Wednesday

Shayari - 01

1.
aise barsaat main.......teri yaad aati hai bahut,
hawaon ke jhonke mein...tu tarpati hai bahut,
har bund pe jaise...teri hi khushboo basi hai,
barish ke.. is mausam mein tu satati hai bahut.

2.
meri raaton ki tanhaiyon mein aap ho shaamil
in baarish ki boondo mein aapke aansu hai shaamil
ke tadpe to hoge aap bhi to mujhse bichadkar
in hawaon me hai aapki aanhein bhi shaamil
kaise kah paaoge aap jamane ko apni kahani
kaise bayan karoge apni bewafai ki dastaan
kyonki aapko bhi ye maaloom hai
ke meri duaon mein aaj bhi aap ho shaamil.

3.
aagar bhigne ka itna shaukh hai barish mein
to dekho in ankhoo mein,
baarish to har ek ke liye barasti hai,
ye ansu sirf tumhare liye baraste hain..

4.
aise barsaat main teri yaad aati hai bahut,
hawaon ke jhonke mein tu tarpati hai bahut,
har bund pe jaise tera hi khushboo basa hai,
barish ke is mausam mein tu satati hai bahut.

5.
kuch nasha to aapki baat ka hain,
kuch nasha to dheemi barsaat ka hain,
hamein aap yu hi sharabi na kahiye,
is dil par asar to aap se mulakat ka hain.

6.
Kya Kya Soch Liya Karte THe Hum Baarish Ke Mausam Me.
Ab To Yun Lagta hai..Kuch Thand si bad gayee hai..

7.
Ho sakta hai baarish ke baad aasman neela naa ho,
Ho sakta hai dhup aane par sarson pili naa ho,
Par esa kese ho sakta hai ki..........
Aap ki YAAD aaye aur yeh AANKHEN... gili... naa.. ho...

8.
Khawb dekhe bhi nahi aur tut gaye,
Wo hamse mile bhi nahi aur ruth gaye,
Hum gate rahe aur duniya soti rahi,
Ek barish hi thi jo sath roti rahi"

9.
Kuch Beete hue lamhon se mulakat hui,
Kuch toote hue sapno se baat hui.
Yaad aaye woh kisse Purane jab
aankhon se boondon ke barsaat hui.

10.
ae barish zara tham ke baras,
jab mere yaar aa jaye to jum ke baras,
pehle na baras ki woh aa na sake,
phir itna baras ki woh ja na sake.

No comments: