehta hai
Meri aankhoan mein teri tasveer ho jaisai
Aankhoan mein har dam tera khumaar rehta hai
99.
KALIYOON KO BHI PEROON SE MASALNA PADA MUJHE
JINE KA APNA DHANG HI BADALNA PADA MUJHE
HAATH KO BHI HAATH JAHNA SUJHTA NAHIN HAI
UN RASTOON PE AKSAR CHALNA PADA MUJHE
KYA PUCHTE HO MERI TARAQEE KI DASTAAN
HAR ROJ NAYE SANCHE MAIN DHALNA PADA MUJHE
CHUPANA JISE BADA HI AHAM THA -E- DOSTO
VO RAAJ BAAR- BAAR UGALNA PADA MUJHE
PUCHHO MAT TUMHARI JUDAI KI AAG MAIN
GILI LAKDI KI TARAH JALNA PADA MUJHE
APNE SAFAR KI CHARCHA KAISE KAROON "_z__"
THAK KE THA CHUR-CHUR MAGAR CHALNA PADA MUJHE
100.
Yehi Wafaa ka silaah hai, to koi baat nahi
Yeh dard tum ne diya hai, to koi baat nahi
Yehi bohot hai ke tum dekhte ho sahil se
Safeena doob raha hai, to koi baat nahi
Rakha tha aashiyana-e-dil main choopa ke tumko
Woh ghar tumne chor diya hai to koi baat nahi
Tum hi ne aayena-e-dil mera banaya tha
Tum hi ne tor diya hai to koi baat nahi
Kise majaal kahe koi mujh ko deewana
Agar yeh tumne kaha hai to koi baat nahi
101.
Maanaa ke pyaar “aisaa” hota hai
Ya phir pyaar “waisaa” hota hai
Magar kaisey maanengey ham ke
Pyaar “aisaa-waisaa” hota hai
Yahaan dil ka soudaa hota hai
Ya phir takdeer savarnaa hota hai
Jo jitnii ibaadat kartaa utni
Duvaa ka woh hakdaar hota hai
Yeh ek paak-sa kaayam rishtaa hai
Ya phir nek kurbaanii hai
Har aankh unkey hukum par aur
Har hukum sar-aakhon par hota hai
Alag-sa ek rutbaa hota hai
Magar ajeeb-o-gareeb haal “Imran”
Lakiren hath par janaab ke aur
Kismat ka maalik koi aur hota hai
102.
Tere beghair ab mera jeena mahaal hai
mera nahi is Zindagi ka sawal hai
tu mujh se door hai meri Taqdeer main hai yeh
na jaane is Taqdeer ki yeh kaisi Chaal hai
dekha jo tujhe bas tujhe apna bana liya
main kya karoon teri Dosti ka kamal hai
tujh ko main Dil ki baat abhi tak na kehsaki
mujh ko is hi ek baat ka malal hai
jis ke hisaar se main kabhi na nikal saki
kuch aur nahi teri hi yaadon ka jaal hai
kaasssshh woh aaker ek baar mujh se kehde
Ishq tera is Jahan main Be Misaal hai
mujh ko khabar hai tum wahan Khush haal bohat ho
tum ko khabar nahi yahan MERA kya haal hai
103.
Hum ko kab tak vo aazmaayenge..
aur kitnaa humeiN sataayenge?!
gham-e-dauraaN ki kashmakash meiN humeiN
'kyaa khabar thi vo bhool jaayenge'!
do qadam saath chalte chalte phir
humko tanhaa vo choRh jaayenge!
saari qasmoN ko, saare va'adoN ko
ham to samjhe the, voh nibhaayeN ge!
ab bhee ummeed hai mire dil ko
kal ko shaayad vo lauT aayenge!
meri taareek zindagii meiN phir
pyaar ke deep vo jalaayenge!
gar mire pyaar pe yaqeeN na huaa
un ko dil cheer ke dikhaayenge!
bhool kar sab shikaayateN,un ko
pyaar se ham gale lagaa'eN ge
maaf karke khataooN ko unkii
phir se ghar apna hum basaayenge!!
104.
dil ke daryaa meiN utar ke dekho
tum mohabbat mujhse karke dekho
phir tumheiN meri talab ho shaayad
tum kabhi mujh se bichaR ke dekho
ishq ka saagar bohat hai gehraa
Doob kar khud bhi ubhar ke dekho
dunya phir lagne lagegi dilkash
isko tum meri nazar se dekho
pyaar kehte hain kise,zaraa tum
meri baahon mein bikhar ke dekho
mera gham mehsoos karna ho to
meri raahoN se guzar ke dekho
kya asar hota hai berukhii ka
meri c_h_a_h_a_t se mukar ke dekho
105.
Jo pyaar ka gharonda humne banaya tha
Kisi ne badhi berehmi se use giraya tha,
Pyaar ka waste de kar
Kisi ne mere dil ko bahut dukhaya tha,
Jhoothe pyaar ko sach samajh baithe the
Humne bhi khoob dhokha khaya tha,
Jab asliyat aayi thi saamne
Ashqoon ko khoob bahaya tha,
Ek pal me sab khatam ho gaya tha
Jo jo sapna aankhon me sajaya tha,
Jeena nahi chahte the magar
Dil ko bahut samjhaya tha,
Har shaqs ek sa nahi hota
Shayad Khuda ne mujhe aazmaaya tha,
Kisi ek ke dhokha dene se
har koi dhokebaaz nahi ho jata
Ye kahke dil ko behlaaya tha,
Woh din bhi kya khoob tha jab
Apne jazbaaton ko sametkar humne
Dil se Kaagaz pe utara tha,
'Mukesh' jo na tha Shayar kabhi
Usne bhi us din kalam uthaya tha !!!
106.
paas itna kyon mere aa rahe ho
pyaar itna kyon jataa rahe ho
manzoor nahi humko pyaar tumhara
phir kyon mere peeche aa rahe ho
thak gayin hoon mai zakhm bharte-bharte
tum kyon inhe aur badhaa rahe ho
andheron mein seekh liya hai jeena
chiragoN ko kyon jalaa rahe ho
tanhaaii mein umar hai guzri
kyon mehfilon mein bulaa rahe ho
uljhi huyi hai merii zindagani
tum kyon ise suljhaa rahe ho
ghamoN se hai apna rishta purana
tum kyon inhe cheene jaa rahe ho
ho sakta nahi sach jo kabhi bhi
sapney aise kyon dikha rahe ho
rahne bhi do mujhe mere haal pe
kyon tum mujhe samjhaa rahe ho
mar chuka hu main kabka
laash meri,ab kyon jala rahe ho !!!
107.
ROTE HUE BICHHADNE KI FASLEEN CHALI GAYEE
SHAHARNO SE AB KHALOOS KI RASMNE CHALI GAYEE
DIN RAAT KE SAFAR KA NATIJA YE HAI KI AB
AANKHOON SE SAARI RAAT KI NEENDNE CHALI GAYEE
PARDESH JANE WALE KABHI LAUT KE AAYENGE
BUS IS INTJAAR MAIN AANKHEEN CHALI GAYEE
JAB YE SUNA KI HAAR KE LAUTA HUN JUNG SE
RAAKHI JAMEEN PE PHENKAR BEHANEEN CHLI GAYEE
JISKO BAHUT AJIJ THI DARIYA KI DOSTI
USKE HI GHAR KO ROUND KAR MAUJNE CHALI GAYEE
108.
kaise kehdon zindagi ko teri jaroorat nahi,
jhooth kahta hoon jo kahata tujhse mohabbat nahi.
ji kahta hai chal kisi maykhane me,
aaj kuch thik apni tabiyat nahi.
hosh me na sahi nashe me hi kah donga,
tujhe chhodkar jahan me kisise nisbat nahi.
( nisbat = relation )
main kar to lunga izhaar kuch himmat jutakar,
par ho ikraar kabhi aisi meri kismat nahi.
dil lagaaoge to dil tutega hi,
ye haqiqat hai yaaron koi nasihat nahi.
jeeta hoon isliye ki ab marne ki fursat nahi,
warna jeene ki khaas mujhko hasrat nahi
109.
AAJ FIR PEHLE KI TERAH APNE KHAYALON MAIN GUJRA THA TERI GALIYO SE MAIN,
AAJ FIR PEHLE KI TERAH MAINE TUJHE BULAYA THA,
AAJ FIR PEHLE KI TERAH SAB LOGO SE MULAKAT HUI,
NA NAJAR AAYA TO SIRF TERA CHEHRA NA NAJAR AAYA THA
DIL MAAYUS HUA, TERA INTEJAAR KARNE KI JID KARNE LAGA,
BUSS MAINE YEH BOL KE APNE DIL KO SAMJHAYA THA
WOH NAHI AAYE HAI TO UNKI BHI KOI MAJBOORI RAHI HOGI,
WARNA HUMNE TO UNHE HAMESHA APNA INTEZAAR KARTE PAAYA THA.
110.
Aaj ki shaam hum tanha kyun hai?
Khaali khaali ye paimana kyun hai?
Unhe bhulaaye hue to zamana guzra
Dil yeh bechain bewaja kyun hai?
Intezaar nahi kisika ankhon ko jab
Ankhon se paani ab barsa kyun hai?
Chaand aur sitaare jab hai roshan
Andhero mein duba aasmaa kyun hai?
Ki nahi koi fariyaad jab unse 'Sabir'
Woh humse yun khafa khafa kyun hai?"
111.
sar jhukaaoge to patthar devataa ho jaayegaa
itanaa mat chaaho use wo be-wafaa ho jaayegaa
ham bhii dariyaa hai.n hame.n apanaa hunar maaluum hai
jis taraf bhii chal pa.De.nge raastaa ho jaayegaa
kitanii sachchaa_ii se mujhase zi.ndagii ne kah diyaa
tuu nahii.n meraa to ko_ii duusaraa ho jaayegaa
main Khudaa kaa naam le kar pii rahaa huu.N dosto.n
zahar bhii is me agar hogaa davaa ho jaayegaa
ruuTh jaanaa to mohabbat kii alaamat hai magar
kyaa Khabar thii mujh se wo itanaa Khafaa ho jaayegaa
112.
teri yaad ko dil mei liye baithi huin
teri bewafai ko pyar samjhe baithi huin
tanhai mei rah kar tumhe pukaare jaati huin
tere rahmo karam kei intejaar mei jiye jaati huin
na do ashko ko iljaam, gawah mohabaat kei hain ye
meri barbaad mohabaat kei saathi hain ye
zindagi ek kabristaan ban gai hai ab to
yaadon kei kabar per phool charaye jaati huin
beeti hui yaadein tumse wabasta ban kar bhoot abto,
dheere dheere dil ka dard baraye jaati hain
zakhmo kei nishaan ubhar aate hain,
tere pyar kei malham kei intezaar mei jiye jaati huin
113.
na shikaayate.n na gilaa kare
ko_ii aisaa shaKhs huaa kare
jo mere liye hii sajaa kare
mujh hii se baate.n kiyaa kare
[gilaa = complaint]
kabhii roye jaaye vo bepanaah
kabhii betahaashaa udaas ho
kabhii chupake chupake dabe qadam
mere piichhe aa kar ha.Nsaa kare
[bepanaah = limitless]
merii qurbate.n merii chaahate.n
ko_ii yaad kare qadam qadam
mai.n taviil safar me.n huu.N agar
merii vaapasii kii duaa kare
114.
Koshish to bahut karte hain ki tere bare me na sonche
Par Teri yaadein, tera khayal na chahate hue bhi bar bar aata hai
Tu chahe lakh inkar kar le, chahe lakh thokar mar de
Par is deewane ko to tere gusse pe bhi pyar aata hai
Ki humsa deewana na aaj tak hua hai aur na kabhi hoga
Poori duniya ko yeh khabar hai par tujhko hi na nazar aata hai
Kale chashme se poori duniya kaali nazar aati hai janam
Khuli aankhon se dekh - yeh deewana tujhpe aaj bhi kurbaan hua jaata hai
Mere liye na sahi apne liye hi sahi, par mere paas to aa
Tujhe duniyawalon se bachakar rakhoonga apne dil me hamesha ke liye
Mere dil ke dhadkan banja aur hame jeeney ka bahana de de
Char din aur jee lenge to bata tera kya jaata hai
115.
Lazzate gum bada deejiye
thoda sa muskura deejiye
Ek samandar ne aawaz di
thoda paani pila deejiye
Be ghar hoon hai ghar ki talaash
apne dil me basa leejiye
Choomna chahata hoon tumhe
apna aansoon bana leejiye
116.
hamari muskurahat humhe bhejte ho
kabhi muskura kar dekha to hota
bare pyar se laut dee wo yaadein
kabhi zikar apna bhee kiya to hota
jo aansoo ponchte theh hamare
apne aanson ko yuin roka na hota
lapak kar haath lete theh thaam
kabhi haath apna baraaya to hota
na jidd ko hamari yuin maan lete
kabhi dil ki apni humhe bhee sunaate
mukadar mei apne likhi hai judai
itne kareeb kaash tum aaye na hote.
117.
Soch Ke Hum Yeh Paresha Hain Ke Jindagi Kya Hai,
Na Mila Koi Jawab, Ke Hum Kya Hain.
Zakham Sabhi Ne Khaye, Dard Ajnabi Nahi Hain Yahan,
Beth Kar Apne Hi Gamon Pe Phir Rona Kay Hai.
Soch Ke....
Gairon Se Ummidae Wafa Karun Bhi To Karun Kaisai,
Mare Apno Ne Hi Siva Gam Ke Mujhe Diya Kya Hai,
Soch Ke....
Hamko Hogi Kabool, Jo bhi Sazza Tumne Sochi Hai,
Bas Hame Ye To Bata Ke Humse Hui Khata Kya Hai,
kahani bun ke jiye hai wo dil ke aashiyane men
lagegi humko bhi sadiyan unhe bhulane men.
118.
Raahon mein agar be-umeed se chale ay dost
Phir zindagi bhi ek hadasah jaise banjaigi
Aansuon ke sahare kaun nahi jeeta ay dost
Muskurahatain itne muqtasar se jo hai
(muqtasar = short lasting)
Yahan to har log hai mussarat ke sheda'ee
Hum bhi kyun na kare tanhai se bewafai.
Apne dost ki yeh baat na bhula dena yaar
Hum aapse bhi yeh ek umeed rakte hai
119.
Gulshan ki faaqat phooloN se nahiN kaaTon se bhi zeenat hoti hai
jeene ke liye is duniya meiN gham ki bhi zaroorat hoti hai
(gulshan - a flower or rose garden; faaqat - merely/only; zeenat -
decoration/beauty)
Ae waaiz-e-naadan karta hai tu ek qayamat ka charcha
yahan roz nigaHen milti haiN yahan roz qayamat hoti hai
(waaiz - preacher/advisor; naadan - ignorant;)
Wo pursish-e-gham ko ayae HaiN kuch keh na sakooN chup reh na sakooN
khaamosh rahooN to mushkil hai keh dooN to shikaayat hoti hai
(pursish - inquire/ to show concern about )
Karna hi padega jabt-e-alam peene hi padenge ye aansoo
fariyaad-o-fugaaN se ae naadaaN tauheen-e-mohabbat hoti hai
(alam -pain/grief ; fariyaad - complaint/plea; fugaaN - cry of distress;
tauheen - dishonor/insult)
Jo aake ruke daaman pe 'Uzma' wo ashq nahiN hai paani hai
jo ashq na chalke aankhoN se us ashq ki keemat hoti hai
(daaman - foot/base of lap )
120.
woh la khada kardi mujhe zindagi ke us mod par
lautna jaha se to sirf khak bankar
mujhpe na rona O mere ghar walo
mere hal na dekh sakoge mujhe zinda pakar
woh kyon aayi meri duniya me mohabbat bankar
iske pehle mai khush tha zindagi ke safar par
hojaye kuch aisa khuda meherbaan hokar
aur leyaon use ghar mai dulhan banakar.
121.
Aaj wo hi nahin mere paas.
Har pal har lamha karte the jinhe hum yaad,
kabhi sirf kabhi kabhi hoti thi jisse baat.
Aaj wo hi nahin mere paas.
Jiski baate soch kar apni tanhai ko bhuljata tha,
jinhe yaad kar ke kabhi hasta tha to kabhi udaas hota tha.
Aaj wo hi nahin mere paas.
jiske ane ki khushie se dil machalne lagta tha,
jiske na ane ke gum se dil bhar ata tha.
Aaj wo hi nahin mere paas.
jiski har ek muskurahat par hazaar asu the qurbaan,
jiski ek khushie ke liye har janam tha qurbaan.
Aaj wo hi nahin mere paas.
Bas ek ehsaan karde wo mujhpe aaj.
Wo yaade wo kuch baate, sirf unhe rehne de mere paas.
Unke siwa aaj kuch bhi nahin mere paas.
122.
Dhundh ujadde hue logon mein wafaa ke moti
ye Khazaane tujhe mumkin hai Kharaabon mein milein
[ujadde = desolated,ruined; Kharaab = bad]
Tu Khudaa hai na mera ishq farishton jaisa
Dono insaan hain to kyun itne hijaabon mein milein
[hijaab - veil, here it means barrier]
ab na wo main houn na tu hai na wo maazi hai `Faraaz',
jaise do shakhs tamanna ke saraabon mein milein
[maazi=past; saraab=illusion, mirage]
Gam-e duniya bhi Gam-e yaar mein shaamil kar lo
nashaa barhta hai sharabein jo sharaabon mein milein
Aaj ham daar pe Khenchay gaye jin baaton par
kyaa ajab kal wo zamaane ko nisaabon mein milein
[daar=to insult someone, nisaab=regular school courses,
here it means act for ppl to follow ]
123.
Kachi deewar hoon thokar na lagana mujko,
Apni nazron mein basa kar na giraana mujko !
Tumko aankho mein tasavur ki tarah rakhta hoon,
Dil mein dadkan ki tarah tum bhi basana mujko !
Baat karnay mein jo mushkil ho tumhay mehfil mein,
Main samajh jaaonga nazron say bataana mujko !
Vaada utna hi karo jitna nibha saktay ho,
Khawab poora jo na ho woh na dikhana mujko !
Apnay rishtay ki nazaakat ka baram rakh lena,
Main to aashiq hoon deewana na banana mujko !
Kachi deewar hoon thokar na lagana mujko,
Apni nazron mein basa kar na giraana mujko !
124.
Hamay to ab bhi woh guzra zamana yaad aata hai,
Tumhay bhi kya kabhi koi deewana yaad aata hai !
Hawain tez thi, baarish bhi thi, toofan bhi tha, lekin,
Tera aisay mein bhi vaada nibhana yaad aata hai !
Guzar chuki thi bahut raat baton baton mein,
Phir uth kay woh tera shama bhujana yaad aata hai !
Ghatain kitni dekhi hain par mujhay `Israr',
Kisi ka rukh par woh zulfain giraana yaad aata hai !
Hamay to ab bhi woh guzra zamana yaad aata hai,
Tumhay bhi kya kabhi koi deewana yaad aata hai !
125.
kabhi yun bhi aa meri ankh mein, ke meri nazar ko khabar na ho
mujhe ek raat nawaz de, magar uske baad saher na ho
woh bada raheem-o-kareem hai, mujhe yeh sifat bhi ata kare
tujhe bhoolne ki dua karoon, to dua mein meri asar na ho
kabhi din ki dhoop mein jhoom ke, kabhi shab ke phool ko choom ke
yun hi saath saath chalen sada, kabhi khatam apna safar na ho
mere paas mere habeeb aa, zara aur dil ke qareeb aa
tujhe dhadkanon mein basaloon main, ke bichhadne ka kabhie dar na ho
126.
Ishq meiN GHairat-e-jazbaat ne rone na diyaa
Warna kyaa baat thi kis baat ne rone na diyaa
Aap kehte the ke rone se na badlenge naseeb
'Umr bhar aapki is baat ne rone na diyaa
Tujh se milkar hameiN rona tha, bahut rona tha
Tangi-e-waqt-e-mulaaqaat ne rone na diyaa
Ek do roz kaa sadma ho to ro leiN, 'Imran'
ham ko har roz ke sadmat ne rone na diyaa
127.
KANTOUN KI CHUBHAAN PAI PHLOUN KA MAZAA BHI
DIL DARD KAY MAUSAAM MEIN ROYAA BHI HANSAA BHI
ANNAY KA SABAAB YAAD NA JANAY KI KHABAAR HAI
WOH DIL MEIN RAHA AUR USSAY TOOR GAYA BHI
DIL DARD KAY MAUSAAM MEIN ROYAA BHI HANSAA BHI
KANTOUN KI CHUBHAAN PAI PHOLOUN KA MAZAA BHI
HAAR AIK SAY MANZIL KA PATAA POOCH RAHA HAI
GUMRAAH MERAY SAATH HOA RAHNUMAA BHI
GUMNAAAM KABHI APNOUN SAY JO GHAAM HOAAY HASSIL
KUCH YAAD RAHY UN MEIN TU KUCH BHOOL GAYA BHI
DIL DARD KAY MAUSAAM MEIN ROYAA BHI HANSAA BHI
KANTOUN KI CHUBHAAN PAI PHLOUN KA MAZAA BHI
128.
TUJH SAY MILNAY KI SAZAA DEIN GAY TERAY SHEHAR KAY LOOG
YEH WAFAOUN KA SILLA DEIN GAY TERAY SHEHAR KAY LOOG
KIYA KHABAAR THI TERAY MILNAY PAY QAYAMAT HO GI
MUJH KO DEEWANA BANA DEIN GAY TERAY SHEHAR KAY LOOG
TERI NAZROUN SAY GIRANAY KAY LIYAY JAN-E-HAYAAT
MUJH KO MUJRIM BHI BANA DEIN GAY TERAY SHEHAAR KAY LOOG
KEH KAY DEEWANA MUJHEY MAAR RAHAY HEIN PATHAAR
AUR KIYA IS KAY SIWAA DEIN GAY TERAY SHEHAR KAY LOOG
YEAH WAFAOUN KA SILLA DEIN GAY TERAY SHEHAR KAY LOOG
129.
Tum na janogi aaj mai Masjid ho aaya ho,
US sai akalai mai do baat kar aaya ho!!
Mangta ho roj, auro kai liyai,
aaj apnai liayai bhi yek dua maang aaya ho!!
woh to Khuda hai, janta hoga sab-kuch,
phir bhi terai barai mai ussai bata aaya ho!!
guzarish karta raha, magar woh bhi khamoosh raha teri tarah,
likha tha jo kismat-ki-kitab mai dekh aaya ho!!
kuch tha nahi mere pass kimti denai ko!!
cheer kai dil, teri har sunheri yaad daan mai de aaya ho!!
bas dua yehi kar raha ho,milai tujhe Kushiya-hi-khushiya,
Terai sarai gamo per aaj, "Imran" naam likh aaya ho!!
Duniya jisey kehtay hain, jadoo ka khilona hai,
Mil jaayey to mitti hai, kho jaayey to sona hai !
Acha sa koi mausam tanha sa koi aalam,
Har waqt ka rona to, beekaar ka rona hai !
Barsaat ka baadal to deewana hai kya jaanay,
Kis rah say bachna hai, kis cchat ko bigona hai !
Gham ho ki khushi dono, kuch dher kay saathi hain,
Phir rasta hi rasta hai, hasna hai na rona hai !
Duniya jisey kehtay hain, jadoo ka khilona hai,
Mil jaayey to mitti hai, kho jaayey to sona hai !
130.
Woh jisne mohabbat ki baazi na kheli
Kya khaak zamane mein woh insaan jiya hai
Hamari tumhari kuch alag baat hogi
Ishq to duniya mein bahuton ne kiya hai
Bin piye jo main ladkhadda raha hoon
Yeh aankhon ne teri bataa kya kiya hai
Manzil ki talash mein gaya tha musafir
Raaste ne khud usko bhatkaa diya hai
131.
Raaz ki baatain likhin aur khat khula rehnay diya,
Jaanay kyun rusvaiyon ka silsila rehnay diya
Umar bhar meray saath reh kar woh na samjha dil ki baat,
Do dilon kay darmiyan ek faasla rehnay diya !
Apni fitrat woh badal paaya na iskay bawajood,
Khatam ki ranjish magar gila rehnay diya !
Main samajhti thi khushi degi mujhay `Sabir' fareb,
Isliye mainay ghamon say raabta rehnay diya !
Raaz ki baatain likhin aur khat khula rehnay diya,
Jaanay kyun rusvaiyon ka silsila rehnay diya !
132.
Aaj ki baat kal pe kyon taalo
Kal jo kehna hai aaj keh daalo
Meri uljhan chale ho suljhane
Pehle zulfe to apni suljhalo
Wo gali jaan leke rehti hai
Meri maano to dil ko samjhalo
Aaj ki raat phir mile na mile
Baaten jitni hai dil me keh daalo
Dil ki uljhan se dar nikal raha hai
Dil ko uljhan me aur uljha lo
Manzeelein ishq kahan hai 'Naushaad'
Shauk hi hai to thokre kha lo
Kal jo kehna hai aaj keh daalo....
133.
Laakh koshish ki,bahut jatan kiya
magar woh na ho saka kisi bhi tarah mera
Khud par yakeen tha,uspe bhi eitbaar tha
magar halaat ne na saath diya mera
kya kya socha tha,kya kya sapne dekhe the
mitti me mil gaya sabkuch mera
Suna tha kismatein insaan apni khud likhta hai
magar is hunar se bhi maat kha gaya haath mera
Koi maane ya na maane sach to ye hai
Kismatein to uparwala banata hai
Kab kisko kya mila....ye to woh hi behtar jaanta hai!!!
134.
Naye dhang hain ab, zamaane naye hain
Na aane ke un ke, bahaane naye hain
Nahin kuch hai badla riwaaj-e-muhabbat
Hai qissa wahi par, diwaane naye hain
Nigaahon ki aadat wahi hai puraani
Nishaana wahi par, nishaane naye hain
Agar aik bichda nasheman to kya gham
Banaane hamen aashiyaane naye hain
Badal kar taqdeer-e-sanam sochte hain
Hue haal apne puraane, naye haiN
135.
Bahut haseen lag rahi ho aaj tum
chalo in zulfon ko phoolon se saja doon
aankhon ki shararat ko mujhe tum pila do
apne honton ki hansi ko tujhe mei pila doon
bina kuchh kahe hi tumhe sub bata doon
kya chahta hai dil ye raaz bhi suna doon
is pal ko apni mutthi mei bund kur ke
tere seene ki garmi mei khud ko jala doon
teri dhadkano se apni dhadkane mila kur
jo duriyan thi ab tub woh sub mita doon
na ye hosh hi rahe ki do jism hai hum
khud ko mita kur mei tujhko bana doon
Bahut haseen lag rahi ho aaj tum
chalo in zulfon ko phoolon se saja doon
136.
pyar ahsas hai ahsas ko tum janchkar dekho
yakeen aa jayega ankhon me meri jhankkar dekho
tume lag jayega andaza kitni khoobsurat ho
kabhi meri nazar se khud ko zara aankkar dekho
churaya dil mera teri inhi masoom zulfon ne
eh kitni shokh chanchal hain aaeena jhankkar dekho
miloge jab bhi tum, "sartaj" ko hamdard paaoge
na sahi pyaar kam se kam ghamon ko baantkar dekho
137.
KYA HAASIL HOGA
aag se aag bujhaoon to kya hasil hoga
dard-e-dil sabko sunaaoon to kya hasil hoga
rah gayi kuch kasar shayad meri mohabbat me
bewafa us ko bataoon to kya hasil hoga
saath guzra tere har lamha bhulaane ke liye
tere khutoot jalaoon to kya hasil hoga
ab to ham ho gaye dariya ke do sahil ki tarah
khawab milne ke sajaoon to kya hasil hoga
kalam ne meri likha hai jo dil jakhmon ko
ghazal wo padh ke sunaaoon to kya hasil hoga
138.
Hey dil humne yeh kya ko diyaa;
Woh aaye humari mehfil mein, aur hum behosh rahe.
Sapne saare bikar se gaye;
Woh aaye humse kuch kehne, aur hum khamosh rahe.
Ho na kissi dushman ko bhi aisaa;
Ik pari aayi humse izhaar karne, aur hum bekabar rahe.
Ab ronaa to hey dil, kismat mein hai humaare;
Pyaar aayi humko dhoonthe, aur hum bewafa rahe.
139.
Tu kahin bhi rahe sar pe tere ilzaam to hai
tere haathon ki lakiiron mein mera naam to hai .......
Mujhko tu apnaa bana ya na bana teri Khushi
tu zamaane mein mere naam se badnaam to hai .....
Mere hisse mein koi jaam na aayaa na sahi
teri mehfil mein mere naam koi shaam to hai ....
Dekh kar log mujhe naam tera lete hain
is pe main Khush hoon muhabbat ka ye anjaam to hai .....
Woh sitamagar hi sahi dekh ke usko
shukr is dil-e-bimaar ko aaraam to hai ...
140.
Tera Khayaal dil se mitaya nahi abhi
Bedard maine tujh ko bhulaya nahi abhi!
Kal tu ne muskura ke jalaya tha khud jise
Sine ka woh chiraag bujhaya nahi abhi!
Gardan ko aaj bhi tere baahon ki yaad hai
Chokhat se teri, sar ko uthaya nahi abhi!
Behosh hoke jald tujhe hosh aa gaya
Main badnaseeb hosh mein aya nahi abhi!!"
141.
Zindagi ki kadmo ki aahat yu sunai padti
Jaise gujar rahi ho kareeb se hamari
Kabhi saamne to kabhi piche chalte pal
Band muthi se pal pal phisalte pal
Zindagi bahut badi nahi par lambi lagti hai
Chut te saathi umar bhar, yaado me nikalti hai
Har pal na jane kaise kuch naya le aata hai
Pichla sambhale is se phele ye chut jata hai
Har naye palke saath khudko badla pate hai
Utarti chadti lehro me behte chale jate hai
Aisa bhi nahi ki khushi hamare pass nahi aati
Par kya kare,yeh aansu bhi nabhi aa jate hai
142.
yun tu zindagi mein hazar waja hai muskuraney ke liye,
hum muskuratey hain bus apna ghum chupaney ke liye.
buhat se hal e dil hain is zindagi mein sunaney ke liye,
magar zaban jab uthti hai tu kuch na hota bataney ke liye.
kisi ki aankhoo ki nami hoti hai hal e dil samjhaney ke liye,
soochtey hain kitne samandar hain is mein bahane ke liye.
zindagi mein buhat se ghum miltey hain saataney ke liye,
ke ghum bhi zaroori hota hai is zindagi ke fasaney ke liye.
kuch bhi raha na baqi ab kisi se yeh dil laganey ke liye,
ke hosh bhi nahi khotey apna ghum bhoolaney ke liye.
kyun zaroori hai is zindagi mein kuch paaney ke liye,
ke un chaha bhi chahana parta hai is zamaney ke liye.
143.
Tum Kiya Jaano Main Khuda Se Kiya Maangta Hoon ?
Tumhari Salam-ti Ki Hamesha Duaa Mangta Hoon
Agar Anjaane Main Ho Jaaye Koi Tumse khata
Tou Do Mujhe Uski Saza Ye Maangta Hoon
Agar Lag Jaaye Koi Chot Tumko Ya Ho Jaaow Tum Pareshaan
Tou Meray Haq Main Wo Saari Takleefein Maangta hoon
AiY KHUDA Meray Mehboob Ko Gham Se Door Rakhna
Din Raat Tumhaaray Saaray Gham Maangta Hoon
Tum Ho Hamesha Kaamyaab Tumhaari Her Khwaahish Ho Poori
Buss Ye Chaahta Hoon Aur Tumhari Khushi Maangta Hoon
Main Jaanta Hoon Ke Tum Mayri Nahin Ho Lekin
Main Hamesha Khuda Se Tumhaara Saath Maangta Hoon
144.
saath halaat badal jatay hain
insan wahi rehtay hain,andaz badal jatay hain
lambay safar per musafir chal paray jo,
manzil wahi rehti hai,raaste badal jatay hain
duniya hai chaman aor loog baghban
chaman wahi rehta hai,baghban badal jatay hain
sard o garam ka kia gila shajar se karain,
saba wahi rehti hai,mosam badal jatay hain
intekhab wahi hain , ikhtiyaar wahi hain,
ahkaam wahi rehta hai,hukumran badal jatay hain
daur ek khatam ho aor ho dosra sharu "imran"
kashkol wahi rehti hai,sikkay badal jatay hain
145.
Tujhse Juda Ho Jaane Se Darr Lagta Hai,
Ulfat Nakaam Ho Jaane Se Darr Lagta Hai.
Nahi Hai Mumkin Jeena Tere Bin,
Tujh Bin Mar Jaane Se Darr Lagta Hai.
Kise Hai Fikr Duniya Ki, Zamaane Ki,
Tere Mukar Jaane Se Darr Lagta Hai.
Nahi Koi Aarzu Zindagi Me Tere Siwa,
Tujhse Bichhar Jaane Se Darr Lagta Hai.
Tujh Bin Saansein Haraam, Dhadkan Gunaah,
Tujh Bin Jeeye Jaane Se Darr Lagta Hai
146.
Apnay Husn Kay Jalway Is Tarah Dikhaaya Na Karo,
Roz Mujhay Khuwabon Main Aa Kay Sataaya Na Karo.
Ek Pal Main Rooth Jaana Aur Pal Bhar Main Maan Jaana,
Apni Yeh Chaalaakiyan Tum Mujhay Sikhaaya Na Karo.
Kyon Ehsaas Dilatay Ho Mujhay Meri Galti Ka,
Meray Hi Shair Mujhay Parh Kay Sunaaya Na Karo.
Apnay Zinda Honay Ka Ehsaas Honay Lagta Hay Mujhay
Meray Mernay Kay Baad Meri Qabar Pay Aaya Na Karo
147.
Reyt Ki Tarah Hath,Se Nikalti Chalee Gayee.
Zindagi Har Lamha, Badalti Chalee Gayee.
Aziz The Mujhe Apne Ausool Lekin Na Jane Kyun,
Naye Daurr Ke Dhanche Mein Yeh Dhalti Chalee Gayee.
Sehar Hone Pe Bhi Chirag Woh Bhujne Nahi Deta,
Idhar Mein, Udhar Woh Shamma Bhi Jalti Cahlee Gayee.
148.
chand lamhay udhar day do mujahy,
yadaein khush gawar day do mujahy.
sath chalnay may hai maza sara,
sath chal k bahar day do mujahy.
apni zulfon k ghanay saey talay,
bin peay khumar day do mujahy.
meray gulsahn ka rang o boo lay akar,
apney rastay k khaar day do mujahy.
chahay tum meri zindagi lay lo,
Bas!thora sa pyar day do mujahy.
149.
badnaam mere pyaar kaa afsaanaa huaa hai
diivaane bhii kahate hain kii diivaanaa huaa hai
rishtaa thaa tabhii to kisii bedard ne toDaa
apanaa thaa tabhii to koii begaanaa huaa hai
baadal kii tarah aa ke baras jaaiye ik din
dil aap ke hote hue viiraana huaa hai
bajate hain Khayaalon mein terii yaad ke ghungaruu
kuchh din se meraa ghar bhii pariKhaanaa huaa hai
mausam ne banaayaa hai nigaahon ko sharaabii
jis phuul ko dekhuuN vahii paimaanaa huaa hai
150.
RUKH SE PARDA HATA DE JARA SAQIYA
BAS ABHI RANG-E-MAHFIL BADAL JAYEGA
HAI JO BEHOSH WOH HOSH MEIN AAYEGA
GIRNE WALA HAI JO WOH SAMBHAL JAYEGA
TUM TASSALI NA DO, SIRF BAITHE RAHO
WAQT KUCHH MERE MARNE KA TAL JAYEGA
KYA YE KAM HAI MASIHA KE RAHNE HI SE
MAUT KA BHI IRADA BADAL JAYEGA.
TIR KI JAAN HAI DIL, DIL KI JAAN TIR HAI
TIR KO NA KHICHO KAHA MAAN LO
TIR KHICHA TO DIL BHI NIKAL AAYEGA
DIL JO NIKLA TO DUM BHI NIKAL JAYEGA
ISKE HASNE MEIN RONE KA ANDAAZ HAI
KHHAK UDAANE MEIN FARIYAAD KA RAAZ HAI
ISKO CHHEDO NA 'ANWAR' KHUDA KE LIYE
WARNA BIMAAR KA DUM NIKAL JAYEGA
151.
Ujala hogaya, hum to abhi andhere mein hai
Duniya bhul gayi, hum to abhi yaad karte reha gaye
Waqt chala gaya, hum to wahi ruk gaye
Tum wo pyar bhul gaye, hum to mohabbat karne lage
tum zindagi jine lage, hum moth ke kareeb agaye
itna fasla ho ke bhi, aap dil ke kareeb reh gaye
152.
Kabhi to tumko bhi hamhari, yun yaad aati hoge.
kabhi to tumhara dil bhi, milne ka karta hoga.
Tor ke dil hamahara, kabhi tumhara bhi to dil rota hoga.
Beeteh hue baatein soch kar,
tumhare aankeh bhi to bher aati hoge.
Itne dur jakar, vapis aane ko dil tumhara bhi to karta hoga.
Tor ke dil dil hamara, kabhi pachtava tumko bhi to hota hoga!!!
153.
Aankh say aankh mila baat banaata kyon hai,
Tu agar mujhsay khafa hai to chupaata kyon hai!
Gair lagta hai na apno ki tarah milta hai,
Tu zamanay ki tarah mujko sataata kyon hai!
Waqt kay saath khayalaat badal jaatay hain,
Yeh haqeeqat hai magar mujko sunaata kyon hai!
Ek muddat say jahan kafilay guzray hi nahin,
Aisee rahon pay charagon ko jalaata kyon hai!
Aankh say aankh mila baat banaata kyon hai,
Tu agar mujhsay khafa hai to chupaata kyon hai!
154.
kitne parvane jale raaz ye pane ke liye
Shamma jalne ke liye hai ya jalane ke liye?
Ronewale tujhe rone ka saliqa bhi nahi
ashq pine ke liye hai ya bahane ke liye?
Aaj kah dunga shab-e-gum ki shararat unse
roz aa jati hai kambaqt satane ke liye
humko maloom tha aap ayenge mere ghar lekin
khud chala aya hoon yaad dilaneke liye
155.
khuda kismat me tune kya eh meri likh diya
raste me thokrein raaton me jagna likh diya
khush nazar aata hoon mai youn to zamaane ke liye
hai kisi ko kya khabar tanha hi rona likh diya
socha maine us ko banaaon ga apna hamsafar
par raste me uska tanha chor jaana likh diya
hai nahi mera koi ab kis se mai shikwa karoon
ek sahara tha usi ka wo bhi khona likh diya
chehrey se masoom hai wo dil to hai patthar magar
kyoun khawab me sheeshe ka ghar taamir karna likh diya
wo to koson door hai gham ki ek parchayee se
kyoun umr bhar "IMRAN" ka gham hi se rishta likh diya
156.
Kyun pyaar karne ki hadein hoti hein,
Kyun dil dene ki waje hoti hein,
Kyun jazbaaton ko dabana padta hai,
Kyun iss dil ko samjana padta hai,
Kyun har dil ko ye mehsoos nahin hota,
Kyun sabko ye manzoor nahin hota,
Kyun dil se dil nahin milta,
Kyun pyaar ka phool nahin khilta,
Kyun dil ke naghme dil nahin gaata,
Dil mein kya hai ye keh nahin pata,
Kya dil dene ki yahi saza hai,
Kya pyaar karne mein yahi mazaa hai.
157.
KABHI YUN BHI AAAH..'''
Kabhi Yun Bhi Aa Meri Aankh Mein,
Ke Meri Nazar Ko Khabar Na Ho
Mujhe Ek Raat Nawaz De ,
Magar Uske Baad Saher Na Ho
Woh Bara Raheem-o-Kareem Hai,
Mujhe Yeh Sifat Bhi Ata Karein
Tujhe Bhoolne Ki Dua Karoon,
To Dua Mein Meri Asar Na Ho
Kabhi Din Ki Dhoop Mein Jhoom Ke,
Kabhi Shab Ke Phool Ko Choom Ke
Yun Hi Saath Saath Chalein sada,
Kabhi Khatam Apna Safar Na Ho
Mere Paas Mere Habeeb Aaah,
Zara Aur Dil Ke Qareeb AaAh,
Tujhe Dhadkano Mein Basalon Main,
Ke Bichhadne Ka Kabhie Dar Na Ho
158.
Rothna mujh ko bhi ata tha magar...
manane ki to usko aadat hi na thi...
Us ke sitam se meri yoon hi ankh bhar ati...
use bhi sha'ed meri hansi gawara na thi...
mujhse door jane ke woh dhondhti thi bahane...
aur mujhe swaal tak pochne ki ijazat na thi...
Woh jab bhi chahti hansti aur khilkhilati...
magar us se kabhi koi shikayat maine ki na thi...
159.
Waadian Mera Daaman, Raaste Meri Baahein..
Jaao Mere Siwa Tum Kahaan Jaaoge..
Jabse milne lagin tum se Raahen Meri...
Chand Suraj bani do nigaahein meri..
Tum Kahin bhi raho tum nazar aaoge..
Waadian Mera Daaman, Raaste Meri Baahein..
Tere Bina zindagi se koi shikwa to nahin...
Tere Bina Zindagi bhi lekin Zindagi to nahin.. Zindagi nahin..
Ji me aata hai ke tere daaman me sar jhukar ke ham
rote rahein rote rahein...
Teri aakhno me aansun ki nami to nahin...
160.
Wa-izo, meri bhi sun lo wa-iz farmaane ke baad
Aap bhi kuch to samajh lo mujh ko samjhane ke baad
Shama bhi jalti hai parwaane ke jal jaane ke baad
Aap bhi tadpa karenge hum ko tadpaane ke baad
Zindagi kya, maut kya hai, sab samajh leta hun main
Kuch tere aane se pehle, kuch tere jaane ke baad
Meri majboori ka bhi shayad unhen ehsaas tha
Der tak socha kiye woh mujh ko samjhaane ke baad
161.
arzooen kuch adhoori reh gai,
zindagi mein tumhari kami reh gai
muddat hui tujhe woh koocha chchode,
nazar meri par wahin jami reh gai
bahoot kuch sunaya humne magar,
phir bhi baatein unkahi reh gayi
aaj tak ise mein rok nahi paya hoon,
yeh jo aankhon mein nami reh gai
tere lautne ki ummeeed to nahi yeh,
ki meri nabz-e-zeest thami reh gai
dil ko to behlaake hum le aaye,
lekin aapke aastaan pe meri jabin reh gai,
barbaad hue pe bhi "nacheez" shaad hai,
ki kamyaab hozoor ki dillagi reh gai
162.
yun asar hua hai tumhara meri zindagi par
jaise dhoop nikla ho lambe barsaat ke baad
jaise dil par asar hota hai ,
subah ki thandi hawaon ka
doobte hue chand ki thandak aur ugte hua suraj ki roshni ka
kya tum jaante ho meri zindagi se tumhara rishta
mere din se rishta, mere raaton se rishta,
mere dil se rishta , mere sapnon se rishta
163.
Kabhi Aansoo Kabhi Khushboo Kabhi Naghma Banker
Hum Say Her shaam Mili Hai Tera Chehra Banker
Chand Nikla Hai Teri Ankh K Ansoo Ki Tarah
Phool Mehkay Hain Teri Zulf Ka Saya Banker
Meri Jaagi Hoe Raaton Ko Usi Ki Hai Talash
So Raha Hai Meri Ankhon Main Jo Sapna Banker
Dil Kay Kaghaz Par Utarta Hai To Sheron Ki Tarah
Meray Hontoon Pay Machalta Hai To Naghma Banker
Raat Bhi aaye To Bujhti Nahin Chehray Ki Chamak
Rouh Main Phail Giya Hai Woh Ujala Banker
Mera Kiya Hall Hai Yeh A Kay Kabhi dekh To Lay
Jee Raha Hoon Tera Bhoola Hoa Vadah Banker
Dhoup Main Khou Giya Woh Haath Chhura Kar Angel
Gher Say Jo Saath Chala Tha Mera Saya Banker
Kabhi Aanso Kabhi Khushboo Kabhi Naghma Banker
Hum Say Her Shaam Mili Hai Tera Chehra Banker
164.
Woh mujhay bhool gayi, iss ki shikayat kiya hai
Ranj to is baat ka hai keh ro ro kay bhulaya hoga
Mit gayee hogi lalek , doob gaya hoga yaqeen
Apnay pehlay hi gharonday ko jo dhaya hoga
Dil ney kuch aisey bhi afsaney sunaye hongey
Ashk aankhon ney piye or na bahaye hongay
Band kamrey mein jo khat merey jalaye hongay
Har taraf mujh ko tarapta huwa paya hoga
Tum ney ghabra key nazar laakh bchayee hogi
Maiz say jab meri tasweer hatayee hogi
Shadiyanon mein meri yaad jo aayee hogi
Sar na kandhay sey sahailee key hataya hoga
165.
Mohabbat sirf ek khwab ban key reh gayi!!
meri ashiqee Aaj dosti ban key reh gayi!!
Anjam-e-mohabbat sey waqif na tha aisa nahi!!
Aakhari Aaas sirf Aaas ban key reh gayi!!
Usney bhi kabhie to mujhe chaha hoga!!
Yehi Aarzoo Aaaj Zindagi ban kar reh gayi!!
Es Tarah sey Aab wo dekhtey hain hamen!!
hamari chahat Aaj Gustakee ban key reh gayi
166.
DUKH DARD KE MAARO SE MERA ZIKAR NA KARNA
GHER JAON TO YARO SE MERA ZIKAR NA KARNA
WOH ZUBT NA KAR PAYENGE ANKHO KE SAMANDAR KO
TUM RAH GUZARO SE MERA ZIKAR NA K ARNA
PHOLO KE NESHAIMAIN MAIN RAHA HON SADA SE
DEKHO KABHI KHARO SE MERA ZIKAR NA KARNA
SHAYAD YEH ANDEHRE HI MUJHE RAH DIKHAI
AAB CHAND SITARO SE MERA ZIKAR NA KARNA
WOH MERI KAHANI KO GALAT RUNG NA DE DEIN
AFSANA NIGARO SE MERA ZIKAR NA KARNA
SHAYAD WOH MERE HAL PER BESAKHTA ROH DAIN
IS BAAR BAHARO SE MERA ZIKAR NA KARNA
LE JAINGEH GEHRAI MAIN TUM KO BHI BAHA KAR
DARYA KE KINARO SE MERA ZIKAR NA KARNA
WOH SHAKS MILE TO USAY HAR BAAT BATA DEHNA
TUM SIRF ISHARO SE MERA ZIKAR NA KARNA
167.
dekh lo khuaab magar khuaab ka charcha na karo
log jal jayan ge sooraj ki tamanna na karo
waqt ka kaya hai kisi pal bhi badal sakta hai
ho sake tum se to tum mujh pe bharosa na karo
kirchiyan tootay hoye aks ki chubh jayan gi
aur kuch roz abhi aiina dekha na karo
ajnabi lagne lage khud tumhain apna wajood
apne din raat ko itna bhi akela na karo
khuaab bachhon ke khelonon ki tarah hote hain
khuaab dekha na karo khuaab dikhaya na karo
bekhiyali main kabhi ungliyan jal jayain gi
raakh guzre hoye lamhon ki kureedah na karo
168.
YE NADI, VO GHATI, VO ASMAAN PHOLOON KA
KASH HO JATA YE SARA JAHAAN PHOLOON KA
HUM BHI DEKHNE YE MEHKENGE KAB TALAK AAKHIR
AAJ KI RAAT HAI IMTIHAAN PHOLOON KA
KAHIN GAJRE, KAHIN MANDIR, KAHIN GULDASTE
KAUN SAMJHEGA DARD BE-JUBAAN PHOLOON KA
SAFAR JISNE KIYA HO HAMESHA KANTNO PE
VO HI SAMJHEGA KYA HOTA HAI ARMAAN PHOLOON KA
AAKHIRI SAMAY MAIN YAHI TERE REHNUMA HONGE
HARGIJ NA BHULNA KABHI EHSAAN PHOLOON KA
AB TO YADOON KI NISHANI HAI SAMBHALO "IMRAN"
EK RISHTA THA KABHI HAMARE DARMYAAN PHOLOON KA
169.
Tum Bin Kya Hai Jeena, Kya Hai Jeena
Tum Bin Kya Hai Jeena
Tum Bin Jiya Jaaye Kaise
Kaise Jiya Jaaye Tum Bin
Sadiyon Se Lambi Hain Raatein
Sadiyon Se Lambe Hue Din
Aa Jaao Lautkar Tum, Yeh Dil Keh Raha Hai...
Phir Shaam-E-Tanhaai Jaagi
Phir Yaad Tum Aa Rahe Ho
Phir Jaan Nikalne Lagi Hai
Phir Mujhko Tadpaa Rahe Ho
Phir Mujhko Tadpaa Rahe Ho
Is Dil Mein Yaadon Ke Mele Hain
Tum Bin Bahut Hum Akele Hain
Aa Jaao Lautkar Tum, Yeh Dil Keh Raha Hai...
Kya Kya Na Socha Tha Maine
Kya Kya Na Sapne Sajaaye
Kya Kya Na Chaaha Tha Dil Ne
Kya Kya Na Armaan Jagaaye
Kya Kya Na Armaan Jagaaye
Is Dil Se Toofaan Guzarte Hai
Tum Bin To Jeete Na Marte Hai
Aa Jaao Lautkar Tum, Yeh Dil Keh Raha Hai...
Tum Bin Jiya Jaaye Kaise
Kaise Jiya Jaaye Tum Bin
Sadiyon Se Lambi Hain Raatein
Sadiyon Se Lambe Hue Din
Aa Jaao Lautkar Tum, Yeh Dil Keh Raha Hai...
170.
Tujh se tujh ko maangte hain.
loog muhabat mein dil dete hain.
Ham apni jaan dete hain.
Ham duniya se kuch mukhtalif hain,
Apni sochein tujhe dete hain,
Ham tu apne alfaaz tujhe dete hain.
Dil ke saare nisaab tujhe dete hain,
Ham tu apne jazbaat tujhe dete hain.
Ham tu apne tasuvar ke hijaab tujhe dete hain.
Ham tu apne dil ke gulshan ke Gulaab tujhe dete hain.
Buhat mushkil sey buney howey hain jo.
Woh nazuk khawab tujhe dete hain.
HaaN Jaan Gee.
ham tum ko sab kuch dete hain,
sirf aik Arzoo hai.
tujh se tujh ko maangte hain.
171.
khachi deewar hoon tokar na lagana mujhko,
apni nnazro mein basakar na girana mujhko,
tumko ankhon mein tasveer ki tarha rakhta hoon,
dil mein dhadkan ki tarha tum bhi basana mujhko,
baat karne mein jo mushkil ho tumhe mehfil mein,
mein samajh jaonga nazro se batana mujhko,
wada utna hi karo jitna nibha sakti ho,
khwab pure jo na ho woh na dikhana mujhko,
apne rishtey ki nazakat ka baram rakhlene,
MEIN TO ASHIQUE HOON DEEWANA NA BANA DENA MUJHKO.......
172.
Khubsurot hai woh itnaa Sahaa Nahin jaata,
Kaise Hum khudko Rok Len, Rahaa Nahin Jaata...
Chand me Daag hai, Yeh jaante hain Hum LEKIN
Raat bhar dekhe bina usko rahaa nahin jaata...
Jo Mera Ho nahin payega, Is Jahaan Me Kahin,
Rooh Bank kar Milunga usko aasman me kahin,
Pyaar Zameen par Farishton se Kiya nahin Jaata...
Khubsurot hai woh itnaa Sahaa Nahin jaata,
Un Nigahon me Mohabbat nahin to Kaho aur kya hai,
Par woh Mujse keh rahaa, Woh Kisi Aur ka hai,
Zaara Sa Jhut bhi Dhang se kahaa Nahin jaata
Khubsurot hai woh itnaa Sahaa Nahin jaata,
Aankh me qaid kiye betha hun me ek haseen Lamha,
Jab me is neend se jagunga to Dil Tuutega,
Woh Mujhe Khwaab Koi Kyon Dikha Nahin Jaata...
Khubsurot hai woh itnaa Sahaa Nahin jaata....
Khubsurot hai woh itnaa Sahaa Nahin jaata....
173.
Hamay to ab bhi woh guzra zamana yaad aata hai,
Tumhay bhi kya kabhi koi deewana yaad aata hai !
Hawain tez thi, baarish bhi thi, toofan bhi tha, lekin,
Tera aisay mein bhi vaada nibhana yaad aata hai !
Ghatain kitni dekhi hain par mujhay `Israr',
Kisi ka rukh par woh zulfain giraana yaad aata hai
Hamay to ab bhi woh guzra zamana yaad aata hai,
Tumhay bhi kya kabhi koi deewana yaad aata hai
174.
UNGLIYA:
JAB NAM TERA PYAR SE LIKHTI HAI UNGLIYA,
MERI TARAF JAMANE KI UTHTI HAI UNGLIYA
JIS DIN SE GAYE DOOR TUM, US DIN SE HI SANAM,
DIN RAT TERE AANE KE PAL, GINTI HAI UNGLIYA
DAMAN SANAM KA HATH ME AAYA THA EK PAL,
DIN RAT US PAL SE HI MAHAKTI HAI UNGLIYA
PATHTHAR TARASH KAR NA BANA, TAJ EK NAYA,
FANKAR KI IS JAHAN ME, KUT TI HAI UNGLIYA
JAB NAM TERA PYAR SE LIKHTI HAI UNGLIYA,
MERI TARAF JAMANE KI UTHTI HAI UNGLIYA
175.
Zindagi tune lahu leke diya kuch bhi nahin,
Teray daaman mein mere waaste kya kuch bhi nahin
Mere in haathon ki chaho tou talashi ley lo
Mere in haathon mein lakiron kay siva kuch bhi nahin
Humne dekha hai kayi aise khudaon ko yahan
Saamne jinke woh sach-much ka khuda kuch bhi nahin
Ya khuda! ab ke yeh kis rang mein aayi hai bahaar
Zard hi zard hain pedon pay, hara bhara kuch bhi nahin
Dil bhi ik zid pay ada hai kisi bacche ki tarah
Ya to sab kuch hi isay chahiye ya kuch bhi nahin..!
176.
Gali mein chale aaye to hain teri
tere dar tak aaya par nahi jaata
bhhul ke wo to sab baith gayi
par hamse wo sab bhhulaya nahi jaata
sari beeti baatein mujhhe ghher leti hain
tere Ghar ka darwaza khatkhataya nahi jaata
kaun kahta hai vaqt sab bhhula deta hai
hamse wo pal aaj bhi bhhulaya nahi jata
sari beeti baatein mujhhe ghher leti hain
tere Ghar ka darwaza khatkhataya nahi jaata
kaun kahta hai vaqt sab bhhula deta hai
hamse wo pal aaj bhi bhhulaya nahi jata
177.
meri kismat ka chamakta sitara hoga,
is pere likha naam sirf tumhara hoga,
maine soncha tha ki mere sath tere sahara hoga,
lekin maloom na tha ki door kinara hoga,
mujhko ye gham nahi doobi meri kashti lekin,
paar tufan ke to kisi ko utara hoga,
jab tere sher-E-khamoshi par padi hogi nazrein,
naam le le kar tune pukara hoga,
main chala jaonga duniya se ye hasrat lekar,
band aankhon mein faqat tera nazara hoga,
kisko malum tha tameer se pehle bijli jis ghar par giri,
"WOH GHAR HAMARA HOGA"
178.
Aisa Lagta Hai Zindagi tum ho ...!!
Ajnabi ...!! Kaise ajnabi tum ho ..!! ?/?
Main zameen Per Ghana Andhera hoon ....!!
Aasmaanoon Ki Chaandini tum ho ...!!
Ab koi aarzoo nahin Baakee ...!!
Joostjoo Meree Aakhree tum ho ..!!
Dostoon Se Wafa Ki ummeeden ....!!
Kis Zamaane Ke Aadmee tum ho ...!! ?/?
179.
Aajaye Kisi Din Tu Aisa Bhi Nahin Lagata
Lekin Woh Tera Vaada Jhoota Bhi Nahin Lagata
Milta Hai Sukoon Dil Ko Us Yaar Ke Kooche Mein
Har Roz Magar Jaana Aacha Bhi Nahin Lagata
Dekha Hai Tujhe Jab Se Bechain Bahut Hai Dil
Kehena Koi Tujhse Rishta Bhi Nahin Lagata
Baare Mein Qateel Usake Soche Bhi Toh Kya Sochein
Woh Gair Nahin Lekin Apana Bhi Nahin Lagata
180.
"Tum bhi khafa ho, log bhi barham hain dosto
Ab ho chala yakien ke bure ham hain dosto."
"Kisko hamare haal se nisbat hai kya kahien
Aankhein to dushmano ki bhi purnam hain dosto"
"Apne siva hamaare na hone ka gam kise,
Aapni talaash mein to hami ham hain dosto."
"Kucch aaj shaam hi se hai dil bhuja bhujha
Kucch shehar ke chiraag bhi madham hain dosto."
"Us shehar-e-aarzoo se bhi bahar nikal chalo
Aab dil ki raunkein bhi koi dam hain dosto"
"Sab kucch sahi Faraz par itna zaroor hai
Duniya mein aise log bahut kam hain dosto"
181.
Kal khwab mei dekha tha tumhe...
Sach hai.. tab maloom tha na hume...
Khwaab mei hathon mei humare tumhara hath tha..
Khwaab tuta.. toh khamosh deewaro ka saath tha..
Uss ek ehsas ne neend uda di humari..
Saari raat guzar gayi jaagte hue humari..
Kaise bhool sakte hain hum.. uss haseen khwaab ko..
Kuch pal ke liye he toh jismei.. paya tha aapko...
Unako chaha bhi to izahaar na karana aaya,
Kat gayi umar hame pyaar na karana aaya,
Unhone maanga bhi agar kuchh to judaai maangi,
Aur ham the ki hame inkaar bhi na karana aaya !!!
182.
Ijazat Dedo~
Khud ko is dil main basane ki Ijazat Day Do
Mujh ko tum apna bananay ki Ijazat Day Do***
Tum meri zindagi ka ek haseen lamha ho
Phoolon say khud ko sajanay ki Ijazat Day Do…
Main kitna chahta hoon kis tarha bataoon tumhain
Mujhay yeh aj batanay ki Ijazat Day Do…
Tumhari raat si zulfon main chand sa chehra
Mujhay yeh sham sajanay ki Ijazat Day Do…
Mujhay Qaid kar lo apnay ishq main Uz..
Yeh jaan tum pe lootanay ki Ijazat Day Do…
Nahi hai shauk Imran ko bhoolnay ka mager
Mujhay yeh duniya bhoolanay ki Ijazat Day Do…
183.
Aisa lagta hai..Zindagi Tum Ho..
Ajnabi Kaise Ajnabi Tum Ho,
Ab Koi Aarzu Nahin Baaki...
JustaJu Meri Aakhri Tum Ho,
Mein Zameen Par Ghanaa Andhera Hun..
Aasmanon ki chandni Tum Ho.
Aisa lagta hai..Zindagi Tum Ho..
Doston Se Wafaa Ki Ummeedein..
Kis Zamaane ke Aadmi Tum Ho..
184.
surk jode ki tabo taab ho mubaarak tujhe
teri aankho ka nayaa khwab ho mubarak tujhe
yeh mere sher mere aakhri nazraane hain..
me un apno me hun jo aaj se begaane hain
Meine Jazbaat Nibhaayen hain Usoolon ki Jageh..
Apne Armaan Piro Laaya Hun Fulon ki jageh...
185.
Mein onse keh raha hoon mujhe yaad kijiye...
Kabhi to sapnon mein apne bulaya kijiye...
kuch iss tarha se humko yaad kijiye...
jab yaad kijiye to hans diya kijiye...
doosron par agar app inayat kijiye...
to hum par bhi ek karam kijiye...
ik wade_e ulfat hum se bhi kijiye...
jhoota he sehi maghar wada to kijiye...
na yoon hum pe itna sitam kijiye...
na yoon hum se nazrain chooraya kijiye...
Agur kuch na ho sake tu itna tu kijiye...
tanhaiyon mein apni mujhe pukara kijiye...
186.
Aansoo May Na Dhoondna Humey,
Dil May Hum Bas Jaayenge,
Tamanna Ho Agar Milne Ki,
To Band Aankhon May Nazar Aayenge.
Lamha Lamha Waqt Guzer Jaayenga,
Chund Lamhoo May Daaman Choot Jaayega,
Aaj Waqt Hai Do Baatein Kar Lo Humse,
Kal Kya Pata Kon Apke Zindagi May Aa Jayega.
187.
ghar se beghar kar gayeen karwaten naseeb ki
dur kitni ho gayeen jo manzeelen kareeb thein..
rafta rafta aagayeen. do dilon me duriyan
kal mohabbat thi jahaan.. aaaj hain majburiyaan
aaj kamil ho gayeen.. aatishen rakeeb ki
dur kitni ho gayeen jo manzeelen kareeb thein..
tujko ai dil milgayaa, ab wafaaon ka sila
kardiya kaatib ne aakhir aaj apna faisla...
dil ke tukde kar gayeen thokren habeeb ki
dur kitni hogayeen jo manzilen kareeb thein
jaane kyon lagti hai dil ko har khushi ajeeb si
dur kitni hogayeen jo manzilen kareeb thein
188.
Ashq aankhon mein sajaaye rakh...
aik mahol sa banaaye rakh...
kahin jal na jaaye tera daaman...
apni aahon ko dabaaye rakh...
kabhi to suni jaae ghi fariyaad...
bas apne haathon ko utthaye rakh....
kisi ki nazar lagh na jaaye...
unko seene se lagaaye rakh...
kahin woh rastaa na bhool jaayen...
kuch chiraagon ko jalaaye rakh...
be-dard hain ye laug...
apne zakhmon ko chhupaaye rakh...
189.
Kaise katti hain woh ratain hum bata nahi sakte...
Par sach ye hai ke hum tum se kuch chupa nahi sakte...
Woh guzre huwe din woh guzri huei ratein...
Woh guzra huwa har ik pal hum bhula nahi sakte...
Meri yaadon mein tum ho meri tanhaiyon mein tum ho...
Itna pyar hai tum se ke hum ginwa nahi sakte...
In ankhon ko in sanso ko bus tumara hi intzaar hai...
Ab aa bhi jao is dil ko aur tarpa nahi sakte...
Woh pyar ki baatain woh qasme woh wadein...
Jo sach hai us sach ko tum jhuthla nahi sakte...
Kaise katti hain woh raatain hum bata nahi sakte...
Par sach ye hai ke hum tum se kuch chupa nahi sakte...
190.
Iss baar kuch aisa mein chahta hoon
Tum ko apna banaana chahta hoon
Bhula kar apne sab gham
Tumhe dilse apnana chahta hoon
Tumhe tumhari ijazaat se
Apne dil mein basana chahta hoon
Apne naam k saath joar kar tumhara naam
Duniya ko sar-e-aam dikhana chahta hoon
Kab ho Qubooliyat ki ghari na jaane
Tumhe har dua mein mangna chahta hoon
Ho jaao tum meri aur main tumhara
Harr pal bas yehi ehsaas chahta hoon
Tum se hi ki bass mohabbat main ne
Apni sari zindagi tumhare sang chahta hoon
Karta hoon aaj main ye iQraar
Main bass tumhe bass tumhe hi chahta hoon
HaQ ke saath kahoon tumhe main apna
Tumse bass aaj main yehi raza chahta hoon
191.
Sab se Chupa Ker Dard, Jo Woh Muskura Diya
Us Ki Hansi Ney To Aaj Mujhey Rulla Diya
Lehzey Sey Uth Raha Tha Her Ik Dard Ka Duhaan
Chehra Bata Raha Tha Kay Kuch Ganwaa Diya
Aawaz Main Thehrao Tha Aankhon Main Nammi Thi
Aur Keh Raha Tha K Main Ne Sab Kuch Bhulla Diya
Janey Kiya Usko Logoon Sey Thiin Shikayaten
Tanhayon Kay Des Main Khud Ko Basa Diya
Khud Bhi Woh Hum se Biched Ker Adhura Sa Ho Giya
Mujh Ko Bhi Itnay Logon Main Tanha Bana Diya...!!!
192.
" Yaadon Ko Apne Dil Se Mita Kyu Nahi Dete "
Yaadon Ko Apne Dil Se Mita Kyu Nahi Dete,
Jo Jaa Chuka Hai Us Ko Bhula Kyu Nahi Dete.
Mujrim Hoon Main Tera Mujhe Itna To Bata,
Khamosh Khade Hu Saza Kyon Nahi Dete.
Use Jis Ke Zakham Hai Inaayat Teri,
Gar Hai Tumhare Paas To Dawa Kyu Nahi Dete.
Kahin Ghar Nahi Baste Hai Jin Ki waja Se,
Un Adhjali Rasmon Ko Jala Kyu Nahi Dete.
Us Ne Tumhari Khaatir Kiya Kiya Nahi Kiya,
Tum Us Ki Wafaaon Ka Sila Kyu Nahi Dete.
Tumhein Mujh Se Mohabbat Hai Jaanta Hoon Main,
Ye Baat Apne Lab Se Bata Kyu Nahi Dete.
Anmol Khazana Hain Muskurahatein Teri,
Thoda Sa Ese Mujh Pe Luta Kyu Nahi Dete.
Wo Aag Jo Dil Mein Lagaai Thi Kabhi Tum Ne ,
Wo Aag Aaj Khud Hee Bujha Kyu Nahi Dete.
Ek Arsa Howa Chain Se Soye Howe
Mera Chain, Meri Neend Lauta Kyu Nahi Dete
193.
Dil Apnay Aap Dharakta Hai Dharkaya Nahi Jata,
Yeh Raaz-E-Mohabbat Har Aaik Ko Bataya Nahi Jata
Agar Ehsaas Ho To Mohabbat Ko Kar Lo Mehsoos,
Yeh Woh Jazba Hai Jo Lafzoun Main Samjhaya Nahi Jata
Dosti Kay Liye Mohabbat Aur Khuloos Hai Lazim
Har Haath Milane Walay Ko Dost Samjha Nahi Jata
Bohat Kam Hain Log Jo Dil Main Utar Jate Hain
Har Rah Chalte Ko Apna Banaya Nahi Jata
Koshish Say Badal Jati Hain Taqdeerain
Day Kar Ilzaam Qismat Aur Dil Ko Behlaya Nahi Jata
194.
ROYE HAIN BUHAT
Roye Hein Buhat Tab Zara Karaar Mila He
Is Jahan Mein kise Bhala sacha Pyar Mila He
Guzar rahi hey zindagi Imtehan ke daur se
Ek khatam Howa To Dosra Tayar Mila He
Mere Damaan ko khushiyo ka nahi Malaal
Gham ka khazana jo isko beshumar mila he
Who kamnasib hein jinhe mehboob mil gaya
Mein khushnasib ho mujhe Intezar mil gaya
195.
Gham nahi mujhe ke Dushma howa yeh zamana
Jab Dost Hathoon Mein Liye Talwar Mila Hey
Sab Kuch Khuda Ne Tum Ko Bhala KaiseyDe Diya
Mujhe To Uske Dar Se Sirf Inkaar Hi Mila hey
Jab Tere Dhun Men Jia Karty They
Ham Bhi Chup Chap Phira Karty They
Ankhoon Men Peyas Hoa Karty Thi
Dil Men Toofan Utha Karty They
Loog Aaty They Ghazal Suneney Ko
Ham Tere Bat Kia Karty They
Sach Samjhty They Tery Wadoon Ko
Rat Din Ghar Men Raha Karty They
Kisi Werany Men Tujh Sey Mil Kar
Dil Men Kia Phool Khila Karty They
Ghar Ke Dewar Sajany Ke Khatir
Ham Tera Nam Likha Karty They
Wo Bhi Kia Din They, Tujhe Bhula Kar
Ham Tujhe Yaad Kia Karty They
Kal Tujhe Dekh Kar Yaad Aeya
Ham Bhi Kabhi Muhabbat Kia Karty They
196.
yaad nahi kyaa kyaa dekhaa thaa saare manzar bhuul gaye
us kii galiyon se jab lauTe apanaa bhii ghar bhuul gaye
Khuub gaye pardes ki apane diivaar-o-dar bhuul gaye
shiish-mahal ne aisaa gheraa mittii ke ghar bhuul gaye
tujh ko bhii jab apanii qasame.n apane vaade yaad nahii.n
ham bhii apane Khvaab terii aankhon mein rakh kar bhuul gaye
mujh ko jinho ne qatl kiyaa hai koi unhen batalaaye "Imran"
merii laash ke pahaluu mein vo apanaa Khanjar bhuul gaye
197.
bas itni si inaayat mujh pe aik baar kijye
kabhi aa ke mere zakhmon ka deedar kijye
ho jaaiye begaane aap shaquq se sanam
aapka hum aapka rahungee aitbaar kijye
padne waale hi darr jaayen dekh kar ise
kitaab-e-dil ko itnaa na daagdaar kijye
na majboor kijye, k main unko bhool jaaun
mujhe meri wafaaon ka na gunehgaar kijye
in jalte diyon ko dekh kar na muskuraaiye
zara hawaaon ke chalne ka intezaar kijye
karna hai ishq aapse karte rahenge hum
jo bhi karna hai aapko mere sarkaar kijye
phir sapno ka aashiyaan bana liya hai maine
phir aandhiyon ko aap khbardaar kijye
hame na dikhaiye ye daulate ye shohrate
hum pyaar ke bhooke hain hame pyaar kijye
198.
Teri Rahon me Aaankhein Bichaaye Baithe Hain,
Is Dil kay Toofan me Mohabbay ki shamma Jalaye Baithy hain..
Aaj Zalim Kis Mor Pay Lakar Chora hai Tumnay Mujh ko,
Abhi bhi Milnay Ki Hasrat Say, Teri yaad Ko Dil Se Lagaay Baithe Hain
199.
Dil ko Aadat Si Hogayee Hain Chot Khaane Ki,
Bhigi Hui Palkon Kay Saath Muskuraane Ki..
Kash anjaam-e-wafa Pehlay say Jaan Jaaty to,
Koshish Bhi Nahin Karte Dil Lagaane Ki..
200.
kabhi lehrein tera chehra jo banane lag jayein
meri ankhein mujhe darya mein bahane lag jayein...
kabhi ik lamha fursat jo mayyasar aajaye
meri sochein mujhe sooli per charhane lag jayein...
intazar us ka na itna bhi ziada kerna
kiya khabar barf pighalne mein zamane lag jayein...
aankh utha ker bhi na dekhein tujhe din mein hum log
shab ko kaghaz pe tera chehra banane lag jayein...
woh humein bhoolna chahein to bhula dein pal mein
hum unhein bhoolna chahein to zamane lag jayein...
nahin jalta to utarta nahin qarz-e-zulmat
jalna chahoon to log mujhe bujhane lag jayein...
201.
tere haathon mein pighal jaane ko ji chahta hai
aatish-e-shouq mein jal jaane ko jee chahta hai...
tujh se ik raaz ki sargoshi bhi kerna chahoon
phir wohi raaz nigal jaane ko jee chahta hai...
dil ye chahe ke tere dil mein rahoon dil ban ke
phir usi dil se nikal jaane ko jee chahta hai...
wehshat aabad makanon mein nahin jee lagta
shehar se door nikal jaane ko jee chahta hai...
hum se ye rasm ki zanjeer bhi kab toot saki
dil ki zid per bhi machal jaane ko jee chahta hai...
202.
Tum Poocho aur mai na bataoon aisay tu halaat nahi
Aik zara sa dil toota hai aur tu koi baat nahi...
Kis ko khabar thee saanwlay baadal binbarsay ur jaatay hain
Saawan aaya lekin apni qismat may barsaat nahi...
Toot gaya jab dil tu phir saason ka naghma kya maani
Goonj rahi hai kyoon shehnaee jab koi baraat nahi...
Meray ghamgeen honay par ehbaab hain kyoon hairaan QATEEL
Jaisay mai patthar hoon meray seenay may jazbaat nahi...
203.
Zamanay ko samajna chahta hoon ...
Main apni rutt badalna chahta hoon
Kay bey mani hai ab sari kitabin!....
Teray Chehray ko Parna Chahta hoon
Abhi khushyoon ko mujh saY door rakho!..
Abhi ghum say uljna chahta hoon
Tumhara hujar kitna jaan fiza hai ...
Main har lamha tarpna chahta hoon
Main apni akhri sansoon ki hadth tak..
Tumhari rah takna chahta hoon
Teri yadin mera daman tu chor din !...
Kay main khud ko sambalna chahta hoon
Kisi taweez ki soorat main meri jaan!...
Teray seenay say lagna chahta hoon
Sulagti hai meray ander judai ...
Bhala main kab tarpna chahta hoon ?
Meray dil main hai bus itni tamna ?...
Teray dil main darkhna chahta hoon
204.
is se pehle ke bewafa hojayein...
kion na ae dost hum juda hojayein...
tu bhi heerey se ban gaya pathar...
hum bhi jaane kiya hojayein...
hum agar manzilein na ban payein...
manzilon tak ka raasta hojayein...
dair se soch mein hain parwane...
raakh hojayein ya hawa hojayein...
ab ke gar tu mile to hum tujh se...
aisay liptein ke ham ek hojayein...
bandagi hum ne chhor di faraz...
kiya karein jab log khuda hojayein...
205.
Ham Apni wafa Yaad Dila bhi nahin sakte
Us Bhulne waale ko Bhula bhi nahin sakte...
Behata hua har Ashk yeh kehta hai NA JAAOOO
Khamosh Nigaahon ki kasam laut ke AAOOO...
Ham Apni Zabaan se to Bulaa bhi Nahik Sakte
Us Bhulne waale ko Bhula bhi nahin sakte..
Dil Jalta hai Chup CHap Na SHOLA NA DHUAAN HAI
Hai Dard Magar Kisko Bataayen Kahaan Hai...
Yeh Zakhmi Mohabbat Hai Dikha bhi nahin Sakte
Us Bhulne waale ko Bhula bhi nahin sakte...
Ham Apni wafa Yaad Dila bhi nahin sakte
Us Bhulne waale ko Bhula bhi nahin sakte...
206.
Chaha tu bohut tha lekin wo mila hi nahi,
Laakh koshish ki mager yeh fasla mita hi nahi,
Na janay zamanay nay majboor is qader ker diya,
Kay wo meri kisi sada pay thera hi nahi,
Mein tamam ter koshishoo ky bawajoud har gaya,
Wo usay mil gayi jisny us ko manga hi nahi,
Her ik say poucha tery na milnay ka sabab,
Her ik nay kaha wo tery liye bana hi nahi,
Itni shiddut say chaha tha us ko,
Is duniya may shayed wafa ka sila hi nahi
207.
woh ek dost jo mujhe khuda sa lagta hai
bahot kareeb hai magar Juda sa lagta hai
zamane bhar ki JAFAAON ka jab Hisaab kiya
bEwafaa dost mujhe bAAwafaa sa lagta hai
bahot kareeb hai magar Juda sa lagta hai
Khuda saath hai, Fir bhi hamen sahil na mila
Naseeb ham se hamaara Khafaa sa lagta hai
bahot kareeb hai magar Juda sa lagta hai
zindago Dubi ho jab gham ke Mekhaanome
ek dushman bhi hame Rehnuma sa lagta hai
bahot kareeb hai magar Juda sa lagta hai...
208.
mast bhari shaamon ki dilkash yaadein hain abhi
kaise maan lein kasak teri mohabaat ki fiki hui abhi
bajte theh taar dil kei sunkar dilkash awaaz kabhi
yuin chheen kar humse hamare saaye na jao abhi
mandir sapno ka toota dhah gai diwaar mohabaat ki abhi
jeena aur marna kaya, na koi apna na paraya hai abhi
suraj doobega chand chamkega neend aankho mei na aayegee kabhi
kaise samjhaaye dil ko ki gujre huey pal na aayenge laut kar ab kabhi
1 comment:
Used ford edge titanium - The Tithroite
The most used can titanium rings be resized titanium can be used for ray ban titanium building a small scale titanium element model of a glass dome, but its use can be used to grade 5 titanium produce smaller, more babyliss pro titanium straightener powerful objects.
Post a Comment