1.
Yaadon ki purani galiyaan, kuch toote bikhare sapne,
kuch gudiya aur kuch sakhiyaan, kuch kisse aur kuch apne,
jis mod par aakar rukhte thamte, woh mod hai mere bachpan ke
aage aage jab main daudoon, aur peeche peeche sab sathi,
ek toote ghar ke aage ruk kar, yaad karoon gudiya ki shaadi,
saawan ke baadal teejon ki menhdi, pedoon ke jhoole yaad mujhe,
main to nahin bhoola inhe magar, ye bhool gayen hain sabhi mujhe,
yanha bheed bahut hai logon ki , mera dil phir bhi tanha hai,
bachpan ki galiyan chan raha, shayad koi pal vanha jinda hai !!
2.
Bachpann kay dukh kitne ache hote the...
tub to sirf khilone toota karte the...
Woh khushiyaan jaane kaisi khushiaan thi...?
titli kay parr noch kar uchlaa karte the...
Maar kar paaon jo baarish may...
apni naon khud aap daboya karte the...
sochte hay to chaut si dil par pardti hay...
aap banane aap gharaunde toda karte the...
Aapne jall jaane ka kuch ehsaas naa tha...
jaalte hue sholon ko cherda karte the...
khushbo kay urdte hi kyon murjhaate hay phool...?
Kithe bholepann say pucha karte the...
aaj inki tabeerein aur rulati hay!!!
bachpann may hum jo saapne dekha karte the...
Ab to ansoo ka eik katrah bhi ruswaah kar jaata hay
Bachpann may hum ji bharr kar roya karte the...!!!
1.
Milon dur tak kali raat aur har taraf tanhai hai,
Kahi hai matam to kahhi sehnai hai,
Yunto dost tuje roj mila karte hai,
Par jane kyu aaj teri yaad me aakh bhar aayi hai.
2.
dosti ki raho mai kabhi akelapan na mile,
aai dost zindagi mai tumhe kabhi gum na mile,
dua karte hai hum khuda se,
tuhme jo bhi dost mile hUM se kam na mile.
3.
zamane se kab ke hum gujar gaye hote,
thokar na lagi hoti bach gaye hote,
bandhe the to bas tere dosti ke dhage mai,
warna kab ke motiyo jaise bikar gaye hote.
4.
Zaruri nahi dosto me baat hoti rahe,
Zaruri nahi ki dosto me mulakat hoti rahe.
Zaruri hai bas dost jahaan bhi rahe
use hamari yaad aati rahe.
5.
Ab hamen bhi aa pada hai dosto se kuchh kaam..
Yaani, Hamare dosto ko bewafa hone ka waqt aaya...
6.
Dil mai haazaar gila shikva ho Magar Yeh nahi mumkin
Tum aao mere ghar mein aur ahitram na ho..
Haazaar Dusmani Ho tumse,magar Khuda karen
Dil mein kabhi Ahsaas-e intekam na ho...
7.
KYA KAHUN AAPNE DOSTON KE BAARE MAIN,
MERI KISMAAT KE BHUL HAI YEH LOG,
JAB BHI DETE HAI GAM DETE HAIN,
KITNE BEUSUL HAI YEH LOG,
8.
Ittefaq se hum mile,
Ittefaq se aap hume pasand aaye,
Ittefaq se hum dost bane,
Humari dosti ab ittefaq nahi,
Zindagi ki khoobsurat hakikat hai?.
9.
Tumse doori ka ehsaas jab satane laga,
Tere saath guzra har lamha yaad aane laga,
Jab bhi tumhe bhulne ki koshish ki,
Ae dost tu dil ke aur paas aane laga?..
10.
Haqiqat samjho ya afsana,
Begana kaho ya deewana,
Suno is dil ka fasana,
Teri dosti hai mere jeene ka bahana?..
11.
Aap ka ashiana dil me basa rakha hai,
Aap ki yado ko seene se laga rakha hai,
pata nahi yaad aate hai Aap hi kyon,
vaise dost to humne auro ko bhi bana rakha hai.
12.
Mahek mohabat ki kam nahi hoti,
Mohabat se zindagi kam nahi hoti,
Saath zindagi mein dosti ka agar ho,
To zindagi "jannat" se kam nahi hoti.
13.
Be kadar kuch dost ho gaye hai hamare,
Jo hamara intezar nahi karte
kabhi humpe mara karte the,
Abhi to yaad bhi nahi karte..
14.
jab dosti ki dastaan waqt sunayega,
tab hum ko bhi koi shaks yaad aayega.
hum bhool jaayenge zindagi ke gamon ko,
jab tumhaare saath guzara waqt yaad aayega.
15.
jinki dosti sachi hai,
wo kab faryaad karte hain,
zubaan khamosh hoti hai,
par dil se wo yaad karte hain.
16.
Phulon se khubsurat koi nahi,
Sagar se gehara koi nahi,
Ab aapki kya tariff karu,
Dosto mein aap jaisa dost koi nahi.
17.
Dosti ki hai, Nibhani to padegi,
Aapki taklif hume baatni to padegi,
Aapki taklif na jaan sake to dosti kis kaam ki,
Aapke liye mar na sake to zindagi kis kam ki.
18.
is pahar jo mila, fir wo us pahar na mila,
yani jo sham mila tha wo fir sahar na mila,
umar kehne ko humumaron me guzari lekin-
ek bhi dost umar bhar ka umarbhar na mila
19.
JO HUMSE MILTE HAIN, HUM UNHE DIL SE MILTE HAI, VERNA HUM TO WOH
SHAKHS HAIN JO.. - ..KHWABON MEIN BHI BADI MUSHKIL SE MILTE HAIN..
20.
Sitam karo ya na karo, hum gila nahi karte.
Virano mein kabhi phool khila nahi karte,
Magar itna yaad rakhna
Hum jaise dost baar baar mila nahi karte.
21.
Dost kabhi doston se khafa nahi hote,
Dil milake kabhi juda nahi hote.
Bhula dena hamari khamiyo ko,
Kyunki insaan kabhi khuda nahi hote.
22.
Mil jaye koi naya to hume na bhoola dena,
Koi rulaye tumhe to hume yaad kar lena.
Dost hai tumahare,
Khushi na sahi to ghum hi baant lena.
23.
Har kadam par imtihaan leti hai zindagi,
Har waqt naye zakhm deti hai zindagi;
Hum zindagi se shikwa kyon karen,
Hum zindagi se Gila kaise karen -
Aapsa Dost bhi to deti hai zindagi!
24.
Yaad aaye kabhi to ankhen num na karna,
Hum chale bhi jayen to gham na karna;
Yeh zaruri nahi har rishtey ka koi naam ho,
Par Dosti ka ehsas dilse kam na karna!
25.
Dua karte hai hum sar jhukaye,
Ae dost tu apni manzil ko paaye.
Agar kabhi teri raho mein andhera aaye,
Roshni ke liye khuda hum ko jalaye.
26.
Zindagi nahi hame dosto se pyari,
Dosto pe haazir hai jaan hamari.
Aankhon mein hamare asoon hai to kya,
Jaan se bhi pyaari hai muskaan tumhari.
27.
Din akele raat tanha kaat dee maine,
Dosto main saari khushiya bant di maine,
Zindagi ki bhag daud me mujhko mila hi kya,
paane ki ummid me zindagi kaat di maine.
28.
Har baar hosla karte hain , phir khud hi toot jate hain
Is dil ko khud hi samjha kar , is dil se har jate hain
Phir se ret ko muthi mein pakad ka r ,phisalta pate hain
Ankhon mein samandar ko samette samette , chalkta pate hain
Har baar kuch chah kar , woh khud hi kar jaate hain
Intezar karvate karvate , khud hi intezar karta pate hain
Na jane kyun is dil ko , samjha hi nahi pate hain
Apne aap khud ko mana hi nahin pate hain
Woh kya samjhenge jasbaat jinhe 'EHSAAS' hi nahi
Na jane kyun har baar kuch aise hi dost bana jate hain
29.
Dosti ka har farz nibha diya,
Kisi aur ke liye aapne hume bhula diya.
Akele to hum pehele se he the,
Achha hua jo aapne ehsaas dila dia.
30.
Dost dil todna hamari aadat nahi,
Dil hum kisi ka dukhate nahi.
Bharosa rakhna meri dosti par,
Dil mein basakar hum kisiko bhulate nahi.
31.
Baadal garaja magar barasaat nahi aayi,
Dil dhadaka magar aawaj nahi aayi,
Pura din gujarane ko hai dost,
kya ek baar bhi meri yaad nahi aayi?
32.
Na chahat hai sitaaron ki,
Na tamanna hai baharo ki,
Aap jaisa ek dost mil jaaye,
To kya jaroorat hai hazaroon ki………
33.
True friends are like Diamonds,
They are real and rare.
False friends are like leaves,
They are scattered everywhere.
Take care, MY DIAMOND.
34.
Dillagi dosto ke naam hoti hai,
Dillagi dosto ki shaam hoti hai,
Kahin bhi raho par rahoge dil main mere,
Yehi dosti ki sachchi pehchan hoti hai.
34.
Dictionary is the only place where Death comes before Life,
Success before Work,
Divorce before Marriage,
But Friend come before Relative.
35.
Jab dosti ki daastan waqt sunayega,
Hum ko bhi koi shaks yaad aayega.
Tab bhool jayenge zindagi ko,
Jab aap ke saath guzra zamana yaad aayega.
36.
Har koi pyar ke liye rota hai,
Har koi pyar ke liye hi tadapta hai,
Mere pyar ko galat mat samajna?
Pyar to dosti mein bhi hota hai.
37.
Dosti ki tadap ko dikhaya nahi jata,
Dil mein lagi aag ko dikhaya nahi jata,
Kitni bhi doori ho dosti mein,
Aap jaise dost ko bhulaya nahi jata.
38.
Is duniya mein dost kam milenge,
Is duniya mein gham hi gham milenge,
Jaha duniya pher legi,
Us mod pe dost humhi ?HUM? milenge?.
39.
Ehsaan doston pe jatane nahi hote,
karz dosti mein chukane nahi hote,
bas salamat rahe ye dosti hamari,
ye woh riste hai jo purane nahi hote.
40.
Har kali tujhse khushbu udhaar maange,
aftab tujhse noor udhaar maange.
Rab kare tu dosti nibhaye aise ki
log mujhse teri dosti udhar maange.
41.
Aapka ashiyana dil mein basa rakha hai,
aapki yaddon ko sine se laga rakha hai,
Pata nahi yaad aap hi kyu aate ho,
dost to humne auro ko bhi bana rakha hai
42.
Mausam ki bahaar achhi ho,
Phoolo ki kaliya kacchi ho,
Hamaari yeh dosti sachhi ho,
Rab se bas yeh dua hai ki mere dost ki har subah achhi ho.
43.
Zindagi hai to khawab hai,
Khwab hai to manjile hai,
Manjile hai to raaste hai,
Raaste hai to faasle hai,
Fasle hai to muskeelay,
Muskeelay hai to MAIN HOON NA.
44.
Khuda ne agar ye rista banaya na hota,
Ek dost ko dooje se milaya na hota.
Zindagi ho jaati bejaan,
Agar maine tera jaisa dost paya na hota.
45.
Chand adhura hai sitaro ke bina,
Gulshan adhura hai baharon ke bina.
Samundar adhura hai kinaro ke bina,
Jeena adhura hai tum jaise yaaron ke bina.
46.
Dosti achhi ho to rang laati hai,
Dosti gehri ho to sabko bhaati hai.
Dosti naadan ho to toot jaati hai,
Par dosti hum jaison se ho to itihaas banati hai.
47.
Kai raaz aise hote hai jo kahe nahi jaate,
Kai dil aise hote hai jot tode nahi jaate.
Aur kuch dost aap jaise hote hai jo chode nahi jaate.
48.
Tum na mano yeh hakikat hai,
Dosto insaan ki zaroorat hai,
Kisi din aao hamari mehfil mein,
Jaan jaoge zindagi kitni khubsurat hai.
49.
Gumah karke saza se darte hai,
Jeher pi ke dava se darte hai.
Dushmano ke sitam ka khof nahi,
Hum to dosto ki vafa se darte hai.
50.
Dil se dil badi mushkil se milte hai,
Tofanoo mein sahil badi mushkil se milte hai.
Yu to mil jaate hain hazaron,
Magar aap jaise dost nasib walon ko milte hai.
51.
APKO ASHIRWAD MILE BADO SE, KHUSIAN MILE JAG SE,
PYAR MILE SAB SE, DAULAT MILE RAB SE, YAHI DUA IS DOST KI DIL SE...
52.
CHAND KE LIYE SITARE ANEK HAI, LEKIN SITARO KE LIYE CHAND EK HAI,
AAP KE LIYE DOST HAZAR HONGE LEKIN, HAMARE LIYE AAP EK HAI!!
53
Behind ur smile I know there r sorrows,
Behind ur laughter I know there r tears,
And I want u 2 know that behind u I am always there 4 u.
54.
MAHEK MOHABBAT KI KAM NAHI HOTI,
MOHABBAT SE BHI ZINDAGI KAM NAHI HOTI,
SAATH ZINDAGI MAIN DOSTI KA AGAR HO,
TOH ZINDAGI 'JANNAT' SE KAM NAHI HOTI.
55.
Zindagi Ki Raho Me Jog Gam Milenge,
Dua Se Hamari Kam Milenge....
Agar Tanha Pao Apne Aapko, Yaad Karma Hame,
Kasam Dosti Ki, Sabse Aage Ham Milenge....
56.
Wakt tera ghulam hoga
Har pal pe tera naam hoga
Zara mud kar dekhna mere dost
Tere har kadam pe mera saath hoga
57.
Maana ki dil ki baat kabhi na keh paoge
Par aankhon mein jo hai usse kaise chupaoge
Vaada raha ye humara aapse
Jab bhi nazar uthaoge is dost ko hi paoge
58.
Hume yaad rakhna na kabhi bhulana
Bas ek yeh ehsaan dost humpe karna
Hum chale jaayen kitne bhi duur
Dil mein humari jagah yunhi banaye rakhna
59.
raahi badal jaate hai par raaste nahi badalte*
toofan aaye phir bhi mausam nahi badalte,*
gile shikwe bhale kitne ho magar sachhe dost nahi badalte...
60.
dosti karo to dhokha mat dena,
dosto ko aasuo ka tohfa mat dena,
dil se roye koi tumhe yaad kar ke,
toh aisa kisi ko mauka mat dena.
61.
Dosti ko bhulana Fitrat nahi hamari,
Aap se dur rahna majboori hai hamari.
Jine ke liye sirf saans kafi nahi,
Aap ko hona bhi zarurat hai hamari.
62.
Hakeekat samjho ya afsana;
Begana kaho ya deewana;
Suno mere dil ka fasana;
Teri dosti hai mere jeene ka bahana.
63.
Hasraton ki nigaho pe sakht pehra hai,
Na jane kis umeed pe ye dil thehra hai,
Teri chahton ki kasam ae dost,
Apni dosti ka rishta pyar se bahot zada gehra hai?..
64.
When things turn out bad and your strength is no longer enough to carry them.
You must never give up, cause when your strength ends, my worth as your friend begins.
65.
Aye Dost tu itna badkalam na ho
ki kabhi karib se gujrae to dua-salam na ho
yeh aur baat hay dushmen hua hay aaj mager
woh mera dost tha kal tuk usay bura na kaho !!!
66.
hum woh nahi jo tujhe gum mein chod denge,
hum woh nahi jo tujse naata tod denge,
hum toh tere woh dost hain jo,
agar teri saanse bandh ho to apni sanse jod denge.
67.
Guzre hue zamane ki yaad ati hai,
Kuch lamho se ankhen bhar ati hai,
Woh subha rangeen , Woh sham nirali,
Jab aap jaise dost ki yaad ati hai.
No comments:
Post a Comment