Wednesday

दीवारों से मिलकर रोना अच्छा लगता है...

1.
Saaman-e-Tijaarat meraa imaan nahii.n hai
saaman-e-tijaarat meraa imaan nahii.n hai
har dar pe jhuke sar ye merii shaan nahii.n hai
[tijaarat = trade]
har lafz ko siine me.n basaa lo to bane baat
taako.n me.n sajaane ko ye quraan nahii.n hai
[taak = shelf]
allaah merii rizq kii barakat na chalii jaaye
do roz se ghar me.n ko_ii mahamaan nahii.n hai
[rizq = subsistence/daily bread; barakat = abundance/good fortune]
ham ne to banaaye hai.n samandar me.n bhii raste
yuu.N ham ko miTaana ko_ii aasaan nahii.n hai
jis ko buzurgo.n kii rivaayat na rahe yaad
us shaKhs kii logo.n ko_ii pahachaan nahii.n hai
[buzurg = elder]

Recited at Red Fort mushaira, New Delhi on 23rd January, 2001
Majid DeoBandi..


2.
Saaya banke saath chalenge iske bharose mat rehna,
Apne hamesha apne rahenge iske bharose mat rehna
Saawan ka mahina aate hi Baadal to chaa jaayenge,
Har Haal me lekin Barsenge iske bharose mat rehna
Suraj ke Manind Safar par roz nikalna padta hai
Baithe Baithe Din Badlenge Iske Bharose mat rehna,
Saaya banke saath chalenge iske bharose mat rehna,
Behti Nadi mein Kache Ghade Hain,Rishte Naate Husn Wafaa
Dur Talak yeh Behte Rahenge, Iske Bharose mat rehna...
Saaya banke saath chalenge iske bharose mat rehna,


3.
Deewaron Se Milkar Rona Acha Lagta Hai,
Hum Bhi Paagal ho jayenge Aisa Lagta Hai,
Duniya Bhar ki yadein hamse Milne Aati hain,
Shaam Dhale Is sune ghar me Mela Lagta Hai,
ham bhi paagal hojayenge aisa lagta hai,
Kitne Dinon Ke Pyaase Honge Yaron Socho to,
Shabnam ka Katra Bhi Jinko Darya Lagta hai,
ham bhi paagal hojayenge aisa lagta hai,
Kisko Qaisar pathar marron, Kaun Paraaya hai
Sheesh Mahal Me Ek EK Chehra Apna lagta hai..


4.
jis din se woh Juda hamse hue..is dil ne dhadakna chod diya
hai chand ka muh utra utra Taaron ne Chamakna chod diya..
woh paas hamaare rehte thei, beroot bhi bahaar ajaati thi
ab laakh bahaarein aayen to kya, phulon ne mehakna chod diya
Taaron ne Chamakna chod diya...is dil ne dhadakna chod diya
Hamraah koi saathi bhi nahin, ab yaad koi baaki bhi nahin,
Ab Phool khilen zakhmon ke to kya, aankhon ne barasna chod diya,
Taaron ne Chamakna chod diya...is dil ne dhadakna chod diya
Hamne yeh duaa jab bhi maangi, Taqdeer badalde Ae Maalik,
Aawaaz aayee ke ab hamne, Taqdeer badalna chod diya...
hai chand ka muh utra utra Taaron ne Chamakna chod diya..
jis din se woh Juda hamse hue..is dil ne dhadakna chod diya


5.
apanaa Gam leke kahii.n aur na jaayaa jaaye
ghar me.n bikharii huii chiizo.n ko sajaayaa jaaye

jin chiraaGo.n ko havaao.n kaa koii Khauf nahii.n
un chiraaGo.n ko havaao.n se bachaayaa jaaye

baag me.n jaane ke aadaab huaa karate hai.n
kisii titalii ko na phuulo.n se u.Daayaa jaaye

Khudakushii karane kii himmat nahii.n hotii sab me.n
aur kuchh din yuu.N hii auro.n ko sataayaa jaaye

ghar se masjid hai bahut duur chalo yuu.N kar le.n
kisii rote hue bachche ko ha.Nsaaya jaaye


6.
hamane apanaa liyaa har rang zamaane vaalaa

us ko ruKhsat to kiyaa thaa mujhe maaluum na thaa
saaraa ghar le gayaa, ghar chhod ke jaane vaalaa

ik musaafir ke safar jaisii hai sab kii duniyaa
ko_ii jaldii me.n ko_ii der se jaane vaalaa

ek be-cheharaa sii ummiid hai cheharaa-cheharaa
jis taraf dekhiye aane ko hai aane vaalaa


7.
badalaa na apane aap ko jo the vahii rahe
milate rahe sabhii se magar ajanabii rahe

duniyaa na jiit paao to haaro na Khud ko tum
ThoDii bahut to zahan men naaraazagii rahe

apanii tarah sabhii ko kisii kii talaash thii
ham jisake bhii qariib rahe duur hii rahe

guzaro jo baaG se to duaa maaNgate chalo
jisamen khile hain phuul vo Daalii harii rahe


8.
dekhaa huaa saa kuchh hai to sochaa huaa saa kuchh
har vaqt mere saath hai ulajhaa huaa saa kuchh
hotaa hai yuu.N bhii raastaa khulataa nahii.n kahii.n
ja.ngal-saa phail jaataa hai khoyaa huaa saa kuchh
saahil kii gilii ret par bachcho.n ke khel-saa
har lamhaa mujh me.n banataa bikharataa huaa saa kuchh
[saahil=shore; giilii=wet; lamhaa=moment]
fursat ne aaj ghar ko sajaayaa kuchh is tarah
har shay se muskuraataa hai rotaa huaa saa kuchh
[fursat=leisure; shay=object/thing]
dhu.Ndhalii sii ek yaad kisii qabr kaa diyaa
aur mere aas-paas chamkataa huaa saa kuchh


9.
dil men na ho jurrat to muhabbat nahii.n milatii
Khairaat men itanii ba.Dii daulat nahii.n milatii
[jurrat=courage; Khairaat=charity]
kuchh log yuuN hii shahar men ham se bhii Khafaa hain
har ek se apanii bhii tabiiyat nahii.n milatii
[Khafaa=annoyed/angry]
dekhaa thaa jise main ne ko_ii aur thaa shaayad
vo kaun hai jis se terii suurat nahiin milatii
haNsate huye cheharon se hai baazaar kii ziinat
rone ko yahaaN vaise bhii fursat nahii.n milatii
[ziinat=beauty/adornment; fursat=leisure time]


10.
diivaar-o-dar se utar ke parachhaa_iyaa.N bolatii hai.n
ko_ii nahii.n bolataa jab tanahaa_iyaa.N bolatii hai.n
pardes ke raaste me.n luTate kahaa.N hai.n musaafir
har pe.D kahataa hai qissaa purvaa_iyaa.N bolatii hai.n
mausam kahaa.N maanataa hai tahaziib kii bandhisho.n ko
jismo.n se baahar nikal ke anga.Daa_iyaa.N bolatii hai.n
sun ne kii mohalat mile to aavaaz hai patajharo.n me.n
uja.Dii hu_ii bastiyo.n me.n aabaadiyaa.N bolatii hai.n


11..
dhuup me.n nikalo ghaTaao.n me.n nahaa kar dekho
zindagii kyaa hai kitaabo.n ko haTaa kar dekho

vo sitaaraa hai chamakane do yuu.N hii aa.Nkho.n me.n
kyaa zaruurii hai use jism banaakar dekho

pattharo.n me.n bhii zubaa.N hotii hai dil hote hai.n
apane ghar kii dar-o-diivaar sajaa kar dekho

faasalaa nazaro.n kaa dhokaa bhii to ho sakataa hai
vo mile yaa na mile haath ba.Daa kar dekho


12.
duniyaa jise kahate hai.n jaaduu kaa khilonaa hai
mil jaaye to miTTii hai kho jaaye to sonaa hai

achchhaa saa koii mausam tanahaa saa koii aalam
har vaqt aa ronaa to bekaar kaa ronaa hai

barasaat kaa baadal to diivaanaa hai kyaa jaane
kis raah se bachanaa hai kis chhat ko bhigonaa hai

Gam ho ki Khushii dono.n kuchh der ke saathii hai.n
phir rastaa hii rastaa hai ha.Nsanaa hai na ronaa hai


13.
garaj baras pyaasii dhartii par phir paanii de maulaa
chi.Diyo.n ko daanaa, bachcho.n ko gu.Dadhaanii de maulaa

do aur do kaa jo.D hameshaa chaar kahaa.N hotaa hai
soch samajhavaalo.n ko tho.Dii naadaanii de maulaa

phir roshan kar zahar kaa pyaalaa chamakaa naii saliibe.n
jhuuTho.n kii duniyaa me.n sach ko taabaanii de maulaa

[saliibe.n=Christian cross; taabaanii - brightness]

phir muurat se baahar aakar chaaro.n or bikhar jaa
phir ma.ndir ko koii miiraa diivaanii de maulaa

tere hote koii kisii kii jaan kaa dushman kyo.n ho
jiinevaalo.n ko marane kii aasaanii de maulaa


14.
har gha.Dii Khud se ulajhanaa hai muqaddar meraa
mai.n hii kashtii huu.N mujhii me.n hai sama.ndar meraa

kis se puuchhuuN ki kahaaN gum huuN barason se
har jagah DhuuNdhataa phirataa hai mujhe ghar meraa

ek se ho gae mausamon ke chehare saare
merii aaNkho.n se kahiin kho gayaa manzar meraa

muddate.n biit gaii Khvaab suhaanaa dekhe
jaagataa rahataa hai har nii.nd me.n bistar meraa

aaiinaa dekhake nikalaa thaa main ghar se baahar
aaj tak haath men mahafuus hai patthar meraa


15.
tanahaaiiyon kaa shikaar aadamii
har taraf har jagah beshumaar aadamii
phir bhii tanahaaiiyon kaa shikaar aadamii

subah se shaam tak bojh Dhotaa huaa
apanii hii laash kaa Khud mazaar aadamii

har taraf bhaagate dauDate raaste
har taraf aadamii kaa shikaar aadamii

roz jiitaa huaa roz marataa huaa
har nae din nayaa intazaar aadamii

zindagii kaa muqaddar safar dar safar
aaKhirii saa.Ns tak beqaraar aadamii


16.
hosh vaalo.n ko Khabar kyaa beKhudii kyaa chiiz hai
ishq kiije phir samajhiye zindagii kyaa chiiz hai
un se nazare.n kyaa milii raushan fizaaye.n ho ga_ii.n
aaj jaanaa pyaar kii jaaduugarii kyaa chiiz hai
Khulatii zulfo.n ne sikhaa_ii mausamo.n ko shaayarii
jhukatii aa.Nkho.n ne bataayaa maikashii kyaa chiiz hai
ham labo.n se kah na paaye un se haal-e-dil kabhii
aur vo samajhe nahii.n ye Khaamoshii kyaa chiiz hai


17.
jab kisii se koii gilaa rakhanaa
saamane apane aaiiinaa rakhanaa

yuu.N ujaalo.n se vaasta rakhanaa
shammaa ke paas hii hava rakhanaa

ghar kii taamiir chaahe jaisii ho
is me.n rone kii jagah rakhanaa

masjide.n hai.n namaaziyo.n ke liye
apane ghar me.n kahii.n Khudaa rakhanaa

milanaa jhulanaa jahaa.N zaruurii ho
milane-jhulane kaa hausalaa rakhanaa


18.
kabhii kabhii yuu.N bhii hamane apane hii ko bahalaayaa hai
jin baato.n ko Khud nahii.n samajhe auro.n ko samajhaayaa hai

hamase puuchho izzat vaalo.n kii izzat kaa haal kabhii
hamane bhii is shahar men rah kar thoDaa naam kamaayaa hai

usase bichhaDe barason biite lekin aaj na jaane kyon
aaNgan men haste bachchon ko bekaaran dhamakaayaa hai

koii milaa to haath milaayaa kahii.n gae to baate.n kii
ghar se baahar jab bhii nikale din bhar bhoj uThaayaa hai


19.
kahii.n chhat thii diivaar-o-dar the kahii.n
milaa mujhako ghar kaa pataa der se
diyaa to bahut zindagii ne mujhe
magar jo diyaa vo diyaa der se
[dar=door]
huaa na ko_ii kaam maamuul se
guzaare shab-o-roz kuchh is tarah
kabhii chaa.Nd chamakaa Galat vaqt par
kabhii ghar me.n suuraj ugaa der se
[maamuul=custom/practice; shab-o-roz=night and day]
[Galat=wrong]
kabhii ruk gaye raah me.n besabab
kabhii vaqt se pahale ghir aa_ii shab
huye ba.nd daravaaze khul khul ke sab
jahaa.N bhii gayaa mai.n gayaa der se
[besabab=without reason]
ye sab ittifaaqaat kaa khel hai
yahii hai judaa_ii yahii mel hai
mai.n mu.D mu.D ke dekhaa kiyaa duur tak
banii vo Khaamoshii sadaa der se
[ittifaaqaat=chance occurrences]
sajaa din bhii raushan hu_ii raat bhii
bhare jaam laharaa_ii barasaat bhii
rahe saath kuchh aise haalaat bhii
jo honaa thaa jaldii huaa der se
bhaTakatii rahii yuu.N hii har ba.ndagii
milii na kahii.n se ko_ii raushanii
chhupaa thaa kahii.n bhii.D me.n aadamii
huaa mujh me.n raushan Khudaa der se


20.
kuchh tabiyat hii milii thii aisii chain se jiine kii suurat na hu_ii
jis ko chaahaa use apanaa na sake jo milaa us se muhabbat na hu_ii
jis se jab tak mile dil hii se mile dil jo badalaa to fasaanaa badalaa
rasme.n duniyaa kii nibhaane ke liye hamase rishto.n kii tijaarat na hu_ii
duur se thaa vo ka_ii cheharo.n me.n paas se ko_ii bhii vaisaa na lagaa
bevafaa_ii bhii usii kaa thaa chalan phir kisii se hii shikaayat na hu_ii
vaqt ruuThaa rahaa bachche kii tarah raah me.n ko_ii khilaunaa na milaa
dostii bhii to nibhaa_ii na ga_ii dushmanii me.n bhii adaavat na hu_ii


21.
masjidon-mandiron kii duniyaa me.n
mujhako pahachaanate kahaaN hain log
roz main chaaNd ban ke aataa huuN
din men suuraj saa jagamagaataa huuN
khan-khanaataa huuN maaN ke gahano.n me.n
ha.Nsataa rahataa huu.N chhup ke bahano.n me.n
[maa.N=mother; gahanaa=jewellery]
mai.n hii mazaduur ke pasiine me.n
mai.n hii barasaat ke mahiine me.n
[mazaduur=labourer; pasiinaa=sweat; mahiinaa=month]
merii tasviir aa.Nkh kaa aa.Nsuu
merii tahariir jism kaa jaduu
[tahariir=handwriting]
masjido.n-mandiro.n kii duniyaa me.n
mujhako pahachaanate nahii.n jab log
mai.n zamiino.n ko be-ziyaa karake
aasamaano.n me.n lauT jaataa huu.N
[be-ziyaa=without light]
mai.n Khudaa ban ke qahar Dhaataa huu.N
[qahar=rage/anger; qahar Dhaanaa=wreak havoc/destroy]


22
muu.Nh kii baate.n sune har ko_ii, dil kaa dard na jaane kaun
aavaazo.n ke baazaaro.n me.n Khaamoshii pahachaane kaun

sadiyo.n sadiyo.n vahii tamaashaa rastaa rastaa lambii khoy
lekin jab ham mil jaate hai.n, kho jaataa hai jaane kaun

vo meraa aa_iinaa hai mai.n us kii parachhaa_ii huu.N
mere hii ghar me.n rahataa hai, mujh jaisaa hii jaane kaun

kirat kirat halkaa saa suuraj, palal palak khulatii nii.nde.n
yuu.N hii dilpighal rahaa hai, zarraa-zarraa jaane kaun


23
masjid jaaye maulavii, koyal gaaye giit

sab kii puujaa ek sii, alag alag har riit
masjid jaaye maulavii, koyal gaaye giit

puujaa ghar me.n muurtii, miiraa ke sang shyaam
jitanii jisakii chaakarii, utane usake daam

siitaa-raava.Nn, raam kaa, kare.n vibhaajan log
ek hii tan me.n dekhiye, tiino.n kaa sa.njog

miTTii se maaTii mile, kho ke sabhii nishaa.N
kis me.n kitanaa kaun hai, kaise ho pahachaan


24.
achchhii suurat vaale saare patthar-dil ho mumkin hai
tanhaa tanhaa ham ro le.nge mahafil mahafil gaaye.nge
jab tak aa.Nsuu paas rahe.nge tab tak giit sunaaye.nge

tum jo socho vo tum jaano ham to apanii kahate hai.n
der na karanaa ghar jaane me.n varanaa ghar kho jaaye.nge

bachcho.n ke chhoTe haatho.n ko chaa.Nd sitaare chhuune do
chaar kitaabe.n pa.Dh kar vo bhii ham jaise ho jaaye.nge

kin raaho.n se duur hai ma.nzil kaun saa rastaa aasaa.N hai
ham jab thak kar ruk jaaye.nge auro.n ko samajhaaye.nge

achchhii suurat vaale saare patthar-dil ho mumkin hai
ham to us din raa_e de.nge jis din dhokaa khaaye.nge


25.
safar me.n dhuup to hogii jo chal sako to chalo
sabhii hai.n bhii.D me.n tum bhii nikal sako to chalo

idhar udhar ka_ii ma.nzil hai.n chal sako to chalo
bane banaaye hai.n saa.Nche jo Dhal sako to chalo

kisii ke vaasate raahe.n kahaa.N badalatii hai.n
tum apane aap ko Khud hii badal sako to chalo

yahaa.N kisii ko koii raastaa nahii.n detaa
mujhe giraake agar tum sambhal sako to chalo

yahii hai zindagii kuchh Khvaab chand ummiide.n
inhii.n khilauno.n se tum bhii bahal sako to chalo

har ik safar ko hai mahafuus raasto.n kii talaash
hifaazato.n kii rivaayat badal sako to chalo

kahii.n nahii.n ko_ii suuraj, dhuaa.N dhuaa.N hai fizaa
Khud apane aap se baahar nikal sako to chalo


26.
teraa hijr meraa nasiib hai teraa Gam hii merii hayaat hai 
mujhe terii duurii kaa Gam ho kyo.n tuu kahii.n bhii ho mere saath hai

mere vaaste tere naam par koii harf aaye nahii.n nahii.n
mujhe Khauf-e-duniyaa nahii.n magar mere ruu-ba-ruu terii zaat hai

teraa vasl ai merii dilarubaa nahii.n merii kismat to kyaa huaa
merii mahajabii.n yahii kam hai kyaa terii hasarato.n kaa to saath hai

teraa ishq mujh pe hai maharabaa.N mere dil ko haasil hai do jahaa.N
merii jaan-e-jaa.N isii baat par merii jaan jaaye to baat hai


27.
dostii jab kisii se kii jaaye

dostii jab kisii se kii jaaye
dushmano.n kii bhii raaye lii jaaye
maut kaa zahar hai fizaao.n me.n
ab kahaa.N jaa ke saa.Ns lii jaaye
bas isii soch me.n huu.N Duubaa huaa
ye nadii kaise paar kii jaaye
mere maazii ke zaKhm bharane lage
aaj phir ko_ii bhuul kii jaaye
botale.n khol ke to pii baraso.n
aaj dil khol ke bhii pii jaaye


28.
kitanii pii kaise kaTii raat mujhe hosh nahii.n
raat ke saath ga_ii baat mujhe hosh nahii.n
mujh ko ye bhii nahii.n maaluum ki jaanaa hai kahaa.N
thaam le ko_ii meraa haath mujhe hosh nahii.n
aa.Nsuo.n aur sharaabo.n me.n guzar hai ab to
mai.n ne kab dekhii thii barasaat mujhe hosh nahii.n
jaane kyaa TuuTaa hai paimaanaa ki dil hai meraa
bikhare bikhare hai.n Khayaalaat mujhe hosh nahii.n
log har mo.D pe ruk ruk ke sambhalate kyuu.N hai.n
itanaa Darate hai.n to phir ghar se nikalate kyuu.N hai.n
mai.n na juganuu huu.N diyaa huu.N na ko_ii taaraa huu.N
raushanii vaale mere naam se jalate kyuu.N hai.n
niind se meraa ta'alluq hii nahii.n baraso.n se
Khvaab aa aa ke merii chhat pe Tahalate kyuu.N hai.n
mo.D hotaa hai javaanii kaa sambhalane ke liye
aur sab log yahii.n aake phisalate kyuu.N hai.n


29
ajanabii Khauf fizaao.n me.n basaa ho jaise

ajanabii Khauf fizaao.n me.n basaa ho jaise
sahar kaa shahar hii aaseb_zadaa ho jaise
[aaseb_zadaa = haunted]
raat ke pichhale pahar aatii hai.n aavaaze.n sii
duur saharaa me.n ko_ii chiiKh rahaa ho jaise
[chiiKh = scream]
dar-o-diivaar pe chhaa_ii hai udaasii aisii
aaj har ghar se janaazaa-saa uThaa ho jaise
muskuraataa huu.N pa-e-Khaatir-e-ahabaab magar
dukh to chehare kii lakiiro.n pe sajaa ho jaise
[pa-e-Khaatir-e-ahabaab = for the welcome of friends]
ab agar Duub gayaa bhii to maruu.Ngaa na 'Kamaal'
bahate paanii pe meraa naam likhaa ho jaise


30.
ko_ii cheharaa huaa roshan na ujaagar aa.Nkhe.n

ko_ii cheharaa huaa roshan na ujaagar aa.Nkhe.n
aa_iinaa dekh rahii thii.n merii patthar aa.Nkhe.n
le u.Dii vaqt ki aa.Ndhii jinhe.n apane ham_raah
aaj phir Dhuu.NDh rahii hai.n vahii manzar aa.Nkhe.n
phuuT nikalii.n to ka_ii shahar-e-tamannaa Duube
ek qatre ko tarasatii hu_ii banjar aa.Nkhe.n
us ko dekhaa hai to ab shauq kaa vo aalam hai
apane halako.n se nikal aa_ii hai.n baahar aa.Nkhe.n
tuu nigaaho.n kii zubaa.N Khuub samajhataa hogaa
terii jaanib to uThaa karatii hai.n aksar aa.Nkhe.n
log marate na dar-o-baam se Takaraa ke kabhii
dekh lete jo 'Kamaal' us kii samandar aa.Nkhe.n


31.
aashiqii be-dilii se mushkil hai
aashiqii be-dilii se mushkil hai
phir muhabbat usii se mushkil hai
ishq aaGaaz hii se mushkil hai
sabr karanaa abhii se mushkil hai
ham ?? aasaa.N hai.n aur hamaare liye
dushmanii dostii se mushkil hai
jis ko sab be-vafaa samajhate ho.n
bevafaa_ii usii se mushkil hai
ek do duusare se sahel na jaan
har ko_ii har kisii se mushkil hai
[sahel=approachable]
tuu baa-zid hai to jaa 'Faraz' magar
vaapasii us galii se mushkil hai
.

32.
ab ke ham bichha.De to shaayad kabhii Khvaabo.n me.n mile.n
jis tarah suukhe hue phuul kitaabo.n me.n mile.n
Dhuu.NDh uja.De hue logo.n me.n vafaa ke motii
ye Khazaane tujhe mumkin hai Kharaabo.n me.n mile.n
[uja.De=desolated, ruined; Kharaab=bad]
tuu Khudaa hai na meraa ishq farishto.n jaisaa
dono.n insaa.N hai.n to kyo.n itane hijaabo.n me.n mile.n
[hijaab - veil, here it means barrier]
Gam-e-duniyaa bhii Gam-e-yaar me.n shaamil kar lo
nashaa ba.Dataa hai sharabe.n jo sharaabo.n me.n mile.n
aaj ham daar pe khe.nche gaye jin baato.n par
kyaa ajab kal vo zamaane ko nisaabo.n me.n mile.n
ab na vo mai.n huu.N na tu hai na vo maazii hai `Faraaz',
jaise do shaKhs tamannaa ke saraabo.n me.m mile.n
[maazii=past; saraab - illusion, mirage]


33.
ham ko kisake Gam ne maaraa ye kahaanii phir sahii
kisane to.Daa dil hamaaraa ye kahaanii phir sahii
dil ke luTane kaa sabab puuchho na sab ke saamane
naam aayegaa tumhaaraa ye kahaanii phir sahii
nafarato.n ke tiir khaa kar dosto.n ke shahar me.n
ham ne kis kis ko pukaaraa ye kahaanii phir sahii
kyaa bataaye.n pyaar kii baazii vafaa kii raah me.n
kaun jiitaa kaun haaraa ye kahaanii phir sahii


34.
KATIN hai rah guzar thodi dur saath chalo..
Bahot Kadaa hai Safar Thodi dur saath chalo..
Tamam Umr Kahaan Koi Saath Deta Hai..
Mein Jaanta Hun Magar Thodi Dur Saath Chalo...
Yeh Ek Shab ki Mulaaqat bhi Ganimat hai..
Kise Hai Kal ki Khabar Thodi Doooor saath Chalo..
Bahot Kadaa hai Safar Thodi dur saath chalo..
Abhi to Jaag Rahe Hain Chiraag Rahon Ke...
Abhi hai Doooor Sehar Thodi dur Saath Chalo..


35.
kare dariyaa na pul mismaar mere
abhii kuchh log hai.n us paar mere
[mismaar =destroy]
bahut din guzare ab dekh aa_uu.N ghar ko
kahe.nge kyaa dar-o-diivaar mere
vahii.n suuraj kii nazare.n thii.n ziyaadaa
jahaa.N the pe.D saayaadaar mere
vahii ye shahar hai to shahar vaalo
kahaa.N hai kuuchaa-o-baazaar mere
tum apanaa haal-e-mahajuurii sunaao
mujhe to khaa gaye aazaar mere
[haal-e-mahajuurii=state of separation; aazaar=illness/woes]
jinhe.n samajhaa thaa jaan_paravar mai.n ab tak
vo sab nikale kafan bar_daar mere
[jaan=life; paravar=protector/nourisher]
[kafan-bardaar=shroud bearer]
guzarate jaa rahe hai.n din havaa se
rahe.n zindaa salamaat yaar mere
dabaa jis se usii patthar me.n Dhal kar
bike chehare sar-e-baazaar mere
[sar-e-baazaar=in public]
dariichaa kyaa khulaa merii Gazal kaa
havaaye.n le u.Dii ashaar mere
[dariichaa=window; ashaar=plural of sher (couplet)]


36.
hazaar Gam the merii zindagii akelii thii
Mahir Ratlami
hazaar Gam the merii zindagii akelii thii
Khushii jahaa.N kii mere vaaste pahelii thii
[pahelii=riddle]
vo aaj bach ke nikalate hai.n mere saaye se
ki mai.n ne jin ke liye Gam kii dhuup jhelii thii
judaa hu_ii na kabhii mujh se gardish-e-dauraa.N
merii hayaat kii bachapan se ye sahelii thii
[gardish-e-dauraa.N=wheel of time; hayaat=life]
cha.Dhaa rahe hai.n vo hii aaj aastii.n mujh par
ki jin kii piiTh pe kal tak merii hathelii thii
[aastii.n=sleeve]
ab un kii qabr pe jalataa nahii.n diyaa ko_ii
ki jin kii dahar me.n roshan bahut havelii thii
[qabr=grave; dahar=world]
vo jhuk ke phir merii turbat pe kar rahe hai.n salaam
isii adaa ne to "Mahir" kii jaan le lii thii
[turbat=grave]


37.
itanaa chale ke jism hamaaraa pighal gayaa
saare badan ka Khuun pasiine me.n jal gayaa
itanaa chale ke jism hamaaraa pighal gayaa
chalathe ki gin rahe the musiibaat ke raat din
dam lene ham jo baiTh gaye dam nikal gayaa
achchhaa huaa jo raah me.n Thokar lagii hame.n
ham gir paDe to saaraa zamaanaa sambhal gayaa
vahashat me.n ko_ii saath hamaaraa na de sakaa
daaman kii fikr kii to garebaa.N nikal gayaa


38.
kamaal-e-ishq hai diivaanaa ho gayaa huu.N mai.n
kamaal-e-ishq hai diivaanaa ho gayaa huu.N mai.n
ye kis ke haath se daaman chhu.Daa rahaa huu.N mai.n
[kamaal-e-ishq=limits of love]
tumhii.n to ho jise kahatii hai naaKhudaa duniyaa
bachaa sako to bachaa lo ki Duubataa huu.N mai.n
[naaKhudaa=boatsman]
ye mere ishq kii majabuuriyaa.N ma'az-allaah
tumhaaraa raaz tumhii.n se chhupaa rahaa huu.N mai.n
[ma'az-allah=In the protection of God/at the mercy of God]
is ik hijaab pe sau be-hijaabiyaa.N sadaqe
jahaa.N se chaahataa huu.N tumko dekhataa huu.N mai.n
[hijaab=veil]
bataane vaale vahii.n par bataate hai.n ma.nzil
hazaar baar jahaa.N se guzar chukaa huu.N mai.n
kabhii ye zom ki tuu mujh se chhup nahii.n sakataa
kabhii ye vaham ki Khud bhii chhupaa huaa huu.N mai.n
[zom=conviction/belief]
mujhe sune na ko_ii mast-e-baadaa-e-isharat
'Majaz' TuuTe huye dil kii ik sadaa huu.N mai.n
[mast-e-baadaa-e-isharat= drunk on the wine of 'isharat' (happiness)]
Majaz Lucknowi


39.
tumhe.n hai shauq agar bijaliyaa.N giraane kaa
tumhe.n hai shauq agar bijaliyaa.N giraane kaa
hamaaraa kaam bhii hai aashiyaa.N banaane kaa
bhalaa vo kaise samandar ke paar utaregaa
nafas nafas jinhe.n Khadshaa hai Duub jaane kaa
sunaa hai aap hai.n maahir havaa chalaane me.n
magar hame.n bhii hunar hai diye jalaane kaa

Recited at Red Fort mushaira, New Delhi on 23rd January, 2001


40.
bikharate TuuTate lamho.n ko apanaa ham_safar jaanaa
thaa is raah me.n aaKhir hame.n Khud bhii bikhar jaanaa
havaa ke dosh par baadal ke Tuka.De kii tarah ham hai.n
kisii jho.nke se puuchhe.nge ki hai ham ko kidhar jaanaa
[dosh=shoulder]
mere jalate hue ghar kii nishaanii bas yahii hogii
jahaa.N is shahar me.n raushanii dekho Thahar jaanaa
pas-e-zulmat ko_ii suuraj hamaaraa muntazir hogaa
isii ek vaham ko ham ne chiraaG-e-rah_guzar jaanaa
[pas-e-zulmat=beyond the darkness; muntazir=waiting]
dayaar-e-Khaamashii se ko_ii rah-rah kar bulaataa hai
hame.n "Makhmoor" ek din hai isii aavaaz par jaanaa
[dayaar-e-Khaamashii=house of death]
Makhmoor Saeedi


41.
na sochaa na samajhaa na siikhaa na jaanaa
mujhe aa gayaa Khud_ba_Khud dil lagaanaa
zaraa dekh kar apanaa jalwaa dikhaanaa
simaT kar yahii.n aa na jaaye zamaanaa
zubaa.N par lagii hai.n wafaao.n ki muhare.n
Khamoshii merii kah rahii hai fasaanaa
gulo.n tak lagaayii to aasaa.N hai lekin
hai dushwaar kaa.NTo.n se daaman bachaanaa
karo laakh tum maatam-e-naujavaanii
pa 'mir' ab nahii.n aayegaa woh zamaanaa


42.
ek TuuTii huii za.njiir kii fariyaad hai.n ham
aur duniyaa ye samajhatii hai ke aazaad hai.n ham
kyo.n hame.n log samajhate hai.n yahaa.N paradesii
ik muddat se isii shahar me.n aabaad hai.n ham
kaahe kaa tark-e-vatan kaahe kii hijaarat baabaa
isii dhartii kii isii desh kii aulaad hai.n ham
ham bhii taamiir-e-vatan me.n hai.n baraabar ke shariik
dar-o-diivaar agar tum ho to buniyaad hai.n ham
ham ko is daur-e-taraqqii ne diyaa kyaa "Meraj"
kal bhii barbaad the aur aaj bhii barbaad hai.n ham


43.
tere baare me.n jab sochaa nahii.n thaa
mai.n tanhaa thaa magar itanaa nahii.n thaa
terii tasviir se karataa thaa baate.n
mere kamare me.n aa_iinaa nahii.n thaa
sama.ndar ne mujhe pyaasaa hii rakhaa
mai.n jab seharaa me.n thaa pyasaa nahii.n thaa
manaane-ruuThane ke khel me.n ham
bichha.D jaaye.nge ye sochaa nahii.n thaa
sunaa hai band kar li us ne aa.Nkhe.n
ka_ii raato.n se vo soyaa nahii.n thaa


44.
dil hai hiire kii kaanii jism gulaabo.n vaalaa
dil hai hiire kii kaanii jism gulaabo.n vaalaa
meraa mahabuub hai dar_asl kitaabo.n vaalaa
[kaanii = mine; dar_asl = in reality]
husn hai rang hai shoKhii hai adaa hai us me.n
ek hii jaam magar kitanii sharaabo.n vaalaa
[jaam = wine goblet]
yaar aa_iinaa huaa karate hai.n yaaro.n ke liye
teraa cheharaa to abhii tak hai naqaabo.n vaalaa
mujh se hogii nahii.n duniyaa ye tijaarat dil kii
mai.n karuu.N kyaa ke meraa zahan hai Khvaabo.n vaalaa
[tijaarat = trade/buying and selling; zahan = mind]
tuu rahegaa na tere zulm rahe.nge baaqii
din to aanaa hai kisii roz hisaabo.n vaalaa
husn-e-bebaak se ho jaatii hai.n aa.Nkhe.n roshan
dil me.n utaraa hai magar ruup hijaabo.n vaalaa
[bebaak = bold/outspoken; hijaab = bashfulness/shyness]
jo nazar aataa hai haasil nahii.n hotaa 'Manzar'
zindagaanii kaa safar bhii hai saraabo.n vaalaa
[saraab = mirage]


45.
judaa_ii ho ke milan har adaa hamaarii hai
tumhaaraa shahar hai lekin fizaa hamaarii hai
shikaayate.n bhii kare.n ham to kis zabaan se kare.n
Khudaa banaayaa ham ne ye Khataa hamaarii hai
[Khataa = mistake]
hamaare jism kii uriyaanat pe mat ha.Nsanaa
ke tum jo o.Dhe hue ho vo ridaa hamaarii hai
[uriyaanat = nakedness/nudity; ridaa = cloak/sheet]
hamaare saamane zebaa nahii.n Guruur tumhe.n
jahaa.N pe baiThe ho tum vo jagaa hamaarii hai
[zebaa nahii.n = does not suit; Guruur = pride]
[jagaa = place(jagah)]
Manzar Bhopali...


46.
UNGLIYA:
JAB NAM TERA PYAR SE LIKHTI HAI UNGLIYA,
MERI TARAF JAMANE KI UTHTI HAI UNGLIYA
JIS DIN SE GAYE DOOR TUM, US DIN SE HI SANAM,
DIN RAT TERE AANE KE PAL, GINTI HAI UNGLIYA
DAMAN SANAM KA HATH ME AAYA THA EK PAL,
DIN RAT US PAL SE HI MAHAKTI HAI UNGLIYA
PATHTHAR TARASH KAR NA BANA, TAJ EK NAYA,
FANKAR KI IS JAHAN ME, KUT TI HAI UNGLIYA
JAB NAM TERA PYAR SE LIKHTI HAI UNGLIYA,
MERI TARAF JAMANE KI UTHTI HAI UNGLIYA


47.
KALIYOON KO BHI PEROON SE MASALNA PADA MUJHE
JINE KA APNA DHANG HI BADALNA PADA MUJHE
HAATH KO BHI HAATH JAHAN SUJHTA NAHIN HAI
UN RASTOON PE AKSAR CHALNA PADA MUJHE
KYA PUCHTE HO MERI TARAQQEE KI DASTAAN
HAR ROJ NAYE SANCHE MAIN DHALNA PADA MUJHE
CHUPANA JISE BADA HI AHAM THA -E- DOSTO
VO RAAJ BAAR- BAAR UGALNA PADA MUJHE
PUCHHO MAT TUMHARI JUDAI KI AAG MAIN
GILI LAKDI KI TARAH JALNA PADA MUJHE
APNE SAFAR KI CHARCHA KAISE KAROON "____"
THAK KE THA CHUR-CHUR MAGAR CHALNA PADA MUJHE


48.
aur kitnaa humeiN sataayenge?
Hum ko kab tak vo aazmaayenge..
aur kitnaa humeiN sataayenge?!
gham-e-dauraaN ki kashmakash meiN humeiN
'kyaa khabar thi vo bhool jaayenge'!
do qadam saath chalte chalte phir
humko tanhaa vo choRh jaayenge!
saari qasmoN ko, saare va'adoN ko
ham to samjhe the, voh nibhaayeN ge!
ab bhee ummeed hai mire dil ko
kal ko shaayad vo lauT aayenge!
meri taareek zindagii meiN phir
pyaar ke diye vo jalaayenge!
agar mere pyaar pe yaqeeN na huaa
un ko dil cheer ke dikhaayenge!
bhool kar sab shikaayateN,un ko
pyaar se ham gale lagaa'eN ge
maaf karke khataooN ko unkii
phir se ghar apna hum basaayenge!!


49.
ba.D gayaa thaa pyaas kaa ehasaas dariyaa dekh kar
ham palaT aaye magar paanii ko pyaasaa dekh kar
ham bhii hai.n shaayad kisii bhaTakii huii kashtii ke log
chiikhane lagate hai.n Khvaabo.n me.n jaziiraa dekha kar
jis kii jitanii haisiyat hai usake naam utanaa Khuluus
bhiik dete hai.n yahaa.N ke log kasaa dekh kar
maa.Ngate hai.n bhiik ab apane muhallo.n me.n faqiir
bhuuk bhii muhataat ho jaatii hai khatraa dekh kar
Khud_kushii likhii thii ek bevaa ke chehare par magar
phir vo zi.ndaa ho gayii bachchaa bilakataa dekh kar

No comments: