Wednesday

Shayari - 07

1.
Mehfil mein kuch to sunana padta hai,
gam chupakar muskurana padta hai,
kabhi unke hum bhi the dost,
aajkal unhe yaad dilana padta hai. .

2.
Nanhe se dil me armaan koi rakhna,
Duniya ki bhid mai pachchan koi rakhna,
Acche nahi lagte jab rahete ho tum udas,
En hotho pe muskan sada wahi rakhna.

3.
Muskurate hi aankh bhar aayi
pata nahi log kis tarah khilkhilate honge.

4.
GAM KE MARE JO MUSKURAYE HAIN,
AANSUOO KO BHI PASINE AAYE HAIN,
KYA BALA HAI KHUSHI NAHI MALUM,
HUM TO BUS NAAM SUNTE AAYE HAI

5.
RishTo0n Ki Yeh Duniya Hai NiraLi
Sab Rishto0n Say Pyari Hai mohabbat tUmhari
ManZo0r Hai AanSu Bhi AanKho0n Main HumaRe
Agar Aah JAye MusKan houto Pe TumhaRay

6.
Zamana gujar gaya hatho ko milaye huye,
Muddat ho gayi nazro ko milaye huye,
Din rat nikal gaye yado me khoye huye,
Ab kab samne aaoge yaar muskurate huye?

7.
muskurahat me chipate hain wo apne gamon ko,
apni halat pe wo gairon ko rula dete hain.

8.
yaad karne ke liye koi cheez chahiye,
aap nahin to aapki tasveer chahiye,
par tasveer aapki hamaara dil behla naa Sakegi,
kyunki woh aapki tarah muskura naa sakegi.

9.
Duaon ki bheed me ek dua hamari,
Jisme maangi hamne har khushi tumahari.
Jab bhi muskure aap dil se,
Samjho dua Kabul hui hamari.

10.
Nigahen aap ki pahechan hai hamari,
Muskurahat aapki shaan hai hamari.
Kriyega hifazat aap apni...
Kyoki saase aapki jaan hai hamari.

11.
Khamosh se tum rehne lage ho,
Intezaar kisika karne lage ho,
Yakinan kisise hui hai mohabbat,
Bina baat ke hi muskurane lage ho?..

12.
Zindagi ke liye jeena zaroori hai,
Jeene ke liye armaan zaroori hai,
Zindagi mein chahe kitna bhi gam ho,
Aapke chehre par muskaan zaroori hai.

13.
Dava bhi kam na aaye,
Dua bhi kam na aaye.
Bas dost teri muskurahat kam aaye!

14.
Mere khushiyonko jamane ki nazar lag gai
Tum mere sath thi pariyonki nazar lag gai
Aaj ro raha houn door hokar tumse
Lagta hein mujhe muskurane ki saza mil gai

15.
Yaa To Diwaana Hanse. Ya Woh Jise Tuu Tawfiq De..
Warna Is jahaan me aakar Muskurata kaun Hai...

16.
Pholoon ke liye khushboo,Sitaroon ke liye chamak
Suraj ke liye lali,ghungaroo ke liye ahaat maang laya...
Yehe mera Mehboob hi hai aye khuda
Jo saare jahan ke liye Muskrahaat maang laya.."

17.
Mat Muskurao itna
ke phoolon ko khabar lag jaye,
Ke kare woh tumhari tareef,
Aur tumhe nazar lag jaye.

18.
aapki hasi kabhi kam na ho,
aapki aankh aasuonse kabhi nam na ho,
aapko mile zindagi ki har khushi,
bhale us khushi mein hum ho no ho.

No comments: